Topics
Hudebia key muqaam per fareqen key darmiyan
jo sulah namey tey paya tha is mein digar sharaith key ilawah do sharten yeh
bhi thein:
1.
Fareeqen dus
saal tak aik dusrey key sath jang nahen karen gey
2.
Arab key degar qabail
ko ijazat dedi gai ke jo qabela jis fareeq ke sath mouahida karna chahy wo kar
sakta hai.chunnacha har qabeely ny apni marzi se jis fareeq ke sath apna
mustaqbil mehfooz samjha us ke sath dosti ka mouahida krlia makky ke groh nawah
mein qabail amada thy.in mein se do qabeely aisy thy jin ki porani dushmani
chali aa rhi thi.ek qabeela banu bakar kehlata tha or dosra Akhzamad.
Banu bakar ny quraish ke sath or
banu khizan ny Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke sath dosti ka mouahida kia.mouahida ke baad aman o sulah ka daur shuru
hogya tha or tamam fareeq hansi khushi waqt guzarny lagy.is doran musalmano se rabt
ki wajah se khizan ke beshtar afraad musalmaan hogay magar banu bakar quraish
ke sath talluq ki wajah se kufr par qaim rahy.
Kafi arsay tk dono qabeely sulah
hudaibiya ke paband rahy or ek dosry ko nuksaan Pohunchany se guraiz karty rahy
phir achanak banu bakar ny khizan ke sath qadeem dushmani ko yaad kr ke khizan
par hamla karny or inteqaam leny ka faisla kiya or ek raat bagair kisi sabab ke
khizan ki basti par charhai kardi khizan be khabar thy in ke wehmo guman mein nhi
tha ke raat ke is peher dushman koi karrawai karsakty
Hain isliy be khabri mein maary gay
or pehly hi hamly mein in ka ek admi qatal or motaddid zakhmi hogay is ke baad
baqaida larai shuru hogai jo raat bhar jari rahi banu bakar chunkay quraish ke haleef
thy isliy is larai mein quraish ke sardaron ny in ki bharpoor madad ki in ka
khayal tha ke raat ke andhery mein humy koi nahi pehchan saky ga or kisi ko pta
nhi chaly ga ke hum ny banu bakar ki madad ki hai.......
Banu khizan ny jaan bachany ke liy
haram mein panah li unhy umeed thi ke yahan inhen aman mil jay ga lekin dushman
ny hadood e haram ka bhi paas nhi kiya or in ko qatal karty rahy.
In hamla awroon mein se chand
admiyon ny apney sardar nofil bin mavia ko pokara or kaha ke ay nofil Allah TALLAH
se daro dekhty nhi ke tum haram mein dakhil hogay ho or phir bhi qatal ka bazar
garam kiya hua hai. (naozubillah)os waqt is ny aisa jumla zaban se nikala ke zameen
bhi laraz utthi. Is ny kaha:aj koi khuda nahi.aj dushmanon se inteqaam leny ka
moka hai khabardar aj koi shakhs inteqaam leny mein susti na kary dushman jahan
mily isy qatal kardo.
Behre haal banu bakar ko chun ke quraish
ki madad hasil thi isliy larai mein in ka balla bhari raha or inhon ny khizan
ke taees admi maar daly.subah ki roshni phelny lagi to quraish ke sardar apney apny
ghr chaly gay.or banu bakar apni basti ki taraf laut gay.quraish ke sardar jo
ke islam ki adawat mein andhay hochuky thy wo apni is galti par pachtay or door
andaish logo ki malamat ki. Haris bin hassham or abdullah bin abi rabiya ny
kaha:
Ay safwan or akrama tum ny muahiday
ko tor dia hai ye muahida Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke sath tay paya tha is ahd e shakni ke nataij bhukatny ke liy
ab tayyar hojao.
Banu Khizan Bargah E Risalat Me
Banu khizan kabeely ke chalees afard madina tayyabah hazir huy jab banu khizan ke dafad ny bargah e risalat mein apni daastan bayan ki to Huzoor Aleh Salato Wasalam ko sakht ranj hua.Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya tumhara kiya khayal hai ke wo loog kon hain jinhon ny tumhary sath ye ziyadti Ki hai? Inhon ny arz kiya banu bakar. Phir Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya.
Banu bakar to buhut bara qabeela hai
in mein se kin logo ny tum par zulm kiya?
Inhon ny arz ki bany nafasa or in ki
qayadat nofil bin mawiya krraha tha. Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya Ye banu bakar
ka ek khandan hai mein halaat maloom krny ke liy qasid bhejta hoon jo in ke samny
tajaweez paish kary ga.in mein se jis tajweez ko wo chahein pasand karlen.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny apna
qasid makkah ki taraf rawana kara ta ke sahi mujrim ka pta lagayn in ke samny
ye tajaweez paish karen qasid ny makkah pohunch kar rasool Aleh salato wasalm ka
pegham sunaya:
Mein Allah ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ka qasid hoonor tumhary
samny ye tajaweez paish karta hoon.
1.Banu khizan ke maqtaloon ki
diyat(khonn baha) ada karen.
2.Quraish banu bakar ki himayat se
alag hojayn.
3.Elan kardiya jay ke hudaibiya ka
muahida toot gay.
In faislon ko sunny ke baad quraish
ny baham hatmi mashwara kiya.
Qarza bin umer jo nabeena tha us ny
kaha:
Agar hum khizan ke maqtalon ki diyat
den gay to hamarey paas phooti kaori bhi baqi nahi bachy gi.isliy pehli tajweez
hamarey liy qabil e qubool nahi.
Dosri tajweez ye hai ke hum banu
bakar se dosti ka muahida taur den ye bhi hamarey liy nakabil e qubool hai. Q
ke banu bakar arab ke tamam qabeelon mein kabah shareef ki ziyada tazeem kart
hain hum in se apni dosti ka muahida khatam karny ke liy har giz tayyar nahi
hain albatta humy teesri tajweez manzoor hai hum elaniya sualh hudaibiya ko
khatam karty hain.
Ye faisla sun kar qasid madeena
wapis agay.qasid ki wapsi ke baad ahle Makkah ki ankhein khulin or is ke khoof
naak nataij ny inhyn pareshan kardiya.
Is ke baad abu sufiyan bin harab
madeeny aya.is ki ek beti Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke nikkah mein thi.chunacha madeena pohuncha to sub se pehly
apni beti ummul momneen Hazrat umme habiba ke ghr gaya. Huzoor Aleh Salato Wasalm Ka bistar bicha hua tha.is
ny jab bistar par bethny ka irada kiya to ummul momneen ny foran wo bistar
lapait ka alag rakh diya. Abu sufiyan ny kaha:
Meri bacchi kia tum ny is bistar ko
mery laiq nahi samjha mujhy is qabil nahi samjha ke mein is par bethoon.Hazrat umme
habiba ny jawab diya ke Ye bistar Allah ke piyary rasool Aleh Salato Wasalam ka
hai or tum mushriq ho isliy mein nahi bardasht kar sakti ke tum Huzoor Aleh Salato Wasalam ke bistar par betho.
Abbu sufiyan apni beti ke is rawwiy
se mayoos ho kar uth kar chala gaya. Wo Huzoor Aleh Salato Wasalm ki khidmat mein hazir
hua.is waqt Huzoor Aleh Salato Wasalm masjid
mein tashref farma thy.is ny arz kiya: Jab sulah hudaibiya ka muahida tay paya
tha to us waqt mein wahan nahi tha ab mein isliy hazir hua hoon ke Huzoor Aleh Salato Wasalam is muahidy ki tajdeed farmayn
or muahidy ki muddat mein izafa karen. Lekin Huzoor Aleh Salato Wasalam ny is ka jawab nahi
diya.mayoos ho kar wo Hazrat abu Bakar siddque ki khidmat mein hazir hua or
apni darkhowast paish ki. Siddiq e akbar ny jawab diya meri panah Allah ke Huzoor
Aleh Salato Wasalm ke ki panah ke tabe
hai mein alag se koi panah deny ka mijaz nahi hn.wahan se nakam ho kar Hazrat umer
Farooq ki khidmat mein hazir hua inhon ny bhi abu sufiyan ko do took jawab
dediya. Phir abu sufiyan Hazrat usmaan uffan ki khidmat mein hazir hua Hazrat usmaan
ny wahi
Alfaaz dohradiy jo Hazrat abu bakar
ny farmay thy.
Wahan se uth ka Hazrat Ali (r.a) murtuza
Aleh salam ki khidmat e aqdas mein hazir hua ap ny farmaya abu sufiyan tumhara
bhala ho bakhuda jab Allah ke Rasool Aleh salato wasalm kisi baat ka azm
farmalety hain to hamari ye majal nahi hoti ke hum is mein madakhlat karen.
Abu sufiyan wahan se chala gayais
waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam ny dua
ke liy hath uthay or ALLHA ke Huzoor arz
kiya. Ya Allah in ki ankhon par parda daal de or hamari koi itla quraish ko
nahi mily yahan tak ke hum in ke sheher par hamla karden. Jab makkah waloon ko
abu sufiyan ki wapsi ki khabar hoi to is ke paas jama hogay or abu sufiyan se
pocha tum kiya kar ke ay ho?
Kia Huzoor Aleh Salato Wasalam ny tumhy koi tehreer di
hai ya muahidy ki muddat mein tausi ka wada kiya hai?
Abu sufiyan ny kaha.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny in
mutalbaat ko tasleem karny se inkaar kardiya hai.
Hazrat hatib ek muazziz sahabi thy. Aap
ka talluq Makkah Se tha.Huzoor Aleh Salato Wasalam ny hamly ki tayyari mukammil
karli to Hazrat hatib bin abi balta ny ahle Makkah Ko ek mukhfi khat likkha or
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke irade se
inhy mutla kiya or khat ek aurat ko diya ke wo isy bari ahtiyat se ahle makkah
tak pohuncha den.
Hazrat hatib ki is harkat ke baary
mein Allah ny apney habib Huzoor Aleh
Salato Wasalam ko mutla farmadiya. Huzoor Aleh Salato Wasalam ny Hazrat Ali (r.a) ,hazrat
Zubair Bin awam or muqdaad bin aswad ko talab kiya or hukum diya ke foran
rawana hojao rasty mein tumhy unt par sawar ek aurat mily gi is ki talashi lena
ia ke paas ek khat hai wo issy se lelena. Ye hazraat tezi se us aurat ke taqqub
mein rawana hogay or us ko pakar lia wo unt par sawar thi usy utara or us ke saman
ki talashi li lekin khat nahi mila.Hazrat Ali (r.a) ny isy danty huy Farmay:
Allah ki qasam Allah ke nabi ny har giz galat bayani nahi farmai tumhary pas
yaqeenan wo khat hai behtar hai ke wo khat tum hamarey hawaly kardo. Jab is
aurat ko yaqeen hogya ke mamla sangeen hogya hai to us ny apni cooti kholi or
us mein jo khat is ny chupa rakkha tha nikala or dedia.
Hazrat Ali (r.a) ny wo khat bargah e
risalat mein paish kiya Huzoor
Alehe salato wasalm ny Hazrat hatib
ko talab farmaya, or un se pocha: Ay hatib ye tum ny kia kiya?
Inhon ny arz kia: Ya rasool Allah Aleh
salato wasalm bakhuda Allah or us ke rasool par mera emaan pukhta hai mein har
giz murtad nahin hua mera makkah mein koi qareebi rishte daar nahi tha jo in
halaat mein mery ahlo ayal ki khabar giri karta mein ny ye khat likh ka in par
ek ahsan kiya hai ta ke wo is ahsan ke badly mery ahl o ayal ka khayal rakhhen.Huzoor
pur noor Aleh Salato Wasalam ny hatib ka ye uzar sun kar farmaya:
Hatib ny sacchi baaat bta di hai is mokay
par Hazrat hatib ko in ki is galti par karny ke liy ye ayat nazil hoi. Ay emaan
walo in logo ko dost mat banao jo mery bhi dushman hain or tumhary bhi.
(Surah Al mumtehna ayat 1)
10 Ramzan ul mubarak aath hijri ko
islami lashkar Makkah ki janib rawana hua makkah se ek manzil ke faslay par
islami Lashkar ny parao dala jab raat hoi to Huzoor Aleh Salato Wasalam ny hukum diya ke sub loog
alag alag alao roshan karen. Is hukum ka maqsad ye tha ke andhere mein daur se
dekhny par buhut bara lashkar nazar ay or dushmano ke dilon par roub or haibat
taari ho jay.sahaba karam ny aisa hi kiya or wasee o areez medan mein das bara
hazaar alao roshan
Kardiy door se dekhny par yuun lagta
tha jesy lakhon ka lashkar Khema zan hai.
Ahle makkah ko ye maloom hochuka tha
ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ek azeem
ul shan lashkar ke hamrah Makkah ke qareeb a pohunchy hain is liy teen admi abu
sufiyan bin Bin harab hakeem ibne hazam or badeel ibne warqa surat e haal ka jaiza
leny ke liy makkah se niklay nighebani par mamoor dastay ki in par nazar pari
to inhon ny in teeno ko giraftar kar liya or Huzoor Aleh Salato Wasalm ke paas le gay, raastay
mein Hazrat abbas se mulaqat hoi.hazrat abbas or abu Sufiyan ke makkah mein buhut
acchy talluqat rahy thy is liy unhon ny Abu sufiyan or is ke sathiyon ko apni
tehweel mein lelia or Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki khidmat mein paish karney ke liy ley janay lagay jab Hazrat umer ke alao
ke paas se guzray
or Hazrat ki abu sufiyan par nazar
pari to un ke gusssay ki Inteha nahi rahi q ke musalmanon ke beshtar mushkilaat
ka Sabab yehi shaks tha chunacha is ko dekhtay hi ba awaz e buland goya huy ye
raha Allah ka dushman abu sufiyan. Alhumdulillah ke Allah ny is ko hamrey qaboo
mein de diya. Jab ke h umraa na is ke sath
koi peman hai na koi muahida. Hazrat umer utthay or Huzoor Aleh Salato Wasalam ko ye Khushkhabri sunanay
ke liy gay Hazrat abbas ny ye dekh kar apni rafatr bhi teez karde or Hazrat umer
se pegly Huzoor Aleh Salato Wasalam ke paas pohunch gay or isi doran Hazrat umer
bhi a pohunchay or arz kiya ya rasool Allah Aleh Salato Wasalam Allah TALLAH ny
dushman e khuda Abu sufiyan ko hamarey hath mein de diya hai,is liy mujhy
ijazat dedijiy ke mein is ka sar qalam kar doon.
Hazrat abbas ny kaha .....Ya Rasool
Allah Aleh Salato Wasalam mein is ko panah de chuka hoon. Magar Hazrat umer ny
apni baat par israr jari rakkha, akhir Hazrat abbas ko gussa agya or Hazrat umer
se mukhatib ho kar goya huy. Abu sufiyan mery qabeelay ka admi hai isliy tum
barh charh Kar bol rahy ho.agar tumharay qabeelay bani adi ka fard hota to yun
batein na kartay. Hazrat umer ny kaha ke nahi abbas aisi baat nahi hai.khuda ki
qasam jis din aap islam lay thy us roz mujhy itni khushi hoi ke agar mera baap
zinda hota or islam lata ,tab bhi itni musarrat na hoti or is ki wajah mehez ye
thi ke rasool Allah Aleh Salato Wasalam ko jis qadar aap ke islam lanay se
khushi hoi thi ,itni musarrat mery walid ke imaan lany par na hoti.
Behre haal Hazrat abbas chun ke abu
sufiyan ko panah de chukay thy isliy Huzoor Aleh Salato Wasalam ny Hazrat abba ki ye baat
qubool karli or farmaya....filhal to abu sufiyan ko ly jayn or apni tehweel
mein rakkhen subah mery dobara hazir hoon. Subah hoi or loog namaz ke liy
bedaar honay lagay to abu Sufiyan Ny pocha ke ye sub kia karny lagay hain?
Hazrat abbas ny batay ke namaz ada
karnay ki tayyari ho rhi Abu sufiyan ny logo ko intehai nazmo zabt se uth kar
wazo kartay huy or namaz ada kartay huy dekha to buhut mutassir hua or kehnay
laga:
Ajeeb itaat ka muzahira hai Muhammad
Aleh Salato Wasalam jis kaam ka hukum detayn hain sub bila chun chara is par
amal karnay lagtay hain itaat ka aisa manzar to meny kisi bary bary shahi
darbar mein nhi dekha.
Huzoor Aleh Salato Wasalam namaz se
farig huy to Hazrat Abbas ny Abu sufiyan or dosray do qaidi app aleh salato wassalam
ke robaro paish kiy Aap Allah Aleh Salato Wasalamny in se pocha .......kia abhi
wo lamha nahi aya ke tum is baat ki gawahi do ke Allah ke siva koi maabood nahi
hai? Sub ny kaha ke hum gawahi detay hain ke Allah wah daho lashareeq hai Abu sufiyan
ny kaha ke kia shak reh gaya hai? Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya ye bhi
gawahi do ke mein Allah ka rasool hoon.. Abu sufiyan ny pora qalma shahadat
parh liya or mushraf ba islam hogya..
Islam laany ke baad Abusufiyan ny
pocha ke Ya Rasool Allah Aleh Salato Wasalam agr quraish aap aleh salato wasalam
ke maqabil na ayn or kisi qisam ki muzahmat na kren to in ko amaan mil jay gi?
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya........han jo shaks muzham na ho us ke liy
amaan hai. Hazrat Abbas ny sargoshi ki Ya Rasool Allah Aleh Salato Wasalam Abu sufiyan
jah pasand admi hai agr is mokay par Aap Alehe Salato Wasalam is ki kuch izzat
afzai farma den to khush hojay ga..daryaiy rehmat joosh mein aya or farmaya jo
shaks Abu sufiyan ke ghr mein dakhil hojay us ke liy bhi amaan hai.
Dosray din huzoor aleh salato wasalm ny makkah mein dakhil hony
ke liy kooch ka irada kiya to Hazrat Abbas se farmaya jis pahari ke smnay se
lashkar guzray ga us par Abu sufiyan ko le kar kharay hojayn ta ke Abu sufiyan
islami lashkar ke jaho jalal or shano shoukat ko apni ankhon sedekh ly Hazrat
Abbas ny aisa hi kiya or bolandi par kharay ho kar Abu sufiyan ko ye azim ul
shan manzar dekhaya. Ye ajeeb roh parwar dilkash nazara tha b uhut bara lashkar
tha mukhtalif qabail ke loog thy har qabeela har qabeela apni numayan alamat ki
wajah se pehchana jata tha.jab ye qabail markazi kaman ke ahkam ke mutabik ek
khaas tarteeb o tanzeem se baad e degar makkah ke liy rawana huy to in ka joosh
o kharoosh qabil deed tha juziya ashar parhtay naray taqbeer buland karaty or
Allah ki hamdo sana ke taranay gatay uy jab ye loog Abu sufiyan ke samnay se
guzray to wo heran reh gaya.
Makkah mein dakhil honay waly pehlay
datay ki qayadat Hazrat ali ny ki in ke haton mein huzoor aleh salato wasalam ka makhsoos parcham lehra
raha tha dosra dasta Hazrat Zubair bin awam ki qayadat mein magrib ki janib se
makkah mein dakhil hua Hazrat saad bin abada ansari mashriq ki taraf se makkah
me dakhil honay waly teesray dastay ki sar barahi karrahay thy chothay dastay
ki qayadat Hazrat khalid bin waleed ny ki jo junoob ny makkah mein makkah mein
dakhil huy.hazrat saad bin abada jab makkay mein dakhil huy to unhon ny be
ikhtiyar y eelaan kiya. Aj ka din hamlay ka din hai or aj hurmat khatam
hogi.Jab ye khabar huzoor aleh salato
wasalam tak pohunchi to Aap Aleh Salato Wasalam ny farmaya:
Saad bin abada ny galat kaha hai aj
ka din kaabah ki azmat ka din hai aj kabaah ko libas prhnany ka din hai, or
saad bin abada ko dastay ki sarbarahi se hata kar in ke bety Hazrat qisar bin
saad ko dastay ki sipa salari ke Faraiz sonp diy.
Is ke baad huzoor aleh salato wasalam ny tamam lashkar ko hukum
diya ke ashad zarorat ke bagair qatan kisi ka khoon nahin bahaya jay jo loog
darwazay band kr ke gharon mein beth jayn.....ya masjid e haram mein dakhil hojayn...........ya
Abu sufiyan ke ghr mein panah lelen...........or smanay na ayn ya samnay ayn or
ghair muslah hoon or kisi qisam ki mazahmat na karen............in sub ke liy
....... Amaan hai.
Huzoor Aleh Salato Wasalamko makkah
mein dakhil hotay waqt kisi qasim ki mazahmat ka samna nahi karna parta albatta
Hazrat khalid bin waleed ko baaz na aqbaat andaish jawanon ny roknay ki koshish
or Hazrat khalid bin waleek ke dastay par teer barsay . Hazrat khalid bin
waleed ny majboor ho kar dafai hamla kiya mushriqeen ke terah admi jaan se hath
dho bethy or baqi loog bhag gay.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny
chunkay khun rezi se mana farmaya tha isliy Hazrat khalid bin waleed ko bula
kar farmaya ke tum ny mery mana ke bawajood itnay admiyon ko kiuu qatal kiya?
Hazrat khalid ny arz kiya........Ya Rasool Allah Aleh Salato Wasalam larai ka
aghaz meny nahi kiya tha mein to tasadum se bachnay ki har mumkin koshish karta
raha magar jab wo loog hathyaar utha kar muqablay par agay to is ke ilawa koi
chara nahi raha ke in ko raastay sy hata diya jay. Chunkay amaan sirf in logo
ke liy thi jo gher musallah hoon isliy huzoor
aleh salato wasalam Hazrat khalid ke isjawab se mutmaen hogay or
farmaya: Allah ka faisla hamesha behtar hota hai..
Makkah mukarramah mein huzoor aleh salato wasalam ke liy ek munasib maqam
par khema nasab kardiya.chun na cha Huzoor Aleh Salato Wasalam makkah mein
dakhil hony ke baad is mein tashreef le gay.thori der aram farmaya phir ghusal
kiya or tayyar ho kar bahar tashreef lay darwazay ke samnay hazaron jan nisar
ba adab or khamosh kharay huzoor aleh
salato wasalam ka intezar karrhy thy Hazrat muhammad ibn e muslima ny khemay ke
bilkul qareeb huzoor aleh salato wasalam
ki makhsos untni bitha rakkhi thi.is par huzoor
aleh salato wasslam sawar hogay Hazrat muhammad ibn e muslima ny muhaar pakri
or suy kabbah chl paray peechy peeechy hazaron afrad ka lehrein leta hua darya
bhi rawan hogya or huzoor aleh salato
wasalam ny in ke hamrah tawaf shuru kiya to sub khushi se az khud rafta hogay
............ Or kiuu na hotay.......?K ye din tha hi be payan musarrat
ka........poray arab ka markazi maqam makkah mukarrama aj ahle islam tassaruf
mein a chuka tha or Allah ke jis ghrk tawaf karnay ke liy inhen mushreeqen Makkah
se ijazat leni parti thi aj is ka tawaf karnay mein rukawat dalna to darkinar,
kisi ko in ki taraf ankh utha kar dekhnay ki jurrat nahin thi lekin is manzil
tak pohunchnay ke liy inhen kai saal tk shab o roz jiddo jehed karni pati thi
tab kahin bartaro bala khuda wanda nyin par itna bara karam kiya tha in ke dil
jazbat e tashukkur se mamoor thy or zaban e Allah ki azmat o kibriyai ka ailan
kar rahi theen:
Allah Hu Akbar , Allah Hu Akbar ,
Allah Hu Akbar , Allah Hu Akbar.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny sath
martaba khana kaabah ka tawaf kiya or khana kabbah ke kaleed bardar usman bin talha
ko hukum diya ke wo kabbah ka darwaza khool de. Is roz panch musalman khana
kabbah mein dakhil huy.
1. Huzoor Aleh Salato Wasalam
2.Hazrat Ali (R.A) (R.Z)
3.Hazrat Usama Bin Zaid
4.Hazrat Bilal
5.Kabbah ke Kaleed Bardar Usman Bin
Talha
Fatah makkah ke waqt khana kabba
mein 360 but rakkhy huy thy huzoor aleh
salato wasalam ny haq aya or batil mit gaya , beshak batil ny mit jana hi tha
(surah bani israel.ayat 81) ka wird kartay huy hath mein pakri hoi lakri se
khana kabbah mein rakkhy huy sub se baray but ki taraf ishara kiya or wo gir
gaya is ke baad huzoor huzoor aleh salato wasalam ke hukum se khana kabbah
se 360 buut nikaal kar bahar phenk diy.
Ahle makkah khoof o hiras ke alam
mein thy in ke dil pareshan thy in ka khayal tha ke musalman in ke sath wahi
slook karen gay jo fateh fauj maghloob awam ke sath karti thi khoon se galiyan
bhar jayn gi aho buka se fiza laraz jay gi loog ghr se be ghr hojayn gay
khawateen be pardah hojayn gi bacchy yateem hojayn gay. Lekin huzoor aleh salato wasalm ny khanay kabbah ke darwazay
par kharay hokar farmaya: ayy makkah ke bashindon tum loog jang ke qanoon se
agah ho or jantay ho ke k ahd e shikni ki saza kia hai ab jab ke tum h umraa y
maghloob ho musalmanon ko ye haq pohunchta hai ke tum sub ko teh teeg kar den
ya apna ghulam bana len lekin aj mein tum se wahi baat keh raha hoon jo Hazrat yusuf
ny apney bhaiyon se kahi thi chun na cha tum loog azad ho.......or tumhari jaan
o maal par koi taaruz nahi hai.. Ay logo Allah Talah ny tamam insanon ko ek
mard or ek aurat se paida kiya hai inhen ek dosray par foqiyat hasil nahi magar
taqwa mein Allah ki nazar mein tamam insan barabar hain lehaza dore ke wo tamam
aizazat jo hasab o nasab or qabeela or mansab ki bila dasti par qaim thy aaj
mansookh kiy jatay hain.
Fatah makkah ke baad huzoor aleh salato wasalam ny apnay or islam ke sakht
dushmanon ke muqablay mein intehai narmi or farakh dili ka muzahira farmaya or
inhen afood bakhshish se nawaza aisy hi logo mein ek shakhs ukrama bin Abu jehel
tha jo musalmanon ke makkah mein dakhil honay se pehly hi jan ke khof se bhag
gaya tha. Ukrama ki biwi huzoor aleh
salato wasalam ke pas aye or apnay shohar ke liy amaan talab ki syedana
huzoor aleh salato wasalm ny ukrama ki
jaan bakhsh di.
Islam ka ek bara dushman ufwan bin
umiya bhi afodar guzarna se behrawar hua. Fatah makkah ke teesray din
huzoor aleh salato wasalam ny kuch
musalmanon ko ye zimmedari sonpi ke makkah ke muzafaat me jayn or jahan bhi
buut nazar ayn inhen taur den inhi logo
Me khalid bin waleed bhi shamil thy
jinhen ye hukum mila ke nukhla ja kar wahan ke butoon ko tor den.
Fatah makkah ke baad huzoor aleh salato wasalam ny logo se bait li. Bait
honay walon mein mard bhi shamil thy or aurtoon bhi ..ek aurat buhut se aurton
ke jhurmat mein naqab urhay huy aye or kehny lagi.
Alhumdulillah , ke Allah ny apnay
pasand dida deen ko ghalba ata farmaya..ya Muhammad
aleh salato wasalam mujhy yaqeen hai ke me bhi Aap Allah Aleh Salato Wasalamki
rehmat se hissa paon gi q ke mein Allah par emaan lany wali or tasdeeq karnay
wali aurat hoon..ye keh kar is ny naqab utha diya or kaha me hunda hoon, utba
ki beti or Abu sufiyan bin harab ki biwi ye wahi hunda hai jis ny Hazrat hamza
ka kaleja chabaya tha. Hunda jab emeen le aye to Rehmatul Lilalameen Aleh Salato
Wassalam ny is ke saray qusoor maaf kardiy or jabeen e anwar par koi shakun lay
baghair nihayat farakh dili se farmaya khush amdeed. Is ke baad huzoor aleh salato wasalam ny hunda or us ke sath ai
hoi aurton ko bait kiya or in se mandarja zeel batoon ka ehad lia is waqt
Hazrat umer huzoor aleh salato wasalam
ki tarjumani karrahy thy chun na cha Hazrat umer ny kaha...allah ke sath kisi
ko shareek nahi karna. Hunda ny kaha......agr Allah ka koi shareek hota to kia
aj h umraa y kaam nahin ata? Hazrat umer ny kaha...... Chori nhi karna hunda ny
kaha.....Ya Rasool Allah Aleh Salato Wasalam mera khawand Abu sufiyan buhut
kanjoos admi hai kia is ke ilm mein lay baghair mein iski aulaad par kharch kar
sakti hoon? Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya “han zarorat ke mutabiq le
Sakti ho.” Hazrat umer ny kaha... Zina nahi karna.hunda ny kaha....kia azaad
aurtoon ny bhi kabhi zina kiya hai? Hazrat umer ny kaha.......apni aulad ko
qatal nahi karna hunda ny kaha.....hum ny to paal poos kar in ko bara kiya
tha,magr ap nay medan e badar mein in ko maar dala.
Ye dil chasp jumla sun kar Hazrat umer
kafi der tak muskuraty rahy. Hazrat umer ny kaha ke huzoor aleh salato wasalam jin achy kamon ka hukum
den in par amal karna or Huzoor Aleh Salato Wasalam ki nafarmani nahi karna hunda
ny kaha....Ya Rasool Allah Aleh Salato Wasalam mery maa baap ap par qubaan hoon
ye kesi umdah or ala ba huzoor aleh
salato wasalam ny hum ko sekhai hain.
Jab makkah fatah hua logo ny jok dar
jok islam qubool karlia. Jab ajay madad Allah ki or fatah naseeb hojay or dekh
lo ay nabi aleh salato wasalam logo ko ke dakhil ho rahy hain wo Allah ke deen
mein foj dar foj to tasbeeh karo apnay rab ki hamd ke sath or bakhshish mango
issy beshak wahi hai tauba qubool karnay wala.
(surat ul nasrah)
Fatah makkah ke mutalliq morkheen ny aitraaf kiya hai tareekh mein aisi misaal nahi milti ke koi fatah khoon bahay baghair hoi ho.qadeem o jadeed duniya ki tareekh mein maftoheen ko is tarhan ki aam mafi kabhi nahi de gai or duniya ki tareekh mein aisi koi misaal nahi milti ke fatah ny aam mafi di ho.
Makka
Mukarrama se janib shumal mashriq choudah pandrah mile ke fasle par aik wadi
hey jo Hunain ke naam se mashoor hey. Baaz jughrafiya dano ne likha hey ke aik
chasme ka naam Hunain tha jis ki waja se ye sari wadi Hunain khelai. Yahan
qabeela hawazan abaad tha.
Is
qabeela ko apni afradi kasrat, apne nojawano ki shujaat o basatat aur fanon
sipa giri khususan teer andazi mein in ki be nazeer maharat ke bais tamam arab
qabail mein aik mumtaaz muqaam hasil tha. Is wadi mein aik jagah ke naam Otaas
tha. Ye wo jagah hey jahan lashkar e Islam se in ki faisla kun jang howi thi.
Seerat ki kitabon mein ye Ghazwah, Ghazwah e Hunain aur Ghazwa e Otaas ke naam
se mashoor hey.
Jab
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Makka ko
fatah kar liya aur qabail Quraish ke aksariyat ne Islam qabool kar liya to
jazeera tul Arab ke beshtar qabail bargah e Risalat s.a.w mein hazir ho kar
Islam qabool karne lage lekin qabeela e Hawazan aur qabeela e Saqeef ka mamla
is ke baraks tha Islam ka ghalba dekh kar qabeela e Hawazan aur qabeela e
Saqeef muztaraf hogaye ke ab in ki bari hey lashkar e Islam ab in par hamla
kare ga aur in ki riyasat aur hukmarani ka khatma hojaye ga.
Qabeela
e Hawazan ke rais Malik Bin Oof ul Nasra ne aur qabeela e Saqeef ke ameer
Kanana Bin Abad Yalail ne is sorat e haal se nipatne ke liye bahemi mashware
kiye. Majlis mashawarat mein dono qabeelon ke ayhal lul raye ko bhi mado kiya
gaya.
Sab ne ittefaq e
raye se ye tey kiya ke agar hum ne koi qadam uthane mein hichkicahat ka
muzahirah kiya to musalmaan hum par hamla kar den ge. Is liye bajaye is ke k wo
pehal Karen hamey fori qadam uthana chahiye aur musalmano par hamla kar dena
chahiye. Chunacha qabeela e Hawazan, aur qabeela e Saqeef ke tamam log in meham
mein shirkat ke liye amadah hogaye. Is Ghazwe mein taqreeban barah hazaar
musalmaan shamil the, jab ke dushman ke tadaad bees hazaar thi.
Malik Bin Oof is
fouj ka qaid tha. Is ki umar tees saal thi wo bohat hi josheela jawan tha. Is
ne tey kiya ke aurton, bacchon aur maveshiyon ko bhi medaan e jang mein le
jayen, ta ke larne walon ke zehan mein rahe ke shikast ki sorat mein hamare ahl
o ayaal aur maveshi bhi dushman ke hath lag jayen ge, is tarha har admi marte
mar jaye ga magar peeche hatne ki nahi soche ga.
Jab tiyariyan
mukammal hogain to Hawazan apne qabeele ke aik zaeef ul umar musheer Dareed Bin
Alsama ko bhi apne sath le gaye.
Medan e jang mein pohnch
kar Dareed ne pocha…… “Ye bacchon, aurton aur janwaron ki mili juli awaazen
kahan se aa rahi hain?”
Malik Bin Oof ne bataya “Ye hamari aurten, bacche aur maveshi hain.” “Hum in ko is liye
sath laye hain ke har larne wala jaan le ke is ki jaan o maal aur izzat o abro
sab kuch dao par laga howa hey.”
“Ye to bohat
ghalat kaam kiya hey tum logon ne!” Dareed ne kaha “Kiyonke jab shikast hoti
hey to bhagne walon ko koi shey nahi rook sakti. Is liye meri baat maano,
aurton aur bacchon ko mehfooz muqamaat par bhej do. Agar tumhe fatah hogai to
khawateen khud hi tum se aa milen gi aur agar shikast hogai to kam az kam
tumhare ahl o ayaal to dushman se mehfooz rahen ge.”
Malik ko Dareed ke
mashware par sakht gussa aya is ne kaha “Me jo faisla kar chukka hon, is par
behar sorat amal karon ga.
6 shawwal 8 hijri
ko Huzoor Aleh Salato Wasalam lashkar ki
qiyadat karte howe Hunain ki taraf rawana howe. Lashkar mein dus hazaar to wohi
khush naseeb the jo Madina se Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke sath aye the aur Fatah e Makka mein shamil howe the. Do
hazaar ke qareeb Makka ke no Muslilm the. ilawah azin jo log abhi tak mushrik
the, in mein se bhi assi afraad shamil the.
Hunain ke qareeb
pohnch kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
dushman ke saaz o samaan aur pilaan wagerah se agahi hasil karne ke liye Hazrat
Abdullah Abi Hadrada Salma r.a ko bheja. Hazrat Abdullah Abi Hadrada Salma r.a
ko kisi ne nahi pehchana aur wo in mein ghul mil gaye. Is tarha inhon ne tamam zarori
malomat hasil kar lien aur wapis akar bataya ke wo log to aurton ke ilawah
hazaron ki tadaad mein maveshi bhi sath laye hain to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya
“Kal Insha.allah
ye tamam cheezen maal e ghanimat ke tor par musalmano ke qabze mein hon gi.”
Dusri taraf Malik
Ibn e Oof ne bhi teen admiyon ko malomat hasil karne ka liye bheja, magar wo
teeno jald hi hanpte kanpte wapis chale aye khof se in ka bura haal tha.
Malik ne in se pocha…… “Tumhe kiya hogaya he?”
Inhon ne kaha
“Hum ne gorey chitte
admiyon ko dekha, jo safaid ghoron par sawaar the. inhen dekh kar khof se hum
par larza tari hogaya. H umraa ye
mashwarah hey ke is jang se baaz ajao Kiyonke hum zameen walon se to lar sakte
hain, lekin asmani makhlooq se larna hamare bas se bahir hey.”
Ye sun kar Malik
ko gussa agaya aur in ko dant te howe bola…. “Tum logon ne ye kiya kahaniyan
shuru kar din hain….!!
Ye sab tumhari
buzdili aur kam himmati ka shakhasana hey.”
Malik ko ye bhi
khatrah tha ke agar ye khabar mashoor hogai to lashkar mein khof phail jaye ga.
Is liye is ne in teeno ko qaid karne ka hukum de diya.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne fajar ke baad apne Sahaba r.a ko sifen durust karne ka hukum farmaya
aur mukhtalif dastoor ke salaron ko parcham taqseem kiye. Muhajireen ka aik
jhanda Hazrat Umar r.a ko dusra Hazrat Ali (r.a) r.a Abi Talib ko teesra Hazrat
Saad r.a Bin Abi Waqas ko marhammat farmaya. Qabeela e Oos ka jhanda Hazrat Asaid
r.a Bin Hazeer ko aur Khazraj ka jhanda Hazrat Khabab r.a Bin Manzar ko ata
farmaya.
Jis din larai honi
thi is se pheli raat Malik Ibn e Oof ne qabeela e Hawazan o qabeela e Saqeef ke
mahir teer andazon ko munasib muqamaat par bitha diya aur kaha ke jab jang
shuru hojaye to tum sab yakbaar hamla kar dena aur teeron ki barish kar dena.
Ibteda mein musalmano
ko khasi kamiyabi howi dushman paspa hone laga. Ye dekh kar musalmano ke hosle
barh gaye. Baaz Sahaba r.a ne musalmano ki kaseer tadaad dekh kar kaha “Aj hum
par kon ghalib a sakta hey……? Lekin Allah Talah ko ye baat passand nahi ayi.
“Aur Hunain ke din,
jab tumhari kasrat ne tumhe gharor mein mubtala kar diya, magar ye kasrat
tumhare kisi kaam na asaki aur zameen bawajood faraagh hone ke tum par tang
hogai. Aur tum bhag gaye.”
(Surah Al
Touba-ayat -25)
Islami lashkar jab
Wadi e Hunain ki tarf pesh qadmi karta howa dushman ki ghatiyon mein pohncha to
ghatiyon mein chupe howe dushman ke teer andazon ne in par teer barsaye. Bano
Saleem ke nojawano ko is ka gumaan bhi nahi tha. In ke qadam is tarha ukhre ke phir
wo apnea p ko sanbhal na sake aur jaan bachane ke liye inhon ne rahe farar
ikhtiyar kar li. In ke peeche Islami lashkar ke sipahi shikast kah kar bhagne
lage. Teer musalsal baras rahe the aur teer andaaz kameen gahon mein chupe howe
aur mehfooz the. Jab dushman nazar hi na a raha ho to….. muqabla kis se kiya
jaye aur kaise kiya jaye?
Magar is afra
tafri aur hangama e mehshar mein bhi Huzoor Aleh Salato Wasalam ghorey par sawaar musalsal
agey barh rahe the aur elaan farma rahe the k
“Me Nabi hon. Is
mein koi jhoot nahi. mein Abdul Muttalib ka beta hon.”
Hazrat Abbas r.a
ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ko yun
taizi se agey barhte dekha to Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke ghorey ki lagaam tham li, Hazrat Abu Sufiyaan r.a Ibn e Hars
(Huzoor Aleh Salato Wasalam ke chacha zad bhai) ne rukaab tham li aur dono mil
kar ghorey ko rokne ki koshish karne lage, Kiyonke teeron ki barsaat mein agey
bharhna khatre se khali nahi tha.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam farma rahe the logo! “Mery paas ao mein Allah Talah ka Rasool hon,
Muhammad Bin Abdullah hon.”
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke aas paas chand jan nisaar the. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne ye dua
farmai:
“Ya Allah! Ap
hi tareef ke laik hain aur ap hi se madad talab ki jati hey. Aap azal se hain
aur hamesha rahen ge. Ya Allah! Ap ne fatah e nusrat ka wada farmaya hey Ya
Allah! mein is ko purey karne ki tamanna rakhta hon.”
Dua ke baad Hazrat
Abbas r.a se farmaya
“Kahan chale gaye
hain sab… zara inhen pukariye!”
Hazrat Abbas r.a
ki awaaz nehayat buland thi. inhon ne puri qowat se pukara
“Aye gurohe Ansar!
Bait karne walo!”
Ye sada sunte hi
har shakhs labaik labaik kehte howe is awaaz ki taraf dora chala gaya.
Is tarha muntashir
lashkar chand lamhon mein phir se munazzim hogaya aur Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hukum par dobarah
dushmano par toot para. Musalmano ke is hamle se pansa palat gaya aur shikast
fatah mein badal gai. Jang e Hunain mein chey hazaar admi giraftaar howe.
Challis hazaar bakriyan ilawah azin chandni aur digar sazo samaan bhi bhari
miqdaar mein musalmano ke qabze mein aya.
Is morka ke dorras nataij mein se aik nateeja ye tha ke dehaton mein rehne wale Arab aur wo qabail arab jo is morka ke akhri anjaam ka intezaar kar rahe the ta ke Islam se muttaliq apne akhri moqaf ka elaan Karen, un sab ne Hawazan ki is battareen shikast ke baad Islam mein dakhil hone ka elaan kar diya aur Taif aur is ke muzafaat mein Islam nehayat taizi ke sath phailne laga aur dekhte hi dekhte pura ilaqa halka e bagosh Islam hogaya.
Rajab 9 hijri ko
Huzoor Aleh Salato Wasalam ghazwah
tabook ke liy rawana huy tabook is rasty par waqiya tha jo is zamany mein madina
munawwarase sham ki taraf jata tha is ghazway ka sabab ye bana ke sham se any
waly tajiroon ny Huzoor Aleh Salato
Wasalam ko itla di ke romiyon ka ek bara lashkar sham mein jama horha hai or wo
loog saltanat e islamiya par hamlah awar hony ka irada rakhtay hain.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ny faisla farmaya ke romiyon ke lashkar ko islami hadood mein dakhil
nahi hony diya jay.
Ye buhut taweeel
safar tha or shadeed garmi ka tha in dinon pora arab qaihait ki lapait mein tha
is liy ahle madina taqreeban tahi dast thy is bina par is ko ghazwat ul usraah
bhi kaha jata hai yani tangdasti wala ghazwah.
Zahir hai ke aisi
be saro samani ke alam mein aaag ki tarhan taptay huy sehraon ko oboor karna
asaan kaam nahai tha munafiqeen sakht ghabray huy thy or ahle emaan ko apna
humnawa banay ke liy kehty phirty thy ke is garmi mein jung nahi karni chaahiy
ALLAH Talah ny farmaya:
Pas agar Allah
Talah aap ko in ki kisi jamat ki taraf lauta kar wapis ly ay phir ye ap se
maidan e jang mein nikalny ki ijazat talab Karen to aap keh dijiy ke tum mery
saath har giz nahi chal saktay or na mery sath tum dushmano se larai kar sakty
ho tum ny pehli martaba beth rehny ko pasand kiya tha pas tum peachy reh janay
walon mein bethy raho.
(suraht ul tauba
ayat 83)
Ye chnkay taweel
tha or mushkil halat mein paish araha tha is liy Huzoor Aleh Salato Wasalam ny wazeh ailan farma diya
tha ke tabook jana hai ta ke har shakhs is faslay ko madde nazar rkh kar
tayyari kare
Is ghazway ke liy
Huzoor Aleh Salato Wasalam ny ahle
sarwat ko tang dastoon ki tayyari ki targeeb de Huzoor Aleh Salato Wasalam ka farman sun kar Hazrat usman
ghr tashreef le gay or ek hazar denar la kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ki khidmat mein paish kardiy
gay.
Jo loog atiya de
rahy thy unhoon ny Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke hamrah jihad ke liy bhi jana tha is liy sub ny is baat ka khayal
rakkha ke atiya deny ke baad kam az kam itna bach jay ke hamari gher mojodgi
mein ghr walon ko fakay na karnay paryn magar Hazrat abu bakar siddique in
sochon se mawra thy or in ka andaz e fikar sub se nirala thha ap ke ghr mein jo
kuch tha sub ka sub utha lay ye dekh kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ny poocha abbu bakar ghr
walon ke liy kiya chora hai?
To inhon ny basad
aitaimad jawab diya….in ke liy Allah or in l Huzoor Aleh Salato Wasalam ko chor ayah hn”
Hazrat usman or
Hazrat abu bakar siddque ke ilawa bhi tamam ahl e kher ny is mehem mein barh
charh kar hissa liya or hasb e istitaat mujahideen ke liy imdad faraham ki
Hazrat umer farooq apna nasf maal le kar aay Hazrat abdur rehman bin aof ek so
aoqiya sona le kar ay musalman aurtoon ny apney zaiwraat paish kar diy kisi
sahaba ny sawari ke liy oont faraham kiy or kisi ny ghoray koi sahib galla ly
aay or kisi ny hathyaar diy.
Shab o roz ki
musalsal jaddo jehed or tayyariyon ke baad akhir kaar tees hazar afrad par
mushtamil azeem lashkar taayyar hogya sanit ul wida ke paas Huzoor Aleh Salato Wasalam ka akhri muaina kiya or
qabail ko ahkamat sadar farmay alqama khizai or in ke walid ko raasta batany ke
liy sath liya pr rajab 9 hijri ko baroz jumeraat tabook ki janib raawana huy
Buhut loog rawangi
ke waqt Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hamar
kaab nahin hoskay or peachy reh gay in mein ziayada tadad to munafiqeen kit hi
jinhon ny mukhtalif qisam ke haily bahanay kar ke sath jany sy muazori zahir
kar di thi Allah ny un ki muazrat ko mustarad kar diya or aisy logo ke baray
mein ayat nazil hoin
Jo loog Allah
Talah or roz akhir par emaan rakhtay hain wo tokabhi Huzoor Aleh Salato Wasalam sy ye darkhowast nahi
Karen gy ke inhen apni jaan o maal ke sath jihad karnay se maaf rakkha jay
Allah mottaqiyon ko khoob janta hai aisi darkhowastain to sirf wahi loog kartay
hain jo Allah or roz e akhir par emaan nahi rakhtay jin ke dilon mein shak hai
ke wo apney shak mein pareshan horahayn hain
(suraht ul tauba
ayat 44 ta 45)
Lekin kuch loog
aisi thy jo baaz majbooriyon ki bina par ssaath to nahi nikal sakay thy magar
baad mein lashkar ke sath ja mily thy Hazrat abu zar ghuffaribhi aisy logo mein
shamil thy
Hazrat abu zar
ghuffari ka oont bemar tha is liy wo bhi sath nahi ja skay or oont ke ilaaj
mualjay masroof rahy khayal tha ke oont sheet yaab hogya to baad mein Huzoor Aleh Salato Wasalam ke sath ja miloon ga chand
din baad oont sheet yaab hogya to phir Hazrat ghuffari ny is par saman lada or
sawar ho kar chal paray magar raastay mein oont phir bemar hogya or chalnay ke qabil
nahi raaha ab mazeed takheer na qabil e bardasht thi is liyinhon ny saman utar
kar apnay kandhoon par rakkha or oont ko wahin chor kar agay barh gay.
Is shadeed garmi
mein itna bhari boojh uttha kar sehra mein tanha safar karna asan kaam nahi tha
magar ishq ka jazba mojzan ho to koi mushkil mushkil maloom nahi hoti taweel
sehra nor di ke baad akhir kaar wo lashkar ke qareeb pohunch gay sahaba karam
ny hairat se kaha
Ya Huzoor Aleh Salato Wasalam ek admi tan tanha piyada
chala arha hai
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ny farmaya is ko abu zar ghuffari hona chahiy
Chand lamhoon baad
sub ny taqeed kardi ke waqai Hazrat abu zar ghuffari hain
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ny farmaya Allah is par rehem karay ye tanha jiy ga tanha maray ga or
tanha uthaya jay ga
Jab abu zar
ghuffari khidmat e akdas mein hazir huy to piyas se behaal thy pani pee kar
hawas bahal huy to apni daastan bayan ki Huzoor Aleh Salato Wasalam ny farmaya abu zar
ghuffari Allah ny tumhary ek qadam ke ewaz tumhara ek gunnah maaf farmaya or ek
darja buland kiya ye misr dah janfara (khushkhabri) sun kar Hazrat abbu zar
ghuffari hasshash basshash hogay
Lashkar islam
Huzoor Aleh Salato Wasalam ki sarbarahi
mein tabook ki taraf jar aha tha ke raastay mein maqam hijar se lashkar ka
guzar hua jahan qoam samood ny apnay makanaat tarash kar banay thy chunk is
maqam par azab e ilahi nazil hochuka tha Huzoor Aleh Salato Wasalam ny hukum dediya tha ke koi
shakhs yahan qayam karay na pani piy.
Safar ke doran aik
dafa pani khatam hogaya aur log piyas ki shiddat aur garmi ki hiddat se be
chain hogaye. Ye dekh kar Hazrat Abu Bakkar Siddique r.a ne arz kiya….. “Ya
Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Allah Talah ne hamesha ap Aleh Salato
Wasalam ki dua se hum par barkaten nazil farmai hain, aj bhi dua farma dijiye.”
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne isi waqt dua ke liye hath utha diye badal ghir aye aur mosla dhaar
barish shuru hogai. Chand hi lamhon mein jal thal hogaya aur khusk nadi naalon
mein pani rawan hogaya. Sahaba Karaam r.a ne
ji bhar kar pani piya aur pani se bartan bhar liye. Aik Sahabi r.a
biyaan karte hain ke barish sirf is hisse mein howi thi jahan lashkar muqeem
tha. Baqi sara sehra bad satoor khusk tha.
Is qadar garam
mausam mein itna taweel safar bazaat e khud aik masla tha, phir samaan khurdo
nosh ki kami ne mazeed masail peda kar rakhe the. khabhi ghilla khatam hojata
tha, khabhi pani, magar qurban jayen in hosla shikan halaat mein bhi in nafoos
e qudsiya ke sabar o sabaat mein koi farq nahi aya. Bal akhir ye karwaane azam
o himmat masaib o mushkilaat ki ghatiyan oboor karne mein kamiyab hogaya aur
manzil e maqsood ke qareeb ja pohncha.
Tabook jane ka
maqsad roamiyon se jahad karna tha, Kiyonke Huzoor Aleh Salato Wasalam ko ittila mili thi ke inhon
ne Islami saltanat par hamla awar hone ke liye aik bara lashkar tiyaar kiya
hey. Magar jab Huzoor Aleh Salato
Wasalam pesh qadmi karte howe khud sarhad par ja pohnche to roamiyon par heybat
cha gai aur in ko samne ane ki jurraat nahi howi.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam Tabook mein pandrah bees din qayaam farmaya. Is doran Huzoor Aleh Salato Wasalam ne ird gird abaad
mukhtalif qabeelon ke sardaron se mulaqaten kien aur sulah ke muhaide kiye. Wo
log Huzoor Aleh Salato Wasalam ke husn e
ikhlaq aura ala zarfi se bohat mutasir howe aur Huzoor Aleh Salato Wasalam ki khidmat mein bohat se
tahaif pesh kiye.
Is Ghazwey mein agarchey
larai to nahi howi magar Huzoor Aleh
Salato Wasalam aur Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke rufka ki shujaat o bahaduri ki har taraf dhaak beth gai aur phir
zindagi bhar kisi ko Huzoor Aleh Salato
Wasalam se muqabla karne ki himmat nahi howi.
Tabook ka safar
musalmano ke liye be had fawaid aur hikmaton ka pesh khema sabit howa.
1.
Ghazwa e Tabook ke mauqa par jab
Rasool Allah Aleh Salato Wasalam ne Sahaba Karaam r.a ko Allah Talah ki rah
mein maal kharach karne ki targheeb di to Sahaba Karaam r.a apni istataat ke mutabiq
maal le kar hazir khidmat hogaye. Is tarha maaldaar logon ko ajar e azeem
jannat ki basharat aur apna maal fi sabeelillah kharch karne ki toufeeq naseeb
howi. Jab ke fuqra aur ghareeb Sahaba Karaam r.a ki dastigiri howi aur yun
lashkar e Islam tareekh e Islam mein pheli martaba itni kaseer tadaad mein jama
howa.
2.
Is mauqe par munafiqeen jo ke bazahir
musalmano ke sath the aur khud ko Huzoor Aleh Salato Wasalam ka saccha jaan nisaar
kehte the. in ka raaz fash hogaya.
“Jab tum in ke paas
lout kar jao ge tumhare samne Allah ki qasmen khayen ge ta ke tum in ko mauf
karo so in ki taraf tawajja na karna ye napaak hain aur jo kaam ye karte rahe
hain in ke badle ka thikana dozakh hey.”
(Surah Al
Touba-ayat -95)
3.
Allah Talah ne kuffaar ke dilon
mein musalmano ka aisa roab aur dabdaba daal diya ke wo musalmano ke sath
muqabla karne ki himmat nahi kar sake aur yun dushman ka tiddi dil lashkar
medan se faraar ho kar roam sehar mein bikhar gaya.
4.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne apne
amal e mubarrak se ye zahir farma diya ke jab Allah Talah ke Deen ko nuqsaan
pohnchane ke koshish ki jaye to sab kaam chor kar Deen e Hanif ki azmat ke liye
dusman ke samne sisa pilai howi dewar ban jana chahiye aur aise waqt qoam ke qaid
ko lashkar ke sath pesh pesh rehna chahiye. Is Ghazwa ke baad Arab ke andar aur
bahir mojood kuffaar ko phir himmat nahi howi ke wo musalmano ke muqable mein ate.
5.
Is Ghazwa mein esai hukmarano mein se
Ayla ka hakim Yohana na sirf jazya dene par razamand hogaya balke is ne maal e
kaseer bhi pesh kiya is ke ilawah jarba aur azrah ke bashindon ne bhi itaat
qabool kar li. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne in logon ko aik amaan nama likhwa kar diya.
6. Mazkorah halaat ko dekh kar jazeerah numa arab ke andar aur bahir jo qabail abhi tak is umeed par zindah the ke musalmaan go pura arab fatah kar chuke hain magar roami wo taqat hey jo musalmano ko shikast de den ge. Wo log roamiyon ke aala kar bane howe the. ghazwa e Tabook mein roamiyon ke bhag jane se achi tarha samajh chuke the ke ab musalmano ki azeem rohani aur ijtemai qowwat ko koi nahi rok sakta. Is liye inhon ne purane doston par aitmaad karna chor diya aur musalmano ke himaiti ban gaye. Is tarha musalmano ke sarhaden wasi hogayen.
Hijrat ke baad dus
saal mein peghambar e Islam Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne jazeera tul arab mein rozana 822 murabba kilo meter pesh
qadmi farmai hey. Islam ke aghaz mein musalmaan itne tehi dast aur ghareeb the
ke pheli teen jangon mein wo sipahiyon ke paas aik oonth tha. Jang e Badar mein
musalmano ki tadaad teen do teerah thi aur in ke paas sirf do ghorey the. lekin
baad mein musalmaan itne taqatwar hogaye ke Jang e Hunain mein in ke paas aik
hazaar ghorey the aur Jang e Tabook mein Islami lashkar ke paas dus hazaar
ghorey the.
……Pheli larai mein
musalmano ke paas chand afraad the. ye larai nakhla ke muqaam par howi.
….. dusri larai
mein musalmano ki tadaad teen so terah thi.
….. Jang e Uhad
mein saat so musalmaan the.
…. Jang Tabook
mein musalmano ke paas tees hazaar sipahi the.
Baaz jangon mein musalmano
ka nuqsaan bohat kam howa aur baaz mein inhen bhari nuqsaan uthana para.
9 hijri mein
Huzoor Aleh Salato Wasalam bimaar hogaye
aur Madine mein qayaam pazeer rahe. Is saal Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne safeeron aur ane wale
qabail ke numaindon se mulaqat farmai. Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam pure jazeera tul arab ke mazhabi,
siyasi aur askari peshwa the.
Tareekh shahid hey
ke hijrat ke duswen saal Syedena Huzoor Aleh
Salato Wasalam choudah hazaar musalmano ke sath Hajj ke liye Makka Mukarrama
tashreef le gaye.
Is hajj ko mukhtalif
namo se mosoom kiya jata hey. Hujja tul wida, hujja tul tamam, hujja tul
balagha aur hujja tul islam.
Hijrat ke duswen
saal elaan kiya gaya ke is saal hajjaj karaam ka jo qafla fariza e Hajj ada
karne ke liye Makka jaye ga is qafla ke salaar e rehmatulil alameen, mehboob
Rab ul alameen Huzoor Aleh Salato
Wasalam khud hon ge. Jaise jaise Hajj ka mahina qareeb a raha tha, qafile
Madina pohnchne lage. Zil qad ki pacchees tareeekh thi, hafta ka din tha.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Abu
Dajana r.a ko Madina mein apna naib muqarrar farmaya, azwaaj e mutahhiraat r.a
ko is safar mein hum rakabi ka sharf hasil howa.
Jab Zul Halifa ke muqaam
par pohnche to sab ko qayam karne ka hukum mila. Zul Halifa aik chashme ka naam
hey jo Madina se panch ya chey mile ke fasley par hey. Zuhar ki namaz se phele
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne ehraam ke liye
ghusal farmaya, sar mubarrak mein tail lagaya, kanghi ki aur khusbu lagai, phir
ehraam ki bandha aur do rakat namaz ada ki, phir talbiya farmai.
Talbiya ke kalmaat
ye hain:
Labbaik allahuma
labbaik
Hazir hon mein Aye
Allah Tala, hazir hon
Labbaik Lashareeka
laka labbaik
Hazir hon me, ap
ka koi shareek nahi mein ap ke darbaar mein hazir hon
Innal hamda walnamata
Sari tareefen ap ke liye aur sari naimaten ap ne ata farmai hain
Laka walmalaka
lashareeka laka
Ap sare mulkon ke badshah
hain, ap ka koi shareek nahi
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne Sahaba Karaam r.a ke sath ye safar jari rakha aur ye qafla is waqt
Makka Mukarrama ke qareeb pohncha jab suraj ghuroob ho raha tha. Yahan aik
chota sa gaon tha jis ka naam Zo Tawa tha. Raat Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is gaon mein qayam
farmaya. Ta ke raat bhar araam karne se safar ki thakawat daur hojaye aur jab
Allah Talah ke ghar ki ziyarat ke liye Makka mein dakhil hon to taza dum ho kar
agey barhen. Fajar ki namaz Zu Tawa mein ada ki phir Makka ki taraf rawana
howe. Is safar ko tey karne ke liye musalmano ne aath raat din raaste mein guzarien.
Zul Hajj ki char
tareekh ko Huzoor Aleh Salato Wasalam Makka
Mukarrama mein dakhil howe. Ahle Makka be taabi se Huzoor Aleh Salato Wasalam ke muntazir the. Aur Bani
Hashim ke masoom bacche Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke istaqbal ke liye kharey the. Huzoor Aleh Salato Wasalam par nazar pari to sab ke chehrey
damak utthe. Khususan bacchon ki khushi aur musarrat to dekhne ke qabil thi.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne in ki
khushiyon aur musarraton ko dobala kar diya bacchon ko piyar kiya. Kisi bacche
ko sawari par apne sath bith liya. Kisi se hath milaya aur duain dien.
Baab Bani Sheeba
ki janib se Huzoor Aleh Salato Wasalam haram
mein tashreef laye.
Jab Kaba par nazar
pari to in alfaz mein bargah e Rab ul Izzat mein iltija ki:
“Aye Allah! Apne
ghar ke sharf ko, is ki azmat ko, is ki izzat ko aur ziyadah barha.”
Aik aur riwayat
mein yun marvi hey ke Huzoor Aleh Salato
Wasalam jab Kaba shareef ki ziyarat karte to in alfaaz mein iltija karte:
“Aye Allah! Ap hi
salaam hain. Ap hi mein salamti hey. Aye hamare Rab! Hamey salamti se
zindah rakh. Aye
Allah! Is ghar ke sharf aur izzat aur takreem aur roub mein izafa farma.” Phir
Hijr e Aswad ko bosa diya aur tawaaf kiya. Tawaaf se farigh hone ke baad muqaam
e Ibrahim par tashreef laye, do rakat nafal ada ki aur ye ayat tilawat farmai:
“Muqaam e Ibrahim ko musallaa bana lo.”
(Surah Al Bakra-Ayat-125)
Tawaaf se farigh hone ke baad Sifa o Marwah ki taraf tashreef le gaye aur
ye ayat tilawat farmai:
“Be shak Sifa o
Marwah Allah ki nishaniyon mein se hain. Pas jo Hajj kare is ghar ka ya umrah
kare to harj nahi isy ke chakkar lagaye in dono ke darmiyan aur jo koi khushi
se naiki kare to Allah Talah bara Qadardaan aur khoob janne wala hey.”
(Surah Al
Bakra-Ayat-158)
Saat chakkar purey
karne ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam
ne ehraam nahi khola. Kyn q Huzoor Aleh
Salato Wasalam apne hamrah qurbani ke janwar laye the. Aath Zul Hajj tak Huzoor
Aleh Salato Wasalam Makka Mukarrama mein
tashreef farma rahe. Aath tareekh ko Makka se Manaa
tashreef le aye.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne namaz e Zuhar aur Asar, Maghrib aur Esha
Manaa mein ada kien aur raat ko wahan qayam kiya.
Suraj tulo hone ke
baad 9 Zul Hajj ko wahan se arafaat tashreef le gaye. Masjid e Nimrah ke paas
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke liye aik
khema nasb kiya gaya tha. Ye jagah medaan e arafaat ke mashriqi janib hey. 9
Zul Hajj san 10 hijri ko jab suraj dhal gaya to Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam apni oonthni Qaswaa par
sawaar ho kar Wadi e Nimrah mein “Hablur Rehmat” par jalwah afroz howe.
Khutba Hujjatul
Wida Islam ka asasi dastoor aur buniyadi usool ki hesiyat ka hamil hey. Syedena
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Khutba
Hujjatul Wida wafaat se taqreeban assi rooz qabal farmaya:
“Logo! Meri baaten ghor se suno!
Kiyonke shayad is
saal ke baad is muqaam par mein tum logon se na mil sakon.
Aye logon! Allah
Talah farmate hain. Hum ne tumhe aik mard aur aik aurat se peda kiya hey aur
tumhare khandaan aur qabeele is liye hain ke tum aik dusre ko pehchan sako.
Bila shuba Allah Talah ke nazdeek tum mein izzat daar wo hey jo sab se ziyadah
muttaqi hey. Isi liye kisi arbi ko ajmi par aur kisi ajmi ko arbi par koi
fazilat nahi, isi tarha kale ko gorey par aur gorey ko kale par koi fazilat
nahi.
Aye logo!
Aisa na ho ke qayamat
mein tum duniya ka bojh samait kar apni garden par rakhe howe aao aur dusre log
akhrat ka samaan layen. Agar aisa kiya to mein tumhe Allah Talah ke azaab se
nahi bacha sakon ga.
Aye logon!.......
Aj ka din aur is mahine kit um jis tarha hurmat karte ho is tarha aik dusre ka
na haq khoon karna aur kisi ka maal lena tum par haraam hey. Khoob yaad rakho
ke tumhe Allah Talah ke Huzoor hazir
hona hey aur wo tumhare sab kaamo ka hisaab len ge.
Aye logon!......
Jis tarha tumhare huqooq aurton par hain isi tarha tum par tumhari aurton ke huqooq
hain. In ke sath narmi aur muhabbat se pesh ana.
Yaad rakho!
Allah Talah ke naam
ke sath wo aurten tum par halal howien aur Allah Talah ke hokum se in par tum
ne tasarruf kiya hey. Pas in ke huqooq ki riayat mein Allah Talah se darte
rehna.
Ghulamo se acha
bartao karna. Jaisa tum khate ho waisa in ko khilana. Jaise tum kapre
pehante ho waise hi in ko kapre pehnana. Agar in se koi khata ho jaye aur tum
mauf na kar sako to in ko juda kar dena Kiyonke wo bhi Allah ke bande hain. In
ke sath sakht bartao nahi karna.
Logon! Meri baat ghor se suno!
Khoob samjho aur agah hojao!
Jitney kalma go
hain sab aik dusre ke bhai hain. Sab musalmaan akhowat ke silsile mein dakhil
hogaye hain. Tumhare bhai ki cheez tum par is waqt tak jaiz nahi jab tak wo
tumhe khushi se na de.
Khabar
daar!.......... Zamana e jahalat ki tamam rasmen merey qadmon ke neeche kuchal
di gai hain. Zamana e jahalat ke tamam khoon mauf hain.
Khabar daar!......
na insaafi ko paas na ane dena. mein ne tumhare liye aik aisi cheez chouri hey
ke agar tum is ko mazboot pakre raho ge aur is par amal karo ge to khabhi
gumrah na ho ge. Wo cheez Allah ki kitaab hey. Merey baad koi nabi nahi aur
tumhare baad koi nayi ummat nahi.
Khabar daar!.....
Apne Rab ki ibadat karte raho, Salaat qaim karo. Mah e Ramzaan ke roze rakho.
Apne amwaal ki khush dili se zakaat ada karte raho. Apne Rab ke ghar (Bait
ullah) ka tawaaf karo.
Mazhab mein ghulu
aur mubalghe se bacho, Kiyonke tum se pheli qoamen isi amal se barbaad ho chuki
hain.
Khabar daar!.....
Mery baad gumrah na ho jana aur aik dusre ko qatal na karna. Tumhen Allah Talah
ke samne hazir hona parey ga.
Agar koi habshi
ghulaam tumhara ameer ho aur wo tumhe Allah ki Kitaab ke mutalliq chalaye to is
ki attaat karo.
Aye logon!
Amal mein ikhlaas,
musalmano ki khair khuwahi aur jamaat mein ittefaaq ki ye baaten seeney ko saaf
rakhti hain.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam 9 Zul Hajj ko zawaal e aftaab se le kar ghurob e aftaab tak apni ummat
ke liye aur bani noo insaan ke liye apne Raheem o Kareem Rab ki bargah mein intehai
Ajaz o Niyaz se dua farmate rahe. Yahan tak ke suraj ghuroob hogaya, tareeki
phail gai to Huzoor Aleh Salato Wasalam mazdulfa
ki taraf tashreef le gaye. Hazrat Usama r.a Bin Zaid ko apni oonthni par apne
peeche sawaar kiya.
Jab subah sadiq
tulo howi to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
namaz ada ki.
Phir Hazrat Fazal
r.a Bin Abbas ko apne peeche oonthni par sawaar kiya. Huzoor Aleh Salato Wasalam batan mehsar se guzre to
inhon ne oonthni ki raftaar taiz kar di.
“Ye wo wadi hey jahan
Abraha ke hathiyon ke lashkar par Allah Talah ne Aba Bail ka lashkar bhej kar
tabah o barbaad kiya tha.”
Huzoor Aleh Salato
Wasalam Manaa pohnche. Sab se phele Jamarta Aqba
tashreef le gaye. Huzoor
Aleh Salato Wasalam ne oonthni par bethe
howe kankariyan marine.
Phir wahan se
wapis Manaa tashreef le gaye aur hazireen ko apne dusre Khutbe se musharraf
farmaya. Sarwar e Aalam Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne phele Allah Talah ki Hamd o Sana biyaan ki aur is ke baad ye
Khutba irshad farmaya:
“Jis roz Allah
Talah ne Asmaan aur Zameen ko peda kiya, saal ko barah mahino mein taqseem
kiya. In mein se chaar mahine hurmat wale hain (Zin Qad, Zul Hajj, Muharram aur
Rajab) in mahino mein jang o jaddaal jaiz nahi.
Aye logon!......
Aj ka din aur is mahine kit um jis tarha hurmat karte hon is tarha aik dusre ka
na haq khoon karna aur kisi ka maal lena tum par haraam hey. Khoob yaad rakho
ke tumhe Allah Talah ke Huzoor hazir
hona hey. Aur wo tumhare sab kaamon ka hisaab len ge.
Khabardaar!....
Mery baad gumrah na hojana aur aik dusre ko qatal na karna. Tumhe Allah Talah ke samne hazir hona pare ga.
Khabardaar!..... Jo hazir hain wo ye kalaam in logon tak pohncha den jo
yahan nahi hain khuwah wo is waqt mojood hain ya aindah peda honge Kiyonke bohat
se wo log jin ko mera ye peghaam pohnche ga sunane walon se ziyadah is ki
hifazat Karen ge.”
“Allah Talah is
shakhs par reham kare jis ne meri baat ko suna aur dusron tak pohnchaya.”
Aye logon!.... Tum
se mere mutalliq sawaal kiya jaye ga to tum kiya kaho ge?”
Logon ne arz kiya
“Hum gawahi den ge ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Allah Talah ka peghaam
hamey pohncha diya hey aur apna farz pura kar diya hey.”
To Huzoor Aleh Salato Wasalam ne shahadat ki ungli
asmaan ki taraf uthai aur farmaya.
“Ya Allah tu gawah hey…….”
Is ke sath hi Deen
mukammal hogaya aur Jibrail e Ameen ye musdah janfiza le kar nazil howe.
“Aj mein ne
tumhare liye tumhara Deen mukammal kar diya hey aur tum par apni naimat puri
kar di hey aur tumhare liye Islam ko batoor e Deen pasand kar liya hey.”
(Surah Al Maidah-Ayat-3)
Khutba se farigh
hone ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam Manaa
ke is muqaam par pohnche jahan janwar zibbah kiye jate hain. Huzoor Aleh Salato Wasalam qurbani ke liye soo onth
apne hamrah laye the. In mein se taresat onth Sarkar e Do Aalam Huzoor Aleh Salato Wasalam ne apne daste mubarrak se
zibbah kiye. Baqiya santees onth Hazrat Ali (r.a) Murtuza r.a ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hokum ki tameel mein zibbah
kiye.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne hokum diya ke onton ka gosht, khaal aur samaan ghareebon mein taqseem
kar diya jaye aur hokum diya ke qurbani ka gosht ujrat mein na diya jaye.
Qurbani se farigh
ho kar Huzoor Aleh Salato Wasalam ne sar
e anwar se baal utar waye baal utaarne ke saadat Hazrat Mummar Bin Abdullah r.a
ko hasil howi.
Halk ke baad
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne nakhun
katwaye aur khushbo lagai, phir dua farmai.
Zuhar se phele
Huzoor Aleh Salato Wasalam Khane Kaba
tashreef le gaye. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne tawaaf e izafa kiya. Phir Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Aab e Zam Zam nosh
farmaya.
Tawaaf e izafa se
farigh hone ke baad Huzoor Aleh Salato
Wasalam Manaa tashreef le aye aur wahan namaz e Zuhar ada ki.
Giyarah Zul Hajj
ko Huzoor Aleh Salato Wasalam onthni par
sawaar ho kar Aqba tashreef le gaye. Is waqt Rehmatulil Aalameen Huzoor Aleh Salato Wasalam ne aik faseeh o baleegh
Khutba irshad farmaya.
Khutba se farigh
hone ke baad Rehmat e Aalam Huzoor Aleh
Salato Wasalam apni qayam gah ki taraf tashreef le gaye. Zuhar aur Asar ki
namaz Abta mein ada kien. Kuch dair araam farmane ke baad Huzoor Aleh Salato Wasalam bedaar howe aur Makka
Mukarrama ja kar sehri ke waqt tawaaf e alwida kiya. Is tawaaf mein ramal nahi
tha. Huzoor Aleh Salato Wasalam ke hamrah
jitne Sahaba Karaam r.a the in sab ne namaz e fajar se phele tawaaf e alwida
kiya.
Wapsi ke waqy Saad
r.a Bin Abi Waqas ki ayadat ke liye tashreef le gaye. In ki hosla afzai ki aur Madina Tayyaba rawana hogaye.
Jab Zul Halifa ke muqaam
par pohnche wahan raat basar ki. Fajar ki namaz Wadi ke nashaib mein ada ki.
namaz ke baad phir Madina ki taraf rawana howe. Jab Madina nazar aya to teen
baar Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
Takbeer kahi aur farmaya:
“Koi ibadat ke laik
nahi bajaz Allah ke jo yakta he, is ka koi shareek nahi, sari badshahi is ki
he, sab tareefen is ke liye hain aur wo har cheez par puri qudrat rakhta hey.
Hum mur kar ane wale hain, hum lout kar ane wale hain, hum ibadat karne wale
hain, hum sajde karne wale hain, hum apne Rab ki Hamd karne wale hain, Allah
Talah ne apne wadah ko saccha kar dikhaya, apne bande ki madad ki aur kuffaar
ke lashkaron ko akele shikast di.”
YA ALLAH! RAFEEQ E ALAA SE MILA DE
Purey 23 baras ke Wahi o Nabowat ke baad Deen e Ilahi mukammal hogaya aur
tamam paak musarraton ka raasta khul gaya aisi alamaat zahir hona shuru hogayin
jin se maloom hota tha ke Huzoor Aleh
Salato Wasalam is faani duniya se tasfreef le jane wale hain.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Ramzaan 10 hijri mein bees din aitkaaf
farmaya aur Hazrat Jibrail Aleh salaam ne Huzoor Aleh Salato Wasalam ko is saal do martaba
Quran e Kareem ka wird karaya. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne Kutba Hujjatul Wida mein farmaya:
“Shayad mein is
saal ke baad is muqaam par tum logon se nahi mil sakon……?”
Jamrata Aqba ke paas
farmaya:
“Mujh se tum apne
amaal seekh lo Kiyonke mein is saal ke baad ghaliban Hajj nahi kara sakon ga.”
Aik rooz
Rehmatulil Aalameen Huzoor Aleh Salato
Wasalam Uhad ke muqaam par tashreef le gaye. Kafi dair tak in shuhada ke liye
Allah Talah ki bargah mein dua karte rahe. Is ke baad Masjid e Nabwi mein tashreef
le gaye aur aik Khutba irshad farmaya:
“Me tumhara pesh
ro hon yani tum se agey jane wala hon aur mein tum par gawahi don ga. Tumhari
aur meri mulaqaat Houz e Kouser par hogi aur mein Houz e Kouser ko dekh raha
hon, mujhe zameen ke khazano ki kunjiyan di gai hain aur mujhe tumhare barey
mein ye andesha nahi hey ke tum merey baad shirk karo ge lekin mujhe ye khouf
zaror hey ke tum duniya hasil karne mein aik dusre se sabqat le jana chaho ge
aur halaak hojao ge. Jis tarha se tum se pheli qoamen halaak howi thien.”
(Sahi Bukhari-Jild
Doum-Hadees 585)
Marz se phele jis
tarha khud Huzoor Aleh Salato Wasalam ko
apne wisaal ka ilm hogaya tha, isi tarha baaz Sahaba r.a ko bhi khuwaaon ke zariye
pata chal gaya tha. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke chacha Hazrat Abbas r.a farmate hain:
“Me ne aik raat
khuwaab dekha ke zameen mazboot rasson se bandhi asmaan ki taraf khinchi chali
ja rahi hey.”
Me ye ye khuwaab
Huzoor Aleh Salato Wasalam se biyaan
kiya to farmaya:
“Ye ap r.a ke bhatije
ki mout hey.”
(Khasail)
Hazrat Ayesha
Siddiqua r.a ne khuwaab dekha ap r.a farmati hain
“Me ne dekha ke merey
hujre mein teen chand utar aye hain. mein foran apne walid Abu Bakar r.a ke paas
gai aur khuwaab biyaan kiya. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ke wisaal ke baad Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne farmaya “Ye
tera sab se acha chand tha.”
(Ibn e Saad)
Phir khud Hazrat Abu
Bakar Siddique r.a aur Hazrat Umar Farooq r.a dafan howe is tarha Islam ke teen
chand Ayesha r.a ke hujre mein taban hogaye aur in ke khuwaab ki tabeer puri
howi.
28 Safar ko adhi
raat guzarne ke baad Huzoor Aleh Salato
Wasalam Baqi tashreef le gaye aur ahle Baqi ke liye dua e maghfirat farmai:
“Aye qabron mein rehne
walo! Tum par salaam. Log jis haal mein hain is ke muqable mein tumhe wo haal
mubarrak ho jis mein tum ho. Tareekh raat ki tarha fitne aik ke peeche aik
chale a rahe hain aur baad wala phele se ziyadah bura hey.”
Is ke baad ahle
quboor se farmaya “Hum bhi tum se milne a rahe hain.”
Jannat ul Baqi se
wapsi ke baad agle roz subah se sar mein dard shuru howa. Hararat barh gai jo
sar par bandhi howi patti ke uppar se mehsos ho rahi thi. Allah Talah ke mehboob
Huzoor Aleh Salato Wasalam 13 ya 14 din
aleel rahe. Rooz ba rooz tabiyat na saaz ho rahi thi.
Azwaaj e
mutahiraat r.a ki ijazat se Huzoor Aleh
Salato Wasalam Hazrat Ayesha r.a ke ghar mein muntaqil hogaye aur wisaal tak
Hazrat Ayesha r.a ke ghar mein hi qayam farmaya.
Ansaar se in ke ikhlaas,
muhabbat, paak dili aur fidaiyat ki waja se Huzoor Aleh Salato Wasalam ko be had muhabbat thi. Ye
muhabbat hamesha barhti hi rahi.
Doran e marz bhi
bar bar in ka zikar e khair farmate the. Chunacha aik din bahir tashreef laye
to darwaze par Ansaari mardon, aurton aur bacchon ka hojoom dekha. Ye Huzoor Aleh Salato Wasalam ki bimari se sakht
maztarab the. Huzoor Aleh Salato Wasalam
in ke masoom aur udaas chehrey dekh kar be chain hogaye aur farmaya:
“ Qasam hey is
zaat ki, jis ke hath mein meri jaan he, aye Ansaar! mein tum se bari hi
muhabbat karta hon.”
Phir musalmano ki
taraf mukhatib howe aur farmaya:
“Ansaariyon ne to
wo sab pura kar diya jo in ke zimme tha, lekin tumhare zimme in ke tamam huqooq
baqi hain. Dekho in ke naikon se naiki karna aur baron se darguzar
karna.”
Aik mauqe par Ansaar Huzoor Aleh
Salato Wasalam ki bimaari ka haal sun kar Masjid mein joq dar joq jama hogaye
aur kisi ne akar khabar di ke Ansaar Masjid mein jama hain aur ro rahe hain.
Farmaya….. “Kyn
roote hain?”
Bataya gaya…… “Huzoor
Aleh Salato Wasalam ki wafaat se khaif hain.”
Isi asna mein
Hazrat Abbas r.a agaye aur arz kiya:
“Masjid mein Ansaar
jama hain.”
Phir Hazrat Fazal
r.a Ibn e Abbas yehi khabar laye. Phir Hazrat Ali (r.a) r.a ne bhi akar yehi
kaha. Is par Huzoor Aleh Salato Wasalam be
chain hogaye. Sar mein dard bohat tha. Naqahat itni thi ke kharey nahi ho sakte
the. Magar utthe aur Hazrat Ali (r.a) r.a aur Hazrat Fazal r.a ke sahare se
Masjid tashreef le gaye. Musalmano ne apne
Nabi Aleh Salato Wasalam ko dekha to daur pare. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hamd o Sana ke baad
Khutba diya:
“Logon! Mujhe
maloom howa hey ke tum apne Nabi ki wafaat se bohat khaif ho. Lekin kiya mujh
se phele koi Nabi apni ummat mein hamesha zindah raha hey ke mein tum mein hamesha
jeeta rahon? Logon, suno! mein apne Rab se jald mil jane wala hon aur tum sab
bhi is ke paas pohnchne wale ho. mein tumhe muhajireen awwaleen se ache bartao
ki wasiyat karta hon. Khud muhajireen ko meri wasiyat ye hey ke apas mein naik
salook karte rahen. Kiyonke Allah Talah fermata hey.
“Qasam hey zamana
ki, insaan khasarey mein hey bajaz in ke jo emaan laye, naik kaam kiye aur
baham haq o sabar ki wasiyat ki.”
(Surah Al Asar)
“Aye logon! mein tumhe Ansaar se meharbani ki wasiyat karta hon. Ye wohi hain jot
um se phele emaan laye hain. Kiya inhon ne apne
rizq mein se tumhe hissa nahi diya? Kiya inhon ne tumhe apni adhi roozi bant
nahi di? Kiya inhon ne apne gharon mein tumhare liye jagah nahi nikali? Kiya
inhon ne khud takleef nahi jheeli aur apne uppar tumhe tarjee de kar araam nahi
pohnchaya?
Pas suno! Jis ki do admiyon par bhi hukumat ka koi ikhtiyaar hasil ho, isy
chahiye ke in ke naikon ki naiki qabool kare aur in ke baron se darguzar kare.
Khabardaar in ke muqable mein khud gharzi na karna. Suno! mein tumhare agey
pesh khema hon aur tum mere peeche ane wale ho. Tum se mulaqaat ka wada Houz
par hey.”
“Suno! Tum mein se jo chahta hey ke kal Houz par mujh se a mile to isy
chahiye ke apni zubaan aur hath rokey aur inhi kaamon mein inhen istemaal kare
jin mein istemaal karna munasib hey.”
“Aye logon! Gunah naimaton ko badal daalte hain aur qismaton ko palat dete
hain. Agar log naik rahen ge to apne hukkaam ko bhi naik payen ge, agar bigar
jayen ge to hukkaam bhi in se badi Karen ge.”
(Almawahib)
“Huzoor Aleh Salato Wasalam marz ki shiddat ke bawajood wafaat se chaar din
phele (Jumeraat) tak tamam namazen khud hi parhaya karte the. Is rooz bhi
maghrib ki namaz Huzoor Aleh Salato
Wasalam hi ne parhai aur is mein Surah Al Mursalaat Arfa parhi.”
(Sahi Bukhari, An
Umul Fazal, Baab Marzul Nabi s.a.w-Hadees 637)
Lekin Esha ke waqt
marz ki shiddat mein is qadar izafa hogaya ke Masjid mein jane ki taqat nahi
rahi.
Hazrat Ayesha r.a
farmati hain ke Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne dariyaaft farmaya ke kiya logon ne namaz qaim kar li?
Arz kiya: “Abhi
nahi Ya Rasool Allah Aleh Salato wassalaam, sab ap ka intezaar kar rahe hain.”
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya: “Mery liye lagan mein pani rakho.” Hum ne aisa hi kiya.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ne ghusal
farmaya aur is ke baad uthna chaha lekin Huzoor Aleh Salato Wasalam nidhaal hogaye.
Bal akhir Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat Abu Bakar
Siddique r.a ko peghaam diya ke logon ko namaz parhayen.
(Mashkota-Jild
awwal-Hadees 102)
Hazrat Ayesha r.a
farmati hain:
Me ne arz kiya…
“Ya Rasool Allah Aleh Salato wassalaam! Abu Bakar r.a rafeeq ul qalb aur
kamzoor awaaz ke admi hain.
Quran parhte hain
to girya taari hojata hey.”
Magar Huzoor Aleh Salato Wasalam ne is par koi tawajja nahi
di aur dubarah farmaya:
“Abu Bakar se
kaho, namaz parhayen.”
(Siya un Nabi Jild
Charam)
Chunacha Hazrat Abu
Bakar r.a imamat ke liye kharey hogaye. Magar jab qarraat shuru ki, girya in
par ghalib agaya aur zaar o kataar rone lage. Yehi haal muqtadiyon ka howa.
Hichki bandh gai, Kiyonke wo aj mehraab ko apne Nabi s.a.w se khali dekh rahe
the.
(Ibn e Saad)
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki hayaat e mubarrak s.a.w mein Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ki parhai
howi namazon ki tadaad satrah hey.
Aik rooz Huzoor Aleh Salato Wasalam ne apni tabiyat mein qadre
behtari mehsos ki, chunacha do Sahaba Karaam r.a ke hamrah Zuhar ki namaz ke liye
tashreef laye. Is waqt Hazrat Abu Bakar Siddique r.a namaz parha rahe the wo
Huzoor Aleh Salato Wasalam ki tashreef
aawri par peeche hatne lage. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne irshad farmaya ke peeche nahi hatten, balke mujhe in ke barabar
mein bitha do. Chunacha Huzoor Aleh
Salato Wasalam ko Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ke barabar mein bitha diya
gaya. Is ke baad Hazrat Abu Bakar Siddique r.a Huzoor Aleh Salato Wasalam ki namaz ki iqteda kar
rahe the aur Sahaba Karaam r.a ko Takbeer suna rahe the.
(Sahi Bukhari-Jild
awwal-Hadees 98,99)
Huzoor Aleh Salato
Wasalam marz ki shiddat aur sakht naqahat ke aalam mein aik din Hazrat Fazal
r.a Ibn e Abbas r.a ke sath masjid mein tashreef laye aur musalmano ko jama kar
ke khutba diya. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne farmaya
“Ab tum se meri
judai nazdeek a pohnchi hey. mein bhi aik admi hon, jis admi ko koi takleef
pohnchi ho, wo aye aur badla le le, jis kisi ke jisam ko mujh se koi takleef
pohnchi ho to ye mera jisam mojood he, aye aur qasaas le le, jis kisi ke maal
ko mujh se kuch nuqsaan pohncha ho to wo le le. Khoob achi tarha samajh lo, tum
mein mera sab se ziyadah khair khuwah wo he, jis ka is qasam ka koi haq mujh
par ho aur wo mujh se wasool kar le, ya mauf kar de. Ta ke tamam mutalbon se
azaad ho kar mein apne parwardigaar ke Huzoor mein pohnchon.
Dekho! Koi ye
khayal na kare k….. “Me Rasool Allah Aleh Salato
Wasalam ke bughaz o adawat se darta hon”……
Ye dono baaten ne mera mizaaj hain aur na meri adat mein shamil. Jo shakhs
kisi baat mein bhi apne nafs se maghloob hogaya, wo bhi aye aur mujh se madad
mange, ta ke mein is ke haq mein dua kar don.
Marz ul mout mein aik
din Huzoor Aleh Salato Wasalam ne Hazrat
Abu zar ghaffari r.a ko yaad farmaya, wo aye to Huzoor Aleh Salato Wasalam so rahe the. Wo jhuk kar
Huzoor Aleh Salato Wasalam ko dekhne
lage to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
chasme mubarrak khol dien aur inhen seene se laga liya.
Hazrat Ayesha r.a farmati hain:
“Huzoor Aleh
Salato Wasalam jab bimar hote the to Surah Falak aur Surah Naas ki suraten parh
kar dast e mubarrak par ponk marte phir dast e mubarrak apne sare jisam par
phairte the. Huzoor Aleh Salato Wasalam ki
akhri alalat mein ye ayaten par kar, mein Huzoor Aleh Salato Wasalam ko dum karti aur Huzoor Aleh Salato Wasalam ka dast e mubarrak pakar
kar in ke jisam par phairti thi.”
Bukhar mein shiddat
agai to Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
farmaya:
“Mukhtalif kuwon
ka pani mere uppar bahao.”
Is irshad ki
takmeel ke baad Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne hararat mein kami mehsos farmai aur Masjid tashreef le gaye. Is haal
mein ke sar par patti bandhi howi thi. Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ne mimbar par beth kar
Khutba irshad farmaya. Wahan Sahaba r.a jama the.
Farmaya:
“Bande ko Allah
Talah ne ikhtiyaar diya hey ke duniya ki zaib o zeenat ko qabool kare ya Allah
Talah ke yahan jo kuch hey isy qabool kare aur Allah Talah ke is bande ne Allah
ke paas wali cheezon ko qabool kar liya.”
Ye irshad sun kar
Hazrat Abu Bakar Siddique e Akbar r.a rone lage. Baqi Sahaba Karaam r.a is baat
ko baad mein samjhe ke Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne safar e akhrat ko passand farma liya hey.
Aik roz tamam azwaaj mutahhiraat r.a Huzoor Aleh Salato Wasalam ki khidmat mein hazir
hoien. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne
dekha ke Hazrat Fatima r.a a rahi hain. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya:
“Ay meri beti!
mein tumhe khush amdeed kehta hon.”
Phir Huzoor Aleh Salato Wasalam ne inhen apne paas bitha
liya aur in se sargoshi farmai. Hazrat Fatima r.a zaaro qataar rone lagien.
Phir Hazrat Fatima r.a ke kaan mein kuch farmaya aur Hazrat Fatima r.a hansne
lagien.
Thori dair jab ap
r.a wapis jane lagien to Hazrat Ayesha r.a ne pocha:
“Huzoor Aleh
Salato Wasalam ne ap r.a se kiya sargoshi ki he?”
Hazrat Fatima r.a ne farmaya,
“Me Allah Talah ke
Rasool Aleh Salato Wasalam ke raaz ko afshan nahi kar sakti.”
Jab kainaat ke sardaar,
Rehmatulil Aalameen, Allah ke mehboob, Huzoor Aleh Salato Wasalam ke paas tashreef le gaye. To Hazrat Ayesha r.a ne Hazrat Fatima r.a se pocha:
“Rasool Allah Aleh
Salato Wasalam ne ap r.a ke kaan mein kiya farmaya tha.”
Hazrat Fatima r.a ne jawab diya,
“Rasool Allah Aleh Salato Wasalam ne mujh se jo sargoshi farmai thi ab mein
bata sakti hon.”
Hazrat Fatima r.a ne bataya:
“Rasool Allah Aleh
Salato Wasalam ne farmaya:
“Aye Fatima! Mery
wisaal ki ghari qareeb agai hey.
Aye meri noor e nazar!
Allah Talah se darti rehna aur is musibat par sabar karna, mein tumhare
liye behtareen pesh ro hon aur aye Fatima!
Tum mery tamam ahle bait se phele mujh se milo gi aur mein tumhare liye
behtareen rehnuma hon.”
Faraaq ki khabar sun kar mein rone lagi. Mery abba ne mere kaan mein dubarah
farmaya:
“Aye Fatima! Kiya tu is baat par raazi nahi ke to tamam sahib e emaan
khawateen ki sardar ban jaye.
Ye bhi riwayat hey
ke Huzoor Aleh Salato Wasalam ne farmaya
“Aye Fatima! Tujhe
Allah Talah ne ummat ki tamam khawateen ke sardar bana diya hey.”
Ye musdah e jan
fiza sun kar Hazrat Fatima r.a hans parien.
Wafaat se aik din
phele barooz e itwaar Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne ghulamo ko azaad farma diya. Huzoor Aleh Salato Wasalam ke paas saath dinaar the
inhen sadqa kar diya. Apne hathiyaar musalmano ko haba farma diye.
Hazrat Ayesha r.a
farmati hain ke Abdul ur Rehmaan r.a Bin Abi Bakar, hujre mein dakhil howe. In
ke hath mein taza sabz maswaak thi. Huzoor Aleh Salato Wasalam ne maswaak ko dekha. mein samajh
gai ke Huzoor Aleh Salato Wasalam isy
chahte hain. mein ne kaha……. “Kiya Huzoor Aleh Salato Wasalam ye maswaak len ge?”
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ne isharah se jawab diya… “Han”.
Me ne apne danton
se maswaak naram kar ke Huzoor Aleh
Salato Wasalam ki khidmat mein pesh ki Huzoor Aleh Salato Wasalam ne maswaak istemaal ki.
Paas hi pani se labraiz piyala rakha tha. Huzoor Aleh Salato Wasalam bar bar is mein hath
dalte, chehra mubarrak tar karte the aur farmate they…..
La ilaha
illallaho inna lilmouti sakaratu.”
Zara dair baad maswaak ungliyon mein bhari hogai. Mujhe dene lage to
chut kar gir gai. Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki ungli chaatt ki taraf utthi aur farmaya:
Rafeeq e alaa me, rafeeq e alaa me, rafeeq e alaa me, ya Allah alaa mujhe
jannat mein rafeeq e alaa ke sath mila de.
Hazrat Ayesha r.a farmati hain chand lamhon baad Huzoor Aleh Salato Wasalam mein jumbish howi aur
ankhen khol den, phir sar e mubarrak anchanak jhuk gaya. mein foran jhuki
nazren neechi kar ke chehra e mubarrak dekha aur ghor se suna ke Huzoor Aleh Salato Wasalam bohat hi ahishta ahista
farma rahe hain:
Ya Allah! Meri maghfirat farma, aur phir mujh par reham farma aur mujhe
rafeeq e alaa se mila de.
Musalmano ko jab ilm howa ke Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam ka wisaal hogaya to logon
mein khuraam mach gaya aur sab log be ikhtiyaar ho kar rone lage.
Hazrat Umar r.a ne jab dekha ke log ro rahe hain. To inhon ne farmaya:
“Kyn rote ho?”
Phir inhon ne miyaan se apni talwaar nikaal li aur bole!
“Jo koi ye kahe ga
Syedena Huzoor Aleh Salato Wasalam inteqaal
farma gaye hain to mein is ki garden ura don ga. Hamare Rasool Aleh Salato
Wasalam fout nahi howe balke Allah Talah ke paas gaye hain aur jald hi wapis
ajayen ge.”
Ye mukala jari tha
ke Hazrat Abu Bakar Siddique r.a tashreef laye aur Hazrat Umar r.a se mukhatib
howe, “Ya Umar r.a khamosh raho aur apni talwaar miyaan mein rakh lo.”
Phir inhon ne hazireen
ko mukhatib kar ke kaha:
“Aye logo! Tum
mein se jo Hazrat Muhammad Rasool Allah Aleh Salato Wasalam ki ibadat karta
thaw o jaan le ke Hazrat Muhammad Aleh Salato Wasalam ka wisaal hogaya hey aur
tum mein se jo shakhs Allah Talah ki ibadat karta tha to wo jaan le ke Allah
Talah hamesha se qaim hain aur hamesha qaim rahen ge.”
Phir Surah Al
Imran ki ye ayat tilawat farmai:
“Aur Muhammad
(alhe Salato wassalaam) to aik Rasool hain. In se phele bohat se Rasool ho
chuke hain. Kiya agar wo inteqaal kar jayen ya shaheed hojayen to tum ulte paon
phir jao ge? Aur jo ulte paon phire ga Allah Talah ka kuch nuqsaan nahi kare ga
aur anqareeb Allah shukar ada karne walon ko ajar den ge.”
(Surah Al
Imran-ayat-144)
Quran e Paak ki in
ayaat ko sun kar Sahaba Karaam r.a ko hosla mila aur inhon ne mehsos kiya ke jaise
ye ayaat aj hi nazil howi hain. Halan ke ye ayaat taqreeban saath saal phele
Ghazwa e Uhad mein nazil howi thien.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke jazd e mubarrak ko Huzoor Aleh
Salato Wasalam ki wasiyat ke mutabiq Huzoor Aleh Salato Wasalam ke ahle bait ne ghusal
diya.
Ghusal dene walon
mein darj e zail afraad mojood the:
1. Hazrat Ali (r.a) r.a 2.
Hazrat Abbas r.a aur in ke dono bête
2. Hazrat Fazal r.a 4.
Hazrat Qasim r.a
Hazrat Ali (r.a) r.a
Huzoor Aleh Salato Wasalam ko apne seene
se laga kar ghusal de rahe the. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ko kapron sameet ghusal diya gaya, Kiyonke hukum yehi tha.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ko teen chadaron mein dafnaya gaya. Do safaid kapre the aur aik Yamna
chadar thi.
Ghusal ke baad
qabar shareef khodne ka sawaal uttha. Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne farmaya:
“Me ne ye irshad
kai baar suna hey ke Nabi jahan wafaat patey hain inhen isi jagah dafan kiya
jata hey.”
Chunacha Hazrat Ayesha
r.a ke hujre mein qabar banana ka faisla howa. Jab janazah tiyaar hogaya.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke bichone ke
ird gird zameen par aik nishaan khincha gaya aur nishaan ke andar Hazrat Abu
Talha r.a ne qabar khodi.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ke irshad ke mutabiq phele ahle bait ne namaz e janazah ada ki. Phir
mardon ne namaz e janazah ada ki, is ke baad aurton ne aur akhir mein bacchon
ne namaz e janazah ada ki.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ka jazd e mubarrak jahan rakha tha, wahan jagah tang thi. namaz e
janazah is tarha ada ki gai ke dus afraad ki jamaat ati aur namaz e janazah ada
karti aur chali jati.
Is tarha namaz e
janazah ada karne ki tajweez Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne pesh kit hi. Is
kit aid Ali Murtuza r.a ne ki. Huzoor Aleh
Salato Wasalam ki namaz e janazah mein koi imam nahi tha. Huzoor Aleh Salato Wasalam ki namaz e janazah parhne
ka kaam din raat jari raha aur mangal aur budh ki darmiyaani raat ko tadfeen ki
gai.
Sar e mubarrak gol
aur peshani kashadah. Bais e takleeq e kainaat Huzoor Aleh Salato Wasalam ke moye mubarrak ghane aur
mazboot, rang siyah. Balon mein aisi ajeeb o ghareeb chamak jo dekhne mein nahi
ayi. Huzoor Aleh Salato Wasalam ka rang
khilta howa gandumi, bhanwen ghani aur aik dusre se mili howi.
Ankhen roshan aur
bari. Na bohat choti na bohat bari. Bohat haseen itni khubsurat ke be misaal.
Khas baat jo ankhon mein nazar ati hey wo ye hey ke ankh ka dela safaid chamak
daar aur putli ka rang kala lekin gehrai mein neela. Putli ke charon taraf
dorey is tarha jaise suraj ke charon taraf shuwayen phot ti hain aisa lagta hey
ke ye shuwayen ya lehrain barahe rast Zaat e Bari Talah par ja kar teharti
hain.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki palken ghani aur siyah hain.
Naak e mubarrak lambi aur neeche se chouri hey.
Uppar ka hont patla aur neeche ka hont qadre mota. Dahana nisbatan bara aur
intehai khobsurat.
Huzoor Aleh Salato Wasalam ke dandaan e mubarrak seedhe aur numayan. Danton
ke darmiyaan khala hey. Danton
mein aisi chamak hey ke nazar khairah hojaye. Muskurahat dil awaiz. Haste waqt
dandaan e mubarrak zahir nahi hote. Huzoor Aleh Salato Wasalam muskurate hain to ankhen
bhi muskurati hain.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki rais mubarrak ghani aur gol hey.
Garden e mubarrak bhari howi. Qadre lambi na ziyadah choti.
Seena e mubarrak ubhra howa. Seena e mubarrak se naaf tak balon ki aik
lambi lakeer nazar ati hey jaise alif bana howa hey.
Huzoor Aleh Salato
Wasalam ki pusht e mubarrak seedhi aur chouri hey. Shaney qadrey uppar ko utthe
howe hain.
Pindili mein gosht
bhara howa hey. Lekin pair ke jor se uppar patli aur bilkul seedhi hey. Pair
mubarrak ka uppar ka hissa uttha howa hey. Uppar ka hissa uttha howa hone ki
waja se pair ke neeche talwon mein khala hey. Khala itna gehra hey ke pani
neeche se guzar jaye to talwe bheegte nahi.
Muhar e Nabowat
Huzoor Aleh Salato Wasalam ki kamar
mubarrak par seedhe kandhe aur garden ke darmiyaan aik gol dairah nishaan ki
sorat mein hey. Gol dairey ke andar gosht ya khaal surkh rang ki hey aur gosht
aam jisam se qadrey ubhra howa hey aur is dairey ke andar nehayat lateef o
naram paron ki manind rowan hey. Rowen ka rang sufaid bhura hey aur ye rowan
itna khushnuma aur deedah zaib hey jis ka izhar alfaaz mein nahi kiya ja sakta.
Dairah ka Qatar taqreeban rupy ke barabar hey.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.