Topics

Aayat Al Kursi

اَللّٰہُ لَآ اِلٰہَ اِلَّا ھُوَ اَلْحَیُّ الْقَیُّوْمُ ۵ لَا تَاْ خُذُہٗ سِنَۃٌ وَّ لَا نَوْمٌ ط

Allah is ke siwa koi mabood nahi zindah hamesha qaim rehne wala nah usay ongh aa sakti hai aur nah neend


لَہٗ مَا فِی السَّمٰوٰتِ وَ مَا فِی الْاَرْضِ ط مَنْ ذَ الَّذِیْ یَشْفَعُ عِنْدَہٗ اِلَّا


isi ka hai sab jo asmano mein hai aur zameen mein hai aisa kon hai jo sifarish kere is ke paas baghair
بِاِذْنِہٖ ط یَعْلَمُ مَا بَیْنَ اَیْدِیْھِمْ وَ مَا خَلْفَھُمْ وَ لَا یُحِیْطُوْنَ بِشَیْ ءٍ مِّنْ

woh jaanta hai jo kuch unkay samnay aur un ke peechay ke halaat hain aur ihata nahi kar satke kisi cheez ka bhi


عِلْمِہٖٓ اِلَّا بِمَا شَاءَ وَسِعَ کُرْسِیُّہُ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضَ

is ke ilm mein se magar jis qader woh chahay ghair rakha hai is ki kursi ne tamam asmano aur zameen ko

وَ لَا یَؤُ دُہٗ حِفْظُھُمَا وَ ھُوَ الْعَلِیُّ الْعَظِیْمُo

aur giran nahi guzarti is ko un dono ki hifazat aur woh aliiiii shaan hai aur azeem al shan hai .( surah baqra. ۲۵۴ )

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .