Topics

Sajda Talawat Ke Masail

Quran Majeed mein chodan ayatain aisi hain jin ko talawat karne ke baad sajda talawat kya jata hai. Sajda talawat ki aayat agar namaz mein parhi hai to namaz mein bhi sajda ada karna wajib hai .

Sajda talawat karne ka tareeqa yeh hai ke bandah pehlay khara ho jaye aur اَللّٰہُ اَکْبَرُ kehta huwa sajda mein chala jaye aur sajda mein kam se kam teen martaba سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ parhay aur is ke baad sajda se sir uthaye .

Mahana nizaam ya nfas ki haalat mein agar koi aurat sajda ki aayat sunay to is ke oopar sajda wajib nahi hai. Lekin agar aisi haalat mein sajda ki aayat suni jab ke woh ayyaam se farigh ho chuki hai to ghusal ke baad sajda karna 

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .