Topics
Khashoo o Khazoo ke sath der taq sajda karna
dimaghi amraaz ka ilaaj hai. Dimagh apni zaroorat ke mutabiq khoon se zurori
ajzaa haasil kar ke fasid madon ko khoon ke zariye gurdon ko wapas bhaij deta
hai taa ke gurday inhen pishaab ki shakal mein bahar nikaal den. Sajda se uthte
waqt is baat ka khaas khayaal rakha jaye ke sir jhuka huwa ho aur baazu seedhay
rahen. Aur un mein qadray tanao ho. Uthte waqt Raan par hatheliyan bhi rakhen.
Kamar ko kub ki terhan oopar utthayen
aur aahista se kharray ho jayen ya baith jayen .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .