Topics

SHAKK-E-QAMAR

Aik martaba Huzoor Aleh saalato Wasalam apney razai bhaiyon k sath jangle mein bakriyan charany k liye gaye. In ka bhai doorta howa ghar aaya aur is ne dar aur khof k mily july jazbaat se apni waleeda ko bataya k do safaid posh aadmi aaye aur inhon ne Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko zameen par lita kar seena chaak kar diya. Jab mein wahan se chala to wo Muhammad (alhe saalato wassalaam) ka seena si rahe the.

Ye waqiya sun kar Hazrat Haleema r.a aur in k sohar khof zada ho kar doorty howy wahan pohnchy jahan bakriyan char ri thien. Inhon ne dekha k Hazrat Muhammad(alhe saalato wassalaam) kharey howy hain aur chehra mubarrak ka rang pheeka hey. Amma Haleema r.a doorti howi gayen aur Huzoor Aleh saalato Wasalam ko seeny se chimta liya aur phir Huzoor Aleh saalato Wasalam k razai baap ne bhi Huzoor Aleh saalato Wasalam ko seeny se lagaya aur Huzoor Aleh saalato Wasalam se pocha k kiya waqiya pesh aya?

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne farmaya do aadmi aaye the, inhon ne mujhe zameen par litaya aur seena chaak kar k mera dil nikala aur doh kr dubara seeny mein rakh diya aur seeny ko si diya. Amma Haleema r.a aur Huzoor Aleh saalato Wasalam k razai walid ye ajeeb o ghareeb waqiya sun kar heraan howy aur Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Amma Haleema r.a sath le kar ghar wapis aagayen.

(Shakk-e-Saddar) seena chaak hony ka amal Huzoor Aleh saalato Wasalam ki zindagi mein chaar martaba pesh aaya:

         Pheli baar ye waqiya bousat(pedaish) k waqt pesh aaya.

         Dusri martaba ye waqiya bacchpan mein pesh aaya jab Huzoor Aleh saalato Wasalam Hazrat Haleema r.a Saadia k paas the.

         Teesri baar ye waqiya is waqt pesh aaya jab Huzoor Aleh saalato Wasalam ki umar mubarrak 4 saal thi.

Aik rooz Huzoor Aleh saalato Wasalam jangle mein the. Do farishty Hazrat Jibrail a.s aur Hazrat Mekail a.s safaid libaas mein insanon ki shakal mein aaye. In k paas soony ka aik tasht tha jis mein baraf thi. Huzoor Aleh saalato Wasalam ka seena chaak kar k dil ko nikala phir dil ko baraf se doh kar seeny mein rakha aur seeny ko si diya aur dono shano k darmiyaan muhar laga di..

         Chohnti martaba ye waqiya Miraaj k waqt pesh aaya.

Shakk-e-Saddar k waqiya se Amma Haleema r.a ko ye fikar howi k Muhammad Aleh saalato Wasalam ko koi sadma na pohnch jaye. Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Hazrat Amna k paas Makkah le kar hazir howi aur pura waqiya sunaya. Hazrat Amna ko ye waqiya sun kar koi tajub nahi howa. Hazrat Amna ne farmaya:

“Mera beta nehayat saeed aur khush bakht hey. Aay Haleema r.a! tum mutmain raho, isy kuch nahi hoga.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.