Topics

Musafir Ki Namaz

Aadmi jab safar mein hota hai to is ko kisi khaas maqam taq pounchanay ki jaldi hoti hai aur is ka jism be aaraam aur zehan muntashir hota hai. Is liye is ke liye sahih tareeqay par salaat qaim karna mumkin nahi rehta. Woh faraiz ki adaigi mein kisi qader narmi ka mustahiq hota hai. Allah taala kyunkay sarta pa mohabbat aur mujassam rehmat hain is liye unhon ne musafiron ko khusoosi tor par namaz mukhtsiran qaim karne ka hukum diya hai. Allah taala chahtay to poori namaz maaf farma dete lekin mukhtasir namaz ke qiyam ka hukum is liye diya ke musafir ka zehni rabt safar mein bhi Allah ke sath qaim rahay aur safar ki savbton aur tklifon mein qadam qadam par qudrat ka taawun is ke shaamil haal rahay. Musafir ko Zahar , asar aur esha ke chaar farz ki jagah do farz, Fajar aur maghrib ke farz aur vitar poooray parhnay ka hukum diya gaya hai. Agar manzil par poanch kar pandrah din qiyam karne ki niyat kar li jaye to musafirat khatam ho jati hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .