Topics
Allah taala ne gussa ko napasand farmaya
hai, irshad hai :
" aur jo log gussa khatay hain aur
logon ko maaf kar dete hain, Allah aisay ahsaan karne walay bundon se mohabbat
karta hai . Bah nazar Ghair dekha jaye to yeh baat samnay aati hai ke gussa
karne se khud gussa karne walay aadmi ko hi nuqsaan pohanchana hai. Gussa ke
aalam mein douran khoon taiz ho jata hai. Woh laharen jo aadmi ki sahet ke liye
zurori hain muntashir ho kar zaya ho jati hain. Gussa mein aadmi ke hawaas kharab
ho jatay hain aur is se aisi harkat sarzad ho sakti hai jis par usay saari Umar
pachtaana parta hai. Is burii aadat se mehfooz rehne ke liye Ya rauf یَا رَؤُفُ ka vird ajeeb o ghareeb taseer rakhta
hai. Baad namaz-e esha awwal o aakhir gayarah gayarah martaba duroood shareef
ke sath Ya rauf یَا رَؤُفُ
parhnay se mohabbat o gudaaz peda hota hai. Allah ki saari makhlooq apne behan
bhaiyon, maa baap ya aulaad ki terhan nazar aati hai aur doosri sanaf makhlooq
bhi aisay shakhs ko Aziz rakhti hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .