Topics
Farz uss amal ko kehte hain jis ko ada
karna har musalman par lazim hai. Koi shakhs is se inkaar nahi kar sakta .
Wajib ka darja farz se kam hai lekin ada
karna is ka bhi zurori hai .
Sunnat woh amal hai jisay rasool Allah
sale Allah aleh o slim ne khud kya hai aur khlfaye rashdin ne is ki pairwi ki
hai. Sunnat ki do (? ) kasmain hain :
1. Sunnat mokada
2. Sunnat ghair mokada
sunnat mokada woh amal hai jisay Rasool Allah
s.a.w ne hamesha kya hai ya karne ka hukum diya hai aur baghair kisi wajah ke
tark nahi kya .
Sunnat ghair mokada woh hai Rasool Allah
s.a.w ne kabhi kya hai aur kabhi bila uzur chore bhi diya hai .
Nafil aur mustahib woh amal hai jis ke
karne se ajar milta hai aur chore dainay mein koi moakhza nahi .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .