Topics
“Tery khuda tery liye tery hi
darmiyaan se tery hi bhaiyon mein se mery manind aik nabi paida kare gat um is
ki sunna.” (Astasna-baab 16-19:19)
“Khuda wand seena aaya. Aur shaeer
se in par aashkaar howa. Wo koh-e-faraan se jalwa gar howa. Aur lakhon gudsiyon
mein se aaya.” (Astasna baab 2:33)
“Aur wohi sadaqat se jahan ki
tareef kary ga wo raasti se qoamon ka insaaf kary ga.” (Zuboor baab 8:9)
“Tu bani Adam mein sab se haseen
hey tery honton mein latafat bhari hey is liye khuda ne tujhe hamesha k liye
mubarrak kaha aye zabardast (buzurg) tu apni talwaar ko jo teri hashmat o
shoukat hey apni kamar se hamail kar aur sacchai aur halam o sadaqat ki khatir
apni shaan o shoukat mein iqbal mandi se sawaar howa aur tera dahana hath tujhe
muheeb kaam dikhaye ga tery teer taiz hain wo badshah k dushman k dil mein lagy
hain ummaten tery samny zair howi hain.”
(Zuboor baab 2-5:45)
“Miskeen apney aap ko tery supurd
karta hey. Yateem ka tu madad gaar hey.” (Zuboor baab 14-15:10)
“Jab wo saccahi ki rooh aaye ga to
tum ko tamam sacchai ki raah dikhaye ga is liye wo apni taraf se na kahy ga
lekin jo kuch suny ga wohi kahy ga aur tumhe ainda ki khabren de ga.” (Ineel
yuhanna baab 13-14:16)
“Tamam anbiya siwaye is rasool k aa
chuky hain jo mery baad aaye ga q k Allah asamar ka irada rakhta hey k mein is
ka raasta saaf karon.” (Injeel barna baas baab 5-6:36)
“Be shak wo Muhammad(Rasool Allah)
hey jab wo duniya mein aaye ga is asli rehmat k waseely se jis ko wo laye ga
insaanon k darmiyaan naik amaal ka zariya bany ga.” (Injeel barna baas baab
6:163)
“Magar meri tasalli is rasool k
aany mein hey jo mery barey mein har jhooty khayal ko maho kar de ga aur is ka
deen pheely ga aur tamam duniya mein aam ho jaye ga.” (Injeel barna baas baab
3:97)
“Aur yaad karo Ibrahim a.s aur Ismail a.s
Bait ullah ki bunyadon ko buland kar rahe the tab wo Allah Tala se dua kar rahy
the k Ay Sami o Aleem! Is imarat ko qabool farmaiye aur ay hamary rab! Hum dono
ko apna farmabardaar rakhiye aur hamari raiyat ko bhi farmabardaar banaiye aur
aye hamary rab ur raheem! Hum ko jumla adaab seekhaiye aur hamari farmabardaar
raiyat mein se aik azeem ul shaan rasool maboos farmaiye jo parhe in par aap ki
ayaten aur seekhaye in ko kitaab aur hikmat ki baaten aur in ko sanwarey, aap
hi hain asal zabardast hikmat waly.”
(Surah
Al-Bakra-Ayat 127-129)
“ Esa Bin Maryum ne kaha, ay Bani Israil!
mein tumhari taraf Allah Tala ka rasool hon, mein touret ki jo mujh se phele
aayi hey tasdeeq karta hon aur mein is rasool kit um ko basharat deta hon jo
mery baad aaye ga is ka naam “Ahmed” hoga.” ( Surah Al-Saf-Ayat 6)
“Aur phir kiya haal hoga is din jab k hum
har aik ummat mein se in par aik gawah talab Karen gen aur hum tum ko in sab
par gawah banayen gen. to jin logon ne kufr ki raah ikhtiyaar ki aur rasool ki nafarmani
ki wo is din ye passand Karen gen kaash wo ( dhans jayen aur) zameen in k
barabar ho jaye. Aur is din ye Allah Tala se koi baat bhi poshida nahi rakh
saken gen.”
(
Surah Al-Nisa-Ayat-41-42)
“Aur jab Allah Tala ne peghambaron se ehad
liya k mein tum ko jo kitaab aur hikmat ata karon aur phir tumhary paas wo
peghambar aaye jo in kitabon ki tasdeeq karta ho jo tumhary paas hain, tum
zaror is par emaan lana aur is ki madad karna. (phir) Allah Tala ne farmaya
kiya tum is ehad ka iqrar karty ho aur isy mera ehem ehad samajh kar qabool
karty ho? To inhon ne kaha be shak hum iqrar karty hain, Allah Tala ne farmaya
ab tum is ehad par gawah raho aur mein bhi tumhare sath gawah banta hon.” (
Surah Al-Imraan-Ayat-81)
“(Pas aaj ye rehmat in logon ko hissa he)
jo is peghambar Nabi Ummi ( Aleh Slato Wasalam ) ki pairwi ikhtiyaar karen, jis
ka zikar Touret aur Injeel mein likha howa hey.” Pas emaan laao Allah Tala par
aur is k bheje howy Nabi Ummi ( Aleh Slato Wasalam ) par jo Allah Tala aur is k
irshadad ko manta hey aur pairwi ikhtiyaar karo is ki umeed hey k tum
raah-e-raast pa lo ge. ( Surat Al-Aaraaf-Ayat-157-158)
“Muhammad Allah Tala k rasool hain aur jo
log (Sahaba) in k sath hain. Wo munkiron par sakht hain aur apas mein naram khu
hain. Tum jab dekho ge inhen (Allah Tala k samney) jhukney waley, sajda karny
waley aur is tareeqe se Allah Tala k fazal aur is ki raaza k khuaish mand hain.
In ki nishani ye hey k in k chehron (peshaniyon) par sajdon k nishaan hain.
Touret aur Injeel mein in ka zikar isi tarha hey.” ( Surat Al-Fatah-Ayat-29)
Syedna Huzoor Aleh Slato Wasalam ki
nabowat aur risalat ki aik numayan khususiyat ye hey k Nabi Kareem Aleh Slato
Wasalam saari duniya k liye Islam laye.
“(Ay Muhammad s.a.w) hum ne aap ko tamam
insanon k liye basharat pohnchany wala, dar sunany wala bana kar duniya mein rasool
banaya hey.” ( Surat Al- Ayat-28)
“Allah wo hey jis ne apney rasool ko
roshan dalail aur sacche deen k sath behja.” ( Surat Al-Saaf-Ayat-9)
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.