Topics
Namaz ke ekhtataam par hum salam phertey
hain. Gardan phairnay ke amal se gardan ke azlaat ko taaqat millti hai aur woh
amraaz jin ka talluq un azlaat se hai, la-haq nahi hotay aur ensaan hashash
bashaash aur tawana rehta hai neez seenah aur hansali ka dheela pan khatam ho
jata hai, seenah chaura aur bara ho jata hai. En sab warzishon ka faida is waqt
pohanchana hai jab hum namaz poori tavajja aur dil jamee aur is ke poooray
aadaab ke sath ada karen aur jald baazi se kaam nah len .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .