Topics
Allah taala ka naam یَا جَلِیْلُ
chandi ke پترے par kunda kara ke
apne paas rakhnay se izzat o martaba mein izafah hota hai . Karam karna Allah
taala ki aik aisi sift hai jis par saari kaayenaat qaim hai. Agar Allah taala
ka karam muheet nah ho to duniya aik second bhi qaim nahi reh sakti. Allah
taala ke fazl o karam se ziyada Faiz yab honay ke liye rozana raat ko sotay
waqt chit late kar aik so aik ( ۱۰۱
) martaba یَا کَرِیْمُ
parheen aur seenah par dam kar ke kisi se baat kiye baghair so jayen. Aik neend
lainay ke baad baat karne mein koi muzahiqa nahi .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .