Topics

Gardan Ka Masah

Mahireen rohanyat ne insani jism ko chay hisson mein taqseem kya hai. Aik hissa “Habal al wareed ' hai. Allah taala ka irshad hai' ' mein rigg jaan se ziyada qareeb hon' '. Yeh regg e jan ( Habal al wareed ) sir aur gardan ke darmain mein waqay hai. Gardan ka maseh karne se insani jism ko aik khaas tawanai haasil hoti hai jis ka talluq reerh ke andar haraam maghaz aur tamam jismani joron se hai. Jab koi namazi gardan ka maseh karta hai to hathon ke zariye barqi ro nikal kar rigg jaan mein zakheera ho jati hai aur reerh ki haddi ko apni guzargah banatay hue jism ke poooray aasabi nizaam mein phail jati hai jis ke zariye aasabi nizaam ko tawanai millti hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .