Topics
Hazrat
Abdullah ki pakeeza sirat aur husn o jamal ki waja se buhat se ache gharanon ki
larkiyan ap ki zoujiat ka sharf hasil karna chahti thin.
Hazrat
Abdul Muttalib ne apne sahab zade Hazrat Abdullah ki shadi ke liye Hazrat Amna
ka intekhab kia jo Wahb Bin Abd Manaaf ki sahab zadi hain aur nasb aur rutbey
ke lehaaz se Quraish ki afzal tareen khatoon hain. In ke walid nasb aur sharf
dono hesiyat se qabila Bano Zehra ke sardar the.
Hazrat
Abdullah shadi ke kuch arsey baad aik tijarti qafile ke sath sham gaye. Wapsi
main yasrab ke muqaam par bimaar howy aur aalam-e-jawani mein intiqaal kar
gaye. (Innal lilahi wa inna ilaihi rajeeon)
Huzoor
Aleh Salaat o Wassalam Maa aur baap dono ki taraf se nasb main afzal hain.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.