Topics
Phir
Allah jal jalala k darbar mein hazir huyor Huzoor Aleh saalato Wasalam allah sy
itny qareeb huy k do kamanon k barabar ya issy kam fasla reh gaya
Qasam
hai taary ki jab wo ghoroob hua tumhara rafeeq na bhatka hai na behka hai wo
apni khwahishe nafs sy nhin bolta ye to ek wahi haijo is par nazil ki jati hai
isy zabardast kowat waly ny taleem de hai jo bara sahib e hikmat hai wo samny
akhara hua jab k wo unke ala par tha phir qareeb aya or upper mualliq hogaya
yahan tak k do kamanon k barabar ya issy kam fasla reh gaya tab is ny allah k
bandy ko wahi pohunchai job hi wahi isy pohunchani thi nazar ny jo dekha dil ny
isme jhoot na milaya ab kia tum is cheez par issy jhagarty hojisy wo ankhon sy
dekhta hai?
(
Surat Al-najam Ayat-1 ta 12)
Meraj mein Huzoor Aleh saalato Wasalam ny
zameen mein senkroon mil ka fasla tay kiya or lakon nori saloon k fasly par
asmaan ki hadood mein dakhil huy farishtoon ki had sy gy tashreef ley gay or
khudaye kareem sy hum kalam huy.
Allah
ny apney mehboob bandy Huzoor Aleh saalato Wasalam par sola ahkam nazil farmay
jo ziyada jame hin or nihayat umdah zabta e hayat ki akasi krty hain
1.Tery
rab ny faisla krdiya hai k tum loog kisi ki ibadat na kro ,magar sirf is ki.
2.Waldein
k sath neik sulook ko,agr tumhary pas mein in mein sy koi ek ya dono,borhyhon
to inhyn uff tak n kaho,na inhyn jhirak kar jawab do,bulky in k sath ahteraam
sy baat kro or narmi or rehem sy in k samny jhook kr raho,or dua kiya kro k
;parwardigar in par rehem farma jis tarhan inhon ny rehmato shafkat k sath
mujhy bachpan mein pala tha.
3.Tumhar
rab khoob janta hai k tumhary dilon mein kiya hai agr tum sualeh ban kr rho to
wo aisa banda sub k liy darguzar krny wala hota hai,aisa banda api galti par
mutfaba ho kar bandage ki taraf palat ata hai.
4.Rishtedar
ko is ka haq do or miskeen or musafir ko is ka hq do.
5.Fazool
kharchhi na kro,fazool kharch loog shaitan k bhai hain or shaitan apney rab ka
na shukra hai.
6.Agar
tum hajat mand rishtedaroon,miskenoon or musafiron ki hajat pori nhin krskty to
inhen narmi sy jawab do.
7.Na
apney hath garden sy bandh kr rakkho na bilkul hi khula chor do k malamat zad
or ajizban kr reh jao.
8.Tera
rab jis k liy chahtah hai rizk kushada kr deta hai wo apney bandon k haal sy
bakhabar hai or inhen dekh raha hai.
9.Apni
aulad ko aflaas k andeshy sy qatal na kro hum inhen bhi rizk den gy or tumhen
bhi dar haqiqat in ka qatal ek bari khatah hai.
10.Zana
k qareeb na bhatko wo bhut bara fail hai or bara hi bura raasta hai.
11.Qaatal
nafs ka irtekaab na kro jisy allah ny haram kiya hai magar haq k sath or jo
shakhs mazlomana qatal kiya gaya ho is k wali ko hum ny qasas k mutalbay ka
haqi ada kiya hai pas chahiy k wo qatal mein had sy na guzry is ki madad ki jay
gi.
12.Yateem
k maal k paas na bhatko mgr ahsan tariky sy yahan tak k wo apney shabab ko
pohunch jay.
13.Ahan
ki pabandi kro,be shak ahad k baary mein tum ko jawab dahi krni hogi.
14.Pemany
sy do to pora bhar kar dp or tolo,thk tarazo sy tolo ye acha tarika hai or ia
ka anjam bhi acha hai.
15.Kiai
aisi cheez k peachy na lago jis ka tumhy ilm na ho yaqeenan ankh kan ,or dil
sub ki baaz paras hogi.
16.Zameen
mein akar kar na chalo tum na zameen ko phar skty ho na paharoon ki bulandi ko
pohunch skty ho.
( Surat bani israeel Ayat-37ta23)
Meraj shareef mein bargahe rabb ul izzat sy inamaat wa
atiyat marhamat kiy gay musreen ny teen ikramaat ka bator e khaas tazkara kiya.
1.surah tul bakrah ki akhri ayat jin mein islam k rehnoma
usool bayan kiy gay hain.
2.ummat e muhammadi Aleh saalato Wasalam ki bakhshish ka
wada, magar jo loog shirk k martaqab hngy wo is inam sy mehroom rahen gy.
3.panch
waqt farz namaz ki taqeed.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.