Topics
Jang
se muraad har wo muqabla hey jo do musallah gurohon ke darmiyan hota hey aur
fareqeen mein se aik ka ya dono ka ye iradah ho ke bahemi talluqaat khatam kar
den ya maghloob kar den.
Jang
do tarha ke jati he:
1.
Insaaf ke liye 2. Zulm ke liye
1…..Insaaf
ke liye jang se muraad wo larai he, jo aisi qoam ya ghiroh se ki jaye jo dusron
par zulm ka martakab ho aur haq ki rah mein rukawat ho.
2….
Zulm ki larai ye hey ke koi qoam ya ghiroh mehaz zalimana tareeke se dusron ke maal
o asbaab par qabza karna chahte hon.
Islam
sirf insaaf ki jang ka hami hey aur zalimana aur ghasbana jang se mana karta
hey.
Insaani
muashare mein sab se ziyadah ehmiyat insaani jaan ki hey. Mazahib aur shariyat
mein ehtraam nafs ke liye hokum diya jata hey. Is hi usool ki bunyaad par
insaani muashara munazzim hota hey.
Zarraat,
tijarat, sanat, zaraye rasl o rasail ki sahulat, ijtamai zindagi ke mazahir sab
aik hi maqsad ki nishandahi karte hain aur wo insaani jaan ki hifazat o ehtraam
hey. Insaani jaan aur is ke zaraye ko khatam karna bohat bara jurm hey.
Quran
Kareem ne Hazrat Adam a.s ke beeton ke aik waqiya se is haqeqat ko wazeh kiya
he:
“Isi
bina par hum ne Bani Israil ko ye likh kar de diya ke jo koi kisi ki jaan le,
baghair is key ke is ne kisi ki jaan li ho ya zameen mein fasaad kiya ho to
goya is ne tamam insane ka khoon kiya he, aur jis ne kisi ki jaan bachai to
goya is ne tamam insaano ko bachaya. In logon ke paas hamare Rasool khuli
hidayat le kar aye, magar is ke baad bhi in mein se bohat se aisy hain jo
zameen mein had se tajawaz karte hain.”
(Surah
Al Maidah-Ayat 32)
“Wo
is jaan ko jise Allah Talah ne muhtram qarar diya hey baghair haq ke halaaq
nahi karte aur na zina karte hain aur jo koi aisa kare ga wo apne kiye ki saza
paye ga.”
(Surah
Al Furqaan-Ayat 68)
“Ay
Muhammad (Alhe Salato Wassalaam) kaho ke aao! mein tum ko bataon ke Allah Talah
ne tum par kiya kiya haraam kiya hey. Tum par wajib hey ke Allah Talah ke sath
kisi ko shareek na karo, waldain ke sath naik salook karo, apni Aulad ko
muflisi aur tangdasti ke bais qatal na karo, hum tum ko rizq dety hain in ko
bhi den gen, badkariyon ke qareeb bhi na jao khuwah chupi howi hon ya khuli
howi, kisi aisi jaan ko jisy Allah Talah ne muhtram qarar diya hey halaak na
karo siwaye is surat e haal key ke aisa karna haq ka taqaza ho. Allah Talah ne
in baton ko tumhe taqeed ki hey shayad tum ko kuch aqal aye.”
(Surah
Al Inaam-Ayat 151)
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne insaani jaan ke ehtraam ki hamesha talqeen farmai hey.
Hazrat
Anas r.a Bin Malik se riwayat hey ke Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Bare
gunahon mein sab se bara gunah Allah Talah ke sath kisi ko shareek karna he,
phir qatal nafs, phir waldain ki nafarmani karna aur phir jhoot bolna.”
(Sahi
Bukhari Jild Awwal-Hadees 2478)
Hazrat
Ibn Umar r.a se riwayat hey ke Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne farmaya:
“Momin
apne Deen ke wast mein is waqt tak barabar rehta hey jab tak wo kisi haraam
khoon ko nahi bahata.”
(Sahi
Bukhari Jild Soim-Hadees 1757)
Huzoor
Aleh Salato Wasalam farmate hain:
“Qayamat
ke din bande se sab se phele jis cheez ka hisaab liya jaye ga wo namaz hey aur
pheli cheez jis ka faisla logon ke darmiyan kiya jaye ga wo khoon ke dawey
hain.”
(Sansan
Nisai Jild Soim-Hadees 293)
Hazrat
Abdullah r.a Bin Masood se riwayat hey ke aik shakhs ne Huzoor Aleh Salato Wasalam se arz kiya: “Sab se bara
gunah kon sa he?”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Ye
ke to kisi ko Allah Talah ka shareek banaye halan ke is ne tujhe paida kiya.”
Is
ne phir pocha: “Is ke baad kon sa gunah he?”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya: “Tu apne bacche ko qatal kar de is khayal se ke
wo tery khane mein shareek hoga.”
(Sahi
Bukhari Jild Soim-Hadees 1756)
Insane
jaan ka ehtram uth jaye aur insane hoqooq pamaal hon to infaradi o ijtamai
fasaad paida ho jata hey. Ye fitna o fasaad bohat si sooraton mein runuma hota
hey. Ye fitna afraad mein aur jamaton mein bhi hota hey. Is amal se afraad ke hoqooq
pamaal hoty hain, naslen aur khetiyan barbaad ho jati hain aur mazhabi azaadi
se insaan mehroom ho jata hey.
Quran
Kareem mein irshad he:
“Ye
log jab bhi khoon rezi ki aag bharkate hain to Allah Talah is ko bujha dety
hain. Ye log zameen mein fasaad barpa karne ki koshish karte hain magar Allah
Talah fasaad karne walon ko pasand nahi karte.”
(Surah
Al Maidah-Ayat 64)
Taqat
ka istemaal is waqt karna chahiye jab koi jamaat ya qoam waaz o nasihat par
amal na kare.
Allah
Talah ne irshad farmaya he:
“Agar
Allah Talah logon ko aik dusre ke zariye difa na karta to somey aur garje
mabdon aur masajid jin mein Allah Talah ka zikar kasrat se kiya jata he,masmaar
kar di jatien.”
(Surah
Al Haj-Ayat 40)
Duniya
mein kamzoron, be bason aur ghareebon par zulm hota ho, insane hoqooq pamaal
kiye jaty hon, ikhlaqi o mazhabi qadron ko khatam karne ki koshish ki jati ho,
afhaam o tafheem se masail hal karna mumkin na rahe aur haq ki bala dasti qaim
karna zarori hojaye to jang ki jaye.
Islami
nuqta nazar se jang is sorat mein jaiz hey ke azaadi aur aman o amaan bar
qaraar rakha jaye.
Har
kaam karne ke liye do cheezon par ghor karna zorori hey.
•
Maqsad ka taiyun kiya jaye jo
shariyat ke mutabiq ho.
•
Maqsad ke husool ke liye jiddo jehad
ka taiyun kiya jaye.
Maqsad
hasil karne mein usool o zawabit ka khayal rakha jaye aur usool o zawabit
ikhlaas aur ikhlaaq par mabni hon. agar maqsad ke husool mein khuloos aur
awamun naas ki falah nahi hey to maqsad ka husool sahi nahi hey.
Jang
ka maqsad agar kamzoor qoamon ki azaadi cheenna, loot maar karna aur Allah
Talah ke bandon ko in ke hoqooq se mehroom karna zulm o sitam ka bazaar garam
karna hey to aisi jang kitne hi nazmo zabt ke sath ki jaye wo zalimana iqdaam
hey. Jang mein loot maar karna, aag lagana, gharon ko jalana, maishat ke tabah
karna, doraan e jang ikhlaqi qadron ko ehtraam na karna, asmat o iffat ki
hifazat na karna zalimana iqdaam hain.
Jaiz
aur haq ke liye jang ki tareef ye hey ke “Maqsad naik ho aur maqsad hasil karne
ke liye jo tareeka ikhtiyaar kiye jayen wo mukhlisana hon.
Islami
taleemaat ke mutabiq jang mein ye usool mad e nazar rakha jata hey ke maqsad ko
hasil karne ke liye pakizgi, hamdardi aur shariat par har haal mein amal kiya
jaye.
Islami
nuqta nazar se jang ka asal maqsad ba muqabil dushman ko halaak karna aur is ko
nuqsaan pohnchana nahi hey. Balke mehez is ke shar ko khatam karna hey. Qowat
ka istemaal sirf inhin dushmano ke khilaaf hona chahiye jo amlan bar sare
pekaar hon ya had se tajawez kar jayen.
Islam
ne duniya mein raij jangi qawaneen ke wehshiyana tareeqon se mana kiya hey.
Islam ne in galat tasawwuraat ke odaur karne ki koshish ki hey jo sadiyon se
raij the. Islam se qabal log ye samajhne se qasir the ke jab maal o dolat ke liye,
mulk ko fateh karne ke liye, shuhrat aur namoori ke liye, jang na ki jaye to
phir jang ka kiya maqsad hey….? Jis ke liye insaan apni jaan ka nazrana pesh
kare.
Chunacha
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne phela kaam
ye kiya ke jahaad “Fi Sabeellillah” ke maini aur maqsad ka taiyun farmaya. Is
barey mein Huzoor Aleh Salato Wasalam se
kai hadeesen marwi hain.
Aik
shakhs Huzoor Aleh Salato Wasalam ke paas
hazir howa aur is ne arz kiya:
“Koi
shakhs maal e ghanimat hasil karne ke liye jang karta he, koi bahaduri dikhane
ke liye jang karta he, ya Rasool Allah Aleh Salato Wassalaam! Farmaiye is mein kon
si jang Allah Talah ke liye hey.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Allah
Talah ki rah mein sirf is shakhs ki jang qabil e qabool hey jo mukhlisana
tarzon mein Allah Talah ka bol bala karne ke liye jang kare.”
(Bukhari
Shareef Jild dom-Hadees 369)
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Laraiyan
do qisam ki hain, jis shakhs ne khalis Alla Talah ki raza ke liye jang ki aur
imam ki itaat ki, apna behtreen maal kharch kiya aur fasaad se perhaiz kiya to
is ka sona jagna sab ajar ka mustahiq hey aur jis ne duniya dikhawa aur shurat
ke liye namoori ke liye jang ki aur imam ki nafarmani ki aur zameen par fasaad
phelaya to is ke liye azaab hey.”
(Sansan
Abu Dawood Jild Dom-Hadees 743)
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Qiyamat
ke din sab se phele teen qisam ke admiyon ke faisla kiya jaye ga. Phela wo
shakhs pesh kiya jaye ga jo lar kar shaheed howa tha. Allah Talah is se apni
naimaton ka tazkara farmayen ge aur jab wo in ka iqrar kar le ga to Allah Talah
pochen ge tu ne mery liye kya kiya? Banda arz kare ga Allah Talah mein ne aap
ke liye jang ki, yahan tak ke mein shaheed hogaya. Allah Talah farmayen ge: “
Tu ne jhoot bola hey tu ne is liye jang kit hi ke log kahen ge falan shakhs
bara taqatwar he, so tera maqsad pura hogaya. Phir Allah Talah is ke liye azaab
ka hukum den ge aur isy mu ke bal ghaseet kar dozakh mein daal diya jaye ga.”
(Jama
Tarmeezi Jild Dom-Hadees 264)
Islami
usool o zawabit ke mutabiq agar duniyawi maqasid ke liye jang ki jaye to jaiz
nahi.
Shurat
o naamori ki talab, maal e ghanimat ki tama, shakhsi aur qoami adawat aur is ka
inteqaam. Gharz ye ke duniya ki koi gharz aisi nahi jis ke liye jang jaiz ho.
Jang mehez ikhlaqi aur deeni farz hey.
Islam
ki ro se jang sirf do sooraton mein jaiz aur zarori hey. Aik difaa aur
dosri islah.
Allah
Talah farmate hain:
“Deen
mein kisi tarha ka jabar nahi. Is liye hidayat gumrahi se juda hey.”
(Surah
Al Bakra-Ayat 256)
Islam
mein jang ka maqsad aqeede ki azaadi aur dawat e tabligh mein azaadi aur aman o
amaan qaim rakhna hey.
Allah
Talah farmate hain:
“Allah
Talah ki rah mein in logon se jang karo jot um se larte hain lekin ziyadti na
karo. Allah Talah ziyadti karne walon ko passand nahi farmate.”
(Surah
Al Bakra-Ayat 190)
•
Aik martaba median e jang mein
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne aik aurat
ki lash dekhi. Naraz ho kar farmaya: “Ye larne walon mein shamil nahi thi.”
Phir
sipa salaar Hazrat Khalid r.a Bin Waleed ko talab kiya aur irshad farmaya:
“Aurat aura jeer ko har giz qatal na karo.”
Aik aur riwayat ke mutabiq Huzoor Aleh Salato Wasalam ne aurton aur
bacchon ke qatal e aam se mana farmaya hey.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Kisi
burhe zaeef ko qatal na karo, chote bacche aur aurat ko qatal na karo.”
Fateh
Makkah ke moqey par Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne hidayat farma di thi.
“Kisi
zakhmi par zulm nahi karna, koi jaan bacha kar bhage to is ka peecha nahi karna
aur jo apna darwaza band kar ke beth jaye isy amaan dena.”
Hazrat Ibn e Abbas r.a se riwayat he:
Huzoor
Aleh Salato Wasalam jab kisi muhaaz par fauj bhejte the to hidayat farmate the:
“Be
zar khadmon ko aur khankah mein rehne walon ko qatal na karna.”
•
Arab raaton ko akhir shab mein jab
log be khabar soty hain anchanak hamla karte the. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is ko khatam kar diya
aur qanoon banaya ke subah se phele kisi dushman par hamla na kiya jaye.
•
Log inteqaam ki shiddat mein aag
laga detey the. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne is wehshiyana amal ko khatam farma diya.”
(Sahi
Bukhari-Jild Doim-Hadees 268)
•
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
dushman ko bandh akr qatal karne aur takleef dene ki mamanat farmai hey.
(Sahi
Bukhari Jild Doim-Hadees 269,270)
•
Jab foojen kisi ilaqe ko fateh karti
hain to faslon ko kharaab karna, kheton ko tabah karna aur bastiyon mein qatal
in ke mamolaat mein se hota hey. Magar Islam is ko mana karta hey.
Quran Kareem mein irshad he:
“Jab
isy iqtedaar hasil hojata hey to zameen mein is ki saari daur dhoop is liyehoti
hey ke fasaad phelaye, kheton ko gharat kare aur nasl e insaani ko tabah kare
halan ke Allah (jisy wo gawah bana raha tha) fasaad ko har giz passand nahi
karta.”
(Surah
Al Bakra-Ayat 205)
•
Dushman ki lashon ki be hurmati
karna, in ke aaza ki qata o bareed (jisam ke mukhtalif hisson ko kanta) karne
se Islam ne sakhti se mana kiya hey. Huzoor Aleh Salato Wasalam foojon ko bhejte waqt
hidayat farmate the:
“Bad
ehdi na karna, ghanimat mein khayanat na karna aur masla na karna.”
(Tarmeezi
162/4)
•
Arab ki jang mein bohat ziyadah
shoor hangama barpa hota tha. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne is ki ijazat nahi di.
Hazrat
Abu Moosa Asaara r.a se riwayat he:
“Hum
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke sath the
aur jab kisi wadi mein pohnchte to zor o shoor se taqbeer o tehleel ke naarey
buland karte the. Is par Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne farmaya k
“Logo!
Waqaar ke sath chalo, tum jis ko pukaar rahe ho won a behra hey na ghaib. Wo to
tumhare sath he, sab kuch suntan hey aur bohat qareeb hey.”
(Bukhari
Kitaab-Al Jahaad-16/4)
“Yaqeenan
Allah Talah ne tumhari badar mein madad ki jab tum kamzoor the to Allah Talah se
daro ta ke tum shukar guzaar ban jao.”
(Surah
Al Imraan-Ayat 123)
Ghazwa
Badar ka murka 17 Ramzaan, 2 hijri mein musalmano aur Quraish Makkah ke darmiyan
pesh aya. Badar ka muqaam Madina se 80 mile aur Makkah se 220 mile ke faisle
par waqiya hey. Ye muqaam sham ke raaste se qareeb hey.
Musalmano
ne jab Quraish ki girift se azaad ho kar Makkah se Madina ki taraf hijrat ki to
Quraish ka ghez o ghazab bohat ziyadah hogaya, chunacha inhon ne Abdullah Bin
Ubi ko khat likha:
“Aap
logon ne Muhammad Rasool Allah (Alhe Salato Wassalaam) ko panah de rakhi hey hum
Allah Talah ki qasam kah kar khete hain ke aap in se larai kijiye ya inhen
nikaal dijiye. Agar aisa nahi hoga to hum apni puri taaqat ke sath hamla kar
den ge. aap ke sarey mard khatam hojayen ge aur sari aurton ki izzat pamaal
hojaye gi.”
Is
khat ke pohnchte ho Abdullah Bin Ubi apne bhaiyon ke hukum ki tameel mein mustaad
hogaya. Wo phele se hi Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke khilaaf the. Is ke zehan mein ye baat thi ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Madine mein is ki
badshahat khatam ki hey. Chunacha Abdullah Bin Ubi aur is ke rufka Huzoor Aleh Salato Wasalam se jang ke liye jama howe.
Jab Huzoor Aleh Salato Wasalam ko is ki
khabar howi to aap Aleh Salato Wasalam is ke paas tashreef le gaye aur farmaya:
“Quraish
ki dhamki ne tum logon par bohat bura asar kiya hey tum log khud apne aap ko
jitna nuqsaan pohnchana chahte ho Quraish is se ziyadah tum ko nuqsaan nahi
pohncha sakte, tum log apne betey aur bhaiyon se khud hi larna chahte ho.”
Chu
ke Abdullah Bin Ubi aur is ke saathiyon ke aksar rishtedaar emaan la chuke the
is liye Huzoor Aleh Salato Wasalam ki
baat ba asaani in ki samajh mein aagai aur in halaat mein Abdullah Bin Ubi jang
ke iradey se baaz aagaya ab is ke saathi bhi larna nahi chahte the.
Hazrat
Saad r.a Bin Maaz ne jab umre ka iradah kiya to wo Umiya Bin Khalaf ke han
mehman howe. Aik din Hazrat Saad r.a Umiya ko sath le kar Bait ullah ki taraf
nikle to abu jehal se mulaqaat hogai. Abu Jehal ne pocha: “Tumhare sath kon
he?”
Umiya
ne kaha: “Mery sath Saad r.a hain.”
Abu
Jehal ne Hazrat Saad r.a ko mukhatib karty howy kaha: “Tum logon ne “Be deen
logon” (musalmano) ko panah de rakhi hey aur in ki har tarha se imdad o tawun
kar rahe ho! mein har giz ye nahi dekh sakta ke tum log aakar Kabaa ka tawaaf
karo. Khuda ki qasam! Agar tum Umiya ke sath na hoty to zindah bach kar nahi ja
sakte the.
“Agar
tum hamey Hajj aur tawaaf se mana karo ge to hum bhi tumhara Madina wala raasta
band kar den ge.” Hazrat Saad r.a ne ba awaz buland kaha:
Ahle
Makka ki maishat ka sara daaromadaar is tijarat par tha jo ahle Makka Shaam ke sath
kiya karty the, Kiyonke Makka ki sar zameen to “Wadi Ghair Zi Zaraa” (na qabil
zaraat) the, wahan ghalla ki pedawaar siry se hoti hi nahi thi. In ki dolat
oon, khalen aur chamra wagera thi. Ahle Makka ye cheezen Shaam le ja kar
farookht kar diya karty the aur wahan se zaroriyaat e zindagi khareed laty the.
Is maqsad ke liye in ke tijarti qafley aksar o beshtar shaam ki taraf aaty jaty
rehty the aur shaam jany ke liye behar soorat Madina ke paas se ho kar guzarna
parta tha. Agar ahle Madina tijarat ka ye raasta band kar dety to ahle Makka
faqa kasha par majboor ho jaty. Abu Jehal is haqeeqat se ba khoobi agah tha, is
liye Hazrat Saad r.a ki dhamki sunne ke baad isy kuch bolne ka hosla na howa.
Quraish
ne musalmano ko pegham pohnchaya ke tum is baat par maghroor na hona ke Makka
se ma hifazat nikal aye ho hum Madine pohnch kar tumhare sath jang karen ge. In
halaat mein Huzoor Aleh Salato Wasalam raat
jag kar guzaarte the ya Sahaba Karaam r.a ke pehre mein sooty the. Yahan tak ke
Allah Talah ne Huzoor Aleh Salato
Wasalam ko hifazat ki basharat farmai.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya “logon! Wapis jao Allah Talah ne meri hifazat ka
wada farmaya hey.”
Halaat
jab dugargun hogaye aur Quraish kisi bhi tarha baaz na aye to Allah Talah ne
musalmano ko jang ki ijazat de di.
Allah
Talah ka irshad he:
“Ijazat
de di gai in logon ko jin ke khilaaf jang ki ja rahi thi, Kiyonke wo mazloom
hain aur Allah Talah yaqeenan in ki madad par qadir hain.”
(Surah
Hajj-ayat-39)
Jangi
hikmat e amli ke tehat musalmano ne faisla kiya ke jis tarha Qabeela e Quraish
ne Madina ko muashi muhasara mein liya howa tha isi tarha wo bhi Makka ke tijaarti
qaaflon ko Madina se guzarne na den.
Quraish
ne musalmano ki hijrat ke sath hi Madine par jang karne ki tiyariyan shuru kar
di thien. Hamle ke liye sab se bari zarorat jang ke ikhrajaat the. Quraish ka
jo karwan tijaarat ke liye shaam rawana howa to Makke ki abaadi ne raqoom
muhaiyya kien. Is tijaarti qaafle mein aurton ne bhi hissa liya.
Madine
ki hadood se guzar kar Makka jane waly is qaafle mein aik hazaar onth the jin
par qeemti samaan tha. Riwayat ke mutabiq is samaan ki maliyat kam o besh basat
kilo sone ke barabar thi. Is qafle ki hifazat ke liye challis admi muqarrar
the.
Abu
Sufiyaan ka ye tijaarti qaafla Makke se Shaam jaty howy bach nikla tha. Yehi
qaafla jab Shaam se wapis aany wala tha to kisi fitna pardaaz ne afwah ura di
ke musalman is qaafle ko loot len gen.
Abu
Sufiyaan ko jab ye khabar pohnchi to wo sakht khofzada hogaya. Isi waqt aik
taiz raftaar qasid Zamzam Bin Umro Al Ghaffari ko Makka ki taraf rawana kiya
aur hidayat ki ke Quraish ko ittila kar de ke jis qadar mumkin ho apne is maal
e kaseer se bhare howy tijaarti qaafle ki khabar len aur apna sarmaya bachayen
q ke Madina se Muhammad (alhe Salato wassalaam) apne Ashaab ke hamrah is qaafle
se taaruz ke liye rawana howy hain.
Zamzam
bohat jald Makka pohnch gaya. Apni faryaad ko musar banane ke liye is ne apne
onth ke naak aur kaan kaat diye. Kajawa ulat diya aur apni qameez phar kar
nehayat dard naak awaaz mein chillane laga.
“Aye
jamat e Quraish! Qaafle ko pohncho, qaafle ko pohncho. Abu Sufiyaan tumhara jo
maal le kar aaraha he, is par Muhammad (alhe Salato wassalaam) aur in ke sathiyon
ne hamla kar diya hey. Mujhe umeed nahi hey ke tum is ko bacha sako. Faryaad
he, faryaad hey.”
Zamzam
ka waweela sun kar bohat se log jama hogaye aur kehne lage kiya Muhammad (alhe
Salato wassalaam) ye chahte hain ke h umraa maal raiga chala jaye. Hum apne maal ki
hifazat ke liye jaye ge aur dekhen ge ke in musalmano par kiya guzarti hey. Is
tarha bazahir to inhon ne shujaat o hamiyat ka muzahira kar diya, magar andar
se sab ke dil laraz rahe the Kiyonke inhi dino Huzoor Aleh Salato Wasalam ki phoppi Aatka ne aik
khuwab dekha tha.
Bibi
Aatka ne khuwab dekha ke shatar sawaar Makka se bahir khara hey aur ba awaz e
buland keh raha he
“Ay
dhoke bazo! Teen din ke baad is taraf rawana ho jao jahan tum ne qatal ho kar
girna hey.”
Is
ki awaaz sun kar majma lag gaya aur is ke peche peche chalne laga. Wahan se
chal kar wo sawaar Masjid e Haram mein aaya aur Kabaa ki chaatt par kharey ho
kar logon se mukhatib ho kar wohi elaan kiya hey.
Phir
daftan wo sawaar Jibl e Abu Qais ki choti par nazar aya aur yehi elaan karne
laga. Is ke baad is ne Jibl e Abu Qais ki choti se aik pathar neche ki taraf
lurhka diya. Wo pathar neeche aya aur toot gaya aur is ke tukre ur ur kar Ahle
Makka ke gharon mein girne lage. Bibi Aatka kehti hain ke Makka ka koi ghar
aisa nahi bacha jis mein is ka koi tukra na gira ho.
Subah
howi to Bibi Aatka ne ye khuwab apne bhai Abbas ko sunaya aur kaha ke kisi aur
se is ka zikar nahi karna. Abbas ne raaz dari ke sath yehi khuwab apne dost ko
sunaya. Is tarha jald hi ye baat sare Makka mein phail gai.
Teesre
din Hazrat Abbas Haram mein gaye to wahan Abu Jehal chand logon ke sath betha
tha. Is ne Hazrat Abbas ko dekhte hi kaha:
“Tumhare
mard to nabowat ke dawey daar the hi…….ab tumhari aurton ne bhi nabowat ka dawa
karna shuru kar diya hey.”
Kiya
matlab…..? kis ne nabowat ka dawa kiya he? Hazrat Abbas ne
heart se pocha.
Ye Aatka ne jo khuwab biyan kiya hey ye nabowat ka
muzahira nahi to aur kiya he?
Aatka ke biyan ke mutabiq kisi sawaar ne ahle Makka se
kaha hey ke teen din ke baad is taraf rawana hojao jahan tum ne qatal ho kar
girna hey. Ab hum teen din tak intezaar karen gen. agar teen din tak kuch na
howa to hum sab mutafaqqa tor par tum logon ke barey mein likh den ge ke tumhara
gharana arab ka sab se jhoota gharana hey.
Abhi guftugu ho rahi thi ke Abu Sufiyaan ka qasid Zamzam
Bin Umro Al Ghaffari Makka mein dakhil howa aur is ne chekh chekh kar Abu
Sufiyaan ka pegham sunana shuru kar diya. Goya teesre din hi Aatka ke khuwab ki
sadaqat zahir hona shuru hogai.
Abu
Sufiyaan ke pegham sunte ho Makka mein halchal mach gai. Quraish mein koi mard
o aurat aisa na tha jis ne apni puri ponji o sarmaya is lashkar ke liye kharch
na kiya ho. Quraish ke ghaiz o ghazab ke badal barey zor se utha aur tamam arab
par cha gaya. Quraish ke barey barey sardaar aur har qabeele ke log jang ke liye
tiyaar hogaye. Makka mein do tarha ke log the ya to aadmi khud jang ke liye
tiyaar tha ya is ne apni jagah kisi dusre ko namzad kar diya tha.
Mauzizen e Makka mein se koi peeche na raha. Sirf Abu
Lehab ne apni jagah aik aadmi ko bheja jo is ka maqrooz tha. Gardo pesh ke qabail
ko bhi Quraish ne bharti kiya.
In ke pesh e nazar ye nahi tha ke qaafle ko bachaya jaye
balke wo is irade se nikle the ke aaye din ke khatre ko hamesha ke liye khatam
kar diya jaye aur qabail ko is had tak maroob kar den ke aindah ke liye ye
tijaarti shahrah bilkul mehfooz hojaye.
Lashkar
ki tadaad aik hazaar se zaeed thi. Jin ke paas aik so ghorey aur chey so zarah
thien. Onth kasrat se the. Lashkar ka sipa salaar Abu Jehal tha.
Quraish
barey takabbur o gharoor se gane bajane wali aurton aur tablon ko sath le kar
akartey howe Madina Munawwara ki taraf rawana howe. Ghizai zaroriyaat puri
karne ke liye bohat sare onth sath liye. Jahan parao hota onth zibah kiye jate,
gosht bhona jata, gane wali aurten shujaat o inteqam ke mazameen par mushtamil
nazmen ga kar jazbaat ubharti. Quran Kareem mein Allah Talah ne Quraish ke is
lashkar ke bare mein farmaya:
“In
logon jaise na bano jo itrate howe aur logon mein khud numai karte howe apne
gharon se chale aur Allah ki rah se rokte the, jo kuch wo kar rahe hain Allah isy
ghair leny wala hey.”
(Surah
Al Anfal-ayat-47)
Huzoor
Aleh Salato Wasalam har waqt halaat se bakhabar rehte the. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Taha r.a Bin
Ubaid aur Hazrat Saeed r.a Bin Zaid ko halaat ka pata lagane ke liye rawana
farmaya. Huzoor Aleh Salato Wasalam ko
in halaat ki ittila mili to Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne Sahaba Karaam r.a ko jama kiya aur Quraish ki rawangi ke bare
mein in ko bataya.
“Aik
taraf shumaal mein tijaarti qaafla hey aur dusri taraf junoob se Quraish ka
lashkar a raha hey. Allah Talah ka wada hey in dono mein se aik par h umraa ghalba ho jaye ga.”
“Aur
(Yaad karo) jab wada kar raha tha tum se Allah Talah aik ka do gurhon mein se
ke wo tumhe mil jaye ga aur tum ye chahte the ke kamzoor ghiroh mil jaye tumhe
aur iradah tha Allah Talah ka ye ke sabit kar dikhaye haq ko apne irshadaad se
aur kaat de jar kafiron kit a ke sach ko sach aur jhoot ko jhoot kar de khuwa
nagawaar guzre mujrimo ko.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-7-8)
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne Ansaar o Mahajireen se farmaya:
“Batao
tum kis se muqabla karna chahte ho?”
Aik ghiroh ne arz kiya:
“Abu
Sufiyaan ke qaafile par hamla kiya jaye.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne phir dariyaft farmaya.
Hazrat Maqdaad r.a Bin Umro ne arz kiya:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Jis taraf aap Aleh Salato Wasalam ke rab
Aap Aleh Salato Wasalam ko hukum de rahe hain Huzoor Aleh Salato Wasalam is taraf chaliye. Jis
taraf bhi aap jayen, hum Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke sath hain. Hum Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke sath is waqt tak rahen ge jab tak hamare jisam mein jaan hey.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne Ansaar ko mukhatib kiye baghair apna sawal dhuraya.
Hazrat Saad r.a Bin Maaz uthe aur arz kiya:
“Shayad
Huzoor Aleh Salato Wasalam ka roye
sakhan hamari taraf he?”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya: “Han”
Hazrat Saad r.a na kaha:
“Hum
Huzoor Aleh Salato Wasalam par emaan laye hain, Huzoor Aleh Salato Wasalam ki tasdeeq kar chuke hain
ke Huzoor Aleh Salato Wasalam jo kuch
laye hain wo haq hey aur Huzoor Aleh
Salato Wasalam se ehad kar chuke hain. Aye Allah Talah ke Rasool Aleh Salato wassalaam!
Jo kuch aap Aleh Salato Wasalam ne iradah farmaya hey hum is se muttafiq hain.
Qasam hey is zaat ki jis ne Huzoor Aleh
Salato Wasalam ko haq ke sath bheja hey. Agar Huzoor Aleh Salato Wasalam hamey samandar mein le
jayen to hum Huzoor Aleh Salato Wasalam
ke sath samandar mein utar jayen ge aur hum mein se aik aadmi bhi peeche nahi
rahe ga. Hum dil o jaan se Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke sath hain. Insha.allah jang mein sabit qadam rahen gen aur
Huzoor Aleh Salato Wasalam jang mein hamari
jaan nisaari dekh len ge.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne apne sathiyon ke pur josh jazbe aur himmat ko dekh kar
ye faisla kiya ke Abu Sufiyaan ke qaafle par hamla nahi karen ge balke junoob
ki taraf se aane wale Quraish ke lashkar ki taraf pesh qadmi karen ge. Huzoor Aleh Salato Wasalam ke is faisle se ye baat
zahir hoti hey ke aap Aleh Salato Wasalam ne khabhi maal o dolat ko ehmiyat
nahi di. Huzoor Aleh Salato Wasalam ka
ye faisla koi mamooli faisla nahi tha.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam rawangi ke liye tiyaar howe to Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hamrah teen so afraad
the (yani 313 ya 314 ya 317) jin mein se 82 ya 83 ya 84 Mahajir the aur baqi
Ansaar the. Is lashkar ne Ghazwey ka koi khas ehtmaam nahi kiya tha na mukammal
tiyari thi.
Lashkar
mein sirf do ghorey aur sattar onth the, jin mein se har onth par do ya teen
aadmi bari bari sawaar hoty the. Aik onth Huzoor Aleh Salato Wasalam , Hazrat Ali (r.a) r.a aur
Hazrat Marsad r.a Bin Abi Marsad Ghanwaa ke hisse mein aya tha jin par teeno
hazraat bari bari sawaar hoty the. Lashkar ki tanzeem is tarha ki gai ke aik
lashkar Muhajireen ka banaya gaya aur aik Ansaar ka.
Muhajireen
ko ilm Hazrat Ali (r.a) r.a Bin Abi Talib ko diya gaya aur Ansaar ka ilm Hazrat
Saad r.a Bin Maaz ko aur journol kamaan ka parcham jis ka rang safaid tha
Hazrat Masab r.a Bin Umair ko diya gaya. Memna (dayen janib) ke afsar Hazrat Zubair
r.a Bin Awam muqarrar kiye gaye aur maisara (bayen janib) ke afsar Hazrat Maqdad
r.a Bin Aswad. Purey lashkar mein sirf yehi dono buzurg shehsawar the. Lashkar
ke saaqa (akhri hissa) ki kamaan Hazrat Qais r.a Bin Abi Sasa ke hawaley ki gai
aur sipa salaar aala ki hesiyat se journol kamaan Huzoor Aleh Salato Wasalam ne khud sambhali.
Samaan
e jang na kaafi tha, magar Huzoor Aleh
Salato Wasalam aur Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke sathi samajh chukey the ke ye waqt jaan ki bazi lagane ka hey is
liye Allah Talah ke bharosy par inhon ne junoob mashriq ki taraf march (march)
kiya. Is taraf se Quraish ka lashkar aaraha tha.
Quraish
ko badar ke qareeb hajfa ke muqam par pohnch kar jab maloom howa ke Abu
Sufiyaan ka qaafla khatre se nikal gaya hey to Qabeela Zuhra aur Adi ke sardaron
ne kaha:
“Ab larna zarori nahi hey.”
Abu Jehal khara hogaya aur nehayat gharoor o takabbur se
bola:
“Khuda
ki qasam! Hum wapis nahi jayen ge. Badar ja kar wahan teen rooz qayaam karen
ge, khoob khayen ge, piyen ge aur jashan manain ge aur sara Arab h umraa is safar ka haal sune ga aur hamesha ke liye
musalmano par hamari dhaak beth jaye gi.”
Zuhra
aur Adi ke logon ne Abu Jehal ki jab ye baat suni to inhen yaqeen hogaya ke ye
mehaz iqtedaar ki jang hey. Abu Jehal ke dil mein Bano Hashim ke barey mein hasad
aur bughaz hey aur mehaz is liye wo Huzoor Aleh Salato Wasalam ki sadaqat ki mukhalfat
kar raha hey. Chunacha Zuhra aur Adi ke log wapis chale gaye.
Lashkar
ne apna safar jari rakha. Ab lashkar ki tadaad aik hazaar thi aur is ka rukh
badar ki janib tha. Badar pohnch kar is ne aik teele ke qareeb parao dala. Ye
teela Wadi e Badar ke junoob mein waqiya hey aur inhon ne munasib jagoh par
chukiyan bana lien.
Sarwar
e do Aalam Huzoor Aleh Salato Wasalam Adwat
ud duniya ki taraf se wadi e badar mein dakhil howe. Musalmano ne jis jagah
qayam kiya wahan koi chasma ya khuwan nahi tha. Zameen reteeli thi. Onthon ke paon
rait mein dhas rahe the.
Hazrat Khabab r.a Bin Manzar ne arz kiya:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Is jagah par qayam ka hukum aap Aleh Salato
Wasalam ko Allah Talah ki taraf se mila hey ya ye aik jangi tadbeer he?”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Ye
mehaz aik jangi tadbeer hey.”
Hazrat Khabab r.a Bin Manzar ne arz kiya
“Ya Rasool Allah Aleh Salato Wasalam ye jagah qayam ke liye
munasib nahi. Huzoor Aleh Salato Wasalam
aagey tashreef le chalen aur Quraish ke sab se nazdeek jo chasma hey is par
qabza kar len, is tarha sarey purane khuwen hamare aqab mein hojayen ge phir
hum sare khuwon ko band kar den ge aur sirf aik khuwan rehne den ge aur wahan
aik hooz bana kar pani jama kar len gen.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne ye raye pasand farmai aur is par amal kiya gaya.
Is
raat Allah Talah ne badal bhej diye khoob musla dhaar barish howi. Musalmaan
reteely ilaqe mein khema zan the. Barish ki waja se rait jam gai aur musalman
asaani se chalne phirne lage. Lekin Quraish ne jis jagah kheme dale the wahan
barish se har taraf kichar ban gai. Chalna phirna dushwaar hogaya. Raat bhar wo
apne khemon mein mehsor ho kar bethy rahe.
Is
ehsaan ka Allah Talah ne Quran Kareem mein zikar farmaya he:
“Aur jab ke Allah Talah ne asmaan se pani barsaya ke tum
ko paak kare.”
(Surah Al Anfaal-ayat-11)
Jagah jagah pani ko rook kar chote chote hooz bana liye
gaye. Agarchey pani is tarha mehfooz kar
liya gaya tha lekin Allah Talah ke mehboob Huzoor Aleh Salato Wasalam ne dushmano ko bhi pani
leny ki ijazat marhammat farma di.
Sahaba Karam r.a chasme par parao daal chuke to Hazrat Saad
r.a Bin Maaz ne ye tajweez pesh ki ke kyn na musalmaan Huzoor Aleh Salato Wasalam ke liye aik markaz e
qiyadat tameer kar den ta ke khuda na khuwasta fateh ke bajaye shikast hojaye
ya hangami halaat pesh aajayen to is ke liye hum phele hi se tiyar hain,
chunacha inhon ne arz kiya:
“Ay Allah ke Nabi Aleh Salato wassalaam! Kyn na hum
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke liye aik
chappar tameer kar den jis mein Huzoor Aleh
Salato Wasalam tashreef rakhen ge aur hum Huzoor Aleh Salato Wasalam ke liye sawariyan tiyar
rakhen ge. is ke baad apne dushman se laren ge. agar Allah Talah ne izzat
bakshi aur hum dushman par ghalib agaye to hum par Allah Talah ka fazal hoga
aur agar khuda na khuwasta dusri sorat pesh aayi to Huzoor Aleh Salato Wasalam sawaar ho kar hamari qoam
ke logon ke paas chale jayen ge.”
Allah Talah ke Habib Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Saad r.a Bin
Maaz ki tareef farmai aur in ke liye dua e khair ki.
Musalmano ne medaan e jang ke shumaal mashriq mein aik
onche teele par saibaan banaya jahan se pura medaan nazar ata tha. Hazrat Saad
r.a Bin Maaz ki kamaan mein Ansari najawan ka aik dasta bana diya gaya.
Jumme
ki raat har shakhs par neend musallat thi aur wo ongh raha tha. Musalmano aur
Quraish ke khemon ke darmiyan rait ka aik bohat bara teela tha. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Ammar r.a Bin
Yasir aur Hazrat Abdullah Bin Masood ko Quraish ka haal maloom karne ke liye
bheja inhon ne wapis aakar bataya ke wo log sakht pareshan hain.
Jab
ke is raat musalmano ko khoob neend aayi. In mein etmad tha. Inhen ye tawaqqa
thi ke subah apni ankhon se apne raab ki basharaten dekhen ge.
Subah
utthey to musalman hasshash basshash the. Safar ki saari thakan daur ho chuki
thi. Magar Huzoor Aleh Salato Wasalam puri
raat jaagte rahe aur Allah Talah se fateh ki dua karte rahe. Subah howi to
logon ko namaz ke liye awaaz di aur namaz ada karne ke baad jahaad se mutaliq
waaz farmaya.
Quraish
ne wadi ke bahir apne khemon mein raat guzari aur subah foji daston ke sath
teeley se neeche utre aur badar ke janib Koch kiya. Pani na milne se mushriqeen
ki halat ghair hogai, akhir majboor ho kar isi khuwen par aye jis par musalmano
ka qabza the. Huzoor Aleh Salato Wasalam
ne farmaya:
“Inhen
chor do, inhen ji bhar kar pani pi lene do.”
Quraish
ne musalmano ke lashkar ki qowat ka andaza lagane ke liye Umair Bin Wahab Jamhi
ko bheja. Umair ne ghorey par sawaar ho kar chakkar lagaya phir wapis ja kar
bola:
“Taqreeban
teen so aadmi hain. Lekin zara tehro mein dekh lon ke lashkar ke log aur kisi
jagah to jama nahi hain?”
Is
ke baad wo wadi mein ghora dorata howa daur tak nikal gaya lekin isy mazeed
fouj nazar nahi ayi.
17
Ramzaan barooz e Jumma Aleh subah Huzoor Aleh Salato Wasalam ne harbi usolon ke mutabiq
fouj ko munazzim kiya. Is muqe par Huzoor Aleh Salato Wasalam ne sifen durust farma kar
musalmano ko hidayat farmai ke mari ijazat ke baghair larai shuru na ki jaye.
Jab tak akhri ehkaam na sun lo, apni jagah par qaim raho. Is ke baad tareeka e
jang ke barey mein khususi rehnumai farmate howe irshad farmaya:
“Jab
mushriqeen tumhare qareeb ajayen to tum in par teer chalana.”
Dusri
taraf mushriqeen ka ye haal tha ke Abu Jehal ne dua ki. Is ne kaha:
“Aye
Khuda! Hum mein se jo fareeq qarabat ko ziyadah kantne wala aur ghalat harkaten
karne wala hey isy aaj ap halaak kar dijiye. Aye Khuda! Hum mein se jo fareeq
ap ke nazdeek ziyadah mehboob hey aur ziyadah pasandedah hey aaj is ki madad
farmaiye.”
Allah Talah ne Ayat nazil farmai:
“Agar tum faisla chahte to tumhare paas faisla agaya, aur
agar tum baaz ajao to yehi tumhare liye behtar he, lekin agar tum (apni is
harkat ki taraf) palto ge to hum bhi (tumhari saza ki taraf) palten ge aur
tumhari jamaat agarchey wo ziyadah hi q
na ho tumhare kuch kaam nahi aye gi. Aur yaad rakho Allah Talah momineen ke sath hain.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-19)
Is
muqey par jab ke fareqeen puri tayyari ke sath sifen bandh kar jang ke liye
tayyar the. Is waqt Allah Talah ke mehboob Aleh Salato Wasalam ne lashkar Islam
se khitab farmaya.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne pehle Allah Talah ki hamd-o-sana ki.
Phir
farmaya:
“Main
tumhen in kamon se mana karta hon jin se Allah Talah ne mana farmaya hey.Allah
Talah ki shan buhat bari hey. Wo haq ka hukum deta hey aur sacchai ko pasand
karta hey aur naik kaam karne walon ko apni bargah main buland manzilon par
faiez karta hey. Isi ke sath in ka zikar buland hota hey aur isi se inhen
fazilat hasil hoti hey aur aaj tum haq ki manzilon mein se aik manzil par
kharey ho. Is muqaam par Allah Talah kisi se koi amal qabool nahi kare ga
siwaye is ke jo mehaz is ki raza ke liye kiya gaya ho aur jang ke muqey par
sirf sabar hi aisi cheez hey jis se Allah Talah hazn o malaal ke daur karta
hey. Aur isi sabar ki barkat se gham se nijaat deta hey aur isi sabar se tum
akhrat mein nijaat pao ge. Tum mein Allah ka Nabi mojood hey jo tumhe baaz
cheezon se mana karta hey aur baaz cheezon ka tumhe hukum deta hey. Allah Talah
ne apni kitaab mein jin cheezon ko tumhe hukum diya hey in par amal karo aur
jin nishaniyon ka zikar hey in par ghor o fikar karo. Allah Talah ne tumhe
zillat ke baad izzat bakshi hey. Is kitaab ko mazboti se pakar lo is se
tumhara Rab tum se raazi hoga. Beshak
is ka wada haq hey aur is ka qol saccha hey. Beshak mein aur tum Allah Talah ki
madad talab karte hain jo hiyyo qaiyoom hey. Wohi hamari pusht panahi karne
wala hey aur isi ka daman karam hum ne pakra howa hey. Is par hum ne bharosa
kiya hey aur isi ki taraf hum lout kar jayen ge. Allah Talah hamari aur tamam
musalmano ki maghfirat farmaye.”
Quraish
ka lashkar Atba Bin Rabiya ki qayadat mein tha. Jis waqt dono lashkar aik dusre
ke aamne saamne howe to Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne dekha ke teen kafiron ke muqable mein aik musalmaan hey aur
wo bhi puri tarha maslah nahi hey to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Allah Talah ke Huzoor dua ki:
“Ya
Allah! Ye Quraish hain aur gharor ke sath aye hain ta ke aap ke Rasool ko
jhoota sabit karen. Ya Allah! Bus ab ajaye aap ki madad. Wo madad jis ka wada
aap ne mujh se farmaya hey.”
Ain
isi waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam aur
sary Islami lashkar par chand lamhon ke liye neend tari hogai. Allah Talah ne
khuwab mein Aap Aleh Salato Wasalam ko Quraish ki tadaad qaleel dikhai. Jis ko
Sahaba Karam r.a ne bhi dekha.
“Jab
ke Allah Talah ne tujhe tery khuwab mein in ki tadaad kam dikhai aur (aye
musalmano) agar in ki ziyadti dikhata, tu tum buzdil ho jate aur is kaam ke bare
mein apas mein ikhtilaaf karte lekin Allah Talah ne bacha liya. Wo dilo ke behdon
se khoob agah hey.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-43)
Allah
Talah ka ye kis qadar azeem inaam tha ke medaan e jang mein kuffaar ki tadaad
ko thora kar ke dikhaya ta ke musalmano jang ka iqdaam karen aur kuffaar ko bhi
musalmano ki tadaad thori dikhai jis ki waja se kuffaar ne larne mein ziyadah
koshish nahi ki.
“Jab
ke is ne ba waqt mulaqat inhen tumhari nigahon mein bohat kam dikhaye aur tumhe
inki nigahon mein bohat kam dikhaya Allah Talah is kaam ko anjaam tak pohncha
de jo karna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pherey jaty hain.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-44)
Aur
jab larai shuru hogai to doraan e jang kafiron ko musalman apne se do guna
nazar ate the. Baad mein musalmano ki tadaad ziyadah dikhane mein ye hikmat
nazar ati hey ke musalmano ko fouj kasrat mein dekh kar kuffaar ke andar khof
aur haibat beth jaye.
“Yaqeenan
tumhare liye ibrat ki nishani thi in do jamaton ki rah mein jo lar rahi thien
aur dusra ghiroh kafiron ka thaw o inhen apni ankhon se apne se dugna dekhte
the aur Allah Talah jisy chahe apni madad se qavi karta hey. Yaqeenan is mein ankhon
walon ke liye bari ibrat hey.”
(Surah
Al Imran-ayat-13)
Phele fardan fardan muqabla howa. Quraish ke teen
behtreen shehsawaar Atba Bin Rabiya, Sheeba Bin Rabiya aur Waleed Bin Aqba
mabarazat ke liye medaan mein aye aur teeno halaak hogaye.
Quraish apne teen behtareen shehsawaron aur kamandaron se
mehroom hogaye, is liye inhon ne ghaiz o ghazab se be qabo ho kar yakbaar hamla
kar diya. Dusri taraf musalmaan apne Raab se nusrat aur madad ki dua karte howe
apni apni jagahon par kharey hogaye aur mushriqeen ke hamlon ko na kaam bana
diya.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne apne Sahaba r.a ko takeed ki ke mery hukum ke baghair
hamla nahi karna. Agar dushman tumhe aakar ghaer len to nezon se inhen daur rakho.
Huzoor Aleh Salato Wasalam Hazrat Abu
Bakar Siddique r.a ke hamrah is saibaan mein tashreef le gaye jo Huzoor Aleh Salato Wasalam ke liye banaya gaya tha.
Phele Huzoor Aleh Salato Wasalam ne do
rakat namaz ada ki phir Allah Talah se nusrat o madad ka wada pura karne ki dua
ki.
“Aye
Allah Tala! Aap ne mujh se jo wada kiya hey isy pura farma dijiye. Aye Allah!
mein aap se aap ke wade ka sawal karta hon. Aye Allah! Aap par emaan lane wale
qaleel hain.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne ro kar Allah Talah ke Huzoor dua di. Yahan tak ke dono kandhon se chadar
gir gai. Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne chadar durust farmai aur arz kiya:
“Aye
Allah ke Rasool Aleh Salato wassalaam! Bus farmaiye, yaqeenan Allah Talah apne
ehad ko pura farmayen ge.”
Allah
Talah ne farishton ko hukum diya:
“Me
tumhare sath hon, tum ahle emaan ke qadam jamao, mein kafiron ke dil mein rob
daal don ga.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-12)
Aur
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke pas wahi
bheji ke
“Me
aik hazaar farishton se tumhari madad karon ga jo aage peeche ayen ge.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-9)
Is
ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam par
ghanodgi tari hogai. Chand lamhon baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ne ankhen kholien phir sar
e mubarrak uthaya aur farmaya:
“Abu
Bakar khush hojao, Allah ki madad a pohnchi. Ye Jibrail a.s hain apne ghorey ki
lagaam thamey kharey hain.”
Is
ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam saibaan
se bahir tashreef laye, Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne zarah pehan rakhi thi. Huzoor Aleh Salato Wasalam nehayat bahaduri ke sath
aagey barhe aur farmaya:
“Anqareeb
dushman shikast kha jaye ga aur pusht phair kar bhage ga.”
(Surah
Al Qamar-ayat-45)
Is
ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
kankariyon ki aik mutthi li aur Quraish ki taraf rukh kar ke farmaya: “Shahat
ul Wajuhu. Chehre bigar jayen.”
Aur
sath hi mitti in ke chehron ki taraf phenk di. Phir mushriqeen mein se koi bhi
aisa nahi tha jis ki dono ankhon, nathne aur mu mein aik mutthi mitti mein se
kuch na gaya ho.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ke is amal ko Allah Talah ne apna amal qarar diya.
Allah
Talah ka irshad he:
“Jab
aap (alhe Salato wassalaam) ne phenka to dar haqeeqat Huzoor (Alhe Salato Wassalaam) ne nahi phenka, balke
Allah Talah ne phenka.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-17)
Jis
waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
jawabi hamle ka hukum sadir farmaya, dushmano ki himmat passt hogai thi aur in
ka josh o kharosh sard par gaya tha. Sahaba Karam r.a ko jab hamla karne ka
hukum mila is waqt in ka josh jehad shabab par tha. Inhon ne nehayat shakht
hamla kiya. Wo dushmano ki siffen darham barham karte howe agey barhte rahe. Ye
dekh kar in ke josh o gharosh mein mazeed taizi agai ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ba nafs e nafees zarah
pehne howe taiz taiz tashreef la rahe hain aur farma rahe hain:
“Anqareeb
ye dushman shikast kha jaye ga aur pusht phair kar bhage ga.”
(Surah Al Qamar-ayat-45)
Musalmano ne nehayat pur josh jang ki aur farishton ne in
ki madad farmai. Riwayat hey ke is din aadmi ka sar kat kar girta aur ye pata nahi
chalta ke isy kis ne qatal kiya hey aur aadmi ka hath kat kar girta aur ye pata
nahi chalta ke isy kis ne kata hey.
Hazrat Ibn e Abbas r.a farmatey hain:
“Aik musalmaan mushriq ka taqub kar raha tha ke anchanak
korey marne ki awaaz ayi aur is ne kisi shehsawaar ki awaaz suni jo keh raha
tha ke taiz qadam agey barh.
Musalmaan ne mushriq ko samne dekha ke wo zameen par gira
howa hey aur is ki naak par choot ka nishan tha, chehra zakhmi tha jaise kisi
ne korey se mara ho aur chehre par neil par gaya tha.
Ansari musalmaan ne ye waqiya Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam se biyan kiya to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Tum
sach kehte ho, ye teesre asman ki madad thi.”
Do
Ansari nojawano Hazrat Maooz r.a aur Hazrat Maaz r.a Abu Jehal ki taak mein the,
nazar parte hi Abu Jehal par hamla kiya aur wo mar gaya. Abu Jehal ke qatal se
Quraish mein bad dili phail gayi.
Lekin
abhi aik sardaar Umaiya Bin Khalaf baqi tha.Hazrat Abdur Rehman r.a Bin Oof ne
Umaiyya se kisi zamane mein wada kiya tha ke wo Madina aye ga to is ki jaan ke zamin
hon ge. Badar mein is dushmanane Khuda se inteqaab lene ka khoob waqt tha lekin
chun ke wadey ki pabandi Islam ka shuaar hey is liye wo Umaiyya aur is ke betey
ko musalmano ko nazar se bacha kar nikaal dena chahte the. Ittifaaq se Hazrat Bilal
r.a ne jo Makka mein is ke mashq sitam rah chuke the dekh liya aur Ansaar ko
khabar kar di, sipahi toot parey aur Umaiyya ke betey ko qatal kar diya aur
phir Umaiyya ki taraf barhey. Hazrat Abdur Rehman r.a bachane ke liye Umaiyya
se lipat gaye lekin logon ne in ki parwah nahi ki aur neezey se Umaiyya ka kaam
tamam kar diya. Umaiyya ke marte hi kuffaar ne medaan chor diya.
Thori
dair ke baad mushriqeen ke lashkar mein nakaami aur aztaraab ke asaar numayan
hogaye. Kuffaar ki sifen musalmano ke sakht hamlon se darham barham hogayen aur
murqa apne anjaam ko pohncha. Phir mushriqeen ka hujoom be tarteebi ke sath
peeche hata aur in mein bhagdar mach gai. Quraish apne gharoor aur taqat ke bawajood
be saro samaan fidaiyon ke hathon shikast kah gaye. Musalmano ke kul chudha
aadmi shaheed howe aur Quraish ke bohat se namoor sardar halak hogaye aur
mushaheer e Quraish mein se kai log giraftaar howe.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ka mamool tha ke fateh ke baad teen din tak wahin qayam
farmate the ta ke thakey mandey sipahi araam kar len aur zakhmiyon ki marham
patti kar ke wapsi ke safar ke liye taza tum hojayen. Badar mein Huzoor Aleh Salato Wasalam teen din muqeem rahe aur teesre
din hukum diya ke Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki sawari lai jaye. Huzoor Aleh
Salato Wasalam is sawar howe, mujahideen ki aik jamaat bhi Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hamrah howi. Huzoor Aleh Salato Wasalam is khuwen par tashreef le
gaye jis mein kuffaar ki lashon ko daal kar isy mitti se dhanp diya gaya tha. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne aik aik ka naam le kar
awaaz di.
Aye
Atba Bin Rabiya…..!
Aye
Sheeba Bin Rabiya…….!
Aye
Abu Jehal Bin Hasshaam….!
Aye
Umaiyya Bin Khalaf……!
Kiya
ye acha nahi tha ke tum Allah Talah aur is ke Rasool Aleh Salato Wasalam ki
farmabardari karte. Ab jab ke pardah uth gaya hey aur Allah Talah ke azaab ko
dekh liya to tum musalmaan hone ki aarzo karte ho…....
Is
ke baad farmaya!
Bila
shuba hum ne isy haq paya, jo Allah Talah ne hum se wada farmaya tha kiya tum
ne bhi isy haq paya, jis azaab ki waeed tum se ki gait hi.
Sahaba Karaam r.a ne arz kiya!
Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Huzoor Aleh Salato Wasalam in ajsaam se mukhatib hain
jin mein arwah mojood nahi hain.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Qasam
hey is Allah ki! Jis ke qabza qudrat mein meri jaan hey. Tum is se ziyadah is
baat ke sunne waly nahi ho. Jo kuch mein biyan kar raha hon wo khoob sun rahe
hain.”
Jang
ke baad musalmano ke lashkar mein maal e ghanimat ke bare mein ikhtilaaf hogaya
aur jab ye ikhtilaaf shiddat ikhtiyaar kar gaya to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne hukum diya ke jis ke paas
jo kuch hey wo Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke hawale kar de.
Sahaba
Karaam r.a ne hukum ki tameel ki. Is ke baad Allah Talah ne wahi ke zariye is
masle ka hal nazil farmaya.
“(Ay
Muhammad s.a.w) log aap se ghanimat ke maal ke barey mein dariyaft karte hain
(k kiya hukum he) Keh dijiye ke ghanimat Allah aur is ke Rasool ka maal hey to
Allah se daro aura pas mein sulah rakho aur agar emaan rakhte ho to Allah aur
is ke Rasool ke hukum par chalo.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-1)
Is
ke baad Maal e Ghanimat ki taqseem ka tarika bhi Allah Talah ne is tarha
bataya:
“Jaan
lo ke tum jis qisam ki jo kuch ghanimat hasil karo. Is mein panchwa hissa Allah
aur is ke Rasool ka aur ahle qarabat ka aur yateemon ka aur masakeen ka aur
muhtajon ka aur musafiron ka hey.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-41)
Is
ayat ke nazool ke baad Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne is maal e ghanimat ko musalmano ke darmiyan taqseem farma
diya.
“To
jo maal e ghanimat tumhe mila he, isy khao (k wo tumhare liye) halal paak (he)
aur Allah se darte raho beshak Allah bakhsne wala meharbaan hey.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-69)
Dusre
rooz aseeraan e jang jang bargah risalat mein hazir kiye gaye to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne sab se phele in ke qayam
o taam ki taraf tawajja farmai. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne inhen apne Sahaba Karaam r.a ke darmiyan hasb e hesiyat
taqseem kara diya aur har aik ko takeed farmai ke wo apne hisse ke qaidiyon ki
khuraak libaas aur araam ka pura pura khiyal rakhen.
Madina
Munawwara pohnch kar chand rooz ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Sahaba Karaam r.a se
mashwara kiya ke aseeraan e badar ka sath kiya karna chahiye?
Tamam
Sahaba Karaam r.a ne is masle ke mutaliq apni apni raye pesh ki. Hazrat Abu
Bakar Siddique r.a ne apni tajweez pesh ki:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! In se fidya liye jaye aur in ko azaad kar
diya jaye. Fidya se jo sarmaya akattah hoga wo musalmano ke liye taqwiyat ka
bais hoga aur Allah Talah ki rehmat se koi baeed nahi ke in mein se kai log
emaan le ayen aur apni behtreen salahiyaton ke bais ummat ki taqwiyat ka bais
bane.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne is tajweez ko pasand farmaya. Fidya ke liye koi khas
miqdaar mutaiyan nahi thi. Har shakhs se hasb e hesiyat fidya liya jata tha.
“Aye
peghambar! Jo qaidi tum logon ke qabze mein (giraftaar) hain in se keh dijiye
ke agar Allah tumhare dilo mein naik niyati dekhe ga to jo (maal) tum se chen
gaya hey is se behter tumhe inayat farmaye ga aur tumhare gunnah bhi muaf kar
de ga aur Allah bakhsne wala meharbaan hey.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-70)
Ahle
Madina ki ghalib aksariyat nakhuwandah thi. Ginti ke sirf chand afraad likhna
parhna jante the. In aseeraan e jang mein jo log muflis aur nadaar the aur
fidya ki raqam dene se qaasir the. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya ke jo shakhs
dus bacchon ko likhna parhna sikha de ga, isy azaad kar diya jaye ga. Jab koi
qaidi Madina ke dus bacchon ko parhna likhna seekha deta to isy azaad kar diya
jata.
Jab
Badar mein kuffaar ki ruswa kun shikast ke baad abhi aik hafta hi mushkil se
guzra tha ke Allah Talah ke azaab ne Abu Lehab ko a pakra. Isy aik khatarnaak
phonsi nikal ayi jisy arab bohat bura samajhte the aur is se bohat khofzada
rehte the in ke nazdeek ye aik mutaadi bimari thi. Jab Abu Lehab ke beton ko
pata chala ke in ke baap ko ye khatarnaak phonsi nikal ayi hey to inhon ne is
ke paas aana jana tarak kar diya Chunachey wo tanha is ki aziyat aur dard se
kai roz tak tarapta raha aur be kasi aur kasamparsi ki mout mar gaya. Teen din
is ki lash be goro kafan pari rahi. Makka ke rais e azam ko dafan karne ke liye
bhi kisi ne zehmat gawara nahi ki jab is ki lash phool kar phat gai to is ki
badbu se sarey ahle muhalla preshan hogaye.
Imam
Behqi dalail ul nabowat mein likhte hain aik shakhs ne is ke beton ke paas ja
kar inhen malamat ki ke bad bakhto! Tumhe sharam nahi ati ke tumhare baap ki
laash se badbu a rahi hey aur tum isy dafan bhi nahi karte. Inhon ne kaha hamey
dar hey ke kahin ye bimari hamey bhi na lag jaye.
Bad
naami ke khof se is ke bety aye lakriyon se is lashey ko dhakel kar aik gharhe
mein daal diya aur is gharhe se daur kharey hokar pathar phenk kar is ko bhar
diya.
1.
Ghazwa Badar Islam ki pheli larai
thi jis mein musalmano ki fateh aik khaas ehmiyat rakhti hey. Chand be kas
ghareeb ul watan Quraish Makka ke zulm o sitam se tang a kar tark e watan kar
ke Madina mein panah guzeen howe the. Wo is qabil hogaye ke zalimo ko bazoor e
shamsheer maar bhagaya. Is se musalmano ke hosle buland hogaye. Allah Talah ne
musalmano ko taqweyat ata farmai. Dar haqiqat Islam ka urooj yahin se shuru
hota hey ab musalman mehaz jila watan aur be khanma muhajir na the balke aik
azaad aur zindah qoam ke afraad the aur is nemat ka zikar Allah Talah ne is
tarha farmaya:
“Yaqenan Allah Talah ne tumhari
badar mein madad ki jab tum kamzoor the. To Allah Talah se daro ta ke tum
shukar guzaar ban jao.”
(Surah Al Imran-ayat-123)
2.
Jang Badar mein amal, dua aur nusrat
ka formula musalmano ke liye har shuba zindagi mein mishle rah hey.
Jang
Badar mein musalmano ki tadaad kuffaar ke muqable mein intehai kam thi. Huzoor Aleh Salato Wasalam jang ke liye medaan mein tashreef
le gaye aur phir Allah Talah se madad ki darkhuwast ki jiddo jehad aura mal ke baad
Allah Talah ne apne Rasool Aleh Salato Wasalam ki duaon aur manajaat ko qabool
farmaya aur madad ke liye farishte nazil kar diye aur musalmano ko kamiyaabi
howi. Ghazwa Badar hamari rehnumai karta hey ke dua ke sath amal ho to duayen
maqbol e bargah hoti hain. Amal ke baghair dua aik aisa jisam hey jis mein rooh
nahi hey.
3.
Musalmano ke paas saaz o samaan ki
be had kami thi. Nez in ki tadaad bhi kam thi. Is ke baraks kuffaar tadaad mein
musalmano se teen gunah ziyadah the aur sazo samaan bhi kaseer tadaad mein tha.
Is halat mein musalmano ka chand ghanton mein kuffaar par ghalib a jana mujza
hey. Allah Talah ne musalmano ko fateh o ghalba de kar wazeh kar diya ke Islam
Haq hey aur kufr o shirk batil hey. Isi liye Quran mein is din ko Yom ul
Furqaan kaha gaya hey.
“Agar
tum Allah par aur is (nusrat) par emaan rakhte ho. Aur is cheez par jo hum ne
apne bande par is din (Yani medaan e Badar) mein utaara jo din haq o batil mein
judai (tameez) ka tha. Jis din dono foujen muqable par agai thien.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-41)
4.
Jang Badar mein ajeeb waqiyat pesh
aye musalmano ne dekha ke kuffaar ke lashkar mein in ke apne rishtedaar shamil
hain ye bare imtehaan ke lamhaat the ke wo ye to haq ka sath den ya rishtedaron
ke muhabbat mein koh jayen. Alhamdulillah musalman sabit qadam rahe.
5.
Mushaheer Quraish jo Islam ke sakht
dushman the. Is jang mein khatam hogaye. Abu Jehal, Atka, Waleed, Sheeba aur
Umaiyyat sab sardaron mein se the. Jin ke qatal ho jane se kuffaar Makka ki
qowat hamesha ke liye khatam hogai.
6.
Ghazwa Badar ki azeem fateh ne
musalmano ki qismat ka pansa palat diya. Qabail arab ki nazron mein in ka
iqtedaar bohat barh gaya. Ab wo mehaz aik mazhabi jamaat aur nizaam ilahiya ke dai
na the, balke wo uthti howi sisasi qowat the. Is fateh ke baad munafiqeen aur
bohat se qabail arab jo waqiyaat ka rukh dekh rahe the. Ab khof zada ho gaye ya
aur mukhalif chor di. Arab qabail Madina ki hukumat ko sab se bari taqat
shumaar karne lage.
7.
Ghazwa Badar ki aik khususiyat ye
bhi hey ke Allah Talah ne Quran Kareem mein aik Surat “ Surah Al Anfaal” is
Ghazwa ke barey mein nazil farmai hey jis mein fazail Sahaba r.a ke ilawah
digar masail Badar ka bhi zikar farmaya hey.
8.
Jang Badar ke sipa salaar e aala khud
Huzoor Aleh Salato Wasalam the.
Musalmaan apne sipa salaar ke ehkamaat ki puri sadaqat, diyanat aur jazba e
ataat ke sath pabandi karte the. Musalmano ka nazm o zabt aur apne sipa salaar
aala ki be chu o chara ataat aik misaal ban gai. Aik achi fouj ki sab se bari
khususiyat yehi hey.
9.
Mushriqeen ka alam ye tha ke wo
qiyadat wahidah se mehroom the. Quraish ke aksar sardaar fouj mein shareek the.
Is tarha in ki qayadat bati howi thi.
10.
Badar ki jang do aqaid ke darmiyan
aik bohat bari aur faisla kun jang thi aur is azeem jang mein Allah Talah ne
Islam ko kamiyabi ata farmai.
Ahle
Makka ko jang e badar mein shikast aur apne khas logon ke qatal ka jo sadma
bardasht karna para tha is ke sabab wo musalmano ke khilaaf gham o gussa mein bhar
gaye the, hata ke inhon ne apne maqtoleen par matam bhi nahi kiya aur qaidiyon
ke fidya ki adaigi mein bhi jald bazi karne se mana kar diya tha ta ke musalmaan
in ke ranj o gham ki shiddat ka andaza na kar saken.
Zamana
jahliyat mein to aik aadmi ke qatal par salon tak laraiyon ka silsila jari
rehta tha. Jab ke Ghazwa e Badar mein aik do nahi sattar mushriqeen marey gaye
the. Phir kaise mumkin tha ke wo bhar pur inteqaam leny ki koshish na karte.
Inhon
ne jang e badar ke baad ye mutafaqqa faisla kar liya ke musalmano se aik bhar
por jang ki jaye ta ke in ke ghaiz o ghazab ko taskeen mile aur is ke sath hi
jang ki tiyari shuru kar di. Is mamle mein sardaraan e Quraish mein se Akarma
Bin Abu Jehal, Sufiyan Bin Umiya, Abu Sufiyan Bin Harb aur Abdullah Bin Rabiya
ziyadah pur josh the.
In
logon ne is silsily mein phela kaam ye kiya ke Abu Sufiyan ka wo tijarti qafila
jo jang e badar ka bais bana aur jisy bacha kar Abu Sufiyan le jane mein kamiyaab
hogaya tha, is ka sara maal jangi ikhrajaat ke liye mehfooz kar liya aur jin
logon ka maal tha in se kaha k:
“Aye
Quraish! Tumhe Muhammad (alhe Salato wassalaam) ne sakht sadma pohnchaya hey aur
tumhare muntakhib sardaron ko maar diya hey. Lehaza in se jang karne ke liye is
maal ke zariye madad karo.”
Quraish
ne is tajweez ko manzoor kar liya. Chunachey ye saara maal aur aik hazaar oonth
jang ki tiyari ke liye waqf kar diye.
Allah
Talah irshad farmate hain:
“Jin
logon ne kufr kiya wo apne amwaal Allah Talah ki rah se rokne ke liye kharch karen
ge. to ye kharch to karen ge lekin phir ye in ke liye bais e hasrat hoga. Phir
maghlob kiye jayen ge.”
(Surah
Al Anfaal-ayat-36)
Phir
Quraish ne raza karana khidmat ka darwaza khol diya ke job hi musalmano ke khilaaf
jang mein shareek hona chahe, wo shareek hojaye.
Chunacha
aik saal pura honey se pehly quraish ki tayyari mukammal ho gai aur majmoi tor
par kul teen hazaar fouj tayyar ho gai. Quraish ke sardaron ne tajweez paish ki
ke jang main aurtein bhi jayen ge chunacha is lashkar main aurtein bhi shamil
hoin jin ki tadaad pandra thi. Laraiyon main sabit qadmi aur josh jang ka bara
zarya khawateen thin. Jis larai main khawateen sath hoti thin arab jaan par
khel jate the ke shikast hogi to aurten be hurmat hon gi. Buhat si aurten aisi
thin jinki aulad jang-e-badar main qatal main qatal ho chuki thin is liye wo
josh o jazbe se labraiz thin, inho ne mannatein mani thin ke is jang ke zarye
apni aulad ke qatal ka badla len gi. Gharz jab foujen tayyar hoi to muazziz
gharanon ki aurten bhi fouj main shamil hogaen.
In
mein se baaz ke naam ye hain:
1.
Hinda ……..Atba ki beti aur Amir
Mawia(r.a) ki maa
2.
Zoja Akrama Bin Abu Jahal
3.
Fatima(Bint-e-Waleed) Hazrat Khalid(r.a)
ki behan
4.
Barzat….Masood Saqfi jo tawaif ka
rais the, iski beti
5. Ritata…..Umro Bin Al Ass ki zoja
6. Khannas…. Hazrat Masaab Bin Umair(r.a) ki maa
Ghazwa Badar main kuffar Makkah ka sab se ziyada nuqsan
Hazrat Hamza(r.a) ke hathon hoa tha. Hazrat Hamza(r.a) ne Hinda ke baap Atba ko jang-e-badar main
qatal kia tha. Jabeer Bin Maatam ka chaccha bhi Hazrat Hamza(r.a) ke hath se
maara gaya. Is liye in ke qatal ka ba qaida mansooba banaya gaya. Hinda ne
jabeer ke habshi ghulam wehshi ko jo harba bazi(balm) main kamal rakhta tha
Hazrat Hamza(r.a) ke qatal par amaada kia aur ye tey hoa ke jang ke baad habshi
ko azad kardia jaye ga. Wehshi ke intekhaab ki waja ye thi ke mushrikeen jantey
the ke Hazrat Hamza(r.a) ke sath ro baro muqabla mumkin nahi. Wehshi door se
balm phainka karta tha aur is fan main aisa mahir tha ke is ka phainka hoa balm
nishaney par lagta tha.
Sawari
aur bar bardari ke liye teen hazaar ount the aur fouj ke liye do so ghorey the.
In ghoron ko taza dam rakhne ke liye in par sawari nahi ki gai. Hifazati
hathyaron main saat so zarhen thin. Abu Sufyan ko purey lashkar ka sipa salaar
muqarrar kia gaya tha. Fouj ki kamaan Khalid Bin Waleed ko di gai aur Akarma
Bin Abu Jahal ko in ka mawon banaya gaya. Parcham dastoor ke mutabiq qabila
bani Abduddaar ko diya gaya.
Hazrat
Abbas(r.a) Huzoor Aleh Salato Wasalam ke
chaccha, go Islam la chukey the, lekin ab tak Makkey hi main muqeem the. Hazrat
Abbas(r.a) Quraish ki is sari naqal o harkat aur jangi tayyariyon ka bari
hoshyari aur gehrai se mutalla kar rahe the, chunacha jon hi lashkar harkat
main aya. Hazrat Abbas(r.a) ne is ki sari tafseelat par mushtamil aik khat
Huzoor Aleh Salato Wasalam ki khidmat
main bheja. Khat ley janey waley ne Makkey sy Madine tak ka safar teen din main
tey kia aur khat Huzoor Aleh Salato Wasalam
ki khidmat main paish kar diya. Is waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam masjid Qaba main tashreef
farma the. Ye khat Harzrat Abi Bin kaab(r.a) ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ko parh kar sunaya. Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne inhe is khat ko
raaz rakhne ki takeed farmai aur foran Madine tashreef ley aye. Ansaar aur
Mahajireen ke buzurgon se salah o mashwara kia.
Is
ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ne 5
Shawwal 3 hijri ko do khabar rasan jin ke naam Ins(r.a) aur Mons(r.a) the,
khabar laney ke liye bheja,inhon ne akar ittela di ke Quraish ka lashkar Madina
ke qareeb ponhach gaya hey.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Khabab(r.a) Bin Manzar ko bheja ke fouj ki tadaad
ki khabar layen. Inho ne akar ittela di. Chunkey shehar main hamley ka andesha
tha, is liye har taraf pehrey bitha diye gaye the. Hazrat Saad(r.a) Bin Ibada
aur Hazrat Saad(r.a) Bin Maaz hathiyaar laga kar puri raat Masjid-e-Nabvi ke
darwaze par pehra dety rahe.
Quraish
ka lashkar shahrah par chalta raha. Yahan tak ke Madine ke qareeb ponhach kar
parao daal diya. Khabar rasan Makki lashkar ki aik aik khabar Madine pohancha
rahey rahey the, hatta ke is ke parao ki babat akhri khabar bhi pohancha di.
Subah
ke waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
fouji haai kamaan ki majlis shuraa munaqqid farmai. Jis mein munasib hikmat e
amli ikhtiyaar karne ke liye sulah o mashwara kiye. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne unhen apna aik khuwab
sunaya.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne irshad farmaya:
“Me
ne khuwab dekha hey ke mein aik mehfoz jagah hon. mein ne dekha ke aik gaaye
zibah ki ja rahi hey. mein ne khuwab mein mazeed dekha hey ke meri talwar ki
dhaar mein dandane pare howe hain. Jab mein ne talwar ko hilaya to is ka agla
hissa toot kar gir gaya hey. Phir jab mein ne dusri baar talwar ko hilaya to wo
phele se bhi ziyadah umdah hogai.
Khuwab
ki tabeer ye hey ke Madina Munawwarah aik mazbot zirah hey aur gaaye zibah
karne ka matlab ye hey ke mery kuch Sahaba r.a is jang mein shahadat ka buland
martaba hasil karen ge.
Talwaar
toot jane ki ye tabeer irshad farmai ke “Mery khandaan mein se koi fard is
Ghazwa mein shaheed hoga.”
Phir
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Sahaba
Karam r.a ke samne difai hikmat e amli ke mutalliq apni raye pesh ki ke Madine
se bahir na niklen shehar ke andar qila band hojayen. Agar mushriqeen apne
khemon mein rehte hain to ye qayam be maqsad hoga aur agar lashkar Madine mein dakhil
howa to musalman gali kochon mein in se muqabla karen ge aur aurten chaton ke upar
se in ko pathar maren gi.
Sahaba
Karam r.a ki aik jamaat ne jo Badar mein shirkat se reh gai the, Huzoor Aleh Salato Wasalam ko mashwara diya ke medaan
mein tashreef le chalen aur inhon ne apni is raye par sakht israr kiya: hata ke
baaz Sahaba r.a ne kaha:
“Aye
Allah ke Rasool Aleh Salato wassalaam! Hum shahadat ki tamanna karte the aur
Allah Talah se duaen manga karte the, aab Allah Talah ne ye muqa faraham kar
diya hey aur medaan mein nikalne ka waqt agaya hey. Ya Rasool Allah Aleh Salato
wassalaam! Aap dushman ke madd e muqabil tashreef le chalen ta ke dushman ye na
samjhen ke hum dar gaye hain.”
In
garam josh hazraat mein khud Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke chacha Hazrat Hamza r.a Bin Abdul Muttalib bhi the. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne aksariyat ke israr ke samne
apni raye tabdeel kar di aur akhri faisla yehi howa ke Madine se bahir nikal
kar khule medaan mein jang ki jaye.
Is
ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
Jumma ki namaz ki imamat ki aur waaz aur nasihat ki, jiddo jehad ki targheeb di
aur bataya ke sabar aur sabit qadmi se fateh hasil ho sakti hey. Sath hi hukum
diya ke dushman se maqabla ke liye tiyar hojayen. Ye sun kar logon mein khushi
ki lehar dour gai. Lashkar tarteeb de diya gaya.
Namaz
asar qaim farmane ke baad Huzoor Aleh
Salato Wasalam hujra e mubarrak mein tashreef le gaye aur zarah zaib tan farma
kar bahir tashreef laye. Ab Sahaba Karaam r.a ko nadamat mehsos howi ke hum ne
Rasool Allah Aleh Salato Wasalam ki wazeh raye ke bar khilaf mashwarah pesh kar
ke acha nahi kiya to Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya ke “Kisi Nabi ke liye ye zaiba nahi ke jab wo zirrah pehan
le to baghair larey howe isy utaar de. Yahan tak ke Allah Talah ke dushmano se
jang kare. Ab Allah Talah ka naam le kar chalo, ab jo kuch mein tum se khehta
hon isy suno aura mal karo! Aur yaad rakho ke agar tum log sabir aur sabit
qadam rahe to Allah Talah ki fateh o nusrat tumhare liye hey.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne lashkar ko teen hisso mein taqseem farmaya.
1.
Muhajireen ka dasta: Is ka parcham
Hazrat Masab r.a Bin Umair ko ata kiya.
2.
Qabeela Oos (Ansaar) ka dasta: Is ka
alam Hazrat Asaid r.a Bin Hazeer ko ata farmaya.
3.
Qabeela Khazraj (Ansaar) ka dasta:
Is ka alam Hazrat Khabab r.a Bin Manzar ko ata farmaya.
Pura
lashkar aik hazaar afraad par mushtamil tha jin mein aik so zarah posh aur
pachaas shehsawaar the. Is ke baad kooch ka elaan farma diya aur lashkar ne
shumaal ka rukh kiya. Hazrat Saad r.a Bin Ibadah aur Hazrat Saad r.a Bin Maaz
zarah pehne Huzoor Aleh Salato Wasalam
ke agey agey chal rahe the.
“Aur
jab Aye Rasool Aleh Salato Wasalam subah ke waqt tum apne ghar se nikle,
musalmano ke liye larai ki jagahen muqarrar aur durust karte the aur Khuda
sunne wala ilm wala hey.”
(Surah
Al Imran-ayat-121)
Huzoor
Aleh Salato Wasalam Uhad ki taraf lashkar ke sath rawana howe aur muqaam
mashoot par pohnch kar fajar ki namaz ada ki. Huzoor Aleh Salato Wasalam dushman ke bilkul qareeb
the aur dono aik dusre ko dekh rahe the. Medaan e jang mein Abdullah Bin Abi ne
baghawat kar di aur teen so afraad ko le kar ye kehta howa wapis chala gaya ke hum
nahi samajhte ke kyn apni jaan den…..?
Haqeqat
wo nahi jo is ne zahir kit hi balke haqeqat ye thi ke wo is nazuk mor par alag
ho kar Islami lashkar mein aise waqt iztarab aur khalbali machana chahta tha
jab dushman is ki aik aik nakal o harkat dekh raha hota ke aik taraf to aam
fouji Huzoor Aleh Salato Wasalam ka sath
chor den aur jo baqi reh jayen in ke hosle passt hojayen aur dosri taraf is
manzar ko dekh kar dushman ki himmat bandhe aur is ke hosle buland hon. qareeb
the ke ye munafiq apni iskeem mein kamiyaab ho jata q ke mazeed do jamaaton
yani Qabeela Oos mein Bano Harsa aur Qabeela Khazraj mein se Bano Salma ke qadam
bhi ukhar chuke the aur wo wapis jane ki tadbeer soch rahe the. Lekin Allah
Talah ne in ki dastigeeri farmai aur ye dono jamaaten dobara jehad par amadah
hogayen.
“Jo
nuqsaan larai ke din tumhe pohncha wo Allah Talah ke azan se tha aur is liye
tha ke Allah Talah dekh len tum mein se momin kon hain aur munafiq kon? Wo
munafiq ke jab in se kaha gaya “Aao Allah Talah ki rah mein jang karo ya kam az
kam (apne shehar ki) madafat hi karo.” To kehne lage “ Agar hamey ilm hota ke aaj
jang hogi to hum zaror tumhare sath chalet” ye baa two jab keh rahe the is wo
waqt wo emaan ki ba nisbat kufr se ziyadah qareeb the. Wo apni zubano se wo
baaten kehte hain jo in ke dilon mein nahi hotien, aur jo kuch wo dilon mein chupate
hain Allah Talah isy khoob jante hain.”
(Surah
Al Imran-ayat-166-167)
Isi
baghawat aur wapsi ke baad Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne bache howe lashkar ke sath jis ki tadaad sath so thi dushman
ki taraf pesh qadmi farmai. Dushman ka parao Huzoor Aleh Salato Wasalam ke darmiyan aur uhad ke darmiyan
kai simton se hail tha. Is liye Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne farmaya:
“Koi
hey jo hamey dushmano ki nazron mein aye baghair raaste se guzaar de.”
Jawab
mein Abu Khashema r.a ne arz kiya:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! mein is khidmat ke liye hazir hon.”
Phir
aik mukhtasar raasta ikhtiyaar kiya aur mushriqeen ki nazron se bachate howe
lashkar ko uhad ki ghati mein le gaya. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is jagah lashkar ka
champ lagwaya. Samne Madina tha peeche Uhad ka buland tareen pahaar; is tarha
dushman ka lashkar musalmano aur Madine ke darmiyan had e fasil ban gaya.
Yahan
pohnch kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
lashkar ki tarteeb o tanzeem qaim farmai aur jangi nuqta e nazar se isy kai
siffo mein taqseem farmaya. Mahir teer andazon ka aik fouji dasta bhi muntakhib
farmaya jo pacchaas teer andazon par mushtamil tha. In ki kamaan Hazrat Abdullah
r.a Bin Jabeer Bin Nouman Ansari ke supurd ki aur inhen Wadi e Qanata ke junoobi
kinare par waqe aik choti se pahari par jo Islami lashkar ke champ se koi darh
so meter junoob mashriq mein waqe he, tainaat farmaya.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne teer andaaz commandaron ko hidayat dete howe farmaya:
“Shehsawaron
ko teer maar kar hum se daur rakho. Wo peeche se hum par hamla na karen. Hum
jeeten ya haaren tum apni jagah par rehna. Tumhari taraf se hum par hamla na
hone paye.”
Phir
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne teer
andazon ko mukhatib kar ke farmaya:
“Hamari
pusht ki hifazat karna. Agar dekho hum marey ja rahe hain to hamari madad ko na
ana aur agar dekho ke mujahideen maal e ghanimat le rahe hain to tum in ke sath
shareek na hona.”
In
fouji ehkamaat ke sath is fouji daste ko is pahari par mutaiyan farma kar
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Uhad mein wo
shagaaf bhi band farma diya jis se mushriqeen is taraf pohnch sakte the aur
Quraish musalmano ko narghe mein le sakte the.
Baqi
lashkar ki tarteeb ye thi ke Maisara par Hazrat Manzar r.a Bin Umro muqarrar
howe aur Memena par Hazrat Zubair r.a Bin awaam aur in ka mawon Hazrat Maqdad
r.a Bin Aswad ko banaya. Hazrat Hamza r.a ko is hissa fouj ki kamaan mili jo
zarah posh nahi the. Is tarteeb ke ilawah sif ke agle hisse mein mumtaaz aur
muntakhib bahadur logon ko duty lagai gai.
Quraish
ko badar main tajurba ho chuka tha is liye inho ne tarteeb se sif aria ki.
Memna par Khalid Bin Waleed ko muqarar kia. Maisara Akarma Bin Abu Jahal ko
diya. Sawaron ka dasta Safwaan Bin Umya ki Kamaan main tha. Jo Quraish ka
mashhore rais tha. Teer andazon ke dastey alag the jin ka afsar Abdullah Bin
Abi Rabia tha. Talha Bin Abi Talha Abdari alam bardaar tha.
Is
ke baad dono fareeq bilkul amne samne aur qareeb agaye aur larai shroo ho gai.
Jang main halaak hone wala pehla admi mushrikeen ka alam bardar Talha Bin Abi
Talha Abdari tha. Ye shakhs quraish ka nihayat bahadur shesawaar tha. Ye apne
ount par sawaar hokar nikla aur is ne muqable ki dawat di. Is ki had se barhi
hoi shujaat ke sabab sahabi(r.a) muqable main nahi aye. Hazrat Ali(r.a)
tezi se agey barhe aur farmaya: “ Haan! Main ye kam kar deta hon.” is ke sath
hi Haidri talwaar bijli ki tarha lehrai aur Talha Bin Abi Talha Abdari ka sar
tan se juda hogaya.
Ab
aam jang shroo hogai. Hazrat Hazma (r.a), Hazrat Ali(r.a) aur Hazrat Abu
Dajana(r.a) ne shujaat o dileri se muqabla karte hoye mushrikeen ki sifen ulat
din. Hazrat Hazma (r.a), Hazrat Ali(r.a) aur Hazrat Abu Dajana(r.a) arab ke
mashhore pehalwan the, Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne dast-e-mubarak main talwaar le kar farmaya:
“Is
ka haq kon ada kare ga?”
Is
saadat ke liye daftan buhat se hath barhe lekin ye ezaaz Hazrat Abu Dajana(r.a)
ke naseeb main tha. Is ezaaz ne inhe mast o be khud kar diya. Sar par surkh
romaal bandhey aur akarte hoye fouj se nikle. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne irshaad farmaya:
“
Ye chaal Allah Talah ke liye sakht na pasand hey lekin is waqt pasand hey.”
Hazrat
Abu Dajana(r.a) dushman ki sifon ko ulattey aur shikast dety hoye agey barhe.
Yahan tak ke Hinda tak ponhach gaye. Bawajud ye ke is waqt Hinda is jang main
barh char kar hissa le rahi thi aur har lehaz se qatal ki mustahiq thi magar
Abu Dajana(r.a) ne is ke sar par se talwaar rakh kar uthali, inhon ne is baat
ko gawara nahi kia ke Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki talwaar se kisi aurat ka khoon kia jaye.
Jang-e-ohad
main name girami kuffaar halaak hoye aur inki siffen darham barham ho gayen.
Josh aur gherat ke liye daf baja baja kar ashaar sunane wali quraishi aurten
kuffaar ki shikast dekh kar bhagne par majboor ho gayen. Quraish ka jhanda jab
zameen par gir gaya aur dosra koi mushrik isy nahi utha saka tu fouj ke hosle
past ho gaye aur wo apne sipahiyon ki lashen chor kar farar ho gaye.
Quraish
ka siah farm wehshi muqa ki talash main tha. Is ne lalach main Hazrat Hamza(r.a)
ko dhond lia aur in ki taak main beth gaya. Hazrat Hamza(r.a)
bari dileri se talwaar chala rahe the. Wehshi ko in ka samne karne ki jurraat
nahi hoi. Wehshi ne jab dekha ke Hazrat Hamza(r.a) ki pusht is ki taraf hey tu
is ne apna nezah itni quwwat se in ki taraf phenka ke nezah siney ke paar ho
gaya aur Hazrat Hamza(r.a) ki rooh parwaaz kar gai.
(innallaha wa inna ilaihi rajeon)
Jab Hinda ne ye suna ke Hazrat Hamza(r.a) wehshi ke
hathon shaheed ho chuke hain tu is ne isi lamha na sirf ye ke wehshi ko azad
kar diya balke medaan-e-jang main kharey kharey apne kangan aur haar utar kar
isy bakhs diye aur aik tez dhaar chako se Hazrat Hamza(r.a) ka pait chaak kar
ke jigar nikaal kar chabana shroo kar diya, phir is ne in ke naak aur kaan
kate. Hinda ne is par hi iktafa nahi kia balke qareeb pari hoi musalmaan ki
lashon ke kaan aur naak kaat kar dori main puro kar haar banaya aur galey main
daal kar wehshiyana raks kia.
Hinda
ke ilawa quraish ki aik aur aurat “ Salafa Bin Saad” bhi medaan jang main warid
hoi. Darinda sift Salafa Bin Saad us musalmaan shaheed ka sar kaat kar le gai
jis ne jang-e-badar main is ke bety ko qatal kia tha. Buhat makro chekh main is
ne kaha jab tak main zinda hon is khopri ke piyale main pani piya karon gi.
Larai katam hone ke baad Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne dekha ke chaccha ka pait aur sina chak hey aur kaleja chaba
kar paink diya gaya hey aur musalmaanon ki lashon ke kaan aur naak bhi katey
hoye hain tu Huzoor Aleh Salato Wasalam be
inteha ghamgeen hoye.
Hazrat
Hamza r.a ki shahadat se musalmano ko na qabil e tilafi nuqsaan pohncha is ke bawajood
jang mein musalmano ka palla bhari raha. Musalmano ne aisi jawan mardi se
muqabla kiya ke mushriqeen ke hosle passt hogaye aur in ki qowat e bazu jawab
de gai.
Jin
teer andazon ko Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne muttaiyen farmaya tha. Inhon ne bhi jang mein bara ehm kirdaar ada
kiya. Makki shehsawaar Khalid Bin Waleed ki qiyadat mein aur Abu Amir Fasiq ki
madad se musalmano ki pusht tak pohnch gaye aur in ki siffon mein khalbali
macha kar bhar por shikast se dochar karne ke liye teen baar hamle kiye lekin
musalman teer andazon ne inhen is tarha teeron se chalni kar diya ke in ke teeno
hamle nakaam hogaye.
Kuch
dair tak shahdeed jang hoti rahi aur chota sa Islami lashkar, jang par puri
tarha hawi raha. Bal akhir mushriqeen ke hosle passt hogaye, in ki siffen
muntashir hogien. Aisa mehsos hota tha ke teen hazaar mushriqeen ko sath so
nahi balke tees hazaar mausalmano ka samna hey. Musalmaan emaan o yaqeen aur
janbazi o shujaat ki tasveer bane howe the.
Mushriqeen
ko shikast hogai fouj ne wapsi ki rah li. Musalmano ne
taqub jari rakha. Takub ki shiddat ka ye aalm tha ke mushriqeen bohat daur tak
paspa hogaye aur musalmaan maal e ghanimat jama karne lage.
Lekin isi waqt jab ke ye mukhtasar sa Islami lashkar ahle
Makka ke khilaf tareekh ke auraak par aik aur shandaar fateh likh raha tha,
teer andazon ki aksariyat ne aik aisi khofnaak ghalti ki jis ki waja se jang ka
pansa palat gaya aur Huzoor Aleh Salato
Wasalam ko takleef pohnchi.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne teer andazon ko fateh ho ya
shikast har haal mein apne pahari morchon par qaim rehne ki sakht takeed famai
thi lekin in sare takeedi ehkamaat ke bawajood jab inhon ne dekha ke musalmaan
ghanimat loot rahe hain to in par duniya ka asar ghalib agaya. Chunachey baaz
ne baaz se kaha:
“Ghanimat……! Ghanimat……..! Tumhare sathi jeet gaye…..ab
kis baat ka intezaar he?”
Ye awaaz sunte hi in ke commandaur Abdullah r.a Bin
Jabeer ne inhen Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke ehkamaat yaad dilaye aur kaha:
“Kiya
tum bhool gaye ke Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne tumhe kiya hukum diya he?”
Lekin
ghalib aksariyat ne in ki koi baat nahi suni. Chalis teer andazon ne apne
morche chor diye aur maal e ghanimat ke liye lashkar mein shamil hogaye. Is
tarha musalmano ka aik ehm morcha khali hogaya aur wahan sirf Abdullah r.a Bin
Jabeer aur in ke no sathi baqi reh gaye jo is azam ke sath apne morchon mein rahe
ke ye to inhen ijazat mil jaye gi ya wo apni jaan Allah Talah ke liye qurbaan
kar den ge.
Khaid
Bin Waleed ne is muqe se faidah uthaya aur Islami lashkar ki pusht par ja
pohncha. Pahari morchon par mojood chand musalmaan jinhon ne morcha nahi chora
tha mushriqeen ka muqabla nahi kar sake. Huzoor Aleh Salato Wasalam ki hidayat ke khilaf is
amal se mushriqeen ne bhar por faida uthaya. Mushriq fouj ka jhanda aik aurat
ne utha kar hawa mein buland kar diya aur mushriqeen ki paspa fouj wapis palat
ayi aur musalman charon taraf se mushriqeen ke narghe mein agaye. Musalmano mein abtari
phail gayi aur afratafri mein musalmano ke hathon baaz musalman mare gaye.
“Allah
Talah ne apna wadah sach kar dikhaya jab ke tum kuffaar ko is ke hukum se qatal
kar rahe the. Yahan tak ke jab tum ne past himmati ikhtiyaar ki aur kaam mein jhagarne
lage aur nafarmani ki, is ke baad kar dikhaya Allah Talah netum ko wo jo tum
chahte the baaz tum mein se duniya ka iradah rakhte the aur baaz akhrat ka, phir
Allah Talah ne tum ko dushmano ki taraf se pheer diya ta ke tum ko azmaye aur
beshak Allah Talah ne tum ko mauf kar diya. Aur Allah Talah momino par bare
fazal wale hain.”
(Surah
Al Imran-ayat-152)
Aisy
mein Hazrat Masab r.a Bin Umair jo Huzoor Aleh Salato Wasalam se sorat mein mushaba aur
aalam bardaar the, dushmano ne inhen shaheed kar diya aur kisi ne elaan kar
diya ke Huzoor Aleh Salato Wasalam shaheed
hogaye hain. Is elaan se lashkar apas mein gud mud hogaye. Sahaba Karaam r.a
apne hosh o hawas kho bethe.
Kafir
fouj ne Syedena Aleh Salato Wasalam ki shahdat ki afwah phela kar musalmano
mein bad dili phela di thi.
Hazrat
Anas r.a Bin Nasar ne dekha ke chand
musalmano ne hathiyaar phenk diye hain. Hazrat Anas r.a Bin Nasar ne in se pocha ke tum log larte
q nahi? Musalmano ne jawab diya: “Aab hum lar kar kiya karen ge? jis ke liye
larte the wo to shaheed hogaye.”
Hazrat Anas r.a
Bin Nasar ne kaha
“Agar
waqai Huzoor Aleh Salato Wasalam shaheed
hogaye hain to phir in ke baad hum zindah reh kar kiya karen ge?
Chalo
shahadat ke raaste par qadam barhao ta ke hum bhi Huzoor Aleh Salato Wasalam se ja milen.” Ye keh kar
jehad mein shareek hogaye aur shaheed hogaye. Baad mein in ki laash dekhi gai
to is par teeron, talwaron aur neezon ke 80 se ziyadah zakham aye the.
Jan
nisaar lar rahe the lekin nigahen Huzoor Aleh Salato Wasalam ko dhond rahi thien. Sab
se phele Hazrat Kaab r.a Bin Malik ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ko pohnchana. Khushi se
naara lagaya.
“Musalmano!
Khush hojao……. Ye hain Rasool Allah Aleh Salato wassalaam.”
“Aye
Muhammad faqat Rasool hain aur in se phele bhi Rasool guzar chuke hain. Kiya
agar ye mar gaye ya qatal hogaye to tum apni aeriyon ke bal phir jao ge? aur jo
apni aeriyon ke bal phire ga to har giz wo Allah ko nuqsaan nahi pohncha sakta
aur anqareeb Allah shukar guzaaron ko acha badla de ga.”
(Surah
Al Imran-ayat-144)
“Yaad
karo jab tum bhage ja rahe the, kisi ki tarf palat kar dekhne tak ka hosh tumhe
nahi tha aur Rasool (alhe Salato wassalaam) tumhe pukaar rahe the, is waqt
tumhari is roosh ka badla Allah Talah ne tumhe ye diya ke tum ko ranj par ranj
diye ta ke aindah ke liye tumhe ye sabaq mile ke jo kuch tumhare hath se jaye
ya jo musibat tum par nazil ho is par ranjedah na ho. Allah Talah tumhare sab
amaal se ba khabar hain.”
(Surah
Al Imran-ayat-153)
Ye
sada kuffaar ne bhi suni aur wo musalmano se phele hi Huzoor Aleh Salato Wasalam tak pohnch gaye. Is waqt
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke qareeb
pandrah Sahaba Karaam r.a majood the. Kuffaar ne bhar pur hamla kiya aur is
murka aria mein sath Sahaba r.a shaheed hogaye.
Mushriqeen
chahte the ke Huzoor Aleh Salato Wasalam
ko shaheed kar den lekin jan nisaron ne apni jaan ke nazrane pesh kar ke dushmano
ko Huzoor Aleh Salato Wasalam tak nahi
pohnchne diya. Is hamle mein Atba Bin Abi Waqas ne Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ki janib pathar phenka jis
se Huzoor Aleh Salato Wasalam phelo ke bal
gir gaye aur Huzoor Aleh Salato Wasalam
ke dandaane mubarrak shaheed hogaye. Huzoor Aleh Salato Wasalam ke neeche ka hont zakhmi
hogaya.aik mushriq ne Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki peshani zakhmi kar di aur aik mushriq ne itni rooz se talwaar mari
ke Huzoor Aleh Salato Wasalam arse tak
kandhe mein chot ka asar mehsos farmate rahe. Isi ne dusra waar chehre par kiya
jis se khud ki do karriyan chehra mubarrak ke andar ghus gayien aur ankh
mubarrak ke neeche ki ubhri howi haddi par zakham aye.
Khone
se labraiz halat mein bhi Huzoor Aleh
Salato Wasalam farma rahe the:
“Ya
Allah meri qoam ko bakhs de. Wo jante nahi ke kiya kar rahe hain.”
Is
nazuk tareen lamha aur mushkil tareen waqt mein Allah Talah ne gaib se madad
farmai.
Allah
Talah farmate hain:
“Ye
baat Allah Talah ne tumhe is liye bata di ke tum khush ho jao aur tumhare dil
mutmain hojayen. Fateh o nusrat jo kuch bhi hey Allah Talah ki taraf se hey jo
bari qowat wale dana o beena hain.”
(Surah
Al Imran-ayat-126)
“(Aur
ye madad wo tumhe is liye de ga) ta ke kufr ki rah chalne walon ka aik bazu
kaat de, ya in ko aisi zaleel shikast de ke wo na muradi ke sath paspa hojayen.”
(Surah
Al Imran-ayat-127)
Ø Is
muqe par jan nisari ki aala tareen misalen samne ayen. Jis waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam zameen par gire Hazrat Abu
Taha r.a ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ko
apni aghosh mein le liya aur kafiron ke beshtar hamle inhon ne apne jisam par
rok liye.
Ø Hazrat
Abu Dajana r.a dushmano mein ghire howe apne mehbob peghambar Huzoor Aleh Salato Wasalam tak pohnche to Huzoor Aleh Salato Wasalam ke agey dhal ban kar
kharey hogaye aur teeron ki barsaat ko rokne ke liye apni kamar ko dhal bana
diya.
Ø Hazrat
Talha r.a teeron ke agey apna hath rakh dete the. Is tarha in ka aik hath shal
hogaya. Is din in ke jisam par sattar ke qareeb zakham aye. Aik zakham sar par
laga jis se behosh ho kar gir pare.
Hazrat
Abu Bakar Siddique r.a kehte hain ke mein Huzoor Aleh Salato Wasalam ke liye pani laya to
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya ja
kar Talha r.a ko pilao. mein Talha r.a ke paas gaya to wo behosh the aur zakhmo
se khone beh raha tha. mein ne in ke chehre par pani chirka to in ko kisi qadar
afaka howa aur hosh mein ane par phela sawal ye kiya ke Rasool Allah Aleh
Salato Wasalam ka kiya haal he? Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne farmaya Huzoor
Aleh Salato Wasalam khairiyat se hain
aur Huzoor Aleh Salato Wasalam ne hi
mujhe aap r.a ke paas bheja hey.
Ye
sun kar in ke chehre par ronaq agai aur kaha: “Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hoty
howe har musibat asaan hey.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne sabit qadmi ke sath pahar ki ghati yani champ ki taraf
bharna shuru kar diya. Magar chu ke is wapsi ke maini ye the ke mushriqeen ne
musalmano ko narghe mein leny ki jo karwai kit hi wo be natija ho jaye is liye
mushriqeen ne wapsi ko nakaam banane ke liye hamle jari rakhe. Magar Huzoor Aleh Salato Wasalam ne mushriqeen ke hujoom
mein raasta bana liya aur Allah Talah ne inhen mehfooz farma diya.
Is
Ghazwa mein musalman khuwateen r.a ne bhi shirkat ki. Hazrat Ayesha r.a aur Hazrat
Anas r.a ki walidah Ume Salma r.a,
zakhmiyon ko pani pilati thien. Hazrat Anas
r.a ka irshad he:
“Me
ne Hazrat Ayesha r.a aur Ume Salma r.a ko dekha ke painche charhaye howe mashk
bhar bhar kar lati thien aur zakhmiyon ko pani pila rahi thien. Mashk khali
hojati to ja kar dubara pani le ati thien.”
(Sahi Bukhari)
Aain is waqt jab ke kafiron ne hamla kar diya tha aur
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke sath chand
jaan nisaar Sahaba Karaam r.a reh gaye the. Hazrat Ume Ammarah r.a Huzoor Aleh Salato Wasalam ke paas pohnchi aur Huzoor
Aleh Salato Wasalam ke liye dhal ban
gayien. Kuffaar
jab Huzoor Aleh Salato Wasalam ki taraf
teer chalate the to Hazrat Ume Ammarah r.a dhal par teer roktien thien. Ibne
Kamiya jab dorta howa Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke paas pohnch gaya to Hazrat Ume Ammarah r.a ne agey barh kar is ke waar
ko roka. Jis se in ke kandhe par zakham agaya aur Ume Ammarah r.a ne Ibne
Qamiya ke talwaar mari lekin wo dhuri zarah pehne howe tha is liye waar kaar
gar nahi howa.
Jab
Huzoor Aleh Salato Wasalam ghati mein apni
qayam gah mein pohnch gaye to mushriqeen ne musalmano ko shikast deny ki akhri
koshish ki. Abu Sufiyan aur Khalid Bin Waleed ki qiyadat mein mushriqeen ne
pesh qadmi ki.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne dua farmai:
“Ya Allah! Humey fateh naseeb farmaiye.”
Phir
Hazrat Umar r.a aur Muhajireen ki aik jamaat ne lar kar inhen pahar se neeche
utarne par majboor kar diya.
Makka
wapis jany se phele Abu Sufiyan Koh e Uhad par charha aur ba awaaz e buland
pukara:
“Kiya
tum logon mein Muhammad (alhe Salato wassalaam) mojood hain.”
Musalmano ne koi jawab nahi diya.
Abu Sufiyan ne pocha: “Kiya Abu Qahafa ka beta (Abu Bakar
r.a) tum mein mojood hain.
Lekin koi jawab nahi mila, is ne phir awaaz di.
Kiya tum mein Umar r.a Bin Khitaab mojood hain?
Magar is ka bhi koi jawab nahi aya to khush ho kar apne
sathiyon se mukhatib howa: “Ye teeno to rukhsat howe agar in mein se koi zindah
hota to jawab zaror deta.”
Ye sun kar Hazrat Umar r.a se zabt nahi ho saka. Inhon ne karak kar jawab diya:
“Aye
Khuda ke dushman! Jin logon ke tu ne zikar kiya wo sab zindah hain aur Allah
Talah ne tery ranj o alam ka samaan abhi baqi rakh chora hey.
Abu
Sufiyan ne ye sun kar nara lagaya “Aala Hubul” Aye Hubul to oncha hey.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ke hukum par Hazrat Umar r.a ne jawab diya.
Allah Talah hi sab se aala aur buzurg o bartar hain.
Abu Sufiyan wapis jaty howe kehne laga aindah saal badar
mein phir tum logon se muqabla hoga.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne aik Sahabi r.a se irshad farmaya
“Keh
do theek hey. Ab ye baat hamare aur tumhare darmiyan tey rahi.”
Ghazwa
Uhad mein teer andazon ki waja se musalmano ko jo shikast howi thi is ki waja
se mushriqeen aur munafiqeen ki himmaten bohat barh gai thien. Wo soch rahe the
ke hum musalmano ko shikast deny mein kamiyaab hojayen ge.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ki shahadat ki afwah Madina pohnchi to wahan se Hazrat Syedah
Fatima r.a aur mutadid khawateen be tab ho kar Uhad ki tarf chal parien. Hazrat
Fatima r.a ne apne piyare Abba Jaan ko zindah salamat dekha to daur kar gale lag
gayen. Phir ilaaj malje ki taraf mutawajja howin. Hazrat Ali (r.a) r.a pani
laye aur zakhmon par dalna shuru kiya. Hazrat Fatima r.a ne apne hath se zakham
dhoye, saaf kiye. Magar khoon nahi ruka. Akhir Hazrat Fatima r.a ne chatai ka
aik tukra jalaya aur is ki raakh zakhmon par chipka di. Ye tadbeer kar gar
sabit howi aur khoon nikalna band hogaya.
Mushriqeen
ke wapis chale jane ke baad musalmano ko hukum mila ke apne tamam shuhda aur
zakhmiyon ki khabar geeri ki jaye. Musalmano ke sattar aadmi shaheed howe. In
ki tadfeen ki gai.
Allah
Talah farmate hain:
“Jo
log Allah ki rah mein shaheed kiye gaye hain in ko har giz murdah na samjhen,
balke wo zindah hain apne Rab ke paas, rizq paatey rehte hain. Allah Talah ne
apna fazal jo inhen de rakha hey is se bohat khush hain aur khushiyan mana rahe
hain. In logon ki babat jo ab tak in se nahi mile in ke peeche hain. Is par ke inhen
na koi khof hey aur na wo ghamgeen hon ge.”
(Surah
Al Imran-ayat-169 ta 170)
Jang
e Uhad mein musalmano ko pohnchne wale nuqsaan ke bais yahoodiyon ne
propegendah shuru kar diya. Yahoodiyon ne logo se kaha agar Muhammad (alhe
Salato wassalaam) Allah Talah ke Rasool hoty to inhen shikast nahi hoti.
Is
muqe par Allah Talah ne farmaya:
“Bohat
se Nabiyon ke hum rakaab ho kar, bohat se Allah waly jehad kar chuke hain,
inhen bhi Allah ki rah mein takleefen pohnchi lekin na to inhon ne himmat hari
na sust rahe aur na maroob haye aur Allah sabar karne walon ko chahta hey.”
(Surah
Al Imran-ayat-146)
1.
Ye jang musalmano ke liye aik
mustaqil sabaq ki hesiyat rakhti hey. Ghazwa e Uhad mein musalmano ne Allah
Talah ke bajaye kasrat tadaad aur asbaab ke bharosa mein Huzoor Aleh Salato Wasalam ki wazeh raye ke baraks
mashwara kiya aur maal e ghanimat ki muhabbat mein Huzoor Aleh Salato Wasalam ke wazeh farmaan ki hukum
adoli kar ke fateh ko waqti shikast mein badal diya. Ye lamha fikro amal hey.
2.
Mushriqeen ko is amar ka pura muqa
hasil hogaya tha ke Uhad mein musalmano ka kila kama kar den, q ke musalman
bebas ho kar, in ke gherey mein a chuky the. Lekin Huzoor Aleh Salato Wasalam ne mushriqeen ke halke ko
tor dala aur apni nawwey fisad fouj ko sahi salamat bacha laye aur mushriqeen
kuch nahi kar sake ye in ki bohat bari shikast hey.
3.
Tareekh is baat ki shahid hey ke jab
bhi kisi lashkar ko shikast howi to fateh lashkar maftuh ke fouji champ par
zaror qabiz howa. Jab ke yahan aisi koi sorat nahi thi. Mushriqeen ka lashkar
musalmano ke champ par qabiz nahi ho saka.
4.
Mushriqeen anchanak hamla ki waja se
musalmano se kisi qisam ka bhi maal e ghanimat hasil kar sake jo ke ba sorat e
fateh lazmi amar hey.
5.
Ghazwa e Uhad ne musalmano ke infaradi
kirdaar ko rooz e roshan ki tarha ayan kar diya. Sahaba Karaam r.a mein se har
aik ne Huzoor Aleh Salato Wasalam se jis
walhana muhabbat o aqeedat ka muzahira kiya aur jis shadmani se Huzoor Aleh Salato Wasalam ki hifazat ke liye mout ki
aghosh ko passand kiya is ki misaal nahi milti. Agar isy tareekh ka zarren baab
kahen to baja hey. Jis par ummat baja tor par rehti duniya tak fakhar karti
rahe to kam hey.
Ghazwa
e Badar aur Ghazwa e Uhad ke baad mushriqeen dushmani mein bohat agey barh gaye
the.
Is
pas e manzar mein mushriqeen ne arab ke mukhtalif qabail se ittehaad kiya aur
dosri janib Madina se jila watan yahoodiyon ne Makka Mukarrama mein ghilaf e
Kaaba parkar kar Makka ke sardaar Abu Sufiyaan se ehad o pemaan kiya ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ke khilaaf jang ka aghaaz
kar den aur doraan e jang wo har tarha se madad karen ge. is tarha Quraish Arab
Qabail aur yahood par mushtamil dus hazaar afraad ka aik lashkar ban gaya jis
ka sardaar Abu Sufiyan tha. Is lashkar mein teen so ghorey aur aik hazaar onth
shamil the.
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ko jab
dushmanaan e Islam ki rawangi aur hamle ki ittilaat milien to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Madina Munawwarah mein Sahaba
Karaam r.a se mashwara farmaya. Is muqe par Hazrat Sulaman Faarsi r.a ne Iran
mein raij tareeqa e jang par Khandak khodne ka mashwara diya.
Khandak
ke laghwi maini gharha ya khai hain. Shehron ke difa ka ye tareeqa Faras (Iran)
mein raij tha. Magar ahle Arab Khandak se na ashna the. Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is mashware ko passand
farmaya aur medaan e jang ki munasbat se Khandak kho di gai. Is jang ko Ghazwa
e Khandak ka naam diya jata hey. Ghazwa e Khandak ka shumaar duniya ki mashoor
tareen laraiyon mein hota hey.
Morkheen
ka khayal hey ke
“Ye
larai Islam ki tarakki ki rah mein akhri rukawat thi.”
Q
ke musalman is larai tak kashmakash mein mubtala rahe aur tarakki ke mansubon
ki taraf pura dehaan nahi de sake. Waja ye thi ke inhen har waqt ye khatrah
lahaq rehta tha ke Quraish Madina par hamla kar den ge.
Is
waqt Madina Munawwarah teen atraaf mein dushwaar guzaar pahariyon aur baghaat
se ghira howa tha aur shumaal ki taraf medaan tha. Chunachey Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is rukh par mashriq se
maghrib tak neem dairah ki shakal mein Khandak ka nishan lagaya. Bataya ye jata
hey ke ye Khandak pandrah foot gheri aur pandrah foot choori aur taqreeban
sarey teen mile lambi thi.
Madine
ke mazafaat mein pheley howy khaeet aur baghaat ki pedawaar godamon mein zakhira
kar di gai. Bacchon aur aurton ko qilon mein bhej diya gaya. Khandak ke qareeb ke
gharon ko khali kar wa diya gaya. Khandak ke liye hard us aadmiyon ke zimma
challis gaz zameen khodna mutaiyan howa. Madine ka har mard, har aurat hata ke jawan
saal larke aur larkiyan aur job hi belcha aur kadaal uthane ke qabil the
khandak khodne mein masroof hogaye. Khandak khodne ke liye musalmano ne rooz o
shab mehnat kar ke isaar o wafadaari ka be misaal muzahira kiya. Khud Huzoor Aleh Salato Wasalam ne din raat kaam kiya aur
banafs e nafees Sahaba Karaam r.a ke sath is khudai mein hissa liya. Khabhi
kadaal chalate aur khabhi mitti uthane mein masroof ho jaty the. Musalmaan dus
dus afraad ki toliyon mein shareek howe aur wo apna muqarrar kaam qabal az waqt
mukammal kar lete to raza karana tor par dusron ke kaam mein hath batate the.
Is
dino shahdeed sardi thi. Sahaba Karaam r.a sakht sardi ke mausam mein sanglakh
zameen par khandak ki khudai karte aur shahdeed mehnat o mushaqqat se mitti
bahir nikalte. Is muzahirah par Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne rajziya ye ashaar parh kar Sahaba Karaam r.a ko hosla diya
aur in ke jazbe ki tareef farmai.
Khandak
ki khudai ke doraan ejaaz e nabowat ke kai waqiyaat runuma howe.
· Hazrat
Jabir r.a Bin Abdullah ne bakri zibah ki aur dhai kilo ataa gond kar is ki
rotiyan pakain phir Syedena Huzoor Aleh
Salato Wasalam ki khidmat mein hazir ho kar arz kiya: “Thora sa khana tiyar
karaya he, Huzoor Aleh Salato Wasalam tashreef
le chalen.” Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
ahle Khandak ko pukara aur farmaya.
“Jabir r.a ne tumhare liye khana
tiyyar kiya he, sab ajao.”
Aik hazaar afraad pohnch gaye.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne handiya
aur rotiyan par kapra dhak diya. Dus dus afraad ki jamaat dastarkhuwan par ati
aur shakam e sair ho kar uth jati thi. Yahan tak ke aik hazaar afraad ne pait
bhar kar khana ka liya.
· Aik
rooz Hazrat Bashir r.a Bin Saad ki beti ko is ki maan ne khajoor de kar kaha ke
ye khajooren apne baap aur mamo ko de ao. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne isy dekh kar apne paas
bulaya aur pocha q ayi ho?...... larki ne arz kiya:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Amman ne mery walid aur mery mamo ke liye
khajooren bheji hain.”
Syedena Aleh Salato Wasalam ne dastarkhuwan bichane ka
hukum diya. Larki se khajooren le kar dastarkhuwan par rakh den. Ahle khandak
ko khane ke liye bulaya gaya aur irshad howa ke khane ke liye aik aik jamaat
aye. Jamaat dar jamaat ahle khandak dartarkhuwan par jama hoty rahe aur sab ne
khoob sair ho kar khajooren khayen.
·
Khandak ki khudai ke doraan aik
sakht chataan agai. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne Bismillah parh kar chataan par kadaal mari to aik shula nikla aur
aik tehai chataan toot gai. Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Allah
Hu Akbar! Mujhe mulk Shaam ki chabiyan di gayen hain. Allah ki qasam! mein is
waqt Shaam ke surkh mehlaat dekh raha hon.”
Phir
Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
dosri baar kadaal mari to chataan ka aik tehai hissa aur toot gaya aur sath hi
aik aur shula nikla Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya:
“Allah
Hu Akbar! Mujhe Faras ki chabiyan di gayen hain. Allah ki Qasam! mein is waqt
kasraa ka safaid mehal dekh raha hon.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne teesri baat chataan par kadaal mari. Aik aur shula
namodaar howa. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya:
“Allah
Hu Akbar! Mujhe Yaman ki chabiyan di gayen hain. Allah ki Qasam! mein Sanaa ke darwaze
dekh raha hon.”
Hazrat
Salman Faarsi r.a Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke qareeb kharey the. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne in se farmaya: “Aye Salman r.a! Meri Ummat Shaam, Faras aur
Yaman ko fateh kare gi.”
Bano
Qareeza, yahoodiyon ka aik maaldaar qabeela tha, jo Madina munawwarah ke nawah
mein bari shaan o shukat se rehta tha. Inhon ne Huzoor Aleh Salato Wasalam se muhaidah kar rakha tha
ke beroni hamle ki sorat mein hum dushmano ka sath nahi den ge. magar Bano Nazeer
ke aik sardaar Hai Ibne Akhtab ne Bano Qareeza ke sardaar Kaab Ibne Asad se
khufiya mulaqaat ki aur isy tawun par amadah karne ki koshish ki.
Kaab
ne jawab diya ke hum ne Muhammad (alhe Salato wassalaam) ke sath muhaidah kar
rakha hey aur Muhammad (alhe Salato wassalaam) wadon ki pasdari karne wale aik
sacche insaaan hain, in ke liye mein Muhammad (alhe Salato wassalaam) ke sath
kiye gaye muhaide ko tor nahi sakta.
Ibne Akhtab Hai ne kaha….. “Shayad tumhe maloom nahi ke is
martaba itna bara lashkar le aya hon ke is ka muqabla mumkin nahi aur hum ne
ehad kar rakha hey ke jab tak Muhammad (alhe Salato wassalaam) aur is ke sathiyon
ka mukammal khatma nahi ho jata, hum larai se hath nahi uthayen ge. ye qoami
mufaad ka mamla he, agar hum kamiyaab rahe to izzat aur shaan o shukat ki
zindagi guzaren ge aur agar tumhare inkaar ki waja se nakaam hogaye to hamesha
Muhammad (alhe Salato wassalaam) ka ghulaam aur dast e nagar rehna pare ga aur
mein tumhe yaqeen dilate hon ke is dafa musalmano ka qattai tor par khatma
hojaye ga ta hum tumhe phir bhi hamari kamiyabi mein shak hey to mein wada
karta hon ke nakaami ki sorat mein wapis nahi jaon ga, balke tumhare paas ajaon
ga aur muhaidah torne ki tumhe jo bhi saza Muhammad (alhe Salato wassalaam) ki
taraf se mile gi, is mein tumhare sath barabar ka shareek rahon ga.”
Ye sun kar Kaam ko yaqeen hogaya ke is dafa waqai
musalmano ka safaya hojaye ga, is liye wo be khof o khatar hogaya. Digar raosa
Bani Qareeza ko bula kar sorat e haal batai aur kaha ke hamey Muhammad (alhe Salato
wassalaam) se kiya howa muhaidah tor dena chahiye. Inhon ne bhi taieed ki aur
phir sab ke samne muhaide ki dastaweez ko phar diya.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ko is waqiya ka ilm howa to
inhon ne haqeeqat maloom karne ke liye Hazrat Saad r.a Bin Maaz aur Hazrat Saad
r.a Bin Ibadah ko Bano Qareeza ki taraf rawana farmaya aur irshad farmaya k
“Agar
muhaidah torne ki khabar sach howi to is khabar ko wapis akar mabham alfaaz
mein biyan karna. Ta ke fouj mein bad dili na phele aur agar ye afwah galat
sabit howi to elaaniya biyaan karne mein koi harj nahi.”
Ye
dono Sahaba r.a Bano Qareeza ke paas gaye in logon ko musalmano ke sath
muhaidah aur Huzoor Aleh Salato Wasalam
ke sath kiye howe ehad o pemaan yaad dilaye.
Ye
sun kar qabeela Bano Qareeza na kaha “Hum nahi jante muhaidah kiya cheez hey aur
na ye jante hain ke Muhammad (alhe Salato wassalaam) kon hain?”
Sahaba
Karaam r.a wapis Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki khidmat mein hazir howe aur Bano Qareeza ki ehad shikni ki tasdeeq
kar di. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is
muqe par farmaya:
“Hamare
liye Allah kafi hey aur wohi behtreen kaar saaz hey.”
(Surah
Al Imran-ayat-173)
Khandak
Madine ke shumaal ki janib khodi gayi thi. Quraish apne ittehadiyon ke hamrah
Madine pohnch gaye the. Sabqat ke zum mein mubtala munkireen onth aur ghorey
sar pat dorate howe Madine ki hadood mein pohnche to heerat o istajaab ki
tasveer ban gaye…….. difa ka ye heerat angeez tareeqa is se phele na inhon ne
dekha tha aur na suna tha. Jangi saaz o samaan se lees lashkar Khandak ke paar
parao dalne par majboor hogaya. Ittehadi ye soch kar aye the ke aik hi rooz
mein musalmano ko teh taigh kar ke fateh hasil kar len ge. magar ahle Madina
aur in ke darmiyaan hail Khandak ne inhen bebas kar diya. Jis waqt mushriqeen
ki fouj Madine pohnchi, mausam badal raha tha. Sipahiyon ko kheemon mein sardi
lag rahi thi. Fouj ko muhasarah karna para jis ke liye wo phele se tiyaar nahi
the. Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam apne
sathiyon ke hamrah Khandak ke samne mojood the. Mushriq sardaar rozana khandak
tak aty. Aik siry se dorey siry tak ghorey doratey the. Magar khandak paar
karne ka koi raasta unhen nahi milta tha. Ghaiz o ghazab ke aalam mein wo
musalmano par teeron ki bochaar karte, jawab mein musalmaan teer andaaz in par
teer barsate the.
Lashkar
Islam mein mojood munafiqeen ne musalmano ke hosle passt karne ki meham shuru
kar di.
Inhon ne musalmano se kaha:
Muhammad (alhe Salato wassalaam) ne hamare sath wada
farmaya hey ke hum log kaisar o kasraa ko fateh karen ge in ke khazane hamey
milen ge jab ke sorat e haal ye hey ke hum log laachaar, kamzoor aur majboor ho
kar reh gaye hain.
Ye waqt sakht azmaish ka tha Huzoor Aleh Salato Wasalam ke sathiyon ko ikhlaas ki
kasauti par parkha jar aha tha. Yun Allah Talah ki taraf se nazil Ayat ne khara
aur khota alag kar dikhaya.
Allah Talah ne farmaya:
“Yahin momin azmayen gaye aur puri tarha wo jhinjhor diye
gaye. Aur is waqt munafiq aur wo log jin ke dilon mein (shak ka) roog tha kehne
lagey Allah Talah aur is ke Rasool ne hum se mehaz dhoka faraib ka hi wada kiya
tha.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-11 ta 12)
Munafiqon
ke propegande aur Bano Qareeza ki janib se ehad torne ki khabar se musalmano ko
tashveesh howi to inhon ne bargah e Risalat mein dast basta arz kiya ke hamey
munafiqon ki resha dawaniyon aur yahood ki bad ehdi ka khatrah hey. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne intehai sukoon aur
yaqeen se farmaya:
“Mushriqeen
ko yahoodiyon ki kumak par bharosa hey jab ke mein Allah Talah ki madad par
yaqeen rakhta hon. yaqeen rakho Allah Talah hamey be yaro madad gaar nahi
choren ge.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ke farmaan se musalmano mein naya hosla peda hogaya aur
inhen Allah Talah ki madad o nusrat ka yaqeen hogaya.
Islami
fouj mein munafiqon ki tadaad bhi shamil thi. Jo bazahir musalmano ke sath the.
Lekin mausam ki sakhti, rasd (raashan) ki qillat, raaton ki be khuwabi, dushman
ki bari tadaad, aisy waqiyaat the jinhon ne pardah faash kar diya. Munafiqeen
ne mukhtalif huliye bahane shuru kar diye, kehne lage:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Hamare ghar bilkul khali hain aur ghar ki
diwaaren choti hone ki waja se ghair mehfooz hain aur dushman ki zad mein hain.
Hamari aurten aur bacche ghair mehfooz hain. Is liye hamey ijazat den ta ke hum
wapis ja kar in ki hifazat kar saken.”
Allah
Talah farmate hain:
“Jab
in mein se aik ghiroh ne ye kaha ke Aye Madina walo! Tumhare liye thikana nahi,
chalo lot chalo aur in ki aik aur jamaat ye keh kar Nabi s.a.w se ijazat mangne
lagi ke hamare ghar ghair mehfooz hain halan ke wo (khule howe) ghair mehfooz
nahi the (lekin) in ka pukhta iradah bhaag kharey hone ka tha.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-13)
Dosri
taraf momino ke dil ikhlaas, yaqeen, emaan aur jaan nisari ke jazba se labraiz
the. In ke dilo ki kefiyat Allah Talah ne yun biyan farmai he:
“Aur
emaan daaron ne jab lashkaron ko dekha to (be sakhta) keh utthe! ke is hi ka
wada hum se Allah Talah ne aur is ke Rasool ne kiya tha aur Allah Talah aur
Rasool (alhe Salato wassalaam) ne sach farmaya aur is se in ke emaan mein farmabardaari
ka aur izafa hogaya.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-22)
Khandak
ke paar mushriqeen kid us hazaar fouj do haftey se sardi mein thathar rahi thi
aur jab ghiza aur muweshiyon ki khuraak ka masla howa to fouj ka sipa salaa
baghawat ke khatre se preshan hogaya. Dus hazaar fouj jama karne wale Quraish,
yahoodi aur in ke ittehadi qabail babasi ke alam mein khandak ke paar musalmano
ko dekh rahe the. Aksar nidar aur janbaaz ghur sawaar khandak paar karte howe khandak
mein gir kar halaak hogaye aur agar koi khandak uboor kar gaya to mujahideen ne
is ka kaam tamam kar diya. Musalmaan teer andazon ne inhen khandak se daur rakha.
Kuffaar Makka ke journalon ne apni apni muqarrarah bari par hata ul maqdoor
koshish karne ke bawajood khandak uboor karne mein nakami ka samna kiya.
Aik
jagah khandak ki churai kam thi wahan se mashoor aur bahadur pehalwaan Umro
chand nojawano ke sath khandak uboor karne mein kamiyaab hogaya aur musalmano
ko muqable ke liye lalkara. Umro tanha aik hazaar sawaar ke barabar bahadur
samjha jata tha. Hazrat Ali (r.a) r.a Sher e Khuda ne aik waar mein is ke do
tukre kar ke naraa takbeer buland kiya to Umro ke sathi bhi farar hogaye. Nofil
Bin Abdullah ghorey par sawaar bhaag kar khandak ko phelangna chahta tha magar
khandak mein sar ke bal gira aur garden totne se jan bahaq hogaya. Nofil Bin
Abdullah ki lash hasil karne ke liye mushriqeen ne dus hazaar darham Huzoor Aleh Salato Wasalam ki khidmat mein pesh kiye.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Na
hamey dus hazaar darham ki zarorat hey aur na hi is ki lassh ki” aur yun
baghair kisi muaweze ke Nofil Bin Abdullah ki lassh mushriqeen ke hawale kar di
gai.
Is
rooz pury din ye silsila jari raha aur musalmaan har janib se mushriqeen ka
muqabla karte rahe. Is doraan namaz e Zuhar, Asar aur Maghrib qaza howen jinhen
baad mein ada kiya gaya.
Madina
Munawwarah ke difa mein yahoodi qabeela Bano Qareeza ki ghaddari se jab khatrah
howa to Syedena Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne Hazrat Zaid r.a Bin Harsa ko teen so afraad ke hamrah Madine ke makanaat
aur gharon ke difa ke liye rawana farmaya jahan khawateen aur bacche qayaam
pazeer the.
Jab
khandaq ki khudai mukammal ho gai thi aur mushrikeen ki fouj Madina ke qareeb
ponhach gai tu musalman khawateen aur bachon ko hifazat ke liye mazboot qilon
aur mustahik imarton main muntaqil kar diya gaya. Hazrat Safia(r.a) Bint-e-Abul
Muttalib Hazrat Hassan(r.a) ke farigh name qiley main thin. Ye qila bano qariza
ki abadi se qareeb tha. Ibtedai ayyaam main to bano qariza kiyun ke musalmaanon
ke sathi the is liye mastoraat ko in ki taraf se koi khatra nahi tha. Kiyun ke
ehle arab ifaaye ehed ke liye zarb ul misaal the lekin jang shroo hone se pehle
Kaab Bin Asad apne purey qabila bano qariza ke hamra ehed se phir gaya.
Is
tarha masto raat bhi in logon ki taraf se hoshyaar ho gain. Aik rooz yahodiyon
ne ye khayal karte hoy ke musalmaanon ki sari fouj to khandaq ki simt
mushrikeen se barsarepekaar hey. Qila par hamla ka mansooba tayyar kia. Chunacha
is gharz se aik yahudi ko sab se pehle halaat maloom karne ke liye qila ki
taraf bheja.
Hazrat Safia(r.a) Bint-e-Abul Muttalib farmati hain:
“ Hamarey paas se aik yahudi guzra aur qiley ke charoon
taraf chakkar lagaya. Ye is waqt ki baat hey jab hamarey darmiyan koi nahi tha
jo h umraa difa karta……
Is
liye main ne kaha:
“
Aye Hassan(r.a)!ye yahudi…..jesa ke ap dekh rahe hain. Qila ke chakkar laga
raha hey aur mujhe Allah ki qasam andesha hey ke ye baqi yahud ko bhi hamari
kamzori ke mutalliq agah karde ga. Huzoor Aleh Salato Wasalam aur Sahaba karaam(r.a)
jang main is tarha masroof hain ke wo hamari madad ko nahi a saktey. Ap jayye
aur is yahudi ko qatal kar dijye.”
Hazrat
Hassan(r.a) darbaar Nabvi(s.a.w.w) ke shayar the. Binai se mehroom the.
Hazrat
Hassan(r.a) ne kaha: “ Agar main larne ke qabil hota to is waqt medaan-e-jang
main hota,”
Hazrat
Safia(r.a) kehti hen:
“
Ab main ne apni kamar bandhi aur lathi li aur qiley se utar kar is yahudi ke
paas pohanchi aur lathi se maar maar kar is ka khatma kardiya. Is ke baad qiley
main wapis aye aur Hazrat Hassan(r.a) se kaha: “ Jayye! Is ke hathyaar utaar
lijye.”
Hazrat
Hassan(r.a) ne kaha “ Mujhe iske hathyaar aur samaan ki koi zarorat nahi.”
Musalmaan
bachon aur aurtoon ki hifazat par Huzoor Aleh Salato Wasalam ki phoppi ke is karnamy ka
bara gehra asar hoa. Is karwai se yahudiyon ne samjha ke in qilon main bhi
musalmaanon ka hifazati lashkar mojood he, yahudiyon ko dobara is qisam ki
jurraat na hoi. Albatta wo mushrikeen ke sath apne ittehaad ka amli sabot paish
karne ke liye inhe musalsal rasd pohanchate rahe. Musalmaanon ne in ke rasd ke
bees ounton par qabza kar liya.
Agarchey
muhasara ki tawalat mein musalmaan bhi mushkilaat ka samna kar rahe the lekin
kuffaar mein himmat o hosla nahi raha tha. Isi doraan aik no muslim ne khamoshi
se Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ki
khidmat e aqdas mein hazir ho kar kuffaar mein phot dalne ki ijazat talab ki.
Ye no muslim Naeem r.a Bin Masood the. Jin ke emaan se abhi tak kuffaar agah
nahi howe the. Inhon ne yahood ke baghi qabeele Bano Qareeze aur Quraish Makka
ke lashkar mein mojood Bano Ghatfaan mein aisi phot dali ke wo aik dusre se
mutanfar aur bazaar hogaye.
Kuffaar
ka lashkar hosla haar raha tha. In ki rasd khatam ho rahi thi ke Quraish Makka
ko Hajj ke intezaam ki fikar hogai. Mausam ki shiddat mein izafa hogaya aur
sardi barh gai. Sipahi bimaar o halaak ho rahe the aur ye soch rahe the ke hum
kis tarha wapis hon ge?
Musalmano
mein mojood munafiqon ki sazish bhi in ke kisi kaam nahi ayi aur wo musalmano
ke haleef qabail ko ehad torne par raza mand nahi kar sake.
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam Zuhar o Asar
ke doraan musalsal dua mein masroof rahe:
“Aye
Allah! Aap Quran Kareem ke nazil farmane waly hain aur jald hisaab karne wale
hain. In qabeelon ko shikast dijiye. Aye Allah! In ko shikast dijiye aur in ko
larkhara dijiye aur in par hamari madad farmaiye.”
Batil
par ittehaad karne wale abhi kisi faisle par muttafiq nahi howe the ke raat ko
itni taiz aandhi aayi ke kheemey hawa mein ghobaron ki tarha urne lage. Lashkar
mein roshan alao bujh gaya. Shahdeed barish se sardi barh gai. Barish, tufaan
aur baadlon ki garj mein kuffaar ki mayusi fouj khof o haraas ka shikaar hogai
aur Allah Talah ne aandhi, barish aur farishton ki jamaat se mujahideen ki
madad farmai.
“Aye
emaan walon! Allah Talah ki is naimat ko yaad karo jo tum par howi jab tumhare
paas lashkar aya to Allah Talah ne in par aandhi bheji aur aisa lashkar bheja
jo tumhe nazar nahi aata tha aur Allah Talah dekh rahe the jo tum kar rahe
the.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-9)
Hazrat
Huzaifa r.a jab Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke hukum se kuffaar ke lashkar mein halaat maloom karne gaye to inhon
ne dekha ke hawa ke tufaan ne in ke kheeme ukhaar diye, degen ulat den, ghorey
bad mast daur rahe the aur sangrezon ki awazen a rahi thien jo ghoron ko lag
rahe the.
Hazrat
Huzaifa r.a farmate hain:
“Jab
mein wapis a raha tha to raasta mein bees sawaar mile. Inhon ne mujh se kaha ke
tum apne aqa ko khabar de do ke Haq Talah ne kuffaar ke lashkar par Huzoor Aleh Salato Wasalam ko nijaat di. mein Huzoor Aleh Salato Wasalam ke paas pohncha to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne bhi namaz mukammal kar
ke tabassum farmaya aur mujhe basharat di.”
Quran
Paak mein irshad he:
“Aur
jab dekhin musalmano ne foujen, bole ye wohi hain jo wada diya tha hum ko Allah
Talah ne aur in ke Rasool Aleh Salato Wasalam ne aur sach kaha Allah Talah ne
aur in ke Rasool Aleh Salato Wasalam ne, aur in ka aur barha yaqeen aur attat
karna.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-22)
Jab
aandhi, aag aur barish ka ye tufaan, bijli ki chamak aur karak urooj par
pohnchien aur lashkar tabah o barbaad hota nazar aaya to Abu Sufiyan ne ajlat
mein meeting ki, halaat biyan kar ke khud hi jaldi mein ye faisla sunaya ke mein
ghar jar aha hon tum bhi safar karo aur seedha apne oonth ke paas aya aur bad
hawaasi mein isy maarna shuru kar diya ke wo uth khara ho. Halan ke is ke ghutne
bandhe howe the aur wo uth nahi sakta tha. Aik dusre aadmi ne oonth ke ghutne
khole to wo uthne ke qabil howa. Is tarha Quraish aur Haleef Qabail wapis lout
gaye. Jab subah sadiq ne raat ka pardah chaak kiya to sipahiyon ne dekha ke medaan
e jang mein dushman mojood nahi the.
Allah
Talah ka irshad he:
“Aur
Allah Talah ne kafiron ko gusse mein bhare howe hi (namuraad) lota diya inhon
ne koi faidah nahi paya. Aur is jang mein Allah Talah khud hi momino ke liye
kaafi hogaya. Allah Talah bari qowaton wala aur ghalib hain.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-25)
Musalmaan
Madina Munawwarah lout gaye aur Allah Talah ka shukar baja laye.
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is muqe
par farmaya!
“Ab
Quraish ki laraiyan khatam hogayen aindah hum pesh qadmi karen gen.”
Inhi
dino Samama Ibne Asaal nami aik shaks jo Yamama ke ilaqe ka sardaar tha, Huzoor
Aleh Salato Wasalam ko dhoke se qatal
karne ki niyat se Madina mein dakhil howa aur na waaqfiyat ki waja se Madina ki
galiyon mein bhatakne laga. Sahaba Karaam r.a ko is par shuba howa aur usy
pakar kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ki khidmat
mein pesh kar diya. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya ke is ko masjid ke aik satoon ke sath bandh do.
Ye
shakhs teen din tak Masjid e Nabvi mein qaid raha. Is doraan Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is ki bohat khatir
madarat ki aur subah o shaam apni khaas oonthni ka doodh is ke liye bhejte
rahe. Rozana is se ye bhi pochte ke tumhari kiya raye he?
Samama
kehta…… “Agar aap mujhe qatal karen ge to aik mauziz insaan ko qatal karen ge
aur agar ehsaan karen ge to aik sipaas guzaar shakhs par ehsaan karen ge aur
agar meri rehai ke ewaz raqam talab karen ge to muhaiya kar di jaye gi.”
Teesre
din Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
farmaya ke Samama ko azaad kar do. Chunacha Sahaba Karaam r.a ne isi waqt is ko
riha kar diya. Ab Samama ka jisam mukammal tor par azaad tha, magar is ka dil
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke husn e
salook ka aseer ho chukka tha ke rehai ke baad is ne Masjid se bahir ja kar
ghusal kiya aur wapis akar baghair kisi tamheed ke goya howa LA ILAHA ILLALLAH
MUHAMMAD UR RASOOL ALLAH
Huzoor
Aleh Salato wassalaam, Hazrat Samama r.a ki sadaqat aur kaya palat se bohat
masroor howe aur in ko duniya o akhrat ki bhalai ki khushkhabri di.
Is
ke baad Hazrat Samama r.a ne umrah ke liye jane ki ijazat chahi. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne bakhushi ijazat de di
aur wo umrah ke liye rawana hogaye. Jab wo
LABBAIK ALLAHUMA LABBAIK LA SHAREEKA LAKA LABBAIK
Parhte
howe Makka mein dakhil howe to ahle Makka ne pocha:
“Kiya
tum Be Deen hogaye ho?” (k Allah ko lashareek keh rahe ho)
Inhon
ne kaha…… “Nahi, Be Deen nahi howa, balke deendaar howa hon q ke Hazrat Muhammad
Aleh Salato Wasalam ke deen ka peero kaar ban gaya hon aur yaad rakho ke aindah
tumhe gandum ka aik daana bhi nahi mile ga jab tak Huzoor Aleh Salato Wasalam hukum nahi den ge.”
Ahle
Makka ke liye jo ghilla ata tha, wo Yamama se guzar kar ata tha. Hazrat Samama
r.a ne wapis ja kar hasb e wada ghilla band akr diya aur ahle Makka bhook se
bilbila utthe.
Chunacha
Abu Sufiyan Madina aya aur Huzoor Aleh
Salato Wasalam se kaha:
“Kiya
tum apne ap ko Rehmat tulilalameen nahi kehte ho?”
“Kehta
hon.” Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
farmaya,
“Magar
hamare sath tumhara salook mukhtalif hey.” Abu Sufiyan bola “Tum ne hamare
baron ko talwaar se maar dala aur bacchon ko bhook se maar rahe ho. mein tumhe
Allah ka aur rishtedaari ka wasta deta hon ke hamare haal par reham karo.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ko is ki halat e zaar par reham agaya aur Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Samama r.a ko
peghaam diya ke ahle Makka ki tijarat ke raaste khool diye jayen.
SALLAL LAAHO
TAALA HABIBIHI MUHAMMADION WASALAM
1.
Jazeerah e arab ki mutadid Islam
dushman qowaton ne apni tamam afraid qowat aur maddi wasail ko jama kar ke bare
josh o gharosh se markaz Islam par hamla kiya tha. Is hamle ke sath inhon ne
bari tawaqqaat wabasta kar rakhi thien lekin in ki ye muttehdah meham jis
maiyoos kun nakami se do chaar howi, is ne in ki kamar tor di. Inhen yaqeen
hogaya ke itni qowat wo dobarah har giz jama nahi kar sakte is liye ab is no
ghaiz Islami mumlikat aur is ke deen ko wo qatan koi shikast nahi pohncha saken
ge.
2.
Yahood jo Madina Tayyaba mein ayesh
o araam ki zindagi basar kar rahe the bazaron aur tijarti mandiyon mein in ko
bala dasti hasil thi. Zarrai zameenen, baghaat aur nakhlistaan in ki milkiyat
the. Bahemi muhaidah ki waja se in ki tarf ankh utha kar koi nahi dekh sakta
tha. Is ke bawajood in ke dilon mein Islam ke barey mein bughaz o anaad ke jazbaat
josh marte rehte the. Is ghazwa ke bais in ki Islam dushmani zahir hogai.
Muhaidah torne mein inhon ne pehal ki. In sangeen halaat mein in ki ehad shikni
aur khayanat karne ke sabab in ko saza dene mein azaad hogaye.
Mushriqeen
ke zulm o sitam se tang aakar musalmaan Makka chor kar Madina Tayyaba mein abaad
hogaye the. Magar kuffaar ne inhen yahan bhi araam ka sans nahi lene diya.
Allah Talah ne mushriqeen ke is maarwa salook ki mazmab ki hey.
Allah
Talah ka irshad he:
“Allah
Talah mushriqon ko q azaab na den. Halan ke inhon ne ahle emaan ko Masjid ul
Haraam mein ane se rook diya.
(Surah
Al Anfaal-ayat-34)
Aik
raat Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
khuwab dekha ke Huzoor Aleh Salato
Wasalam Sahaba Karaam r.a ke sath Makka Mukarrama tashreef l gaye hain aur
Umrah ada kiya hey. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne Sahaba Karaam r.a ko khuwab sunaya aur Umrah ki adaigi ke liye Makka
jane ka iradah farmaya. Makka jane ki khabar sun kar musalmaan bohat khush
howe. Makka muhajireen ka abai aur mehboob watan tha muddat se wo log Makka
nahi gaye the muhajireen ko aksar Makka ki yaad ati thi inhen ziyarat e Kabaa
ki bhi bari khuwahish thi. Madina ke musalmaan bhi becheni se is waqt ke muntazir
the jab inhen bhi Allah Talah ke ghar ki ziyarat naseeb ho.
Hijrat
ke chatey saal Huzoor Aleh Salato
Wasalam apne do hazaar sathiyon ke hamrah Makka Mukarrama rawana hogaye. Is
baar musalmano ke qaafle mein kai soo oonth bhi shamil the. Sardaraan e Quraish
ke liye ye waqt bohat sakht tha. Wo faisla karne se qasir the. Agar ijazat de
di jaye ke musalmaan kai soo oonth ke sath Makka mein dakhil ho jayen to ye
andesha tha ke wo Makka par qabza kar len gen. agar do hazaar musalmaan Makka
mein dakhil hojayen to is baat ki kiya zamanat hey ke jab wo wahan se jayen ge
to do hazaar se ziyadah nahi hongen. Inhon ne faisla kiya ke musalmano ko Makka
mein dakhil nahi hone diya jaye. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne in ke khadshaat aur andeshon ko daur karne ke liye apne
safeer Haraash r.a Bin Umaiyya Harai ko bheja ta ke Quraish ko bataye ke musalmano
ko maqsad sirf Kabaa ki ziyarat karna hey. In ke paas koi hathiyaar nahi he,
agar musalmaan jang ke liye atey to hathiyaar pehan kar atey. Lekin Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ka safeer
Makka nahi pohnch saka. Do soo sawaron ka dasta jis ki qayadat Akarma Ibn e Abu
Jehal kar raha tha, raasta mein marahim howa aur qasid aur is ke sathiyon ko
pakar liya. In ke jitney oonth the inhi tangent kaat dien. Musalmaan safeer aur
is ke sathi oonthon se hath dho bethene ke baad ragistaan mein bhatak gaye.
Qareeb tha ke wo halaak hojaye Allah Talah ki madad se wo musalmano ke qaafle tak
pohnchne mein kamiyaab hogaye.
Musalmano
ne “Zul Haleefa” ke muqaam par qurbani ke oontho par nishaan lagane ki rasam
ada ki. Is hi muqaam par Umrah ke liye ahraam bandhe aur Makka ki janib rawana
hogaye. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
har qisam ke takrao se bachne ke liye Zul Haleefa ka pahari raasta ikhtiyaar
kiya aur Makka ki janib apna safar jari rakha. Zul Haleefa ki sar zameen se
guzarne ke baad wo log aik intehai tang aur dushwaar pahari ilaqe mein dakhil
howe jahan se oontho ka guzarna mushkil aur khatarnaak tha. Is pahari ilaqe
mein musalmano ko suraj ki hiddat aur piyaas ki shiddat ki waja se bohat
takleef howi. Lekin inhon ne kisi na kisi tarha raasta tey kar liya aur aisy
ilaqe mein dakhil hogaye jis ka naam “Hadeebiya” mashoor tha. Hadeebiya Makka
se gayarah kilo meter ke faasley par waqiya hey. Yahan se pura Makka nazar ata
hey. Makka mein rehne walon ki ankhen nam hogayien. In ka dil tarap uttha ke thori
dair baad watan ki mitti ki sondhi khushbo se jisam o jaan mauttar hojayen ge.
Lekin
theek aisy lamhaat mein jab ke musalmaan ehtraam ke jazbe aur walhana ishq se
Makka pohnchne ki tamanna kar rahe the peghambar e Islam Huzoor Aleh Salato Wasalam ka oonth chalte chalte
ruka aur zameen par beth gaya. Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne oonth ko uthana chaha
wo uth gaya lekin uthne ke baad wo qadam peeche hata aur dobara beth gaya.
Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam oonth
se utar aye aur musalmano ko mukhatib kar ke farmaya Allah Talah ki marzi yehi
hey ke hum is jagah qayaam karen. Huzoor Aleh Salato Wasalam ka ye irshaad sun kar sare
musalmaan oonthon se utar aye. Lekin wo bohat ghamgeen aur dil girafta the.
Inhen tawaqqa nahi thi ke Makka ki hadood mein dakhil ho kar, Makka se bahir
tehrna parey ga. Ye jagah Hadeebiya ke ilaqe mein thi. Mausam e bahaar mein pani
wafar miqdaar mein hota tha lekin is waqt wahan pani nahi tha. Hadeebiya aik
khuwen ka naam tha. Is ke ird gird jo gaon abaad tha wo bhi isi naam se mashoor
hogaya. Is ka kuch rukba hadood e Haram mein hey aur kuch hadood e Haram se
bahir hey. Ye muqaam Makka Mukarrama se noo mile daur waqiya hey.
Musalmono
ne Allah Talah ke mehboob Huzoor Aleh
Salato Wasalam se arz kiya:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Hamare sath kai soo oonth hain aur hum taqreeban
do hazaar afraad hain. Yahan pani nahi hey. Aise khusk ilaqe mein kaise rahen
ge? Huzoor Aleh Salato Wasalam ki
khidmat mein hamai guzarish hey ke hum agey barhen aur aisi jagah pohnch jayen
jahan pani jo.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne dua ke liye dono hath asmaan ki taraf uthaye aur bargah
e Ilahi mein dua ki:
“Aye
Khalid o Malik Allah Tala! Agar ap pani muhaiya nahi karen ge to musalmaan be
ikhtiyaar haram mein dakhil hojayen ge.”
Wahan
aik kuwan tha jo khusk tha. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne aik teer liya aur teer ko kuwen mein gaarne ka hukum diya.
Kuwen mein jaise hi teer gara gaya pani ka chasma ubal para.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ki amad ki khabar un kar Quraish ke log is uljhan mein giraftaar
hogaye ke agar hum musalmano ko Makka mein dakhil hone se rokte hain to jazeera
tul arab ke log mukhalif hojayen ge. Arab qabail ye samjhen ge ke hum Khane
Kabaa ke malik ban bethe hain aur Hajj o Umrah aur Ziyaraat e Kabaa ab Quraish
ki marzi se hoga aur agar Muhammad (alhe Salato wassalaam) ke qaafle ko Makka
mein aany dety hain purey Arab mein sharmindigi hogi ke Muhammad (alhe Salato wassalaam)
hum par ghalib agaye.
Is
maghdosh sorat e haal se nimatne ke liye inhon ne Arwah Bin Masood Saqfa ko
safer muqarrar kiya ta ke wo Hudaibiya ja kar Huzoor Aleh Salato Wasalam se muzakarat kare. Arwah
Bin Masood ne Huzoor Aleh Salato Wasalam
se mulaqaat ki aur in se pocha:
“Tum
log kis maqsad se aye ho?”
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Hum
Khane Kabaa ki ziyarat karne aye hain.”
Arwah
Bin Masood ko qurbani ke wo oonth dikhaye jin par qurbani ke nishan lage howe
the. Guftugu ke doraan Arwah ne bari badtamizi se Syedena Aleh Salato Wasalam
ke chehrah aqdas ko hath lagaya. Hazrat Mughirah r.a Bin Shuba ne ghazab naak
ho kar talwaar ki nook is ke hath mein chibhoi aur bole,
“Ghustakhi
nahi kar adab se baat kar.”
Hazrat
Abu Bakar Siddique r.a ne Arwah se kaha,
“Aye
Arwah! Agar tu safer nahi hota to hum tujhe mout ki neend sula dete.”
Arwah
Bin Masood Quraish ke paas pohncha to is ne Quraish ke buzurgon se kaha:
“Me
ne Roam ka darbaar aur Habsha ke badshah Nijashi ka darbaar dekha hey. Lekin jo
wafadaari aur jaan nisaari musalmano ke dilo mein Muhammad (alhe Salato wassalaam)
ke liye hey wo mujhe Qaisar aur Nijashi ke darbaar mein nazar nahi ayi.”
Arwah
Bin Masood ke baad aik aur shakhs Quraish ke safeer ki hasiyat se Hudaibiya aaya.
Is ne dekhen ke musalmaan ahraam bandhe howe hain aur qurabani ke oonth in ke sath
hain. Wapis ja kar Quraish se kaha:
“Me
ne qurbani ke oontho ko dekha hey. Jin par saliqa (qurbani ka makhsos nishan)
bana howa tha. Is ke ilawah mein ne suna, ke wo Hajj ka makhsos wird parh rahe
the. Lehaza is mein koi shak o shuba nahi ke wo Kabaa ki ziyarat karne aye hain
aur merey khayal mein in ke upar pabandi nahi lagani chahiye.”
Lekin
Quraish mutmain nahi howe. Inhon ne Halais Bin Alqama ko bheja. Halais jab
wahan pohncha to Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya:
“Quraish
ke numainde ko azaad chor diya jaye ta ke wo jahan jana chahe, jaye. Jis se
chahey mulaqaat kare aur jo chahey dekhe.”
Halais
Bin Alqama ne bhi yehi dekha ke sarey musalmaan ahraam bandhe howe hain aur
qurbani ke liye apne sath oonth laye hain. Halais ko kahin bhi hathiyaar nazar
nahi aye. Halais taizi se Makka pohncha aur Quraish ke samne apne tasuraat
biyan kiye:
“Aye
Makka ke sardaron! mein yaqeen se keh sakta hon ke musalmaan Khane Kabaa ki
ziyarat ke liye aye hain. Inki niyat mein khot nahi hey. Merey khayal mein inhen
Makka aany ki ijazat honi chahiye. Har shakhs ke Khane Kabaa ki ziyarat ka haq
hey. Khane Kabaa par kisi ki ajarah dari nahi hey.”
Quraish
ke sardaar Makka mein musalmano ke dakhley par raza mand nahi howe. To Halais
naraz hogaya. Aur kaha:
“Agar
tum ne Muhammad Aleh Salato Wasalam aur in ke peero karon ko Makka mein aane
aur Kabaa ki ziyarat se roka to mein tum logon se alehdah hojao ga aur tum bhi
aaj ke baad se mujhe apna ittehadi nahi samajhna.”
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Usmaan
r.a ko qasid bana kar Makka bheja. Hazrat Usmaan r.a ne jab Quraish se mulaqaat
ki to ahle Makka ne kaha:
“Aap r.a hamare qabeele se talluq rakhte hain. Hum aap
r.a ko ijazat dety hain Kabaa ka tawaaf karen aur Umrah ada karen lekin
Muhammad (alhe Salato wassalaam) ko is baat ki ijazat nahi de sakte ke wo Khane
Kabaa mein dakhil hon.”
Koor
e chasam Quraish ki zid aur hat dharma se muzakarat nakaam hogaye. Hazrat Usmaan
r.a ki wapsi mein dair hogai aur is doraan in musalmano mein ye afwah phail gai
ke Hazrat Usmaan r.a ko shaheed kar diya gaya hey.
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam babol ke darakht
ke neeche beth gaye aur farmaya ke Usmaan r.a ke khoon ka badla lena farz hey.
Jo shakhs is mein shareek hona chahta hey wo mere hath par bait kare ke akhri
dum tak wafadaar rahe ga. Tamam Sahaba Karaam r.a ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ke dast e mubarrak par
bait kar li. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
apne dayen hath ko Usman r.a ka hath farmaya aur apne dusre hath par hath rakh
kar Hazrat Usmaan r.a ki taraf se bhi bait ki.
“Jo
log aap se bait karte hain wo yaqeenan Allah se bait karte hain. In ke hothon
par Allah ka hath hey. To jo shakhs ehad shikni kare wo apne nafs par hi ehad
shikni karta hey jo shakhs is iqrar ko pura kare jo is ne Allah ke sath kiya
hey to isy anqareeb Allah bohat bara ajar de ga.”
(Surah
Al Fatah-ayat-10)
“Bait
ur Rizwaan ke baad ittila musool howi ke Hazrat Usmaan r.a ki shahadad ki
khabar durust nahi thi.
Do
din do raat ke muzakarat ke baad Quraish ne “Suhail Bin Umro” ko safeer bana
kar aik wafad ke sath Hudaibiya bheja ta ke wo Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam se zarori muzakarat kare.
Ta ke “Adam Jaarhiyat” ka muhaidah tey paya jaye. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Ali (r.a) r.a ko
bulwaya aur in se kaha ke wo muhaidah ki dastawaiz tiyar karen. Hazrat Ali
(r.a) r.a ne likhna shuru kiya.
BISMILLAH
HIR REHMAAN NIR RAHEEM
Suhail
Bin Umro ne foran toka aur bola:
“Hum
Rehmaan aur Raheem ko nahi jante, Ali ko “BIMIKA AL ALLAHUMA” likhna chahiye. Q
ke qadeem zamane se hum arbon ke tamam muhaide isi naam se shuru hoty hain.”
Hazrat Ali (r.a) r.a ne agla fiqrah likha:
Ye muhaidah howa hey Muhammad Rasool Allah (alhe Salato wassalaam)
aur Suhail Bin Umro ke darmiyaan.”
Lekin Suhail Bin Umro ne aik baar phir aitraaz kiya aur
kaha: “Is tarha na likho q ke hum Muhammad (alhe Salato wassalaam) ko Khuda ka
Rasool nahi mante aur agar mante to Makka mein aane se q rokte? Lehaza is
muhaide ka aghaaz is tarha hona chahiye:
“Ye muhaidah hey Muhammad Bin Abdullah aur Suhail Bin Umro
ke darmiyan.”
Hazrat Ali (r.a) r.a ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ki taraf dekha…… Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Ya Ali! Wahi likho jo Suhail kehta hey ta ke is ki
razamandi hasil rahe.”
Muhaide
ke alfaaz ye hain:
“BISMIKA ALLAHHUMA. Ye muhaidah tey hey Muhammad (alhe
Salato wassalaam) Bin Abdullah aur Suhail Bin Umro ke darmiyan aur is muhaide
ki ro se Quraish ye manzoor karte hain ke
1.
Aindah dus saal tak musalmano aur
ahle Makka ke darmiyan jang nahi hogi aur agar in dus saalon mein koi shakhs
Quraish ki ijazat ke baghair musalmano se a miley to musalmano ka ye farz hey
ke isy Quraish ke hawale kar den lekin agar koi shakhs musalmano se alehdah ho
kar Quraish ke paas aajaye to wo isy musalmano ke hawale nahi karen ge.
2.
Dus saalon mein koi fareeq dusre ki
jaan aur maal ko nuqsaan nahi pohnchaye ga.
3.
Dus saala muddat mein Quraish ko
ijazat hogi ke wo jis ke sath chahen azaadana muhaidah karen aur apni marzi se
rah o rasam barhayen.
4.
Musalmano ko is saal Makka mein dakhil
hone aur Kabaa ki ziyarat karne ki ijazat nahi hogi lekin agle saal wo Kabaa ki
ziyarat ke liye a sakte hain. Taham shart ye hey ke teen din se ziyadah Makka
mein nahi tehren ge aur talwaar ke ilawah koi dusra hathiyaar apne sath nahi
layen ge.
Ye
muhaidah Huzoor Aleh Salato Wasalam aur
Quraish Makka ke darmiyan howa. Musalmaan Quraish ke taraf se lagai howi
pabandi par dil girafta the aur isy apni touheen samajh rahe the.
Hazrat
Umar r.a ne Huzoor Aleh Salato Wasalam se
arz kiya:
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Kiya Huzoor Aleh Salato Wasalam ne ye nahi farmaya tha ke hum
Makka jayen ge aur Khane Kabaa ka tawaaf karen ge?”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya: “Tum insha.allah Makka zaror jao ge aur Khane
Kabaa ka tawaaf karne ki saadat hasil karo ge.”
Muhaidah
Hudaibiya par dastakhat hone ke baad Hazrat Abu Jandal r.a Makka se farar
hogaye aur Hudaibiya pohnch kar musalmano se a miley. Hazrat Abu Jandal r.a ke Hudaibiya
pohnchte hi Suhail Bin Umro bhi wahan agaya aur is ne kaha:
“Hamare
aur tumhare darmiyaan muhaide ki ro se agar koi shakhs farar hojaye aur tumhari
panah mein ajaye to tumhara ye farz hey ke isy hamare hawale kar do…… lehaza
mere larke Abu Jandal ko mery hawale kiya jaye.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Abu Jandal r.a ko in ke baap ke hawale kar diya.
Hazrat
Abu Jandal r.a ne arz kiya, “Ya Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Mera baap mujhe
maar dale ga.” Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne dilasa dete howe kaha,
“Abu Jandal daro nahi! Allah Talah tumhari hifazat karen
ge.”
Lekin
is waqiya se musalmano mein gham o gussa ki lehar dour gai aur Kabaa ki ziyarat
se mehroom hone ke baad in ke asaab par ye dusri kari zarb thi. Lekin Bait Ur
Rizwaan ne inhen be qabu nahi hone diya.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne jab ye dekha ke aam musalmaan bohat ranjeedah hain to
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne inhen jama
kar ke Surah Fatah ye ayaten sunaien:
“Allah
khush howa emaan walon se, jab hath milane lage tujh se is darakht ke neeche,
phir jana jo in ke ji mein tha, phir utara un par chain aur inaam di un ko aik
fatah nazdeek.”
(Surah
Al Fatah-ayat-18)
Sulah
nama ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
Sahaba Karaam r.a ko hukum diya ke qurbani ke janwar zibah kar do aur sar
mudhwa kar ahraam khol do. Syedena Aleh Salato Wasalam ne teen martaba hukum
diya magar Sahaba Karaam r.a is qadar shikasta dil aur ranj o gham mein doby
howe the ke inhon ne apni jagah se harkat nahi ki.
Syedena
Aleh Salato Wasalam is muqe par bohat ranjeedah howe aur apne kheema mein tashreef
le gaye Um ul Momineen Hazrat Ume Salma r.a se apne dukh ka izhaar kiya. Inhon
ne arz kiya: “Huzoor Aleh Salato Wasalam apna oonth zibah kar ke sar mudhwa len
musalmaan Huzoor Aleh Salato Wasalam ki
pairwi karen ge.”
Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne jab
qurbani kar ke sar mudhwa liya to Sahaba Karaam r.a ne qurbaniyan den aur sar
mudhwa liya aur ahraam se bahir agaye.
Aam
musalmaan muhaide ke dair pa asraat ko nahi samajh sake the. Jab wo apne sar
mudhwane aur ahraam se nikalne ke baad Madina rawana howe to wo bohat gham
zadah aur dil girafta the. Aisi haalat mein jab ke musalmaan dilon mein dard
chupaye Madina ki janib gamzan the. Raaste mein aik aur musalmaan Hazrat Abu
Baseer r.a ne jo Makka se bhaag nikle the, musalmano se panah ki darkhuwast ki.
Hazrat
Abu Baseer r.a abhi itminaan ka sans nahi leny paye the ke Quraish ke do afraad
bhi wahan pohnch gaye aur mutalba kiya “Ya Muhammad (alhe Salato wassalaam)!
Muhaide ki ro se Abu Baseer r.a ko hamare hawale kiya jaye.”
Hazrat Umar r.a ne agey barh kar arz kiya
“Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Is martaba is shakhs ko wapis na bhejen. Ye
hum se panah mangne aya hey agar hamari jaan bhi chali jaye to isy Quraish ko
nahi den ge.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne jawab diya: “ Hum ifaye ehad ke paband hain.”
Ye
jawab sun kar Makka se aane wale do admiyon ne musalmano ke samne Hazrat Abu
Baseer r.a ko oonth ki peeth par bandha aur rawana hogaye.
Hazrat
Abu Baseer r.a ne raaste mein apni rassiyan tor dalien aur azaad hone mein kamiyaab
hogaye. Hazrat Abu Baseer r.a ne do mein se aik shakhs ko mout ki neend sula
diya jab ke dusra jaan bacha kar bhaag gaya. Hazrat Abu
Baseer r.a dubara musalmano se a miley aur in se panah ki darkhuwast ki. Agle
rooz zindah bach jane wala shakhs musalmano ke qaafle tak pohnch gaya aur Abu
Baseer r.a ka mutalba karne laga. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne hukum diya ke Hazrat Abu
Baseer r.a ko is shakhs ke hawale kar diya jaye lekin is se phele ke Quraish ke
numaindah Hazrat Abu Baseer r.a ko pakar kar apne sath le jaye wo farar hogaye.
Hazarat Abu
Baseer r.a ne Makka jane ke bajaye registaan mein panah lene ka faisla kiya.
Hazrat
Abu Baseer r.a Zu Al Marwah ke muqaam par panah guzeen hogaye. Kuch dino baad
Hazrat Abu Jandal r.a bhi Makka se farar ho kar Zu Al Marwah pohnch gaye aur Hazrat
Abu Baseer r.a se a miley phir rafta rafta dusre musalmaan bhi Makka se nikal
kar Zu Al Marwah pohnchna shuru hogaye aur aik ghiroh tashkeel pa gaya.
Hudaibiya
ka muhaidah howe aik saal bhi nahi guzra tha ke Zu Al Marwah mein musalmano ki
tadad itni ziyadah hogai ke aik fouj ban gai. Wo Makka jane wale kaarwano ka
raasta rook kar maal e ghanimat hasil karne lage. Zu Al Marwah ke musalmano ne
Quraish ko is tarha se naak chane chabwaya diye ke inhon ne aajiz o laachaar ho
kar khud hi peghambar e Islam Aleh Salato Wasalam se darkhuwast ki ke wo Zu Al
Marwah mein jama hone wale musalmano ko Madina bulwa len. Is tarha Zu Al Marwah
ke musalmaan Madina agaye.
“Khyber”
aik bari abaadi ya shehar ka naam hey. Yahan yadoodiyon ne kai mazboot qiley
bana rakhe the. Ye nehayat hi zarkhaiz ilaqa hey. Kheti baari aur ajnaas khurd
o nosh is jagah kasrat se peda hoti hain. Is ilaqe ki aab o hawa qadre ghair
sehat mand hey. Khyber sar zameen Arab par yadoodiyon ka sab se bara markaz
tha.
Ahle
haq ne jab yahoodiyon ko bad ehadi, jhoot aur faraib ke jurm mein Madina se
jila watan kiya to qabeela Bano Nazeer Khyber mein a kar abaad hogaye the.
Khyber ke yahoodi bahadur aur taqat war the, dolat mand the. Khyber ki sona
ugalti zameeno aur sar sabz nakhlistano ki waja se in ki muashi halat bohat
achi thi, amdani (income) waafar thi. Amdani ka aksar hissa ahle Islam ko
nuqsaan pohnchane aurin ko tabah o barbaad karne ki sazishon mein kharch hota
tha.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam Hudaibiya ke safar se Zul Hajjah 6 mein Madina Tayyaba
wapis tashreef le aye. Yahan akar Huzoor Aleh Salato Wasalam ko Khyber ke yahoodiyon ki
sazishon ke barey mein aagahi howi ke Sulah Hudaibiya ke bawajood inhon ne apni
adawat ke tor tareeqe nahi badle. Wo log badsatoor musalmano ke tijarti qaflon
ko Khyber ke muzafaat se guzarne ki ijazat nahi dety the. Ta ke musalmaan
shumali mulkon se iqtesadi rabta qaim na kar saken.
Yahood
ki resha dawaniyon ko khatam karne ke liye Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne faisla kiya ke Khyber
ki taraf pesh qadmi ki jaye. Lehaza Madina Tayyaba mein bees pacchis rooz
qayaam ke baad Huzoor Aleh Salato
Wasalam Khyber ki taraf rawana howe. Hazrat Sabaa Bin Arfata Ghaffari r.a ko
Madina Tayyaba mein apna naib muqarrar farmaya. Islami fouj ke sipa salaar Huzoor
Aleh Salato Wasalam khud the. Islami
lashkar ki tadaad sulaa soo (1600) thi jin mein se chodah soo paidal aur do soo
ghorey sawaar the.
Ghazwa
e Khyber mein kuch khawateen bhi shareek e safar howien. Chand khawateen Huzoor
Aleh Salato Wasalam ki khidmat mein hazir
howien aur arz kiya ke Huzoor Aleh
Salato Wasalam Ghazwa e Khyber mein yahoodiyon ke khilaaf jang ke liye tashreef
le ja rahe hain hamari ye khuwahish hey ke hamey bhi apne hamrah le jayen ta ke
hum medaan e jang mein zakhmi mujahideen ki marham patti kar saken. Inhen waqt
par dawa aur pani de saken. Hum larai ke doraan nezah utha utha kar layen gi
aur mujahideen ko den gi. Is tarha hum sipahiyon ki madad karen gi. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne in ka ye josh aur jazba
dekhte howe ijazat ata farma di.
Khyber
se thore faisle par Bano Ghatfaan ke qabail ke qabail abaad the. Ye qabail
yahoodiyon ke mawun aur madad gaar the. Ghazwa e Khandak mein bhi ye musalmano
ke khilaaf rahe the.
Jab
Bano Atfaan ko ittila mili ke Huzoor Aleh
Salato Wasalam Khyber par hamla karne ke liye rawana hogaye hain to inhon ne
apne jangjo jawano ko jama kiya ta ke ahle Khyber ki madad ke liye rawana hon.
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne aala harbi baseerat se kaam letey howe lashkar gah ke liye
aisi jagah muntakhib farmai ke Khyber aur Ghatfaan ke darmiyani raasta kaat
dala ta ke Bano Ghatfaan, ahle Khyber ki madad nahi kar saken.
Dusri
janib Bano Ghatfaan Khyber ki taraf aik manzil tey kar chuke to inhen shor
sunai diya wo samjhe ke musalmano ne in ke ahle o ayaal par hamla kar diya hey.
Is khayal se wo khofzada hogaye. Inhon ne faisla kiya ke Khyber ke yahoodiyon
ki imdad ke liye agey barhne ke bajaye apne ahle o ayaal ki hifazat karen.
Doraan
e safar aik din Sahaba Karaam r.a ne josh mein a kar nihayat buland awaaz se
naraa Takbeer buland karne shuru kar diye. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Ahishta…..
tum na kisi behrey ko pukaar rahe ho, na ghaib ko. Tum jisy pukaar rahe ho wo
tumhare paas hi hey.”
Jab
ye kaarwane hadood Khyber mein dakhil howa to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne karwaan ko qayaam ka
hukum diya, sab tehar gaye aur ye dua farmai:
“Ya
Allah! Asmano aur jin cheezon par aap saya fugan hain in ke Rab. Aye saat
asmano aur jo inhon ne upar uthaya howa hey. In sab ke Rab! Hawaon aur jin ko
wo ura rahi hey in ke Rab! Hum aap se in ke is gaon ki khair aur is ke bashindon
ki khair ka sawaal karte hain aur hum is gaon ke shar aur is ke rehne walon ke shar
se panah mangte hain.”
Phir
farmaya: “Aqdimowa bismillah” Allah ka naam le kar agey barho.
Khyber
ka qila bunyadi tor par teen hisson mein taqseem tha aur har hissa mutadid
qilon par mushtamil tha.
1.
Hasoon al natata…… is hisse mein teen
qile the:
A. Alnaam B. Al Saab G. Qalta Zabeer
2.
Hasoon al Shak….. is hisse mein do
qile the.
A.
Hasan Abi B. hasan bara. Is qile ko Albareed bhi kaha jata
tha.
3.
Hasoon Al Kateeba…. Is hisse mein teen
qile the.
A.
Hasan al Qamoos B. Alwateh G.
Salalam
Yahoodi
apne apne qilon mein morcha band ho gaye. Inhon ne apne ahle o ayaal ko
“Alkateeba ke qile” mein tehra diya. Isi qile mein maal o asbaab ko bhi mehfooz
kar diya. Ghilla ke anbaar aur aslah ke zakhair “Kalaha Lanaam” mein jama kar
diye gaye.
Sab se phele Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Natata ke qilon ko
fatah karne ka azam farmaya aur Natata ke qilon mein sab se phele Qila Alnaam
ka muhasara kiya aur jald hi alnaam ke baad dusre qile bhi fatah hogaye.
Albatta AlQamoos nihayat mustehkam aur mazboot qila tha is ko fatah karna aik
masla ban gya. Har subah musalmaan is qile par hamla karte aur shaam ko wapis
ajate. Kai din tak is ka muhasara jari raha.
Khyber
ki muzir aabo hawa ke bais Huzoor Aleh
Salato Wasalam bimaar hogaye to Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne apna parcham Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ko ata farma diya.
Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne fouj ki kamaan sambhal li aur qila par hamla
kiya lekin shaded mazhammat ke bawajood kamiyabi nahi howi. Kharaab mausam ki
waja se Hazrat Abu Bakar Siddique r.a bimaar hogaye. Dusre rooz Huzoor Aleh Salato Wasalam ne in ki jagah Hazrat Umar
r.a ko fouj ki qiyadat sonp di aur parcham in ke hawale kar diya. Magar mazboot
qilon par koi zarb nahi par saki.
Ye
sorat e haal jab Syedena Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke samne arz ki gai to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya: “Kal mein ye
jhanda is shakhs ko don ga jis ke zariye Allah Talah is qile ko fatah farma den
ge.”
Huzoor Aleh Salato Wasalam ka ye irshad e girami sab
mujahideen ne sun liya. In
ki ye raat paicho tab mein guzri. Har haik ki khuwahish thi ke ye saadat is ko
naseeb ho. Jab subah howi to sarey mujahideen bargah e Risalat mein hazir howe.
Wo ye janne ke liye az had be qarar the ke wo kon khush naseeb hey jis ko aj
parcham ata kiya jaye ga?
Ashoob
chasham ki waja se Hazrat Ali (r.a) r.a Huzoor Aleh Salato Wasalam ke sath nahi aye the. Jab
Huzoor Aleh Salato Wasalam Madina
Tayyaba se rawana hogaye to Hazrat Ali (r.a) r.a ne socha:
“Huzoor
Aleh Salato Wasalam jehaad par tashreef le jayen aur mein peeche reh jaon Ba
Khuda! Aisa har giz nahi hoga.”
Chunacha
Hazrat Ali (r.a) r.a Khyber tashreef le aye aur halat ye thi ke ankhon par
patti bandhi howi thi. Huzoor Aleh
Salato Wasalam namaz e Jumma ada farma chuke to jhanda mangwaya aur pocha:
“Ali
r.a kahan he?”
Arz
kiya: “ In ki dono ankhen dukh rahi hain is liye yahan mojood nahi.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne inhen bulaya. Jab Hazrat Ali (r.a) r.a Huzoor Aleh Salato Wasalam ke samne tashreef laye to
arz kiya: “ Mujhe nazar nahi ata.”
Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Mery
nazdeek ajao.”
Syedena
Ali r.a farmate hain “ Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne mera sar apni goud mein rakha aur luaab e dehan meri ankhon
par lagaya, to isi waqt meri ankhen theek hogayen.
Aur
mujhe Huzoor Aleh Salato Wasalam ne apna
parcham ata farmaya aur hidayat farmai ke phele dushmano ko Islam ki dawat dena
aur inhen Allah Talah ke haqooq se agah karna agar tumhari tableegh se koi aik
aadmi bhi raahe raast par agaya to ye tumhare liye surkh oonton se behter hey.
Hazrat
Ali (r.a) r.a rukhsat ho kar qile ke samne tashreef le gaye aur ja kar apna
jhanda nasb kar diya. Aik yahoodi ne is qile ki chaatt se jhanka aur pocha: “
Aap kon hain?” Hazrat Ali (r.a) r.a ne farmaya: “Me Ali hon.” Yahoodi ke
mu se nikla: “Is Khuda ki qasam! Jis ne Mosa a.s par toureet nazil ki aap
yahoodiyon par ghalib ajayen ge.
Yahoodiyon ne Hazrat Ali (r.a) r.a ki
dawat Islam ko mustarad kar diya aur larai ke liye madd e muqabil agaye aur
apna jangjo agey bheja. Hazrat Ali (r.a) r.a is ka muqabla karne ke liye agey
barhe aur palak jhapakne mein is ka kaam tamam kar diya. Is tarha yahoodiyon ki
taraf se kai janbaaz jangjo aye aur koi bhi kamiyaab nahi howa. Jang e Khyber
ke doraan Hazrat Ali (r.a) r.a ne dus din mein chaar qilon ko fatah kiya. Jab
ke baqiya qilon mein rehne walon ne khud hi hathiyaar daal diye.
“Aur is ne tum ko in ki zameen aur in
ke gharon aur in ke maal ka wo ilaqa diya jahan tum ne khabhi pair bhi nahi
rakha tha waris bana diya aur Allah har cheez par qudrat rakhta hey.”
(Surah
Al Ahzaab-ayat-27)
Fatah
Khyber ke baad peghamber e Islam Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne yahoodiyon ke sath meharbani aur afo o darguzar farmaya.
Inhen ijazat de di gai ke wo Khyber chor kar chale jayen aur sath gharelo
samaan le ja sakte hain. Khajoren, muwaishi aur ghilla apne sath le jane ki
ijazat nahi thi. Jo yahoodi Khyber chor kar nahi jana chahte the inhen wahan
rehne ki ijazat mil gai aur ye riayat bhi hasil hogai ke wo apna karobaar kar
sakte hain. Yahoodiyon ki tamam muqaddas kitaben aur dusre eham kaghzaat bhi
lota diye gaye.
1. Khyber
ki fatah se Islam ki mulki aur siyasi halat ka naya dour shuru hota hey. Islam
ke haqeeqi dushman sirf do the. Mushriqeen aur yahood. Agarchey mazhaban baham
mukhtalif the lekin siyasi asbaab ki bina par in mein ittehaad peda hogaya tha.
Yahoodiyon ne tamam Arab ko Islam ki mukhalfat par uksaya tha. Jis ka phela
manzar Khandak ka maurka tha. Lekin Khyber ki fatah ke baad yahood ki qowat
bilkul toot gai aur mushriqeen ka aik bazo jata raha.
2. Ghazwa
e Khyber se phele tamam janggen difai howien. Ye pheli iqdami jang thi. Ye
phela ilaqa hey jisy fatah kar ke Islami riyasat mein shamil kiya gaya.
3. Fatah
Khyber ke baad Islami riyasat ko ye haq hasil hogaya ke wo jab chahen jis waqt
chahen yahood ko yahan se nikaal sakte hain. Is liye yahood apni shararaton se
baaz agaye.
4. Fatah
Khyber ke baad agar Huzoor Aleh Salato
Wasalam chahte to Arab ke janggi dastoor ke mutabiq yahoodiyon ko qatal karwa
sakte the lekin Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne in sab ko azaad kar diya. Is husn e salook se baaz log musalmaan
hogaye.
Jazerh arab kay mashreek or magrib
mein do almi kowatein,iran or radam mojood thin.jinhon ny taqreeban sari duniya
ko apney kabzy mein lia hua tha.aisi halat mein saday la ilaha illallah buland
hoior haq ko fatah naseebb hoi.islam ki pe dar pe fatohat ny dushmane islam ko
shonka diya.qaseer rom ko jab islami fatohat ka ilm hua to usny musalmanon se
muqably ki tayyari shuru krdi.
Huzoor Aleh Salato Wasalm ne basra
ke governer ko grami nama tehreer farmaya, governer ka name haris bin abi shimr
ul ghasani tha, Huzoor Aleh Salato
Wasalm ny tehreer farmaya ke tum islam qubool farma lo.ye grami nama Hazrat haris
bin umer al azdi ly kr gay.jab wo mota ke moqam par pohunchy to qaseer ke ek
raees Sharjeel bin umrah wal ghasani ny pocha: ap kon hain?Or kahan ja rhy
hain?Kia ap muhammad (alehe salato wassalm) ke qasid hain?
Hazrat
Haris Ny Farmaya:
Han mein Hazrat muhammad(alehe
salato wassal) ka qasid hoon
Ye sunty hi isny Hazrat haris ko
rassiyon se band dia or phir in ka sar qalam krdia. Us zamany mein qasid ya
safeer ka qatal ek battareen or naqabl e mafi jurm tha.or issy qabal kisi ny
bhi safeer ko kabhi qatal kia .ye jurm elan e jang samjha jata tha.aj bhi isy
sangeen jurm samjha jata hai.
Jab ye almnaak khabar Huzoor Aleh Salato Wasalm ny suni to unhy buhut dukh
hua Huzoor Aleh salato wasalm ka intekam
leny ki tayyari shuru krdi.mujahedeen madina tayyaba se teen meel daur jarf ke makam
par jama huy. Syedna Huzoor Aleh Salato
Wasalm wahan tashreef lay or zohar ki
namaz qaim ki namaz ke bad sahaba karam se irshad farmaya:
Is lashkar ka sipa salar zaid bin
haris ko muqarrar karta hoon.agar ye shaheed hojayn to jafar bin abi talib is
lashkar ki kaman sambhalen gy agr jaffar bhi shaheed hojayn to abdullah bin
rawaha mujahedeen ke sipa salar hongy or agar ye bhi rah e haq mein shaheed
hojayn to musalman jis ko chahen ameer muntakib krlen Hazrat zaid bin harisa
Huzoor Aleh Salato Wasalm ke azad krda ghulam
thy.hazrat jaffar e tayyar Hazrat Ali (r.a) ke bhai or Huzoor Aleh Salato Wasalam ke khas masahib thy Hazrat
abdullah bin rawaha muaziz ansari or mashoor shair thy.
Huzoor Aleh salato wasalm ny apney dast
e mubarak se Hazrat zaid ko ilm ata farmayailm safaid rang ka tha.mujahedeen ko
taqeed farmayi sub sy pehly haris bin umer shaheed ki qabar par hazri den or
logon ko islam qubool krny ki dawat den.agar wo is dawat ko qubool krlen to
buhut acha hai.or agar wo islam ki dawat qubool na kren to Allah se madad talab
krty huy in se jang kren. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ny mujaheden islam ko rukhsat krty waqt ye hidayat
Farmai. mein tumhy Allah se darny ki
nasehat krta hoon or jo musalman tumhary hum safar hainin ke sath bhalai ki
taqeed krta hoon.Allah ka nam lekar Allah ke munqir logo ke sath jang kro.kisi
ko dhoka na denaq hadad ya krna kisi bacchy ya aurat ko qatal na karna.kisi
borhy ko or hanka hoon mein gosha nasheen rehny walon ko qaid na krna kisi
darakht ko nuksan pohunchana na kisi ko katna or kisi makan ko munahdum na
krna.
Jama de ul awwal sun ath hijrime
teen sipahiyon ki islami fauj mota ki taraf rawana hoi.islami fauj ny jab
madina tayyaba se koch kia to sharjeel bin umar al ghasani ko in ki rawangi ki
itlah milk gai to is ny bhi jang ke liy ek lakh fauj rawana krdi. Islam ke janbaaz
madina tayyaba sejab mulk sham ke muan nami qasbay mein pohunchy to inhy khabar
mili ke sharjeel ki fauj ke ilawahar qul ek lakh fauj ke sath balqa mein khema
zan hogya hai.
Jab islami lashkar balqa (sham)
pohuncha to romi lashkar se amna samna hua or dono lashkar ek dosry par hamla
awar hogay Huzoor Aleh Salato Wasalam ka
atta farmaya hua ilm Hazrat zaid bin harisa ke hath mein tha.aap ki talwar moot
ban kr dushmanon ki safon par qayamat barpa karrhi thi.bila akhir ek dushman ny
neza Hazrat zaid bin harisa ke seeny mein utaar dia.or Hazrat zaid bin harisa
shaheed hogay. Issy pehly ke islam ka parcham in ke hath se zameen par girta
Hazrat jaffar bin abi talib agy barhy or parcham utha lia.kuffar ke teer or
talwaron ny ap ko shaded zakmi krdia.lekin Hazrat jaffar akhr dam tak dushmanon
se muqabla krty rahy. Isi doraan ek romi ny in ko apni talwar se shaheed
krdia.hazrat abdullah bin rawaha teezi se agy barhy or inhon ny jhanda utha
lia.yahan tk ke wo bhi shaheed hogay.
Is ke baad Hazrat sabit bin qais agy
barhy or islam ke jhandy ko utha lia or buland awaz mein mujahedeen se kaha. Ay
islam ke sarfaroshon!Ab aisa admi muntakhib krlo jo islami ilm ko buland rkh sakay.
Logon ny kaha hum tumhy apna
alambardaar banaty hain.
Hazrat sabit bin qais ny kaha ke mein
is laiq nhi. Samny Hazrat khalid bin waleed khary thy.hazrat sabit bin qais ny
hazreen se pocha kia tum khalid ko qaid lashkar muntakhib karny par raza mand
ho? Sub ny baik awaz ho kar kaha:hum raza mand hain.
Hazrat khalid ny wo alam pakar
lia.hazrat abdullah bin rawaha ny jis waqt jam e shahadat noosh kia magrib ka
waqt tha.dono lashkar apni apni chawniyon mein wapis agay.agly roz Hazrat khalid
ki jangi hikmat e amli samny ai.hazrat khalid bin waleed ny islami lashkar ki
tarteeb badal dior lashkar ki nay tareeqy se safbandi ki.mesrah ke fojiyon ko
meemna par or memna ke fojiyon ko mesrah par saf aran kardiya.
Dushman ke sipahi jab amny samny huy
to dekhy huy chehroon ki bajay inhyn ajanabi chehry nazar ay.inhon ny samjha ke
islami lashkar mein nai fauj shamil hogai hai.ye khayal aty hi dushman ki fauj
ke hosly past hogay.hazrat khalid bin waleed ny dushman ki nafsiyati bechaini
or izteraab ko mehsoos krlia or dushman par hamla kardia.dushman ke beshumar
nojawan mout ke ghat utar gay or buhut se dushmanon ny khoof zada ho kar medan
e jang se rah e farar ikhtiyar krli or musalmanon ko buhut sa maal e ghanimat
hasil hua.hazrat khalid ny bahaduri se jang ki or wo musalmanon ko kuffar ke beshumar
lashkar ke nargay se nikalny mein kamiyaab hogay.doran e jang Hazrat khalid ke hathon
mein nao talwaren totin.sath din jang jaari rahi.farzandan e tauheed uqaaboon
ki tarhan romi lashkar par jhanptay or in ko maut ke ghaat utarty rahy.
Hazrat khalid bin waleed khudadad
jangi salahiyat ki bina par islami lashkar ko apney se santh gunah ziyada
dushmanon ke hisaar se nikalny mein kamiyab hogay.
Ahadees mein hai k:
Huzoor Aleh Salato Wasalam sahaba
karam ke hamrah masjid nabhvi mein tashreef farmaty.maqam mota or Huzoor Aleh Salato Wasalam ki nazroon ke samny koi
parda hail nahi tha.Huzoor Aleh Salato Wasalam barahy raast medan e jang ka
mushaheeda farma rahy thy.goya khud medan e jang mein mojod hain.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny
farmaya:
Ahle haq or romiyon ke darmiyan jang
shuru hai.zaid kuffar ke sath lar rahy hain. Or wo shaheed hogay.ab jaffar
muarka aazma hain..wo bhi shahadat pa gay. Ab abdullah ny alam uthaya hai.wo
bhi rah e khuda mein nisaar hogay. Huzoor Aleh Salato Wasalam apney jannisaroon ki halat
batany ke baad Gham zada huy.or Huzoor Aleh
Salato Wasalam ki ankhen ashkbaar thin.
Kuch dair sukoon ke baad irshad
farmaya ke ab khalid ny kaman sambhal li hai. Wo Allah Talah ka behtreen banda
hai. Allah ny is ke hath par fatah naseeb farma de hai. Is ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam ny dua farma de hai. Ya
Allah khalid teri talwaroon mein se ek talwaar hai.pas tu us ki madad farma. Us
roz se khalid bin waleed saif ullah ke laqab se mashhoor huy.
Musalman bary araam sy apney markaaz
madina munawaraah ki taraf rawana huy. Madeeny ke qareeb pohunchy to Huzoor Aleh Salato Wasalam deegar sahaba Karam ke hamrah
khair maqdam ke liy madina se bahar tashreef le ay or Islami lashkar ka
istaqbaal kiya.istaqbaal krny walon mein jo bacchy shamil thy wo ek hojoom ki
tarhan agy agy daor rahy thy jab ke Huzoor Aleh Salato Wasalam apni sawari par tashreef
la rahy thy. Bacchon ki taraf dekh kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya. In bacchon ko
sawariyon par bitha do or jaffar ke bety ko mujhy dedo. Chunachan Hazrat jaffar
ke bety abdullah bin jaffar ko khidmat e aqdas mein paish kiya gaya.Huzoor Aleh
Salato Wasalam ny abdullah ko utha kar apny sath sawari par bitha lia. Jab wo
lashkar samny aya to kuch logon nyin ka istaqbaal taanoon se kiya.
YA FARAR
FARARTUM FE SABILILLAH
Ay bhagoron!Tum rahy khuda mein jihaad
krny sy bhaag ay ho is zindagi sy medan e jihad mein shaheed hona tumhary liy
bais e izzat tha. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ny ye jumly suny to foran irshad farmaya. Bhagny waly nahin hain.ye bar
bar hamlah karny waly hain.
Ye rooh parwar shad sun kar
musalmanon ki pareshani door hogai.
Tareekh islam is baat ki gawah hai
ke yehi loog jo ghazwah e mota mein romiyon ke khilaf islami fauj ka hissa hony
ki shakal mein takray thy.or bazahir is jang ka koi hatmi fatah ya shikast ki
suraat mein nateejah bar amad nhi hua tha magar Huzoor Aleh Salato Wasalam ki zaban e mubarak se
nikly huy alfaaz ke ye bhagny waly nahi hain balky ye bar bar hamlah karny waly
hain.kuch hi arsay ke baa urf ba hurf sach sabit huy or musalmanon ny qaleel
arsy meromiyon or iraniyon ko bary bary muarkon mein shikast faash deny ke baad
sara ilaqa hukomat mein shamil karlia or yun qaisrah or kasra jesi ye azeem
hokoomatein or in ke rehny waly islam ke halkah bagosh ho kar deen o duniya ki
be panah daolat se sarfaraz huuy or islam ke liyin logo ny buhut se lazawal karnamy
anjam diya.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.