Topics
Jaissa ke hum bta chuke hain ke dimagh
it-tila-aat qubool karta hai aur yeh it-tila-aat lehron ke zariye muntaqil hoti
hain. Ittila ki har lehar aik wujood rakhti hai. Wujood ka matlab mutharrak
rehna hai. Qanoon yeh hai ke roshni ho ya pani is ke liye bahao zurori hai aur
bahao ke liye zurori hai ke is ka koi Mazhar banay aur woh kharch ho. Jab koi
bandah paiir dhota hai to zayed roshiniyon ka hajhoom ( poison ) peeron ke
zariye arth ( earth ) ho jata hai aur jism insani zahreeley madon se mehfooz
rehta hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .