Topics

ANSAAR KA MUQAAM

“Aur jinhon ne panah di aur madad ki wahi sacche momin hain. In k liye khataon se darguzar hey aur behtareen rizq hey.”

( Surat Al-Anfaal Ayat-74)

“(Aur wo in logon k liye bhi he) jo Mahajireen ki amad se phele hi emaan la kar darul hijrat mein muqeem the. Ye in logon se muhabbat karty hain jo hijrat kar k in k paas aaye hain aur jo kuch bhi in ko de diya jaye is ki hajat ye apney dilon mein mehsos nahi karty aur apni zaat par dusron ko tarjeh dety hain khuwah apni jagah khud muhtaaj hon. Haqeeqat ye hey k jo log dil ki tangi se bacha liye gaye wahi falah pany waly hain.”

( Surat Al-Hashar Ayat-9) 


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.