Topics
Aik
din kuch log Abu Jehal k uksany par Huzoor Aleh saalato Wasalam ko patthar maar
rahe the. To aik shakhs Hazrat Hamza r.a k paas pohncha. Hazrat Hamza r.a
Huzoor Aleh saalato Wasalam k chacha the aur mashoor pehalwaan the. ( Aap r.a
is waqt tak musalmaan nahi howy the.) Hazrat Hamza r.a shikaar se wapis A rahe
the. Is shakhs ne awaaz de kar kaha:
“Aye
Hamza r.a ! Teri gherat ko kiya howa? Log tery bhatije ko patthar maren, bura
kahen aur galiyan den. Log tujhe bahadur aur shehezwar kehty hain.”
Hazrat
Hamza r.a ko is waqt tak Huzoor Aleh saalato Wasalam k Deen mein koi dilchaspi
nahi thi lekin jab inhon ne ye suna k log Huzoor Aleh saalato Wasalam ko
patthar maarty hain aur galiyan dety hain aur sab se barh kar wo log Huzoor
Aleh saalato Wasalam ko dashnaam bhi dety hain to in ki halat digargon hogai
aur inhon ne is shakhs se pocha k mery bhatije ko jo dashnaam diye jaty hain wo
kiya hain? Is shakhs ne chand aisy alfaaz dhuraye jinhen Huzoor Aleh saalato Wasalam
k dushman in k liye istemaal karty the to Hazrat Hamza (r.a) ka chehra gusse se
surkh hogaya.
Arab
zubaan se nikli howi har baat ko intihai ahmiyat aur wuqat dety the. Arab
qabail mein dashnaam goi karty waqt qareebi rishtedaar ka naam lena na qabil e
maufi jurm samjha jata tha. Kisi qabeele k kisi fard ko bura kehna aisa tha
jaise pury qabeely ki touheen ki gai ho. Is ki waja ye thi k qabeely k tamam
arkaan apas mein khoon k rishty mein munsalik hoty hain. Hazrat Hamza r.a isi
halat mein Abu Jehal k ghar gaye. Wo janty the k Huzoor Aleh saalato Wasalam par
patthar phenkny walon aur inhen dashnaam deny walon ka sar Ghana Abu Jehal hey.
wahan pohnch kar Abu Jehal ki buri tarha pitai kar di aur kaha:
“Aye
Jehal Abu Jehal ! To samajhta hey k Muhammad (alhe saalato wassalaam) be aasra
hain aur in ka koi nahi is liye tu patthar maarta hey aur galiyan deta hey.
lekin ab tu ye jaan le k mein aaj se Muhammad Aleh saalato Wasalam k Deen mein dakhil
hogaya hon aur aaj k baad koi bhi Muhammad Aleh saalato Wasalam ko gaali de ga
to is ki khair nahi.”
Hazrat
Hamza r.a ka musalmaan ho jana Islam k liye bara khush aind howa aur is se musalmanon
ko taqwiyat pohnchi. Huzoor Aleh saalato Wasalam k chacha Hazrat Hamza r.a k
musalmaan hony k baad kuch aur log bhi musalmaan hogaye aur yun musalmanon ki
tadaad tees se ziyadah hogai.
Makkah
mein rehny waly aur khas tor par qabeela Quraish k afraad Islam ko phelta dekh
kar tashweesh mein mubtala hogaye aur inhon ne Dar-ul-Nadwata mein jama ho kar
mashwara karna shuru kar diya k Muhammad (alhe saalato wassalaam) k Deen ko
(naozubillah) kis tarha khatam kiya ja sakta hey. lekin wo log muzakiraat se
koi khas nateeja akhaz na kar sakey.jab Dar-ul-Nadwata ka ijlaas khatam howa to
Umar Bin Khitaab ne elaan kiya:
“Me
khud hi Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko qatal kar k Ahl e Makkah ko is
mushkil se nijaat dila don ga.”
Raasty
mein Hazrat Naeem r.a Bin Abdullah ne Umar ko taiz taiz qadmon se jaty dekha to
pocha: “Aye Umar! Kahan ja rahe ho?”
“Kisi
ne hamary ajdaad ki itni touheen nahi ki jitni Muhammad (alhe saalato
wassalaam) ne ki hey. is shakhs ne apney naye Deen ki waja se tamam Ahl e
Makkah ka chain o araam haraam kar diya hey. Hamary buzurgon k Deen ko batil
qarar deta hey aur kehta hey k hamey apney maboodon ki pursatish chor deni
chahiye. mein jar aha hon ta k Muhammad (alhe saalato wassalaam) ka qissa tamam
karon.”
“Umar
tumhare do qareebi azeez bhi musalmaan hain. In mein se aik tumhari behn Fatima
r.a aur dusra is ka sohar Saeed r.a Bin Zaid hain..”
Ye
khabar sun kar umar k osaan khata hogaye. Aagy barhny k bajaye apney behnoi k ghar
ka rukh kiya.
Jab
Umar ghar mein dakhil howy to inhon ne dekha k in ki behn Hazrat Fatima(r.a),
in k sohar Hazrat Saeed(r.a) Bin Zaid aur aik dusry musalmaan Hazrat Khabab(r.a)
Quran Paak ki tilawat kar rahy hain. Umar gusse mein laal hogaye aur apni behn
aur in k khawand ko itna zodo koob kiya k in k jisam se khoon bheny laga. Umar
ne apni behn ko hukum diya k Muhammad (alhe saalato wassalaam) ka Deen chor de.
“Agar tum itny kory maaro k meri jaan nikal jaye phir bhi
mein Hazrat Muhammad Aleh saalato Wasalam k Deen ko nahi choron gi aur agar tum
bhi Quran ki tilawat karo to jaan jao ge k ye Deen saccha aur barhaq hey.”
Umar ne apni behn se kaha mujhe bhi Quran sunao. Umar ki behn ne Surah Taha ki chand
ayaten ( Surat Taha Ayat-1 ta 10) sunai.
Hazrat
Umar r.a Quran sun kar ghor o fikar mein doob gaye aur kaha:
“Mujhe
Muhammad (alhe saalato wassalaam) k paas le chalo mein bhi musalmaan hona
chahta hon.”
“Aye Umar ! Khush hojao k Huzoor Aleh saalato Wasalam ki
dua tumhare haq mein qabool ho gai hey. Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam ne
dua farmai thi:
“Aye Qadir e Matlaq ! Mera kaam koshish karna hey aur
kamiyaabi dena aap ka kaam hey. Islam k do bad tareen dushmanon Umar Bin
Khitaab ya Umar Bin Hasshaam (Abu Jehal) mein se kisi aik ko noor e emaan ata
farmayen, ta k kamzoor musalmanon ko himmat hasil ho.”
Huzoor
Aleh saalato Wasalam is waqt Dar-e-Arqam mein apney jaan nisaron k sath
tashreef farma the. Dar-e-Arqam k darwazy par dastak howi. Aik sahabi r.a ne
jhank kar dekha to Hazrat Umar r.a Bin Khitaab nazar aye. Syedena Huzoor Aleh saalato
Wasalam ko ittila di gai. Hazrat Ameer Hamza r.a ne jo teen din qabal emaan
laye the, kaha:
“Darwaza
khool do agar wok hair ki niyat se aya hey to hum isy khush amdeed kahen gen
aur agar bury irady se aya hey to hum isi ki talwaar se isi ka kaam tamam kar den
gen.” Hazrat Umar r.a ne Islam qabool kar liya aur khushi mein Sahaba Karaam
r.a ne itni zoor se naarah lagaya k iski awaaz Masjid-ul-Haraam tak pohnchi.
“Jab Hazrat Umar r.a musalmaan howy to Jibrail Ameen
bargah nabowat mein hazir howy aur arz kiya k Hazrat Umar r.a k musalmaan hony
par asmaan k sary rehny walon ne bari musarrat ka izhaar kiya hey.”
Hazrat Umar r.a ne musalmanon ki do sifen banai aik mein Hazrat
Hamza r.a aur aik mein Hazrat Umar r.a the. Sab log Syedena Huzoor Aleh saalato
Wasalam k zeer e saaya Masjid-ul-Haraam ki janib rawana howy. Hazrat Umar r.a
aur Hazrat Hamza r.a k sath Peghambar e Islam aur in k sathiyon ko dekha to
Quraish mein khuraam mach gaya. Is mouqy par Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam
ne Hazrat Umar r.a ko “Farooq” (Haq o batil mein farq karny wala) k laqab se
nawaza.
Hazrat
Umar r.a is k baad dushmanan e Islam Abu Jehal k ghar tashreef le gaye. Abu
Jehal bahir aya aur khush khabri sunny k ishtiyaaq mein kehny laga.
“Khush
amdeed, khush amdeed kesy aana howa?”
“Me tumhe batany aya hon k mein Allah Tala aur is k
Rasool Hazrat Muhammad Aleh saalato Wasalam par emaan le aya hon. Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam jo
kuch laye hain mein is ki tasdeeq karta hon.”
Abu
Jehal ki umeedon par pani phir gaya aur darwaza band karty howy bola:
“Allah
tera bura kare aur jo kuch tu tey kar aya hey wo bhi bura ho.”
Hazrat
Umar r.a ne jab apney Islam qabool karny ki khabar Jameel Bin Maghmar ko di jo
kisi baat ka dhandora peetney mein mashhoor tha to is ne chekh chekh kar logon
ko batana shuru kar diya. “Logon suno ! Khitaab ka beta Be Deen hogaya hey.”
Hazrat
Umar r.a is k peche peche A rahe the. Inhon ne farmaya” “ Ye jhoot bolta hey.
mein musalmaan ho gaya hon.”
Log
agarchey Hazrat Umar r.a ki izzat o
quowwat, sharf aur zor e bazo se khaif rehty the. Lekin is waqt bohat bari
tadaad ne inhen zad o koob karna shuru kar diya. Hazrat Umar r.a bhi logon ko
maar rahy the. Yahan tak k suraj sar par aagaya aur Hazrat Umar r.a thak kar
beth gaye. Hazrat Umar r.a ne logon se kaha:
“Jo chahe kar lo. Allah ki qasam ! Agar hum log teen so ki tadaad mein hoty to
phir Makkah mein tum rehty ya hum rehty.”
Hazrat
Umar r.a k khilaaf infaradi tor par koi shakhs kuch karny se ghabrata tha. Wo
jaloos ki shakal mein jama howy aur Hazrat Umar r.a k ghar par hamla kar diya
ta k inhen jaan se maar den. Is doraan qabeela seham jo Hazrat Umar r.a ka
haleef qabeela tha, se talluq rakhney waly Abu Umro Aas Bin Wail Sehmi aagaye.
Hazrat Umat r.a ne in se apney qabool Islam aur qoam k dushman hojany ka
tazkara kiya. Abu Umro Aas Bin Wail ye sun kar bahir nikly aur logon ki bheer
se pocha: “Kiya iradah he?” logon ne kaha: “Khitaab ka beta matloob hey jo Be
Deen hogaya hey.”
Abu
Umro ne kaha: “Tum log is tak nahi pohnch sakty wo meri panah mein hey.”
Log
ye sun kar maiyoos howy aur wapis chaly gaye.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.