Topics
Zam
Zam ka konwan khodney ke waqt Hazrat Abdul Muttalib ke iklote betey Harish ke
siwa kisi ne konwan khodney main madad nahi ki. Hazrat Abdul
Muttalib ne mannat mani aur Allah Talah se dua ki:
“
Mujhe das betey ata farmayen to main aik betey ko Allah Talah ki raah main
qurbaan karon ga.”
Allah Talah ne Hazrat Abdul Muttalib ki dua qabool
farmai. Aik
raat hazrat Abdul Muttalib Khana e Kaba ke samne so rahe the ke inhon ne khuwab
dekha ke aik shaks keh raha he:
“Aye
Abdul Muttalib! Apni is nazar ko pura kar jo to ne is ghar ke malik Allah Talah
ke liye mani the.”
Hazrat
Abdul Muttalib khuwab se baidaar hoye aur sab beton ko jama kia aur apni is
nazar ka tazkira kia jo inho ne mani the. Sab ne baik
zaban ho kar kaha:
“ Aye hamare baap! Ap apni nazar puri Karen hum ap ki mukammal ataat Karen ge,
hum sub hazar hain.”
Hazrat Abdul Muttalib ne sab beton ke naam qura dala.
Qura Hazrat Abdullah ka naam nikla. Hazrat Abdullah ko Hazrat Abdul Muttalib
sab beton se ziyadah pyar karte the. Hazrat Abdullah buhat khubsurat aur barey
pakeeza kirdaar o ikhlaaq ke hamil the.
Hazrat Abdul Muttalib ne Hazrat
Abdullah ka hath pakra or inhe qurbaan karne ke liye mazbah ki taraf le gaye.
Chori
Hazrat Abdul Muttalib ke hath main the. Hazrat Abdullah ki behne ye dekh kar
roney lagin aur aik behan ne Hazrat Abdul Muttalib se arz kia:
“
Baba jaan! Meri darkhuast hey ke ap das ounton aur Abdullah main qura dalye.
Agar qura ounton ke naam par nikal aye to das ounton ki qurbani de dijye.”
Is
waqt das aunt aik admi ka khoon baha hota tha. Jab qura dala gaya to Hazrat
Abdullah ka naam nikla. Hazrat Abdul Muttalib das das ount ziyadah kar ke qura
daltey gaye magar qura Abdullah ke naam ka nikalta raha. Yahan tak ke jab sou
ounton ka qura dala gaya to qura ounton ke naam ka nikla. Is waqt Hazrat Abdul
Muttalib or tamam hazireen ne Allah o Akber ka naara lagaya. Behne apne bhai
Abdullah ko sath le gayin. Hazrat Abdul Muttalib ne qurbani ke sou ount Sifa
aur Marwa ke darmiyan nehar kiye.
Hazrat
Abdul Muttalib apni aulad ko zulm aur sitam se mana farmate aur ache ikhlaaq ki
targheeb detey the. Buraiyon se bachne aur nazar pura karne ki takeed farmate
the. Behan , phuppi aur khala waghaira se nikah karne se mana
farmate the. Sharaab aur zana se ruktey the. Larkiyon ko zinda dargoor karne se
mana farmate the. Is zamane main logon main barhena ho kar Khana e Kaba ka
tawaaf karna mamool tha. Jis ki Hazrat Abdul Muttalib ne mamanat ki.
Hazrat Abdul Muttalib ki Auladon ke
naam
Hazrat Abdul Muttalib ke haan baqoul
Ibne Hasshaam panch biwiyon se das larke aur chey larkiyan paida hoin. Jin ki tafseel darje zel hey.
Betey : 1. Harish 2.
Zubair 3.
Hazrat Hamza(r.a) 4. Zaraar
5. Abu Talib 6. Abu Lahab 7. Maqum 8. Hajal
9. Hazrat Abbas(r.a) 10. Hazrat Abdullah
Betiyan : 1. Arwa 2.
Barrah 3. Umaima
4. Hazrat Saffiya(r.a) 5. Atika
6. Beza Umme Hakeem
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.