Topics
Khawateen niyat ke baad jab seenah par
haath bandhti hain to dil ke andar sahet bakhash hararat muntaqil hoti hai aur
woh ghudood nashonuma paate hain jin ke oopar bachon ki ghiza ka inhisaar hai. Namaz
qaim karne wali maaon ke doodh mein yeh taseer peda ho jati hai ke bachon ke
andar barah e raast Anwaar ka zakheera hota rehta hai jis se un ke andar aisa
patteren ( pattern ) ban jata hai jo bachon ke shaoor ko noorani banata hai. Aisay
bachon mein Raza o tasleem ki kefiyat peda ho kar bachon mein khush rehne ki
aadat daalti hai. Namazi maaon ke bachon ke andar geherai mein tafakkar karne
aur lateef se lateef tar ma-ani pehnanay aur samajh boojh ki salahiyaten roshan
ho jati hain .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .