Topics
Namaz qaim karne se pehlay saat baatein
poori karna zurori hain. Un saat baton ko sharait namaz kaha jata hai .
1.Badan ka pak hona
2.Namaz ka waqt hona
3. Jagah pak hona
4. Mard ko naaf se ghutnon taq aur aurton
ko mun, haath aur peeron ke ilawa sara badan aur sir ke baal dhanpna
5. Kapray pak hona
6. Qibla ki taraf mun karna
7. Namaz ke liye niyat karna
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .