Topics
Tilawat quran ke waqt agar azaan ho jaye
to afizal yeh hai ke talawat band kar ke ghhor se azaan suni jaye .
Bazaar aur napak jaghon par quran parhna
makrooh hai .
Letey letey quran parha ja sakta hai
lekin is waqt dono haath samaitt le yani haath par haath rakh le jaisay niyat
mein haath bandhay jatay hain .
Aisay maqam par jahan log kamon mein
mashgool hon quran Majeed buland aawaz se nah parha jaye .
Agar koi shakhs quran parh raha hai to
usay salam nahi karna chahiye .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .