Topics
Pegambar
e islam syeda na hazoor Aleh saalato wassalam ko Allah ny aisy waqt meapny
huzoor talab farmaya.jab roye zameen par in k liy arsa hayat tang krdiya gaya
tha.jan nisar bivi or shafeeq chacha bhi duniya mein nhi thy.hazoor Aleh saalato
wasalm ka beshtar waqt ibadat or ghoro fikr mein guzarta tha.maqqa mein na sirf
ye k islam k faroog k liy mushkilaat thin bulky jo loog halqa bagoosh islam ho
chuky thy in k liy azadana ibadat or apney aqidy k mutabiq amal krny ki azadi
nhi thi.
Paak
hai wo jo ly gaya ek raat apney bandy ko masjide haram sy daur ki is masjid tak
jis k mahool ko is ny baarkat de haita k isy apni kuch nishaniyon ka mushahida
karay.haqiqat mein wahi hai sub uch sunny or dekhny wala. ( Surat bani israee
Ayat-1)
Rajab
ki sattaeswin shab shab ko syedana Huzoor Aleh saalato Wasalam apni chacha zaad
behen umme hani binte aby talib k ghr tashreef ley gaye.
Wahan
Huzoor Aleh saalato Wasalam aram farma rhy thy k ghr ki chaat shaq hoi.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ny dekha jibraeel amen farishtoon k hamrah tashreef lay or
Huzoor Aleh saalato Wasalam ko zam zam k kunwy k paas ly paas ly gay.wahan
jibraeel ny seena Mubarak khool kr dil nikala or abe zam zam sy dhony k baad
dobara seeny mein rkh dia Huzoor Aleh saalato Wasalam baraq par sawar jibraeel
k sath betul muqaddas tashreef ly gay masjidul aqsa mein Huzoor Aleh saalato Wasalam
ny imbiya Aleh wasalm ki amamat farmai.is k baad Huzoor Aleh saalato Wasalam ki
khidmat mein doodh or sharab k piyale peesh kiy gay Huzoor Aleh saalato Wasalam
ny doodh pasand kfarmaya.hazrat jibraeel ny kaha
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ny fitrat ko ikhtiyar kiya hai
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ko betul muqaddas sy aalme baala ki taraf ley jaya gaya.asmanon
mein Huzoor Aleh saalato Wasalam ny jalil ul qadr peghambaroon sy mulaqat
ki.pehly asman par adam ny Huzoor Aleh saalato Wasalam ka istaqbaal kiya.
Phir
Huzoor Aleh saalato Wasalam ko dusry asmaan par ley jaya gaya Huzoor Aleh saalato
Wasalam ny wahan hazrat yahyah bin zikriya or hazrat isa ko dekha.dono sy
mulaqat ki or salam kiya.dono ny salam ka jawab diya Mubarak baad sip hr teesry
asmaan par ly jaya gaya Huzoor Aleh saalato Wasalam ny wahan hazrat yousuf ko
dekha or salam kiya unhon ny jawb diya Mubarak baad di.
Phir
cothy asmaan par ley jaya gaya waha Huzoor Aleh saalato Wasalam ny hazrat
idrees ko dekha or unhen salam kiya phir panchvy asmaan par ley jaya gaya wahan
Huzoor Aleh saalato Wasalam ny hazrat haroon bin umer un ko dekha or salam kiya
phr Huzoor Aleh saalato Wasalam ko chaty asman par ley jaya gaya wahan Huzoor
Aleh saalato Wasalam ki mulaqat hazrat musa sy hoi Huzoor Aleh saalato Wasalam ny
salam kiya unhon ny marhaba kaha or iqrar e nabowat kiya.
Is
k baad Huzoor Aleh saalato Wasalam satwyn asmann pr tashreef ley gay wahan
Huzoor Aleh saalato Wasalam ki mulaqat hazrat Ibrahim sy hoi unhon ny Huzoor
Aleh saalato Wasalam ko khush amdeed kaha or Huzoor Aleh saalato Wasalam ki
nabowat ka iqrar kiya.
Wahan
Huzoor Aleh saalato Wasalam ny betul umoor dekha satwyn asmaan k baad sidra tul
muntaha tak hazrat jibraeel Huzoor Aleh saalato Wasalam k hamrah hai
Is
k baad Huzoor Salallahu Aleh Wasalam ny khaliq e qainat ki tasbeeh wa taqdees
farmaye.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.