Topics
Scienci tajarbaat se yeh baat saabit ho
chuki hai ke nabataat, jamadat, hewanat aur insani zindagi aik barqi nizaam ke
tehat rawan dawaan hai. Insani jism se haasil honay wali bijli ki taaqat aik
torch ya jaibi radio chalanay ke liye kaafi hai. Tahaqeeq se saabit huwake kisi
darakht ke pattay par makhi baith kar is ke reshon ko harkat deti hai to is
pattay mein barqi ro dornay lagti hai .
Arastoo ne bataya hai ke taar pedo (
torpedo ) machhli apni barqi qowat se ensaan ko chonka sakti hai. Apni khoraak
haasil karne ke liye rait mein choup jati hai aur jab machhliyan paas aati hain
to apne andar kaam karne wali barqi ro se inhen behosh kar deti hai .
1885 ka waqea hai ke Adberg mein aik
siyah larka paaya gaya jis ke jism par ungli chhoo jany se bijli ka current
mehsoos hota tha. Is larke ki aam numaish hui. Dr johnson ne is ko apne paas
mulazim rakh liya aur is par tajarbaat kiye. Unhon ne dekha ke is larke ke sir
ke nazdeek khaas kar zabaan chone se ziyada zor ka dhaka mehsoos hota hai. Dr stone
aur bohat se mahireen barq-e ne usay dekha to herat se un ke mun khulay ke
khulay reh gaye. Dr ae w milton, Africa ke mashhoor sayah ka bayan hai ke unhon
ne gussa mein aik negro ko maarna shuru kar diya to dekha ke jahan jahan kora
is ke jism par laga to wahan se bijli ke sharare niklay. Yeh bhi saabit ho
chuka hai ke ensaan ke jism mein soi chuboney aur garam o sard pani mein
bhigonay se aik halki barqi ro peda hoti hai. Mamooli aawaz, roshni, zayega aur
boo ke ehsasat se bhi insani jism mein barqi ro peda hoti hai .
Qudrat ka yeh ajeeb sar basta raaz hai ke
ensaan ke andar bijli peda hoti rehti hai aur poooray jism mein se doori kar ke
peeron ke zariye arth ho jati hai .
Namaz ke liye wudu karna zurori hai. Is ki
wajah yeh hai ke jab koi bandah wudu ki niyat karta hai to roshiniyon ka bahao
aik aam dagar se hatt kar apni raah tabdeel kar laita hai. Wudu karne ke sath
sath hamaray aaza mein se brqie nikaltay rehtay hain. Aur is amal se azaye
jismani ko aik nai taaqat aur qowat haasil hoti hai .
Huzoor Akrm Sale Allah Aleh O Slim ka
irshad hai :
'' be shak bandah jab wudu kar le aur
achi terhan kar le phir namaz k y liye khara ho jaye to Allah is ki janib
tavajja farmata hai, is se sargoshi farmata hai aur is ki janib se tavajja nahi
pherte jab taq ke woh shakhs khud apni tavajja phair le dayen baen tavajja kar
le.”
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .