Topics
Tauba se gunah maaf ho jatay hain aur
bandah Allah taala se qareeb ho jata hai. Gunah aadmi se hi sarzad hota hai.
Gunah se koi pak nahi hai. Allah taala is baat ko pasand karte hain ke bandah
Allah taala se tauba karta rahay. Tauba karne se pehlay jitni martaba dil
chahayیَا
مُؤَخِّرُ ka vird karen Insha Allah tauba qubool ho gi. Chahiye ke tauba
karte waqt apne rab ke huzoor aajzi o inkisari aur gunaaho se nedamat ka izhaar
kya jaye .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .