Topics
Hazrat muslim ban bishar ki shakhsiyat
bohat barab thi. Aap ke roab ka yeh aalam tha ke aap jab bahar se ghar mein
tashreef laatay to ghar walay aap ke roab ki wajah se bilkul khamosh ho jatay
they lekin namaz mein woh is terhan mehv o mutaghraq ho jatay they ke bachon ke
shore ka aap ko qatan ilm nahi hota tha . Aik dafaa Aap apne kamray mein namaz
ki niyat bandhay hue they ke ittafaq se is kamray ke kisi konay mein aag lag
gayi lekin aap namaz mein mashgool rahay. Salam phairnay ke baad ghar walon ne
kaha ke tamam muhallay walay aag bujhanay ke liye jama ho gaye aur aap ne namaz
nah choari halaank aisay waqt mein to farz namaz ki niyat torna bhi jaaiz hai. Aap
ne farmaya ke mujhe khabar hoti to zaroor niyat toar deta .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .