Topics

Asar Ki Namaz

Zameen do terhan chal rahi hai. Aik gardish hai mehwari aur doosri tolani. Zawaal ke baad zameen ki gardish mein kami waqay ho jati hai aur phir rafta rafta yeh gardish kam hoti chali jati hai. Asar ke waqt taq yeh gardish itni kam ho jati hai ke hawaas ke oopar dabao parney lagta hai. Ensaan, hewan, charind, parind sab ke oopar din ke hawaas ke bajaye raat ke hawaas ka darwaaza khilna shuru ho jata hai aur shaoor maghloob honay lagta hai .

Har Zee feham ensaan is baat ko mehsoos karta hai ke asar ke waqt is ke oopar aisi kefiyat taari hoti hai jis ko woh takan aur azmhlal ka naam deta hai. Yeh takan aur azmhlal shaori hawaas par la shaori hawaas ki girift ka nateeja hota hai. Asar ki namaz shaoor ko is hadd taq muzamahil honay se rokkk deti hai jis se dimagh par kharab asraat muratab hon. Wudu aur asar ki namaz qaim karne walay bande ke shaoor mein itni taaqat aa jati hai ke woh la shaori nizaam ko aasani se qubool kar laita hai aur apni rooh se qareeb ho jata hai. Dimagh Rohani تحریکات qubool karne ke liye tayyar ho jata hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .