Topics

SHAAB ABI TALIB


Abu Talib Quraish ki resha dawaniyon se bakhabar the. Quraish inhen Syedena Aleh saalato Wasalam ki himayat aur pusht panahi se dast bardaar hony par majboor kar rahe the. Abu Talib ne apney jad e aala Abdul Manaaf k do sahabzadon Hashim aur Matlab k khandaan ko jama kiya aur inhen amadah kiya k apney bhatije Muhammad Aleh saalato Wasalam ki himayat o hifazat ka jo kaam wo ab tak tanha kar rahe hain sab mil kar is kaam ko anjaam den.

Arab hamiyat ka taqaza tha k ahl e khandaan is baat par raazi hojayen lehaza khandaan k afraad jama howy aur is tajweez se muttafiq hogaye. Inhon ne Hazrat Abu Talib ka sath deny ka wada kiya. Lekin Hazrat Abu Talib k bhai Abu Lehab ne mushriqeen Quraish ka sath diya.

Nabowat k sathwen saal Makkah k tamam sardaar aik jagah jama howy aur sab ne mul kar ye ehad nama likha. Jab tak Bano Hashim aur Bano Matlab Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko hamary hawaly nahi karty.

Koi shakhs Muhammad (alhe saalato wassalaam) k khandaan Bano Hashim aur Bano Matlab se mail jool aur talluq na rakhe.

In k sath kisi qisam ki khareed o farookht nahi ki jaye gi.

In k khandaan mein koi shadi biyah na kare.

Koi in ko mehmaan nahi tehra sakta. Na hi inhen khany peeny ka koi samaan diya jaye ga.

Mansoor Bin Akarma ne ye zalimana ehad nama likha. Is muhaide par tamam sardaraan e Quraish ne dastakht kiye aur muhaida Khana Kaba ki diwaar par latka diya gaya.

Syedena Aleh saalato Wasalam aur dosrey tamam musalmanon ko Makkah se nikaal diya gaya. Bano Hashim bhi Syedena Aleh saalato Wasalam ki himayat mein dusrey musalmanon k hamrah Makkah se bahir nikal gaye. In mein Peghambar-ul-Islam Aleh saalato Wasalam k wo azeez bhi shamil the jo musalmaan nahi howy the. Abu Talib ki ghairat o hamiyat ne ye gawara nahi kiya k wo apney bhatije ko be yaro madad gaar chor den.

Syedena Aleh saalato Wasalam apney ahl e khandaan k sath jis ghati mein panah guzeen the, wo Abi Talib ki milkiyat thi. Is ghati mein Abi Talib aur khandaan k dusrey afraad qayaam karney par majboor hogaye the.

Quraish ne musalmanon ko ashiyaye zarorat ki farookht par pabandi laga di. Is par sitam ye howa k Soaib Abi Talib kisi qatilana ki guzar gah bhi nahi thi. Jis se khaney peeney ki cheezen muhaiya ho saktien. Musalmanon ne Soaib Abi Talib mein intehai dard naak musibaten aur bhayanak pareshaniyon mein waqt guzara.

In hi dino jab musalman Soaib Abi Talib mein jila watni ki zindagi guzaar rahe the, aik din Hazrat Khadija r.a ka bhatija Hakeen Bin Hazaam apni phoppi k liye kuch samaan le kar aya. Quraish k afraad ne jo nigrani kar rahe the Hazrat Khadija r.a k bhatije ko Makkah se bahir nikalty dekh kar inhon ne samaan zabt kar k itna maara peeta k wo teen din tak bistar se nahi uth saka.

Makkah k kuch naram dil buzurgon ne musalehat ki koshish ki aur Quraish se kaha k wo ijazat den k Hazrat Muhammad Aleh saalato Wasalam aur in k sathi ghati se wapis chaley ayen. Lekin ahl e kuffaar ne jawab diya k Muhammad (alhe saalato wassalaam) apney Deen se dasbardaar hojayen to Makkah mein wapis A saktey hain.

In halaat mein Syedena Aleh saalato Wasalam aur in k sathiyon ne teen saal tak tangi aur sakhti ko bardasht kiya. Soaib Abi Talib mein musalmanon k paas khany peeny ka samaan nahi tha aur faka kasha ka ye haal tha k bhook se bilakty howy bacchon aur aurton ki awazen ghati k bahir sunai deti thien. In k paas bamushkil hi koi cheez pohnchti thi aur Makkah ki sab se ziyadah maaldaar khatoon Hazrat Khadija r.a k paas sirf aik handi aur aik mitti ka piyala tha aur aik din wo piyala bhi toot gaya.

Hazrat Abu Talib ko Huzoor Aleh saalato Wasalam k barey mein khatra lahaq rehta tha, is liye jab log apney bistaron par lettey to wo Syedena Aleh saalato Wasalam se khety k tum apney bistar par soye raho. Maqsad ye hota tha k agar koi shakhs Huzoor Aleh saalato Wasalam ko qatal karny ki niyat rakhta ho to dekh le k Huzoor Aleh saalato Wasalam kahan so rahe hain.

Phir jab log so jaty to Hazrat Abu Talib Huzoor Aleh saalato Wasalam k jagah badal dety the yani apney bety, bhaiyon, bhatijon, mein se kisi ko Huzoor Aleh saalato Wasalam k bistar par sula dety the. Ya khud Huzoor Aleh saalato Wasalam k bistar par so jatey ta k agar hamla ho jaye to hamari jaanen Huzoor Aleh saalato Wasalam par fida hojayen. Is k bawajood Huzoor Aleh saalato Wasalam aur dusrey musalmaan Haj k dino mein bahir nikalty the aur Haj k liye aaney walon se mil kar inhen Islam ki dawat dety the.

In halaat mein Muharram 10 nabwi mein baicott nama chaak kiye janey wala waqiya pesh aya. Iski waja ye thi k shuru hi se Quraish k kuch log agr is baicott se raazi thi to kuch naraaz bhi the aur inhi naraaz logon ne is ko khatam karny ki tag o do ki.

Is ka asal merak Qabeela Bano Amir Bin Loi Kahashaam Bin Umro Nami aik shakhs tha. Ye raat ki tareeki mein chupke chupke Soaib Abi Talib k andar ghala bheej kar Bano Hashim ki madad bhi kiya karta tha. Waqtan foqtan Hasshaam Bin Umro ne baicott nama khatam karny ki meham mein mukhtalif qabail k logon se rujo kiya aur logon ko is baat ki taraf mutawajjah kiya k ye zalimaana faisla q howa….?

Allah Tala ne Hasshaam Bin Umro ko kamiyaabi aata ki aur chaar logon par mushtamil aik group is k sath baicott khatam karny ki meham mein shareek hogaya. Jin mein Zubair Bin Amiya ( jo Hazrat Abu Talib k bhanje the) Matam Bin Adi jo Abdul Manaaf ki nasal mein se the, Ab-ul-Jantari, Ibne Hasshaam aur Zama Bin Al Aswad shamil the.

Kuch aur logon k sath mil kar in logon ne ehad o pemaan kiya k baicott khatam karna hey aur is mein Zubair pehal Karen gen.

Subah howi to log hasb e mamool Haram mein pohnche. Zubair bhi aik khaas jora zaib tan kar k pohnche phele Bait ul Allah k saath chakkar lagaye phir logon se mukhatib ho kar kaha:

“Makkah walon kiya hum khana khayen, kapre pehney aur Bano Hashim tabah o barbaad hon. Na in k hath kuch beecha jaye na in se kuch khareeda jaye. Allah ki qasam! mein beth nahi sakta. Yahan tak k is zalimana aur qarabat shakan baicott ko khatam kar diya jaye.”  

Abu Jehal jo Masjid-ul-Haraam k aik goshey mein mojood tha, bola:

“Tum ghalat khety ho.Khuda ki qasam! Tum isy phaar nahi sakty.”

Zama Bin Al Aswad ne kaha:

“Tum ziyadah galat kehty ho, jab ye baicott nama likha gaya tha tab bhi hum is se raazi nahi the.”

Is par Abu-ul-Jantari ne kaha:

“Zama theek keh raha hey is mein jo kuch likha gaya tha tab bhi hum is se muttafiq nahi the aura b bhi isy manny ko tiyaar nahi hain.”

Is k baad Matam Bin Adi aur Hasshaam Bin Umro ne bhi is baat par ittefaaq kiya k hum is baicott se aur is mein jo kuch likha howa hey is se Allah Tala k Huzoor baraat ka izhaar karty hain. Ye dekh kar Abu Jehal ne kaha:

“Ye baat raat mein tey ki gai hey aur iska mashwara yahan ki bajaye kahin aur kiya gaya he, ye tum logon ki sochi samjhi sazish hey.”

Abhi ye log baaten kar hi rahe the k Huzoor Aleh saalato Wasalam k chacha Hazrat Abu Talib tashreef laye. In k aany ki waja ye thi k Allah Tala ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko is baicott namy k barey mein ye khabar di ti k is par Allah Tala ne deemak bhej di. Jinhon ne zulm sitam aur qarabat shikni ki saari baaten chaatt li hain aur sirf Allah Tala ka zikar baqi reh gaya hey.

Hazrat Abu Talib ne baicott karny walon se kaha:

“Quraish k logo! Mery bhatije ne mujhe ye khabar di hey k muhaida ko deemak ne chaatt liya hey. agar ye qol jhoot sabit howa to hum tumhare aur is k darmiyaan se hat jayen gen aur tumhara jo ji chahey karna lekin agar Muhammad (alhe saalato wassalaam) sache howy to tumhe baicott aur zulm se baaz ana hoga.”

Jab Quraish ko ye bataya gaya to inhon ne kaha:

“Aap insaaf ki baat keh rahe hain.”

Idhar Abu Jehal aur baqi logon ki nook jhoonk khatam howi to Matam Bin Adi baicott khatam karny k liye uttha. Is ne dekha k deemak ne muhaide ko chaatt liye hey. sirf Bismika Allahuma baqi reh gaya hey aur jahan jahan Allah Tala ka naam tha, deemak ne isy nahi khaya.

Is k baad baicott nama chaak kar diya gaya. Huzoor Aleh saalato Wasalam aur baqi tamam afraad Soaib Abi Talib se nikal aye. Mushriqeen ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ki nabowat ki aik azeem ul shaan nishani dekhi. Lekin mushriqeen ne isy tasleem nahi kiya aur wahan se chaly gaye. In ka rawaiya wohi raha jis ka zikar is ayat mein he:

“Agar wo koi nishani dekh lety hain to rukh pheer lety hain aur kehty hain ye to chalta phirta jadu hey.” ( Surat Al-Qamar Ayat-2)

Jab musalmaan Soaib Abi Talib se wapis loty to musalsal faqa kasha, bhook aur piyaas k bais be had kamzoor ho chuky the. In k chehron par hadiyan numayan hogain thien aur in k badan ki khaal suraj ki tamazat se jhulas gai thi.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.