Topics
Makhlooq ki nazar mein izzat o Waqar
haasil karne ke liye aur Allah taala ke siwa kisi se ehtiaaj nah rakhnay ke
liye, safar mein hifazat aur aasani haasil karne ke liye har namaz ke baad so
martaba یَا معُزُ
parheen. Raah sulooq ka koi musafir
jummay ki namaz ke baad se asar ki namaz taq یَا سَمِیْعُ parhay to qowat samaat mein izafah hota hai aur kaan firshton ki
awazon se aashna ho jatay hain. Magar yeh amal apne paiir o murshid ki ijazat
se karna chahiye. Paiir o murshid ka Rohani aloom se waaqif hona zurori hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .