Topics
Mushreqeen
ki kaarwaiyan haq k parchaar ko rokny mein kamiyaab aur mussar sabit nahi ho
rahi thien. Kuffaar is surat e haal se pareshaan hey. Bal akhir 25 sardaran e
Quraish ki aik commite tashkeel di gayi jis ka sarbarah Abu Lehab tha. Commite
ne tey kiya k Isalm ki mukhaalfat Peghambar e Islam ki ayza rasani aur Isalam
lany walon par tarha tarha k sitam aur zulm o tashaddud kiya jaye.
Abu
Lehab Huzoor Aleh saalato Wasalam ki adawat mein is qadar agey barh gaya jab
Huzoor Aleh saalato Wasalam k dusrey sahabzady Hazrat Abdullah ka intiqaal howa
to Abu Lehab khushi se dorta howa apney rufqa k paas pohncha aur inhen bataya k
Muhammad(alhe saalato wassalaam) abtar (nasal bareedah) hogaye hain. Quran e
Hakeem ne Abu Lehab k is amal par Huzoor Aleh saalato Wasalam ko pohnchny waly
dukh ka madawa Surah Kausar mein kiya hey.
“(Aye
Nabi saw) Hum ne Aap ko Kausar ata kar diya. Pas aap apney rab k liye Namaaz
qaim kijiye aur qurbani kijiye. Be shak aap ko dushman hi la waris aur be naam
hey.” ( Surat Al-Kausar)
Aik
din Huzoor Aleh saalato Wasalam Khana Kaba mein Allah Tala ki ibadat kar rahe
the. Abu Jehal apney qabeely k kuch afraad k hamrah wahan pohnch gaya. Abu
Jehal k hath mein ooth ki ojhri thi jis mein khoon aur dusri gangiyan bhari
howi thien.
Jazeera
ul arab mein kisi ko sazaye moat deny ka aik tareeka ye bhi tha k pani ya khoon
ya dusri gangiyon se bhari howi ooth ki ojhri ko sar par is tarha charha dety
the k sar aur chehra ojhri k andar pehns jata tha aur phir ojhri k nichly hissy
kko kisi thely k mu ki tarha mazbooti se garden mein baandh diya jata tha. Is
tarha naak aur mu mukammal tor par ojhri k ghubbare mein band hojaty the aur
sans ruk jata tha……dum ghutny k bais jald hi moat waqia ho jati thi.
Is
rooz Abu Jehal aur is k sathi ye faisla kar k aye the k wo Huzoor Aleh saalato Wasalam
ko ojhri k zariye halaak kar den gen. Abu Jehal aur is k sathi jab Khana Kaba
mein dakhil howy to Huzoor Aleh saalato Wasalam apney gardo pesh se be khabar
Allah Tala k samny sar ba sajood the. Abu Jehal ne oonth ki ojhri sajdy ki
halat mein Huzoor Aleh saalato Wasalam k sar par rakh di. Huzoor Aleh saalato Wasalam
ka chehra or sar is ojhri mein mubtala hogaya. Phir Abu Jehal ne bari phurti k
sath ojhri k dusrey siry ko aik theeli ki tarha Huzoor Aleh saalato Wasalam ki
garden par bandh diya. Huzoor Aleh saalato Wasalam ko jaisy hi ye ehsaas howa k
koi cheez in k sar par rakh di gayi hey. Jab sans ghutney laga aur shahdeed
takleef howi to ojhri ko mu par se hatany ki koshish ki lekin kamiyaab nahi
howy.
Jo
log Huzoor Aleh saalato Wasalam k qareeb the inhen ba khubi ehsaas tha k sans
rukney k bais Huzoor Aleh saalato Wasalam jald hi apni jaan se hath dho bethen
gen. Huzoor Aleh saalato Wasalam k beqarari o betaabi ko dekhty howy inhon ne
ye socha ko wo Huzoor Aleh saalato Wasalam k chehrey se ojhri ka ghilaaf utaar
den lekin inhen Abu Jehal ka khouf tha aur wo janty the k agar wo Huzoor Aleh saalato
Wasalam ki madad Karen gen to Abu Jehal jaise khoufnaak shakhs ki dushmani mool
len ge.
Quraish
ki aik aurat jo wahan mojood thi wo is karbnaak manzar ki tab na la saki aur
doorti howi Huzoor Aleh saalato Wasalam k ghar pohnchi aur in ki sahabzaadi
Hazrat Fatima r.a ko ittila di. Hazrat Fatima r.a saraseema halat mein roty
howy Khana Kaba mein pohnchien. Abu Jehal aur dusrey logon ne jab Hazrat Fatima
r.a ko aaty dekha to peeche hat gaye aur Hazrat Fatima r.a ne Huzoor Aleh saalato
Wasalam k chehrey aur sar ko ojhri ki girift se azaad kiya aur apney daaman se
in k chehrey ko saaf kiya. Huzoor Aleh saalato Wasalam dum ghutney k bais aik
ghanta tak harkat k qabil na hosakey aur is k baad apni beti k saharey kharey
howy aur ahista ahista qadam uthatey howy ghar ki taraf rawana hogaye. Ghar
pohnch kar Huzoor Aleh saalato Wasalam ne Hazrat Fatima r.a ki madad se apney chehrey
aur sar ko khoon aur degar kasafat se saaf kiya, kaprey tabdeel kiye. Hazrat
Fatima r.a ne apney walid k kaprey dho kar sukhany k liye dhoop mein daal diye.
Agley din Huzoor Aleh saalato Wasalam guzishta rooz k waqiya se khouf zada howy
baghair dobara Khana Kaba mein tashreef le gaye aur wahan ibadat mein mashghool
hogaye.
Is
martaba Aqba Ibn Abi Mueet nami shakhs ne sajdy ki halat mein apni chadar
Huzoor Aleh saalato Wasalam par daal di aur itna shahdeed hamla kiya k Huzoor
Aleh saalato Wasalam ki naak aur mu se khoon jari hogaya. Aqba ye koshish kar
raha tha k sajdy se sar uthaney se phele hi pe dar pe waar kar k Huzoor Aleh saalato
Wasalam ka khaatma kar de (naozibillah)
Lekin
wo apney maqsad mein kamiyaab na ho saka aur Huzoor Aleh saalato Wasalam apney aap
ko hamla aawar se churaney mein kamiyaab hogaye aur khoon aloodah chehra k sath
ghar wapis tashreef le ay.
Abu
Lehab ki biwi Um e Jameel jis ka naam Arwaa Bint-e-Harb Bin Amiya tha. Wo apney
sohar k sath mil kar Huzoor Aleh saalato Wasalam ko ayza pohnchany mein pesh
pesh thi.wo Huzoor Aleh saalato Wasalam k raasty mein aur in k darwazy par
kanty daal diya karti thi. Is zalimana faal par Quran mein Surah Lehab nazil
howi.
“Toot
gaye Abu Lehab k hath aur wo na muraad hogaya. Is ka maal aur jo kuch is ne
kamaya is k kuch kaam nahi aaya. Zaroor wo shula zan aag mein dala jaye ga aur
(is k sath) is ki biwi bhi. Lagai bujhai karny wali, is ki garden mein mujh ki
rassi hogi.”
(
Surat Al-Lehab)
Um
e Jameel ko jab ye maloom howa k is ki aur is k sohar ki mazammat mein ye ayat
nazil howi hain to wo Huzoor Aleh saalato Wasalam ko talash karti howi Khana
Kaba pohnch gayi, is k hath mein pathar the jo wo maarney k liye lai thi. Huzoor
Aleh saalato Wasalam k hamrah is waqt Hazrat Abu Bakar Siddique r.a bhi mojood
the. Um e Jameel Hazrat Abu Bakar Siddique r.a k paas aayi aur pocha: “Tumhara
sathi kahan he? mujhe maloom howa hey wo meri (hijo) burai karta hey. agar mein
ne isy dhond liya to ye pathar is k sar par maron gi.”
Is
shor sharaby k baad wo chali gayi. Is k jany k baad Hazrat Abu Bakar Siddique
r.a ne Huzoor Aleh saalato Wasalam se dariyaaft kiya k kiya wo Huzoor Aleh saalato
Wasalam ko nahi dekh rahi thi. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne jawab diya k
Allah Tala ne is ko waqti tor par andha kar diya tha.
Amiya
Bin Khalaf Abu Lehab ki team ka rukun tha. Wo jab Syedna Aleh saalato Wasalam ko
dekhta lan tan karta aur mughlozaat bakta tha. Quran e Paak ki Surah Hamza ki
pheli ayat isi siyah bakht ki taraf ishara karti hey.
“Lan
tan aur buraiyan karny waly k liye tabahi hey.”
(
Surat Al-Hamza Ayat-1)
Akhnas
Bin Shareek Shaqfi bhi Huzoor Aleh saalato Wasalam k satany walon mein tha.
Quran ne Surah Qalam mein is ki khabasaten ginwai hain.
“Har
giz khouf na karo kisi aisy shakhs se jo bohat qasmy khany wala hey wuqat aadmi
he, taany deta he, chughliyan khata phirta he, bhalai se rookta he, zulm o
ziyatti mein had se guzar jany wala he, sakht bad amaal he, jafa kaar he, aur
in se oyyub k sath bad asal he, is bina par k wo bohat maal aur ulaad rakhta
hey. jab hamari ayaat is ko sunai jati hain to kheta hey ye to agley waqton k
afsany hain.”
(
Surat Al-Qalam Ayat-10 ta 15)
Huzoor
Aleh saalato Wasalam k khilaaf kuffaar Makkah ki karastaniyan apney urooj par
thien bawajood is key k Huzoor Aleh saalato Wasalam k aala kirdaar aur
kareemana ikhlaaq k mushriqeen mutraf the aur Huzoor Aleh saalato Wasalam k
mauziz chacha Abu Talib ki himayat o hifazat Huzoor Aleh saalato Wasalam ko
hasil thi. Digar musalmanon khosusan kamzoor afraad ki ayza rasani ki
kaarwaiyon ki tafseel kuch ziyada hi sangeen aur talkh hey.
Abu
Jehal ne ye watera apna rakha tha k jab kisi mauziz aur taqatwar aadmi
musalmaan hony ki khabar suntan to isy bura kehta. Zaleel o ruswa karta aur
maal o jah ko sakht khasary se do char karny ki dhamkiyan deta aur agar koi
kamzoor hota to isy maarna aur dusron ko bhi bura nagheeta karta.
Hazrat
Usman (r.a) Bin Affaan bohat maal daar sakhi aur naram kho the. Aap r.a ka
talluq khandaan Bani Amiya se tha. Jab musalmaan howy to in k chacha inhen khajoor ki chatai
mein lipait kar dhuwan dety the.
Hazrat
Masab (r.a) Bin Umair bhi bary nazo nam mein paly the. Aala tareen libaas
pehnty, besh qimat jooty istamaal karty aur har waqt khusbu mein basy rehty. In
k qabool Islam ki khabar jab in k ghar walon ko mili ghar walon ne in ka dana
pani band kar diya aur inhen ghar se nikaal diya. Halaat ki shiddat se do char
howy to khaal is tarha udhar gai jis tarha sanp kencili utaarta hey.
Hazrat
Ammaar (r.a) Bin Yasir Bano Maghzoom k ghulaam the. Inhon ne, in k walid Hazrat
Yasir r.a aur waleedah Hazrat Samiya r.a ne Islam qabool kar liya to kuffaar ne
is qadar zulm kiya k in k waldain apni jaan se hath doh bethy. Sakht dhoop mein
Hazrat Ammaar r.a ko pathreeli zameen par lita kar seeney par surkh patthar
rakh dety the aur khabhi pani mein duboya jata tha. Mushriqeen in se mutaalba
karty k jab tak Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko bura nahi kaho ge ya laat
o aza k barey mein kalma khair na kaho ge hum tumhey nahi choren ge. Hazrat
Ammaar r.a in ki baat manny par majboor hogaye aur rooty howy khidmat e iqdas
mein hazir howy to ye ayat nazil howi:
“Jo
koi munkir ho Allah se yaqeen laye peeche magar wo nahi jis par zabardasti ki
aur is ka dil barqarar rahy emaan par, lekin jo koi dil khool kar munkir howa
so in par ghazab hey Allah ka aur in ko buri maar hey.”
(
Surat Al-Nahal Ayat-106)
Hazrat
Khabaab r.a, Um Anmaar k ghulaam the, in ki malka qabeela Khaza se talluq
rakhti thi. Qabeela walon ne Hazrat Khabaab r.a ko saza deny ka ye tareeka
istimaal kiya k dehakty howy angaron par lita kar in k upar pathar rakh dety
the. Jisam jalta, charbi pighalti aur aag bujh jati magar saza khatam na hoti.
Hazrat
Fakeeha r.a Sufiyaan Ibn Amiya k ghulaam the, in ka paon rassi se baandh diye
jaty aur zameen par ghaseeta jata tha. Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne in k
malik ko qeemat ada ki aur azaad kar diya.
Phele
ghulaam jo Hazrat Zaid r.a k baad halka e Islam mein dakhil howy wo Hazrat
Bilal Habshi r.a the. Jazeera tul arab mein teen cheezen mukammal bad bakhti ki
alamat samjhi jati thien. Aik ajnabi ya begana hona, dusra ghulaam hona aur
teesra siyah foam hona aur Hazrat Bilal r.a mein ye teenon cheezen mojood
thien.
Jab
in k malik Amiya Bin Khalaf ko ye ittila mili k Hazrat Bilal r.a musalmaan
hogaye hain to wo inhen Makkah se bahir le gaya aur in k kaprey utar wa kar
inhen pury suraj k neeche tapti howi rait mein lita diya. In k hath bandh diye
aur seeny par bhari patthar rakhwa diya aur in se kaha k ya to Islam ko chor de
ya dhoop mein para reh yahan tak k tu mar jaye. Hazrat Bilal r.a ye janty the k
in ka malik apney kahe par amal kare ga aur in k hath paer nahi kholy ga lekin
inhon ne Deen e Hanif se dasbardaar hony k bajaye mout se hum aaghosh hona
qabool kar liya aur marny k liye taiyaar hogaye. Lekin isi doraan Hazrat Abu
Bakar r.a Hazrat Bilal r.a ko nijaat dilany k gharz se in k malik k paas
pohnchy aur in k samny Hazrat Bilal r.a ko khareedney ki tajweez pesh kar di.
Hazrat Bilal r.a k malik ne jab ye dekha k Hazrat Abu Bakar r.a is k ghulaam ko
bohat ziyadah qeemat par khareed rahe hain to is ne inhen bachny par raza mandi
zahir kar di aur Hazrat Abu Bakar r.a ne Hazrat Bilal r.a ko khareedney k baad
azaad kar diya.
Hazrat
Abu Zar Ghaffari r.a Jalil ul Qadar Sahabi aur Huzoor Aleh saalato Wasalam k
jaan nisaar sathi the. In ka talluq qabeela Ghaffar se tha. Ye qabeela Makkah k
shumaal mein sakonat pazeer tha. Hadiya nasheen arbon ki rasam k mutabiq saal
mein char mahinnon k liye gharat giri aur daketi haraam thi aur in mahinnon ko
Mah e Haraam kehty the. Makkah ki ziyarat par jany waly afraad par hamla karny
ki mamanat thi lekin qabeela Ghaffar k log mazkorah rasoomaat aur qawaneen ki
pabandi nahi karty the. Wo Mah e Haraam k mahinny mein qafilon par loot maar ki
gharz se hamla karty aur Makkah ki ziyarat par jany walon ko bhi mauf nahi
karty the.
Aik
martaba Zid Qad k mahinny mein qabeely walon ne apni hadood se guzarny waly aik
qafily par hamla kar k qafily ka maal asbaab loot liya aur qafila mein shamil
mard, aurton aur bacchon ko qatal kar diya. Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a jo is
waqt tak musalmaan nahi howy the inhen shahdeed nadamat howi aur inhon ne apna
qabeela chor diya. Kayi mah sehra nordi karny k baad Makkah pohnchy aur Huzoor
Aleh saalato Wasalam ka naam suna. Inhen maloom howa k Huzoor Aleh saalato Wasalam
logon ko Allah wahida la shahreek ki taraf bulaty hain aur bury kaam karny se
rokty hain aur Allah Tala k sath kisi ko shahreek karny se mana karty hain.
Hazrat
Abu Zar Ghaffari r.a ne Huzoor Aleh saalato Wasalam se milny ka faisla kar
liya. Aik reh geer se pocha k Huzoor Aleh saalato Wasalam ka ghar kahan he? is
ne tajjub ghez nigahon se Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a ko dekha aur onchi awaaz
mein chillany laga: “ Ay logo! Idhar aao aur isy pakro aur maar dalo kyn k ye
aik musalmaan hey jo hamary hath lag gaya hey.”
Palak
chapakty hi logon ne Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a par hamla kar diya aur wo jaan
bachany k liye wahan se faraar ho gaye. Lekin Quraish ne in ka peecha kiya aur
in par patthar ki barish kar di. Itny patthar marey k Hazrat Abu Zar Ghaffari
r.a nidhaal ho kar zameen par gir gaye aur Makkah walon ne inhen murdah samajh
kar chor diya.
Aik
musalmaan k sangsaar kiye jany ki ittila Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a ko mil
gait hi lehaza wo raat ki tareeki mein aye aur aik dusre musalmaan ki madad se
Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a ko utha kar le gaye. Baad mein pata chala k Hazrat
Abu Zar Ghaffari r.a musalmaan nahi balkey Huzoor Aleh saalato Wasalam se
mulaqaat karna chahty hain. Dusrey din Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a ne Huzoor
Aleh saalato Wasalam se mulaqaat ki.
Hazrat
Abu Zar Ghaffari r.a ka shumaar Isalm k namoor musalmanon mein hota hey. Hazrat
Abu Zar Ghaffari r.a ne apney pury qabeely ko musalmaan kar liya. In ka qabeela
jo loot maar k zariye zindagi guzaarta tha is nafrat ghez amal se hamesha k
liye dasbardaar hogaya.
Is
waqiye se ye baat ayan ho jati hey k Makkah k bashindey Huzoor Aleh saalato Wasalam
ki dushmani mein itna barh gaye the k agar koi in k ghar ka pata pochta tha to
wo ye samajhtey the k pata pochney wala ya to musalmaan hey ya musalmaan hona
chahta hey lehaza is par sang baari shuru kar dety the.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.