Topics
Namaz mein jo baatein wajib hain un mein se agar
aik ya kayi wajib bhool se reh jayen to sajda saho karna wajib hai. Sajda saho
karne se namaz durust ho jati hai. Agar sajda saho nahi kya to namaz dobarah
ada ki jaye gi . Sajda saho karne ka tareeqa yeh hai ke aakhri rakat ke qaadey
mein atahiyat ke baad aik taraf salam phair kar do sjday kiye jayen. Phir
baithy hi baithy atahiyat, duroood shareef aur dua parh kar dono taraf salam
phair diya jaye .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .