Topics
Momin
mardon or aurtoon sy allah ka wada hai k inhen aisy bag ata farmay ga jin k
nichyn nehryn behti hngi or wo in mein hamesha rahyn gy in sada bahar baghon
mein in k liy pakiza kayam gahen hngi or sub sy barh kar ye k allah Talah ki
khushnodi inhen hasil hogi yahi bari kamiyabi hai.
(
Surat tauba Ayat-72)
Muttaqi
logon k liy jis jannat ka wada kiya gaya hai is ki shan ye hai k is k nechy
nehren beh rahin hain is k phal daimi hain or is ka saya la zawal hai ye inam
hai muttaqi logon k liy or munkiron k liy dozakh hai.
(
Surat Al raad Ayat-35)
Hamesha
rehny walin jannaten hain or jin mein ye loog dakhil hongy gy wahan inhen sony
k kangan or motiyon sy arasta kiya jay ga.
(
Surat fatir Ayat-33)
Janat
mein dakhil hojao tum or tumhari zoj (begmaat),tum shadi kiy jao gyin k samny
sony ki tashtariyan or sony k piyaly peesh kiy jayn gy or in mein wo cheezen
hongi jo dil ki pasand or ankhon k liy lazzat bakhsh hongi or tum is mein hamesha
raho gy.
(
Surat Al-zarkharf Ayat-71ta70)
In
k darmiyan aisi sharaab k piyalon k tabadly ho rhy hongy jo lagwiyat or gunah
sy paak hongy.
(
Surat Al-toor Ayat-23)
Muttaqiyon
k liy jis jannat ka wada kiya gaya hai us ki shan to ye hai k is mein nehren
beh rahi honginithry huy pani (muqattar) ki,nehren beh rahi hongi aisy doodh ki
jis k zaiky mein zara fark nhi aya hoga nehren beh rahin hongi aisi sharab k jo
peeny walon k liy laziz hongi,nehren ber rahi hongi saaf shaffaf shehed ki is
mein in k liy har tarhan k phal hongi or in k rab ki taraf sy bakhshish.
(
Surat muhammad Ayat-15)
Beshak
ahle jannat aj apni dilchaspiyon memagan hongy wo in ki zoj sayon mein masandon
par takiya lagay huy bethy gy or is mein in k liy mevy hongy or in k liy wo sub
kuch hoga jop wo talab krenn gy rabb e rahim ki taraf sy in ko salam kaha gaya
hai.
(
Surat yaseen Ayat-58ta55)
Or
in k samny chandi k bartan or sheeshy k piyaly gardish mein hongy
sheeshy,chandi ki tarhan hongy in ko inhon n nihayat mozon andazonk sath sajaya
hoga.
(
Surat Al deher Ayat-15ta16)
In
nematoon k darmiyan bahaya horeen hongi jin ko in sy pehly kisi insane ya jinn
y chuan hi hoga apney rab k kin kin inamaat ko tum jhutlao gy in mein neik
seerat or khoob surat hooren hongi apney rab k kin kin inamat ko tum jhutlao gy
hooren khemon mein rehny waliyan apney rab k kin kin inamaat kio tum jhutlao gy
in jannatiyon sy pehly kabhi kisi insan ya jinn y inhen chuan a hoga.
(
Surat reham Ayat-56ta74)
Rivayat
hai k Huzoor Aleh saalato Wasalam ny meraj ki sahb dozakh k daroga sy mulaqat
ki or dozakh k azab mein mubtala logon k halat Huzoor Aleh saalato Wasalam ko
dekhay gay Huzoor Aleh saalato Wasalam ny dekha k
1.kuch
logon ki in k apney badan ka gosht kat kat k khilaya jaraha tha ye chughal khor
or ghibat krny waly loog thy
Or
na tum mein sy koi ghibat kary kiya tum mein sy koi apney murdah bhai ka gosht
khana pasand karta hai?tum ko issy ghin ay gi or allah sy darty raho be shak
allah tauba qubool karny wala meherbaan hai.
(
Surat Al-hijraat Ayat-12)
2.kuch
loog jin k hont ont ki tarhan k honton ki tarhan thy or in k muu mein pattharon
k angary thonsy ja rahy thy ye yateemon ka maal hazam krny waly loog thy.
Jo
loog na haq zulm sy yateemon ka maal kha jaty hain wo apney peit mein aag bhar
rhy hain or unqareeb wo dozakh mein jayn gy.
(
Surat Al Nisa Ayat-10)
3.sood
khoron k peit mein sanp bhary huy thy in k peit itny bary bary thy k wo apni
jagah sy hil bhi nhi sakty thy.
(
Sunn ibne mahiya jild dom hadees-430)
Sood
khoron k groh k ek fard ko is haal mein dekha k wo khoon ki nadi mein teer rha
thajab terty huy kinary tak pohuncha loog is ko patthar marty or wo wapis palat
jata tha
(sahi
bukhari jild awwal hadees 1957)
Oe
sood jis sy mana kiya gaya tha isy leeny k baais or logo ka maal na haq khany k
baais or in mein jo kuffar hain hum ny in k liy alam naak azab muayya krrakkha
hai
(
Surat Al-Nisa ayat 161)
•
Huzoor Aleh saalato Wasalam ko
dikhaya gaya k najayz dolat kamany waly ko muttafan or sarand sy bhara hua kha
rahy hain.
•
Or chand logon ko dekha k in k hont
or zabanen kati jarahi hain zaban or hont sahi hojaty or dobar takleef da amal
shuru hojata tha Huzoor Aleh saalato Wasalam ko btaya gaya k ye be amal munbar
nasheen ,khateeb waaz or alam hain jo dosroon ko nasihat krty thy or khud is
par amal nhi krty thy.
•
Huzoor Aleh saalato Wasalam ny ek choty sy
patthar sy ek bary se bail ko nikalta dekha jop k dobara patthar mein dakhil
hony ki koshish mein lag jata tha Huzoor Aleh saalato Wasalam ko btaya gaya k
ye us shakhs ka hal hai jo bari baat muun sy nikal kr sharminda hota hai lekin
isy wapis leny par qudrat nhi rakhta.
•
Kuch aisy loog dekhy jin k nakhun
tanbay k thy or wo in nakhoon sy apney chehry ko khurach rahy thy ye wo loog
thy jo gebaat krty thy or logo ki izat o abro k peachy paary rehty hain
(
mushkat shareef jild chaharrum hadees 970)
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.