Topics
Namaz parhnay aur qaim karne mein bohat
farq hai. Quran kareem mein parhnay ke alfaaz bhi hain :
“ Ae ( Muhammad S.A.Wasalam! Jo kapray mein lapat rahay ho,
raat ko qiyam kya karo magar thori si raat yani nisf raat ya is se kuch kam ya
kuch ziyada aur quran ko thehr thehr kar parha karo.” ( surah muzammil )
Farsi zabaan ka aik lafz hai “ Namaz Khwandan”
yani namaz parhna. Yeh lafz aatish paraston ke yahan raaij hai. Jab woh apni
kitaab “ Randwasta ” parh kar aag ke samnay jhukatey hain to is ko Namaz Khwandan yani namaz parhna kehte hain. Arabi se jab urdu zabaan
mein tarjuma kya gaya to yeh saho huwa ke “salaat qaim karo” tarjuma “namaz
parhna” kar diya gaya. Halaank quran pak
ke irshad ke mutabiq salaat ka tarjuma salaat hi hona chahiye tha jis terhan
kalma tayyiba ka tarjuma kalma tayyiba hai, Allah ka tarjuma Allah hai, Rehman
ka tarjuma Rehman hai, paighambar ka tarjuma paighambar hai, rasool ka tarjuma
rasool hai waghera waghera. Quran pak ke irshad ke mutabiq qaim karo salaat aur
urdu tarjuma ke mutabiq namaz padho ke maienay o mafhuum mein bara farq waqay
ho jata hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .