Topics
Allah taala ka irshad hai :
اِنَّ الصَّلوٰۃَ کَانَتْ عَلَی الْمُؤْ
مِنِیْنَ کِّبًا مَّوْقُوْتًا (سورہ نساء۔ آیت۱۰۲)
Tarjuma : be shak namaz momineen par
muqarara waqt mein farz hai .
Chunkay namaz ada karne ka talluq auqaat
se hai, is liye auqaat namaz se waqfiyat haasil karna zurori hai .
Agar namaz ke waqt se pehlay koi shakhs
namaz qaim kere ga to namaz nahi ho gi. Aur woh namaz dobarah qaim karna ho gi.
Isi terhan agar koi shakhs waqt guzar jany ke baad qaim kere ga to woh namaz
qaza ho jaye gi. Is liye zurori hai ke namaz waqt ki pabandi ke sath ada ki
jaye .
Fajar ki namaz ka waqt subah Sadiq se
Sooraj niklny taq hai. Sooraj ka zara sa kinara bhi nikal aeye to Fajar ka waqt
khatam ho jata hai. Subah Sadiq Sooraj niklny se taqreeban daidh ya pauney do
ghantay pehlay hoti hai. Subah Sadiq hotay hi Fajar ka waqt shuru ho jata hai
aur subah Sadiq hotay hi Tahajud ka waqt khatam ho jata hai. Fajar ki namaz
mein Anhazrat sale Allah aleh o slim ka mamool tha ke subah Sadiq ke baad
pehlay do rak-at sunnat ghar mein ada farmatay they. Is ke baad masjid mein
tashreef laa kar do rak-at namaz farz ada farmatay they .
Zahar ki namaz ka waqt Sooraj dhalnay ke
baad shuru ho jata hai. Is ki pehchan yeh hai ke Sooraj nikal kar jitna ouncha
ho ga har cheez ka saya itna hi ghatt jaye ga. Jab saya ghatna moqoof ho jaye
to yeh theek dopehar ka waqt hai. Is ke baad jab saya bherne lagey to din
dhalna shuru ho jata hai, isi waqt se Zahar ki namaz ka waqt shuru ho jata hai
.
Asar ki namaz ka waqt ghuroob aftaab se
taqreeban daidh ghantay pehlay ho jata hai aur ghuroob aftaab taq rehta hai.
Jab Sooraj bohat neecha ho jaye aur dhoop peeli par jaye to namaz ka waqt
makrooh ho jata hai .
Sooraj ghuroob hotay hi maghrib ka waqt
ho jata hai. Aftaab ghuroob honay ke baad jab taq maghrib ki taraf aasman par
surkhi rahay maghrib ka waqt baqi rehta hai .
Maghrib ke baad aasman par surkh shafaq namodaar hoti hai. Is ke gayab honay ke
baad safedi baqi rehti hai. Phir yeh bhi gayab ho jati hai aur aasman poori
terhan nazar anay lagta hai aur yahi esha ki namaz ka waqt hai. Esha ki namaz
ka waqt subah Sadiq se pehlay taq rehta hai magar aadhi raat ke baad esha ka
waqt makrooh ho jata hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .