Topics
Fajar ki namaz ada karne ke baad aisi jagah
baith jayye jahan se nikalta huwa Sooraj nazar aeye. Jaisay hi ufq se Sooraj ki
tikia namodaar ho یَا
بَاسِطُ parhna
shuru kar den. Taresath ( ۶۳ ) martaba parh kar hathon par dam karen
aur haath chehray par phair kar uth jayen. Amal ki muddat chalees roz hai. Is
amal se wasail mein izafah hota hai. Badhaali aur iflaas daur ho jata hai. Is
amal ki ijazat sirf un logon ke liye hai, khuda na khwasta jin ke gharon mein
muflisi ne dire daal diye hain aur koi rasta khilta huwa nazar nahi aata
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .