Topics
Soaib
Abi Talib k musalsal ranj o aalam aur daimi bhook k baad aik aur hadsa pesh aya
k Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam k shafeeq chacha Abu Talib kamzori k bais
bimaar hogaye aur 86 saal ki umar mein inteqal farma gaye. (Inalillahe wa inna
ilaihi rajioon)
Is
sadme ko abhi kuch arsa hi guzra tha k Huzoor Aleh saalato Wasalam ki hamdard,
ghamgisar aur be had muhabbat karny wali shareek e hayaat Hazrat Khadija r.a
inteqal farma gayen.(Inalillahe wa inna ilaihi rajioon)
Ye
wo hasti hain jinhon ne gham o khushi mein har lamha Huzoor Aleh saalato Wasalam
ka sath diya. Apni dolat Huzoor Aleh saalato Wasalam par nisaar kar di. Hazrat
Ibrahim k ilawa Huzoor Aleh saalato Wasalam ki sab ulaad in hi k batan se paida
howi.
Hazrat
Khadija r.a jo aish o ishrat mein pali barhi thien magar inhon ne intahai sabar
o sabaat aur khushdili se Soaib Abi Talib mein muhasara k din bhook aur piyaas
ki takleef utha kar guzary.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ko Aap r.a se bohat muhabbat thi. Huzoor Aleh saalato Wasalam
zindagi bhar in ko yaad karty rahe. Jab Hazrat Khadija r.a ne zindagi ko khair
abaad kaha is waqt in ki umar 65 baras thi aur Huzoor Aleh saalato Wasalam ki
umar pachaas saal thi. Intiqaal k baad in ko hajoon mein dafan kiya gaya.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne Hazrat Khadija r.a k mutalliq irshad farmaya:
“Khadija
r.a is waqt emaan layen jab logon ne mera inkaar kiya. apney maal se aisy waqt
mein meri madad ki jab kisi ne mera sath nahi diya. Allah Tala ne mujhe in se
ulaad ata ki.”
In
mashfaq sarparast aur ghamgisaar aur hamdard biwi ki wafaat k baad Huzoor Aleh saalato
Wasalam bohat maghmoom aur afsorda rehny lagy the. Hazrat Fatima r.a abhi choti
bacchi thien in ki dekh bhaal aur parwarish ka masla bhi dar pesh tha. Ye
halaat dekh kar Hazrat Usmaan r.a Bin Mazoon ki zoja Hazrat Khola r.a Bint Al
Haleem ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko dusri shadi ki janib mail kiya aur
Hazrat Sodah r.a Huzoor Aleh saalato Wasalam k aqad mein ayen.Hazrat Soda r.a k
phele sohar Hazrat Sakraan r.a the dono ne dusri hijrat Habsha mein shirkat ki
thi. Habsha se lotny k kuch arsy baad Hazrat Sakraan r.a ka inteqaal hogaya
tha.Hazrat Soda r.a bewah thien aur is waqt in ki umar 50 saal thi. Huzoor Aleh
saalato Wasalam ki bhi umar is waqt 50 saal thi.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.