Topics
Nabowat
k barwen saal Yasrab se aaney waly logon mein se 75 afraad ne Islam qabool kiya
aur Islam k liye jaan o maal qurbaan karny k ehad ko duhraya.
Jab
ye musalmaan Makkah pohnch gaye to dar pardah Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam
k sath rabta kiya aur aakhir kaar is baat par ittefaaq ho gaya k dono fareeq
Mana mein Aqb k paas jo ghati hey is mein jama hon aur ye ijtema raat ki
tareeki mein khufiya tareeqe par ho.
Is
ijtema k ahwaal Ansaar k aik Quaid Hazrat Kaab Bin Malik r.a is tarha farmaty
hain:
“Hum
log Haj k liye nikly Huzoor Aleh saalato Wasalam se Aqba mein mulaqaat tey howi
aur bal akhir wo raat aagai jis mein Huzoor Aleh saalato Wasalam se mulaqaat
tey thi. Hamarey sath hamarey aik mauziz sardaar Abdulallah Bin Umro Bin Haraam
bhi the(jo abhi Islam nahi laye the) hum ne Abdullah Bin Umro Bin Haraam se
kaha k
“Ay
Abu Jabir! Aap hamarey aik mauziz aur shareef sarbarah hain aur hum aap ko aap k
mojodah halaat se nikalna chahtey hain ta k aap gumrah na ho jayen. Is k baad
hum ne inhen Islam ki dawat di aur bataya k aaj Aqba mein Huzoor Aleh saalato Wasalam
se hamari mulaqaat hey. Abdullah Bin Haraam ne Islam qabool kar liya aur
hamarey sath Aqba tashreef le gaye aur Naqeeb bhi muqarrar howy.
Hum
log hasb e dastoor is raat apni qoam k hamrah apney khemon mein soye lekin jab
tehai raat guzar gai to apney khemon se nikal kar Huzoor Aleh saalato Wasalam k
sath tey shudah muqaam par pohnch gaye.
Hum
sab 75 admi the, 73 mard aur 2 aurten. Aurton mein aik Ume Ammarah r.a Naseeba
Bint e Kaab thien jo qabeela Bano Maazan Bin Najaar se talluq rakhti thien aur
dosri Asma Bint Umro thien jin ka talluq qabeela Bano Salma se tha.
Hum
sab ghati mein jama ho kar Huzoor Aleh saalato Wasalam ka intezaar karny lagy
aur akhir wo lamha aagaya jab Huzoor Aleh saalato Wasalam tashreef laye. Huzoor
Aleh saalato Wasalam k sath aap k chacha Hazrat Abbas r.a Bin Abdul Muttalib
bhi the. Wo agarchey abhi tak apni qoam k
Deen par hi the magar chahtey the k apney bhatije k mamle mein mojood rahen.
Majlis
mukammal ho gayi to Deen aur fouj tawon ko kattai aur akhri shakal deny k liye
guftugu ka aghaaz howa. Huzoor Aleh saalato Wasalam k chacha Hazrat Abbas r.a
ne farmaya:
“Khazraj
k logo! Hazrat Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko jo hesiyat maloom hey.
hamari qoam k wo log jo Deeni nuqta-e-nazar se hum se muttafiq nahi hain, hum
ne Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko in se mehfoz rakha hey. wo apni qoam aur
apney shehar mein qowat o izzat aur taqat o hifazat k sath tashreef rakhtey
hain. Magar ab tumhare yahan aana chahtey hain.
Lehaza
agar tumhara ye khayal hey k tum inhen jis maqsad k liye bula rahe ho isy pura
karo ge aur Hazrat Muhammad (alhe saalato wassalaam) mukhalfeen se mehfoz rahen
ge tab to theek hey. lekin agar tum inhen apney paas le jany k baad in ka sath
chor do ge to phir abhi se inhen chor do q k wo apni qoam aur apney shehar mein
beharhaal hifazat se hain.”
Hazrat
Kaab r.a kehtey hain k hum ne Hazrat Abbas r.a se kaha:
“Aap ki baat hum ne sun li. Ab Ay Allah k rasool Aleh saalato
wassalaam! Aap guftugu farmayen aur Huzoor Aleh saalato Wasalam hum se jo ehad
o pemaan chahen kar len, hum hazir hain.”
Is
k baad Syedena Huzoor Aleh saalato wassalam ne guftugu farmai. Huzoor Aleh saalato
Wasalam ne phele Quraan ki tilawat ki aur Islam ki dawat di.
Bait
Aqba ka waqiya Imam Ahmed r.a ne tafseel k sath riwayat kiya hey. Hazrat Jabir
r.a k biyaan hey. “Hum ne arz kiya: “Aye Allah k Rasool Aleh saalato wassalaam!
Hum
Huzoor Aleh saalato Wasalam se kis baat par bait Karen.”
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne farmaya:
“Is
baat par k
•
Har haal mein baat suno ge aur mano
ge.
•
Tangi aur khushaali har haal mein maal
kharch karo ge.
•
Bhalai ka hukum
do ge, burai se ruko ge.
•
Allah Tala ki
rah mein uth kharey hoge aur Allah Tala k mamle mein kisi malamat ki parwah
nahi karo ge.
•
Jab mein tumhare
paas aajaon ga to meri madad karo ge aur jis tarha se apni jaan aur apney baal
bachon ki hifazat karty ho is tarha meri bhi hifazat karo ge.
“Aur
tumhare liye Jannat hey.”
Bait
mukammal ho chuki to Huzoor Aleh saalato Wasalam ne ye tajweez rakhi k barah
sarbarah muntakhib kar liye jayen jo apni qoam k naqeeb hon aur is bait ki
dafaat par amal dar amad k liye apni apni qoam k mamlaat k zimahdaar hon.
Huzoor Aleh saalato Wasalam k is irshaad par foran hi naqeebon ka intekhaab amal
mein agaya. 79 naqeeb Khazraj se muntakhib kiye gaye aur 73 naqeeb Oos se. jab
in naqab ka intekhaab ho chukka to in se naqeeb aur sardaar hony ki hasiyat se
Huzoor Aleh saalato Wasalam ne aik aur ehad liya.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne farmaya:
“Aap
log apni qoam k kafail hain, jaise hawari Hazrat Essa a.s ki janib se kafail the
aur mein apni qoam yani musalmano ka kafail hon.”
In sab ne kaha”Ji han.”
Mukammal muhaidah howa hi tha k shetaan ko is ka pata lag
gaya. Shetaan ko is ki khabar bilkul akhri lamhaat mein howi thi aur shetaan k
paas itna muqa nahi tha k ye khabar chupke se Quraish ko pohncha di jaye aur wo
is ijtema k shurka par hamla kar den. Isi liye shetaan ne aik onchi jagah
kharey ho kar nehayat buland awaaz se pukara!
“Kheme
walon! Muhammad Aleh saalato Wasalam ko dekho is waqt be Deen is k sath hain
aur tum se larney k liye jama hain.”
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne farmaya: “Ye is ghati ka shetaan hey.”
Is
k baad Huzoor Aleh saalato Wasalam ne logon se farmaya k wo apney apny ghar
chale jayen.
Ye
khabar Quraish tak pohnchi to khoraam mach gaya. Q k is bait k jo nataij martab
ho sakty the is ka inhen achi tarha andaza tha. Chunacha subah hoty hi Quraish
k aik wafad ne is muhaidey k khilaaf sakht ehtijaj kiya:
“Khazraj
k logo! Hamey maloom howa hey k Aap log Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko le
jana chahte hain aur hum se jang karny k liye in k hath par bait kar rahe hain.
Halan k koi Arab qabeela aisa nahi hey jis se jang karna hamarey liye itna
ziyadah nagawaar ho jitna aap hazraat se hey.”
Qabeela
Khazraj k degar log is bait k barey mein kuch nahi jante the q k ye mukammal
raazdari k sath raat ki tareeki mein howi thi. Inhon ne jawab diya “Aisi koi
baat hamarey ilm mein nahi hey.”
Quraish is muhaide k barey mein mutafakkar the bal akhir inhen maloom hogaya k bait ki khabar sahi hey. lekin inhen bait ki tasdeeq is waqt howi jab hajaj apney apny watan rawana ho chuky the. Quraish ne taiz raftaari k sath ahle Madina ka peecha kiya lekin muqa nikal chukka tha. Albatta Hazrat Saad r.a Bin Ibadah ko inhon ne pakar liya aur Makkah le gaye. Pury raaste inhen mukhtalif aziyaten dety rahe. Lekin baad mein Jabeer Bin Matam aur Haris Bin Amiya ne akar inhen chura diya.
Hijrat
ka matalb hey ke sab kuch chor kar jaan bacha li jaye. Chunacha
musalmaan maal o mata chor kar Makkah se Madina chaley gaye.
Hazrat Ayesha r.a farmati hain ke Huzoor Aleh saalato Wasalam ne farmaya:
“Mujhe tumhara muqaam-e-hijrat dikhaya gaya hey ye do
pahariyon ke darmiyaan waqiya aik nakhlistaan ilaqa hey.”
Madina
bulandi par waqiya hey is ke shumaal aur junoob mein do pahaar hain. Madina ke teen
taraf yani mashriq, maghrib aur junoob mein manjamid shuda atish fisah phela
howa hey.
Makkah
mukarrama se Madina Munawara 277 mile (445 kilo metre) ke fasley par waqiya
hey. is ke shumaal mein Jible Uhad aur junoob mein Jible Aer waqiya hain.
Mashriqi janib Harah o Aqam aur maghribi janib Hara-ul-Wabar hey. shehar Madina
paharon ke darmiyan aik wasi mastateel hey. ye ilaqa intehai zarghaiz aur
shadaab hey. Aab o hawa matadal aur khushgawaar hey aur pani halka aur sheeren
hey. wahan Jazeera tul Arab ke dusre ilaqon ki nisbat barishen ziyadah hoti
hain. Madina ke junoob mashriq aur shumaal mashriq mein khajoor ke ghany
baghaat the. Sahil samandar se ziyadah fasla nahi. Yaman aur Shaam ke darmiyan
ki qadeem tijarti shahrah Imam-ul-Mubeen yahin se ho kar guzarti thi.
Jof-e-Madina mein paanch zarghaiz wadiyan thien.
1. Mazinaib 2. Meharwar 3.
Zaanona 4. Bathaan 5. Qanata
Wadiyon
ke sath choti choti bastiyon ka silsila door tak phela howa tha. Ye bastiyan
aik dusrey se thore thore fasle par waqiya thien. Bastiyon ke is majmoye ko
Yasrab kaha jata tha.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.