Topics

SAHABIYAAT KA JAZBA E EMAAN


Pheli shaheed khatoon Hazrat Samiya(r.a):

Abu Jehal ki aik kaneez jis ka naam Samiya r.a tha musalmaan hogayen to Abu Jehal ne inhen bulaya aur hukum diya k Islam se foran dasbardaar hoja. Hazrat Samiya r.a ne jawab mein kaha:

“Me Muhammad Aleh saalato Wasalam k Deen ko nahi chor sakti.”

Abu Jehal ne taish mein aakar apni natawan kaneez par korey marna shuru kar diye aur inhen itna maara k wo nidhaal ho kar zameen par gir gaye. Hazrat Abu Bakar r.a is waqiye se muttala ho gaye aur Abu Jehal k ghar pohnche inhon ne dekha k Hazrat Samiya r.a nidhaal aur be his o harkat zameen par pari howi hain. Hazrat Abu Bakar r.a ne Abu Jehal se kaha:

“Me is kaneez ko khareedna chahta hon.”

Abu Jehal ne kaha:

“Me isy nahi beechna chahta.”

Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne kaha:

“Ay Abu Jehal agar tu Samiya r.a ko farokht karny par raza mand ho jaye to mein tujhe aik so dinar ada karny ko tiyaar hon.”

Abu Jehal gharraya:

“Me isy nahi beechon ga.”

Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne qeemat barha di aur boly:

“Me tumhey Samiya r.a k badley derh so dinar deny ko tiyaar hon.”

Lekin Abu Jehal ki zid barqarar rahi aur wo bola k mein Samiya r.a ko farokht nahi karon ga. Hazrat Abu Bakar Siddique r.a qeemat barhatey rahe lekin har baar Abu Jehal ka jawab yehi tha k mein isy farokht nahi karon ga.”

Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne jo apni saari dolat Islam ki rah mein karch kar chuky the jab ye dekha k Abu Jehal kisi tor par bhi Hazrat Samiya r.a ko farokht karny par tiyaar nahi to inhon ne Abu Jehal se kaha:

“Agar tu Hazrat Samiya r.a ko mery hathon farokht karny par raazi hojaye to mein tujhe “Ahl e Qaziya” deny ko tiyaar hon.”

Ahl e Qaziya Hadiya nasheen arbon ki makhsoos istilah ka naam tha. Is ka itlaaq in onton par hota tha jo kisi k qatal k badley mein is k lawaheqeen ko diye jaty the, dusry lafzon mein Ahl e Qaziya is khoon baha ka naam tha jo maqtool k wirsa ko ada kiya jata tha aur is unwaan se mu mangi raqam talab ki ja sakti thi.

Abu Jehal k dil mein Huzoor Aleh saalato Wasalam k barey mein itni kadorat aur adawat thi k wo mu mangi qeemat par bhi kaneez ko Hazrat Abu Bakar Siddique r.a k hathon farokht karny par raza mand nahi howa. Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne is din tak cah ghulamon aur kaneezon ko khareed kar azaad kar diya tha jin mein do mard aur chaar aurten thien. Lekin is baar wo Hazrat Samiya r.a ko rehai dilany mein kamiyaab nahi hosakey.

Jab Quraish ki aurton ne suna k Samiya r.a ko har roz Abu Jehal kory marta hey lekin wo Islam chorney par tiyaar nahi hain to wo Abu Jehal k paas gayen aur is se kaha k wo is aurat ko kory maarna band kar de is aurat ne Quraish ki be shumaar aurton ki madad ki hey. lekin Abu Jehal ne in ki aik baat nahi suni. Abu Jehal ne Hazrat Samiya r.a ko itny kory maary k in ka saara jisam khoon khoon ho gaya aur in mein hilny jhulny ki sakat nahi rahi lekin wo is k bawajood yahi kehti rahen k mein Muhammad (alhe saalato wassalaam) k Deen ko nahi choron gi.

Jab Abu Jehal apni kaneez k emaan ko badalney mein nakaam ho gaya to is ne isy qatal karny ka faisla kar liya aur aik din Hazrat Samiya r.a ko Khana Kaba k samny le aya aur jab Ahl e Makkah wahan jama ho gaye to Abu Jehal ne tamam hujjat k tor par Hazrat Samiya r.a se pocha:

“Kiya ab bhi tu Muhammad (alhe saalato wassalaam) k Deen ko chorney par tiyaar nahi he?”

Hazrat Samiya r.a ne jawab diya: “Me Muhammad (alhe saalato wassalaam) k Deen ko har giz nahi choron gi.”

Abu Jehal ne kaha phir mein tujhe yahin aur isi waqt mout k ghaat utaar don ga. Is k baad Abu Jehal ne Ahl e Makkah k samney apna neezah itni qowat se Hazrat Samiya r.a k seeny mein ghonp diya k nezey ka sira Hazrat Samiya r.a k peeth se bahir nikal aya. Hazrat Samiya r.a Islam ki rah mein shaheed hony wali pheli khatoon hain.

Riwayat hey k jab Huzoor Aleh saalato Wasalam Hazrat Samiya r.a ki rehai k silsily mein Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ki jidd o jehad se agah howy to inhon ne Hazrat Abu Bakar Siddique r.a k haq mein dua farmai:

“Allah tery chehrey ki darakhshandagi ko barqarar rakhe.”   

 

Hazrat Labeena(r.a) aur Hazrat Zunerah(r.a):

Do khawateen jo Hazrat Umar r.a ( is waqt tak musalmaan nahi howy the) ki khaadma thien halkaye Islam mein dakhil ho gaye. In mein se aik ka naam “Labeena” aur dusri ka naam “Zunerah” tha. Hazrat Umar r.a Hazrat Bilal r.a k malik ki tarha shaqi ul qalb nahi the k kaneezon ko bandhwa kar tapti howi rait par phenk den balkey inhon ne in dono ko koron ki saza ka mustahiq samjha aur in se kaha k

“Me is waqt tak tum par kory maarta rahon ga jab tak do mein se aik baat puri nahi hogi. Tum Muhammad (alhe saalato wassalaam) k Deen ko chor do ya tumhari jaan nikal jaye.”

Agarchey  donon kaneezon ka jisam khoon se lah o lohaan tha magar inhon ne Huzoor Aleh saalato Wasalam k Deen ko chorny se inkaar kar diya. Hazrat Abu Bakar r.a in kaneezon ki madad k liye tashreef laye aur Hazrat Umar r.a se kaha k wo in kaneezon ko farokht kar de. Hazrat Umar r.a ne in dono kaneezon ko farokht kar diya aur Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ne dono ko azaad kar diya.


Hazrat Ghaziya(r.a):

Chohnti aurat jinhon ne Islam qabool kiya wo sehra mein rehny wali aik khatoon thien jin ka naam Ghaziya r.a tha. Hazrat Ghaziya r.a kaneez nahi thien. Wo Makkah any k baad musalmaan hogayen aur khuly aam logon ko Islam ki dawat deny lagen. Sehra nasheen aurten bhi badwi mardon ki tarha be baak aur nidar hoti thien lehaza wo khatoon bhi Ahl e Quraish k darany aur dhamkany se qatai khof zadah nahi howen.

Qabeela Quraish k logon ne jab ye dekha k Hazrat Ghaziya r.a kisi tor se Islam ki tabligh se dasbardaar nahi hotien to inhen aghwa kar k Makkah se bahir jany waly aik qafila k paas le gaye aur aik ont par bitha kar mazbooti se bandh diya aur qafila k supurd karty howy boly k

“Is aurat ko pani aur ghiza bilkul nahi dena ta k ye bhook aur piyaas ki shiddat se halaak hojaye aur jab tumhey yaqeen hojaye k ye mar chuki hey to phir is ki laash ko ont se utaar kar sehra mein pehnk dena ta k sehrai janwar isy kha len aur is ka naam o nishan baqi na rahe.”

Aik riwayat k mutabiq Hazrat Ghaziya r.a kehti hain:

“Teen din ki bhook aur piyaas ne mujhe bilkul nidhaal kar diya tha. Lekin chontey din mujhe apney honton par thandy pani ki name mehsos howi aur mein ne be ikhtiyaar ho kar pani peena shuru kar diya aur itna pani piya k meri piyaas bujh gai.

Agly din qafila walon ne jo tasavvur kar rahy the k mein bhook aur piyaas ki shiddat se halaak ho chuki hon jab mujhe hasshaas basshaas dekha to inhen heart howi aur jab mein ne guzishta raak ka waqiya sunaya to wo apney kiye par nadim howy aur inhon ne meri rassiyan khool den aur mujh se bari izzat aur ehtraam k sath pesh aye.”

Hazrat Abu Bakar Siddique(r.a):

Hazrat Abu Bakar Siddiqu r.a k bohat se fazail mein se aik bari fazeelat ye bhi hey k Aap r.a ne be sahara sitam raseedah logon ki jaan bachai.

Hazrat Bilal r.a Hazrat Amir r.a Bin Faheerah, Hazrat Labeena r.a, Hazrat Zunerah r.a, Hazrat Nehediya r.a, aur Hazrat Um e Abais r.a ko bhari qeemat par khareed kar azaad kar diya.

Hazrat Samiya r.a ki shahadad k baad Quraish k sar kardah logon mein se chaar afraad ne jin mein Abu Sufiyaan, Abu Lehab aur is ki biwi Umm e Jameel shamil thi, ye pabandi laga di k Makkah mein rehny wala koi shakhs apna ghulaam ya kaneez Hazrat Abu Bakar r.a ko farokht nahi kare ga. Wo log is baat se waqif ho gaye the k Islam ko ghareeb tabqa aur khas tor par ghulamon mein bari teezi se maqboliyat hasil ho ri hey aur jo ghulaam bhi musalmaan ho jata hey Hazrat Abu Bakar r.a isy khareed kar azaad kar dety hain.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.