Topics
Esha ki namaz ke baad gayarah so ( ۱۱۰۰
) martaba یَامُؤْ مِنُ parh kar ankhen band kar ke baith jayen aur yeh tasawwur karen ke
mein arsh ke saaye mein hon aur shohar neechay hai. Jab yeh tasawwur qaim ho
jaye to shohar ke oopar phoonk maar den. Baat kiye baghair bistar mein chali
jayen aur shohar ka tasawwur karte karte so jayen. Insha Allah khawand ki taraf
se bud ikhlaqi, buraiee, zayad-ti ka izhaar nahi ho ga. Is amal ki barket se
shohar biwi ka garweedah ho jata hai .
Agar kisi shohar ke sath biwi ka sulooq
acha nah ho to yeh amal shohar bhi kar sakta hai, nataij dono sooraton mein aik
se muratab hunge .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .