Topics
Ensaan ke andar jab aqeedah kamzor ho
jata hai to woh terhan terhan ke waswason mein girftar ho jata hai. Kabhi
khayaal aata hai mere oopar kisi ne jaadoo kar diya hai, kabhi sochta hai ke
mere oopar kisi jin bhoot ka assar hai. Shetan is ke dimagh mein yeh baat bhi
dalta hai ke usay kisi ki bud-dua lag gayi hai. Lekin jab woh khud apna muhasba
karta hai to is ke samnay aisi koi baat nahi aati jis ki binaa par koi usay
bud-dua day. Yeh baat bhi is ki samajh mein nahi aati ke is ka kon dushman hai.
Is liye ke woh khud kisi ke sath buraiee nahi karta. Is qisam ke tamam waswason
aur kaseef khayalat se mehfooz rehne ke liye raat ko sotay waqt aik so gayarah
martaba یَا قَابِضُ
parhna nihayat mufeed aur mujrib amal hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .