Topics
Chehra dhonay mein yeh hikmat posheeda
hai ke is se azlaat mein lachak aur chehra ki jald mein narmi aur Latafat peda
ho jati hai. Gird o gubhar se band masamaat khil jatay hain. Chehra roshan,
purkashish aur barab ho jata hai. Douran khoon kam ya ziyada ho to is ke andar
aitdaal peda ho jata hai. Mun dhotay waqt jab pani aankhon mein jata hai to is
se aankhon ke azlaat ko taqwiyat pahunchti hai, dheelay mein safedi aur pُtli mein chamak ghalib aa jati hai. Wudu karne walay
bande ki ankhen purkashish, khobsorat aur پرخمار
ho jati hain. Chehra par teen baar haath phairnay se dimagh par sukoon ho jata
hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .