Topics

SAAZISH


Kuch sahab e hesiyat log jin mein Hazrat Usman r.a Bin Affaan, Hazrat Abdur Rehman r.a Bin oof, Hazrat Saad r.a Bin Abi Waqas aur Hazrat Talha r.a Bin Ubaid Ullah aur Hazrat Saad r.a Bin Umro shamil the jab musalmaan hogaye aur musalmanon ki tadaad mein izafa howa to Quraish mein iztaraab ki lehar daur gayi. In no muslimon ka shumaar Makkah k mumtaaz logon mein hota tha.

Huzoor Aleh saalato Wasalam Khana Kaba jany k liye jab bhi apney ghar se bahir tashreef latey to Huzoor Aleh saalato Wasalam ki jaan khatrey mein hoti thi. Aiyaash log Huzoor Aleh saalato Wasalam k raasty mein beeth jaty aur jaisy hi Huzoor Aleh saalato Wasalam Khana Kaba k liye apney ghar se bahir nikalty ya kahin aur jany ka iradah karty the to wo log Huzoor Aleh saalato Wasalam ko patthar maarty the aur Huzoor Aleh saalato Wasalam k libaas ko gandigi se aloodah kar dety the. Qabeela Quraish k log Huzoor Aleh saalato Wasalam se dushmani mein itny agey barh gaye the k inhon ne Khana Kaba ka ehtraam bhi pes e pusht daal diya tha. Dono martaba Huzoor Aleh saalato Wasalam par qatilana hamla Khana Kaba mein howa.

Huzoor Aleh saalato Wasalam aik din Khana Kaba se apney ghar tashreef le ja rahy the to Quraish ne is shiddat se Huzoor Aleh saalato Wasalam k upar pathrao kiya Huzoor Aleh saalato Wasalam shadeeed zakhmi hony k bais agley din Khana Kaba mein na A sakey. Is rooz jab musalmaan ibadat ki gharz se Khana Kaba pohnche to inhen pata chala k aaj Huzoor Aleh saalato Wasalam Khana Kaba tashreef nahi laye ge. Lehaza inhon ne apney tor par ibadat shuru kar di aur jab wo log sajdy mein gaye to Quraish ne in par hamla kar diya. Kai musalmaan shahdeed zakhmi hogaye.

Is waqiye k baad qabeela Quraish k afraad shab o rooz Khana Kaba ki nigrani karny lagy ta k Huzoor Aleh saalato Wasalam aur musalmano ko Khana Kaba mein dakhil hony se rook saken.

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne jab ye dekha k ab wo apney ashaab r.a k sath Khana Kaba mein ibadat nahi kar sakty to inhon ne Makkah se bahir aik jagah ka intekhaab kiya. apney sathiyon k hamrah din mein do baar Huzoor Aleh saalato Wasalam wahan namaaz qaim karny k liye tashreef le jaty the.

Huzoor Aleh saalato Wasalam ki mukhalfat karny walon mein se aik shakhs Abu Sufiyaan tha jo Huzoor Aleh saalato Wasalam se inteha darje ki dushmani rakhta tha. Abu Sufiyaan ka kehna tha : “Quraish ko Huzoor Aleh saalato Wasalam se jo khatra lahaq hey wo sirf isi surat mein khatam hosakta hey k (nauzubillah) Huzoor Aleh saalato Wasalam ko qatal kar diya jaye.”


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.