Topics

Namaz Mein Khayalat Ki Yalghaar

Aam tor se log is baat ki shikayat karte hain ke namaz mein yak soi nahi hoti aur jaisay hi namaz ki niyat bandhte hain, khayalat ki yalghaar ho jati hai. Baaz auqaat to yeh bhi yaad nahi rehta ke hum ne namaz mein kon kon si sortain parhi hain. Salam phairnay ke baad kuch aisa ta-assur qaim hota hai ke aik boojh tha jo utaar kar pheink diya gaya. Nah koi kefiyat hoti hai aur nah koi suroor haasil hota hai. Jab ke namaz itminan qalb aur ghaib ki duniya se muta-arif honay ka aik bara zareya hai. Is ki barri wajah yeh hai ke hum namaz ki adaigi mein itni jaldi karte hain ke namaz ka maqsad hi faut ho jata hai. Jitni der mein Khashoo o Khazoo ke sath aik rak-at bhi khatam nahi hoti itni der mein poori namaz khatam kar li jati hai. Ruku o sujood mein itni jaldi ka muzahira kiya jata hai ke itni der mein aik baar subhana Rabbi al azeem aur subhana Rabbi al alaa nahi kaha ja sakta. Ruku mein zara jhuke, ghutnon par haath rakhay, sir uthaya, kamar seedhi bhi nahi hui ke sjday mein chalay gaye, sjday mein se utthay, abhi sahih terhan baithy bhi nah they ke dosra sajda kya aur uth kharray hue.

Yaad rkhye! Is terhan namaz ada karna namaz ki be hurmati hai aur Allah taala ke huzoor gustaakhi hai. Aisi namaz hargiz namaz nahi hai balkay aik naaqis amal hai jo qayamat ke roz hamaray liye wajh-e sharmindagi o pashemani ban jaye ga aur hamein is se koi faida haasil nahi ho ga .

Rasool Allah sale Allah aleh o slim ka irshad graami hai ke bad tareen chori karne wala woh shakhs hai jo namaz mein chori kere. Sahaba karaam ne arz kya. “ Ya Rasool Allah s.a.w! Namaz mein kis terhan chori kere ga ?”

farmaya: “ namaz mein achi terhan ruku o sajda nah karna namaz mein chori hai.”

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .