Topics
Tasawuf mein aik maqam kashaf ulquboor
hai, yani marnay ke baad jis maqam par roohein rehti hain wahan woh kis haal
mein hain, kis terhan ki zindagi guzaar rahi hain aur is duniya ke shab o roz
mah o saal kaisay hain neez roohon se baat cheet aur mulaqaat ke amal ko kashaf
ulquboor kaha jata hai. Is salahiyat ko beedar karne ke liye kisi silsila mein
baet hona zurori hai. Paiir o murshid ka karam shaml e haal ho aur mureed ke
andar Rohani salahiyaten beedar honay lagen to یَا بَاعِثُ parhnay se woh aankhh khil jati hai jo
roohon ko dekhatii hai, woh kaan khil jatay hain jo roohon ki aawaz suntay
hain. Allah taala ki taraf se woh qowat goyai ataa hojati hai jis ke zariye
roohon se baat cheet aur guftagu hoti hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .