Topics
ehsas kamtarri aik aisa jazba hai jis
mein aadmi baat be baat ranj o gham mein mubtala rehta hai aur mamooli baat ko
apne liye pareshani bana kar afsurdah dil ho jata hai. Aur yeh baat is waqt
peda hoti hai jab aadmi ke andar qowat iraadi kamzor ho jati hai. Kamzor qowat
iraadi ki wajah se banay banaye kaam baggar jatay hain. Baar baar aisa honay se
aadmi ehsas kamtarri mein mubtala ho jata hai. Har namaz ke baad so martaba Ya
allah parhnay se qowat iraadi mein izafah hota hai. Ghair mustaqil mizaji door
ho jati hai aur bigre hue halaat durust ho jatay hain .
Seenah aur pasliyon mein dard ho to dard
ki jagah saat martabaیَا اَللہ angisht shahadat se mareez ke seenay par likhain. Dard se nijaat
mil jaye gi .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .