Topics
Yeh dua vitar ki teesri rak-at mein قرأت parh lainay ke baad kaanon taq haath
uthatay hue tkbir keh kar ruku mein jany se pehlay parhi jati hai :
اَللّٰھُمَّ اِنَّا نَسْتَعِیْنُکَ
وَنَسْتَغْفِرُکَ وَ نُؤْ مِنُ بِکَ
ae Allah ! Hum tujh
se madad chahtay hain aur tujh se mughfirat chahtay hain aur tujh par imaan
laatay hain
وَ نَتَوَکَّلُ عَلَیْکَ وَ نُثْنِیْ
عَلَیْکَ الْخَیْرَ وَ نَشْکُرُکَ
aur tujh par bharosa
rakhtay hain aur teri khoobiyan bayan karte hain aur tera shukar ada karte hain
وَ لَا
نَکْفُرُکَ وَ نَخْلَعُ وَ نَتْرُکُ مَنْ یَّفْ
aur teri nafarmani
nahi karte aur usay hum chortay aur is se alehda hotay hain jo tera nafarman
hai
اَللّٰھُمَّ اِیَّاکَ نَعْبُدُ وَ لَکَ
نُصَلِّیْ وَ نَسْجُدُ وَ اِلَیْکَ
ae Allah ! Hum teri
hi ibadat karte hain aur tairay hi liye namaz ada aur sajda karte hain aur teri
نَسْعٰی وَ نَحْفِدُ وَ نَرْجُوْا
رَحْمَتَکَ وَ نَخْشٰی عَذَابَکَ
hi taraf dorrtay
hain aur khidmat karte hain aur teri hi rehmat ke umeed waar hain aur tairay
azaab se drtay hain
اِنَّ عَذَابَکَ بِالْکُفَّارِ مُلْحِقٌ
be shak tera azaab
kafiroon ko pounchanay wala hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .