Topics
Tum
ne nahi dekha k tumhary Rab ne in hathi walon k kiya haal kiya, in k daoo ko
tabahi mein nahi dala aur in par parindon ki tukriyan bhejien k inhen kankar k
patharon se maaren to inhen kar dala khaye howy bhoos k tarha. (Surah Fail)
Hazrat
Ibrahim a.s ne Allah Tala k hukum se Makka mein Allah Tala ka ghar tamer kiya
hey. Arab k log Khana Kaba mein har saal haj k liye aaty the. Khana Kaba ka
intizaam Quraish k hath mein tha is liye arab k dusrey tamam qabail Quraish ko
izzat-o-ehtraam ki nagah se dekhty the.
Arab
k junoob mein aik mulk Yaman waqia tha. Yaman mein esai badshah Abraha ki
hukumat thi. Wo aik nihayat mutasib aur muqa parast governor tha. Is ne habsha
k badshah k sath ghaddaari kar k Yaman par qabza kar liya aur badshah ko qatal
kar diya. Is ne jab dekha k arab Khana Kaba ka haj karty hain to is ne arbon ko
neecha dikhany aur mazhab se daur karny k liye Yaman ki daro-ul-saltanat “Sa
aa” mein aik azeem-ul-shaan imarat tamer karwai.
Is
ne imaarat mein safaid, surkh, zard aur siyah pathar lagwaye. Is ki diwaron
mein jagah jagah soney aur chandi k patrey lagwaye. Is imarat mein lagy howy
darwazon aur khirkiyon mein khubsurti k liye soney ki mekhen lagwai gayen.
Zarbuft k pardon se is imarat ko aaraasta kiya gaya tha.
Khubsurti
mein ye imarat duniya mein aik ajooba thi. Jagah jagah choty choty minaar bany
howy the jin mein ood aur amber jalta tha khushbo se puri imarat mehakti rehti
thi. Farsh par behtreen qaleen bichey howy the. Ye imarat khubsurti aur
taseen-o-araish mein apni misaal aap thi. Abraha ne logon ko hukum diya k ainda
Khana Kaba ki jagah is ibadat gah mein aa kar haj aur tawaaf Karen.
Shawahid
milty hain kuch arsy tak log is ghar ka haj karty rahy aakhir kaar aik raat is
mein kisi ne ghilazat daal di. Jab Abraha ko pata chala to gussa mein aag
bagola ho gaya is ne Khana Kaba par fooj kasha ka irada kiya aur hazaron ki
tadaad mein fooj jama ki. Is ka irada tha k fooj kasha kar k Khana Kaba ko
(naozubillah) manhadam kar diya jaye. Abraha ne apney liye aik hathi k
intikhaab kiya. Is k lashkar mein barah ya teerah hathi the. Abraha ne jis
hathi ka intikhaab kiya tha wo itna taqatwar tha k mooti se mooti diwaar ko
takkar maar kar gira deta tha.
Fooj
kasha k liye Abraha Yaman se Makkah rawana howa aur Makkah mein dakhil hony k
liye Makkah k atraaf mein parao dala. Is jagah Makkah k logon k mawashi charty
the. Abraha k lashkar ne wo mawashi pakar liye in mein do so oont Huzoor aleh
Salato Wasalam k jadd-e-amjad Hazrat Abdul Muttalib k the. Is waqt Hazrat Abdul
Muttalib Khana Kaba k matwali aur Quraish k sardaar the.
Jab
in ko lashkar kasha ki khabar mili k Abraha Makkah par hamla karna chahta hey to
inhon ne Quraish ko jama kiya aur meeting kar k ye tey kiya k Makkah ko khali
kar diya jaye.
Hazrat Abdul Muttalib ne farmaya:
“Khana Kaba ko koi manhadam nahi kar
sakta. Ye
Allah Tala ka ghar he, Allah Tala khud is ki hifazat Karen gen.”
Meeting
mein ye tey paya k Abraha se mulaqaat ki jaye chunacha Hazrat Abdul Muttalib
Quraish k chand buzurgon k sath Abraha se milny gaye.
Abraha
ne Hazrat Abdul Muttalib ka nihayat pur josh istaqbaal kiya. Allah Tala ne
Hazrat Abdul Muttalib ko be misaal husn-o-jamaal ata kiya tha aur Hazrat Abdul
Muttalib ki shakhsiyat waqaar aur dabdaby mein be misaal thi. Hazrat Abdul
Muttalib ko jo dekhta tha maroob ho jata tha.
Abraha
Hazrat Abdul Muttalib ko dekh kar maroob ho gaya aur nihayat adab-o-ehtraam k
sath istaqbaal kiya. Abraha ne ye to munasib na samjha k Hazrat Abdul Muttalib
ko takhat par apney barabar bithaye. Is ne azaaz-o-akraam mein ye roosh
ikhtiyaar ki k khud takhat se utar kar in k sath beth gaya.
Doraan-e-guftogu
Hazrat Abdul Muttalib ne apney oonton ki rehai ka mutalba kiya. Abraha ne
heraan ho kar kaha:
“Barey
tajub ki baat hey k aap ne mujh se apney oonton k barey mein baat ki aur Khana
Kaba jo aap ka aur aap k aabo ajdaad k deen aur mazhab ka muqaam hey is k barey
mein aap ne kuch nahi farmaya.”
Hazrat Abdul Muttalib ne farmaya:
“Me
oonton ka malik hon, is liye mein ne oonton ka sawal kiya aur Khana Kaba Allah
Tala ka ghar hey. Allah Tala khud apney ghar ki hifazat farmayen gen.”
Abraha
thori dair khamosh raha aur is k baad Hazrat Abdul Muttalib k oonton k wapis
karny ka hukum de diya. Hazrat Abdul Muttalib apney oonton ko le kar Makkah
wapis aagaye aur Quraish ko hukum diya k Makkah khali kar den aur tamam oonton
ko Khana Kaba ki nazar kar diya aur chand aadmiyon ko apney hamrah le kar Khana
Kaba aaye aur sab ne gir gira kar duaen mangien.
“Aap
se darkhuwast he, dua he, iltija hey k Aye Allah! Banda apni jagah ki hifazat
karta he, aap apney ghar ki hifazat farmaiye aura hl-e-saleeb k muqaably mein hamari
madad farmaiye. In ki saleeb aur in ki tadbeer aap ki tadbeer par khabhi ghalib
nahi aasakti. Ye log lashkar aur hathi le kar aye hain ta k aap k ayaal ko qaid
Karen. Aap k haram ki barbaadi k liye aaye hain jahalat ki bina par ye iraada
kiya hey aap ki azmat o jalaal ka khayal nahi kiya.”
Hazrat
Abdul Muttalib Allah Tala se dua kar k hamrahiyon k sath pahaar par charh gaye.
Is majme mein burhe jawaan sab mojood the. Majme mein mojood nojawanon ne
Hazrat Abdul Muttalib ki khidmat mein arz kiya:
“Hum
Abraha se laren ge aur is k lashkar ko Makkah mein dakhil nahi hony den ge.
Hazrat
Abdul Muttalib ne nojawanon ko josh o kharosh dekh kar farmaya:
“Hamey
aqalmandi aur hosh k sath is mamley ko hal karna chahiye. Bazahir hamari itni
taqat nahi hey k hum itni bari fooj ka muqabla kar saken.”
Baham
mashwara se ye tey paya k aurton aur burhey mard Makkah mein rahen ge aur
nojawaan kafan pehan kar Makkah se kooch Karen ge aur Abraha ki fooj jidhar se
guzrey gi wahan lait jayen ge ta k hamari qurbani Allah Tala qabool farma len.
Chunacha
aisa hi howa Hazrat Abdul Muttalib nojawanon ko sath le kar is muqaam par lait
gaye, jahan se Abraha ki fooj ko guzarna tha aur dua ki Allah Tala hamari
qurbani qabool farma aur apney ghar ki hifazat farma.
Dusri
taraf se Abraha ne Makkah par fooj kasha k liye lashkar tiyaar kiya aur bagal
baja kar kooch karny ka hukum diya. Jab lashkar mazdalfa aur manaa k darmiyaan
mehsar mein pohncha to Abraha ka hathi beth gaya. Is ko uthany ki bohat koshish
ki magar wo nahi uttha. Hathi ko aankas mary gaye, lekin wo nahi uttha. Jab
Makkah ki dusri taraf se uthaya gaya to wo foran uth kar taizi se Yaman ki
taraf bhagney laga aur jab is ka mu Makkah ki taraf karty the to wo beth jata
tha. Aisa lagta tha k zameen ne is ko pakar liya hey. Shaan-o-shoukat ka
muzahira karty howy Abraha ki fooj ne jab pesh qadmi ki to Allah Tala ne is
fooj ko waadi-e-mehsar mein rook diya.
Patharon
se arbon ne aslah ka kaam liya aur fooj par sang baari ki. Allah Tala ne
dushmanon par sang baari karny wali hawa nazil farma di jis ki waja se fooj
tittar bittar ho gai aur asmaan mein beshumaar churyan namodaar howien.
Quran
Paak mein in ka naam “Ababeel” hey. Ababeel churya se choti hoti hey. Ye churyan lashkar par bajre k daany
k barabar kankariyan girati gayen.
Fooj
k jis sipahi par ye kankariyan girti thien. In k jisam par cheechak nikal ati
thi aur jaise hi jisam par kankariyan lagti thien jisam galny lagta tha.
Lashkar mein fooj ki kaseer tadaad cheechak ki wajah se halaaq hogai. In
kankariyon k lagney se lashkar mein aisi bhagdar machi k fooji aik dusrey ko
rondtey kuchaltey howy bhaag nikley. Bhaagney waly aik dusrey par gir rahe the
aur mar rahe the. Malik-ul-Moat ne inhen itni bhi muhlat nahi di k wo abraha k
foojiyon ki lashen utha saken.
Allah
Tala ne Abraha par aisi aafat nazil ki k Abraha ki ugliyon k pur jhar gaye,
phir seena phat gaya, dil bahir nikal aaya aur wo tarap tarap kar mar gaya aur
dushmanon par churiyon ka ghez-o-ghazab zarb-ul-misaal ban gaya. Ye waqia
Huzoor Aleh salato wassalam ki padaish se pachaas din phele ka hey.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.