Topics
Allah taala ne apne bundon par ramadaan
ke rozay poooray honay ki khusi mein shukar ke tor par sadqa fittar muqarrar
farmaya hai. Sadqa fittar har musalman sahib nisaab par wajib hai. Jo nisaab zakat
ka hai wohi is ka hai. Dono mein farq yeh hai ke zakat wajib honay ke liye
chandi, sona ya maal tijarat hona aur is par aik saal guzarna shart hai aur
sadqa fittar ada karne ke liye itna kaafi hai ke zurori samaan ke ilawa kisi
shakhs ke paas itna maal ho jis par zakat wajib hoti hai. Maal par saal poora
hona zurori nahi. Munasib yeh hai ke sadqa fittar eid ki namaz se pehlay ada
kar diya jaye. Sadqa fittar pauney do sair gheehon ya is ke masawi kilo gram ya
is ki qeemat dainay se ada ho jaye ga. Gheehon ke narkh chunkay kam o besh
hotay rehtay hain is liye sadqa fittar ada karne se pehlay bazaar mein narkh
maloom kar lena chahiye. Sadqa fittar ke mustahiq wohi log hain jo zakat ke
mustahiq hon .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .