Topics

Sadiq Aur Ameen


Makkah main rehne wale do tareeqon se apni maashi zaroriaat puri karte the.

         Tijarat ke zarye.

         Maweshiyon aur batour-e-khas aunton ki parwarish ke zariye.

Huzoor Aleh saalato Wasalam jab jawaan hoye to Huzoor Aleh saalato Wasalam ne bhi tijaarat ko zarya-e-maash banana pasand farmaya. Huzoor Aleh saalato Wasalam apni qoam main sab se ziyadah khush ikhlaaq aur hamsaayon ki khabar geeri karne wale, nihayat haleem, burdbaar, sacche, amanat daar aur be hooda goi se paak the. Huzoor Aleh saalato Wasalam ki qoam ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Sadiq aur Ameen ka khitaab diya.

Zamana-e-jahiliat main Abdullah Bin Saib Huzoor Aleh saalato Wasalam ke shareek-e-tijaarat the. Jab wo Madina main aye. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne farmaya:

“ Abdullah mujhe pehchantey ho?”

Unhon ne arz kia:

“Main Aap ko khoob pehchanta hon, Aap tijaarat main merey shareek the aur buhat ache dost aur saathi the. Na kisi baat ko taltey aur na kisi baat par ulajhtey the.”

Soda gar Qais Bin Zaid apna samaan-e-tijaarat Huzoor Aleh saalato Wasalam ke supurd kar deta tha takey wo usy faroukht karne ke liye dosrey shehar ley jayen. Hisaab-o-kitaab main kabhi koi ikhtelaaf nahi hoa. Huzoor Aleh saalato Wasalam ashya-e-tijaarat ki faroukht ke liye jab bhi safar par rawana hote to Makkah ke dosrey tajir ye khuwahish karte the ke Huzoor Aleh saalato Wasalam in ka samaan-e-tijaarat bhi ley jayen.

Hazrat Khadija(r.a) Arab ke shareef khandaan ki raees khatoon thien. Aap(r.a) ki sharafat aur paak damani ki waja se loog Aap(r.a) ki Tahira kehte the. Quraish jab tijaarat ke liye qafila rawana karte to Hazrat Khadija(r.a) Bhi apna maal batoor-e-mazaarbat bhej detien.

Hazrat Khadija(r.a) ka samaan-e-tijaarat Quraish ke kul samaan ke barabar hota tha. Huzoor Aleh saalato Wasalam ki umar Mubarak jab pacchees saal ki hoi to ghar ghar Huzoor Aleh saalato Wasalam ki amanat aur diyanat dari ka charcha tha. Hazrat Khadija(r.a) ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko paigham bheja ke agar Huzoor Aleh saalato Wasalam mera maal-e-tijaarat le kar sham tashreef le jayen to main dosron ki nisbat Huzoor Aleh saalato Wasalam ko nafa ziyadah don gi.

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne Hazrat Khadija(r.a) ki paiskash qabool farmai aur Hazrat Khadija(r.a) ke ghulam Maisara ke saath maal-e-tijaarat le kar sham ki taraf rawana ho gaye.

Huzoor Aleh saalato Wasalam khreed-o-faroukht main mashghool ho gaye. Aik shakhs Huzoor Aleh saalato Wasalam se jhagarne laga aur is ne kaha:

“ Aap(alehe saalato wassalaam) Laat-o-Aza ki qasam khayen.”

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne farmaya:

“ Main ne kabhi Laat-o-Aza ki qasam nahi khaye.”

Ye sun kar is shaks ne kaha: “Aap(alehe saalato wassalaam) Sadiq aur Sacche hain.”

Huzoor Aleh saalato Wasalam ko tijaarat main nafa hoa. Hazrat Khadija(r.a) ke ghulam Maisara ne Aap(r.a) ko Huzoor Aleh saalato Wasalam ke husn-e-ikhlaaq, buland paya kirdaar, raast goi aur amanat daraana tareeq se agah kia.

Hazrat Khadija(r.a) Se Nikkah:

Hazrat Khadija(r.a) ke shohar ka inteqaal ho chukka tha. In ki khandaani sharafat, izzat-o-touqeer aura aala kirdaar ki bina par Makkah ke barey barey raees aur sardaraan in se shadi karna chahte the lekin Hazrat Khadija(r.a) ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko pasand kia aur nikkah ka paighaam bheja.

Hazrat Abu Talib ne khutba-e-nikkah parha. Nikkah ke waqt Huzoor Aleh saalato Wasalam ki umar Mubarak pacchees saal thi aur Hazrat Khadija(r.a) ki umar challis saal thi.

Huzoor Aleh saalato Wasalam Ki Aulaad:

Huzoor Aleh saalato Wasalam ki tamaam auladon ki amman Hazrat Khadija(r.a) hain. Aap(r.a) se do larkey paida hoye. Aik Qasim jin ke saath Huzoor Aleh saalato Wasalam ki kunniyat Abu-ul-Qasim hey. Dosrey Abdullah aur chaar larkiyan paida hoiyen. Hazrat Zainab(r.a), Hazrat Ruqayya(r.a), Hazrat Kulsoom(r.a), aur Hazrat Fatima(r.a).

Huzoor Aleh saalato Wasalam ke teesrey sahab zadey Ibrahim ki walida Hazrat Maria(r.a) Qabtia hain. Teenon sahab zadey bacchpan hi main intqaal farma gaye the.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.