Topics
Dusra
hissa:- Adnan bin Aao bin Hameesa bin Salamaan
bin Oos bin Boz bin Qamwaal bin Abi bin Awaam bin Nashad bin Haza bin Bildaas
bin Yad laaf bin Tabagh bin Jaham bin Nahash bin Maghi bin Aez bin Abqar bin
Ubaid bin Al dua bin Hamdaan bin Sanbar bin Yasarbi bin Yahzan bin Yalhan bin
Arowi bin Aez bin Dishaan bin Esar bin Afnaad bin Aihaam bin Maqsar bin Nahas
bin Zaarah bin Sami bin Mazi bin Uza bin Araam bin Qedaar bin Ismail a.s bin
Ibrahim a.s.
Teesra hissa:- Ibrahim a.s bin Taarah
(Azar) bin Nahoor bin Saaro ( ya saarogh) bin Raao bin Faligh bin Aabir bin
Shalikh bin Ar Qahashd bin Saam bin nou a.s bin Laamak bin Matoshalagh bin
Akhnoogh(kaha jata hey k ye Hazrat Idrees a.s hain) bin Yard bin Mehlail bin
Qeenaan bin Anoosha bin Sheesh a.s bin Adam a.s.
Note: Dusra or teesra hissy mein ikhtilaaf
mojood hey jab k phele hissy k mutalliq tamam morkheen muttafiq hain.
Hazrat Ismail a.s ko Allah Tala ne
barah sahabzady ata farmaye. Aik bety ka naam Qeedaar tha. Ye apney sab bhaiyon
se zyada bahadur, sahib-e-kirdaar mashoor the. In ki nasal shumali arab mein abaad
howi aur is nasal se fakar-e-kainaat Huzoor Aleh Slato Wasalam ka zahoor howa.
Qeedaar ki ulaad mein jitney ameer
aur hukmaraan paida howy in mein ittifaaq-e-raye se ahl-e-arab k nazdeeq sab se
mashoor laik aur feham-o-farasat ka maalik Adnan tha. In ka khandaan hajaaz
mein abaad howa.
Qasaa bin Qalaab Adnan ki nasal se
hain. Makkah ki sardaari in k zamany mein Quraish k paas ayi. Qasaa bohat
danishmand, mutazim aur tajir the. Makka k tamam munasab aur azazaat bhi qasaa
k paas the. Ye apni qoam ko jumma k rooz jama karty the aur inhen
waaz-o-nasihat farmaty the k anqareeb in mein aik Nabi maboos hony waley hain
in ki dawat qabool karna. Qasaa n Makka mein Dar-ul-Nadwah tamer karwaya is ka
darwaza Bait-ul-Allah ki janib rakha. Qasaa is mein beth kar qoam k saary
masail baheemi mashwarah se hal karty the. Jab khabhi kisi ehm mashwarah k liye
wo qoam k sardaron ko hazir hony ka hukum dety the to sab wahan hazir hojaty
the.
Qasaa ne apni qoam mein ittehaad
aur yakjheti ki fiza qaim ki aur mukhtalif shoby tashkeel diye. In shobon ko
Quraish k mukhtalif qabail k supurd kiya ta k nazm-o-nasq behtar taur par
anjaam pa sakey.
•
Hajaba…….Khana Kaba ki nigrani o intizamaat karna.
•
Rafadah…..Hajaj ki maali aanat aur taam o qayaam ka
intizaam karna.
•
Saqaya……Ye soba haj k muqey par hajiyon k pani ki farahmi
k intizamaat karta tha.
•
Lawa…….Isy aap mujoodah daur ka wizaarat-e-difaa
samjhiye. Ye shoba hejing ki hikmat-e-amli banata tha.
•
Sifaarat…..Sifaarati
umoor ki anjaam dahi.
•
Salsi………Tanazaat ka tasfiya karna.
Qasaa bin Qalaab k teen bety the.
•
Abdullah
bin Qasaa 2. Asad bin Qasaa 3. Abdul Manaaf bin Qasaa
Abdul Manaaf apni sardaari k zamany mein Quraish
ko khuda tarsi o haq shanasi ki nasihat farmaya karty the. Allah Tala ne Abdul
Manaaf ko chaar bety ata farmaye jin se mazeed chaar zeeli qabeely wajood mein aaye.
•
Abdul
Shams bin Abdul Manaaf 2. Nofil
bin Abdul Manaaf
•
Matlab
bin Abdul Manaaf 4.
Hashim bin Abdul Manaaf
Hashim apney osaaf ki wajah se qoam k
sardaar the. In ka naam umro tha jab k Hashim laqab tha. Aik martaba Makkah
mein qehat saali ke bais faqa ki noubat ponhach gai. Logon ko kai rooz tak
khane ke liye kuch mayyasar nahi aya. Hashim Makkah se sham agaye wahan se
ashiya khurdonosh kharidein aur Makkah wapis aye. Rotiyan pakwaen oont qataar
dar qataar zibah kiye salan banwaya. Salan ke shorbey main rotiyan tor tor kar
dali gayin. Tamam logon ke liye dartarkhawan bicha diya gaya aur dawat aam
kardi. Arbi mian is khane ko sureed kehte hain is waqia ke baad inhe Hashim
kaha jane laga. Hashim tokre tokre karne ko kaha jata hey.
Hashim aik roz Yasrab main thehre. Wahan inhon ne Qabila Khazraj ki khatoon Salma Bint e
Umroo se nikah kia. Jis ke batan se Shiba name farzand
paida hoye. Hashim ki wafaat douraan-e-tijarat Phalestine ke sheher Ghaza main
hoi. Shiba Yasrab mian apni walida ke han parwarish pa rahe the. In ke chaccha Muttalib in ki walida Salma Bin e Umroo ki
raza mandi se Makkah le aye.
Jis waqt Muttalib ki sawari Makkah main
dakhil hoi Shiba in ke aqab mian bethey hoye the. Ehle Makkah ne samjha ke ye
noujawan Muttalib ka ghulam hey aur kisi ne buland awaz se ye keh diya “Abdul
Muttalib” Muttalib ne foran kaha ye mera ghulam nahi balke mera bhatija hey Hashim
ka beta hey. Lekin Shiba Abdul Muttalib ke naam se mashoor ho gaye aur in ka
asli naam logon ke zehan se utar gaya.
Muttalib ki wafaat ki baad Makkah ki qayadat
aur tamam manasib janab
Abdul Muttalib ko muntaqil ho gaye. Abdul
Muttalib Huzoor Aleh Slato Wasalam ke dada hain. Abdul Muttalib apne azeem
usshaan karnamon buland himmati aur ousaaf ke bais sari qoam ki ankhon ke tare
the. Allah Talah ne Hazrat Abdul Muttalib ko be missal husn o jamal ata kia
tha. Hazrat Abdul Muttalib ki shaksiyat pur asar , pur azmat aur waqaar main be
missal thi. Hazrat Abdul Muttalib ko jo dekhta maroub ho jata tha. Hazrat Abdul
Muttalib ki sakhawat apne baap Hashim se ziyadah thi. In ki mehmaan nawazi
charind o parind tak ponhach gai thi.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.